Ghadeer

 

  بسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم  وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا


 

 

 

 

Hai Abbhi Waqt Kar Karle Wilaye Ali Qabul

Shayad Ye Teri Saans Kahi Akhri Na Ho 

اَلْحَمْدُ للهِ الّذى جَعَلَنا مِنَ الْمُتَمَسِّكينَ بِوِلايَةِ اَميرِ الْمُؤْمِنينَ وَالاَئِمَّةِ عَلَيْهِمُ السَّلامُ

 

 

Abb Aur Kya Bayaan Ho Azmat Ghadeer ki,

Qura’an Me Ayaa’n Hai Fazeelat Ghadeer

Akbar Ka Sina Deke Wilayat Bachayi Hai

Puche Koi Husain Se Keemat Ghadir Ki

Haqdaar Hai Wo Laanat E Parwardigaar Ka

Jis Shakhs Ke Hai Dil Mein Shikayat Ghadeer Ki

Badla Liya Gaya Hai Ali (as) Se Namaz Me

Thi Dushmani Rasul (saw) Se Eid e Ghadeer Ki

 

 

Wazni Tha Kitna Lafz Fahaza Ghadeer Me,

Hatho Pe Jab Ali (as) Ko Uthaya Ghadeer Me,

Kuch Log Hath Uthakar Duaa Magne Lage,

Allah Hame Na Laaye Dobara Ghadeer Me.

 

 

Kuch Aise Log Bhi Hai Sawa Lakh Log Me

Chalta Hai Jinke Qalb Paa Khanjar Ghadeer Me

Lakhon The Magar Bhulgaye Mustufa (saw) Ki Baat

Issey To Achcha Hota Bahattar Ghadeer Me


 

Ek Paher Ghadeer Ki Ek paher Ashur Ki,

Do Paher Ki Dhoop Se Islam Ko Saya Mila.

 

Jhasne Wila Me Koi To Ayse Khamosh Hai,

Jaise Ke Uska Baap Maraa Ho Ghadeer Me.

 

Uski Khataa Nahi Hai Ye Maa ka Qusur Hai,

Paigham Jis Kisi Ne Bhulaaya Ghadeer Ka.

 

 

Aaj Bhaagne Wale, Raasta Na Painge

Maimana Ghadeeri Hai, Maisara Ghadeeri Hai

Naam Leke Haider Ka, Ham Ye Jaan Lete Hain

Kon Hai Saqeefaaai Kon Sa Ghadeeri Hai


 Rukhsaar e Mumqenat Ka Ghaza Ghadir Hai

Insaniyat Ke Jism Me Taaza Ghadir Hai

Kalema Padha Jinhone Khilafat Ke Shauk Me

Unn Sabki Bebasi Ka Janaza Ghadir Hai

✍🏻*Janab Shaukat Raza Shaukat Sahab


 

Suraj Ye Keh Ke Din Ka Ubhra Ghadeer Mein

Takmeel Aaj Paayega Kalma Ghadeer Mein

Man Kunto Jab Nabi Ne Sunaya Ghadeer Me,

Kamil Khuda Ka Deen Huwa Hai Ghadeer Me

Baazu Uthaa Uthaa Ke Bataate Rahe Rasul

Andho Ne Phir Bhi Kuch Nahi Dekha Ghadeer Me

Sadiyon Ka Faasla Hai Mere Unke Darmiyaan

Lekin Main Jaanta Hoon Ke Main Tha Ghadeer Mein

 

 

Maqtal Se Ja Mili hai rawani Ghadeer ki,

Thi Mimber e Sina Pe Nishani Ghadeer Ki,

Panja Har Ek Alam Pe Sunata hai Aaj Bhi,

Aaghaz E Karbala me Kahani Ghadeer Ki.

 

 

Karbobala Ka gham Tu Manaaye Ga Kis Tarah,

Tujh Ko Sataa Raha hai Abhi Gham Ghadeer Ka.

Jo Rokhte Rahe Hame Matam Se Umr Bhar,

Wo Aaj Bhi Karte Hai Matam Ghadeer Ka.

 

 

Jo nasal e yazeed (l.a) se rakhta hai rabta,

Jalta hai aaj roza e shabbeer (a.s) ko dekh kar,

Majlis mein aana is liye bid.dat bata diya,

Yaad e ghadeer aati hai mimber ko dekh kar…

 

 

Mataye Hubbe Janabe Ameer Rakhte Hai,

Ali Ke Ishq Ki Daulat fakir Rakhte Hai,

Majaal Kya Hai Andhere Mere Karib Aaye ,

Hum Apne Saath Chirage Ghadeer Rakhte Hai.

 

 

Buss Yeh Najaf me hogaya Nuksaan Ya-Ali.

Nikli na Tere Dar pe Meri Jaan Ya-Ali.

Ab tak unheiñ Ghadeer ka Rasta nahin Mila.

Chauraahey par khadhey hain Musalmaan Ya-Ali.

✍🏻 - "Mir Takallum Sahab".

 

 

Meesum bata rahe hai haqeeqat ghadeer ki

Karke farazedaar pe midhat ghadeer ki

Imaan ke looter main dum itna hai kaha

Jo aake cheen le daulat ghadeer ki

 

 

Aaya Jo Zikr Mere Labo'n Pe GHADEER Ka

Kitne DiLo'n Pe ChaL Gaya khanjar GHADEER Ka

Pakeezgi-e Khoon Ki Pehchan Dekhiye

Pemana De Gaya hy Payamber GHADEER Ka

 

 

Dushmanaane Haider (as) Ko Jo Qareeb Rakhte Hain

Mera Aisay Logon Se Faasla Zaroori Hai

Ahlebait (as) Ke Haq Ki Baat Jab Bhi Aaye Gi

Har Ghadeer Wale Ka Bolna Zaroori Hai

 

 

Ali (as) Ke Naam Ka Charcha Bahut Zaruri Hai

Ghadeer Kya Hai Batana Bahut Zaruri Hai

Jawan Hogaye Marhab Ke Nasl Ke Bachche

Imam e Asr (atfs) Ka Aana Bahut Zaruri Hai

 

 

Muftiye Bid'dat Zara Fatwa Laga Ke Dekh Abb

Kaat Dalenge Zaban Teri Jawanaane Ghadir

Ghasibo Tehro Zara Wo Aane Wala Hai Abhi

Pardaye Ghaibat Me Hai Abbhi Paasbaane Ghadir

 

 

Ghadeer e qum k siwa silsila nahe milta

baraay jadaay haq rehnuma nahe milta

yahan se qafayla islam ka sambhal k chalay

bhatak gaay tou koi rasta nahe milta.


 

Haan lashkar e yazeed kay boorhon ko dosto,

maazi ki aik shaql dikhayi hussain(a.s) nay,

kar kay buland hath pey us dour ka ali,

sab ko ghadeer yaad karayi hussain(a.s) nay

 


INHI DONO SE WABASTA HAY, JANNAT BHI, JAHANNUM BHI

TAWALLA AWR TABARRA, YE BARE BAREEK RASTE HAIN

KAHO MASHKOOK ZAHNO SE, GHADEER KHUM ME AA DEKHEN

ALI KE DUSHMANO PAR ARSH SE PATTHAR BARASTE HAIN

 

 

JITNE GAWAAH BHEJE, KHUDA NE RASOOL KE

KAM KAISE HOTI EK BHI, SHAHADAT GHADEER KI

TAWHEED CHAHTI THI SAWAA LAAKH LOG HON

TA'ADAAD SE BANDHI RAHE NISBAT GHADEER K


 

Chehra Ali ka itna hai nikhra Ghadeer mein,

Hoorein utaar ne lagi sadqa Ghadeer mein,

Baadal wafa ka pyaas bujhaane ko deen ki,

Uththa tha Zul-Asheera mein barsa Ghadeer mein.

 

 

Jo Dushmane Ali Tha Wo Roya Ghadeer Mai

Nikla Munafeqat Ka Janaza Ghadeer Mai

Aaj Bhi Wo Pherte Hy Muh Ko Namaz Me

Jaise Laga Ho Muh Pe Tamacha Ghadeer Me

 

 

 

Bakkhin To Shaikh Ji Bhi Waha Kah Chuke Magar,

Dil Par Gira Hai Unke Bhi Tufan Ghadeer Me

Har Jung Ki Tarah Koi Bhage Na Isliye,

Rakh Kha Gaya Tha Mimbare Palaa'nn Ghadeer Me.

Jaa Naa Jo Chahata Tha To Jalte The Uske Pau,

Tha Sab pe Aaftaab Ka Pahra Ghadeer Me.

Jo Ban Sakain Na Shah-e-Wilayat, Bahukm-e-Rab

Un Hasrato'n Ka Utth Tha Janaza Ghadeer Me.

 

 

Anokhi Bazm Ye Sahra Me Kyun Sajaae Hain

Ghadeer e Khum Ke Moqaddar Ko Jagmagaae Hain

Isi Ko Noor Ala Noor Kahte Hain Zamin

Ali Ko Haathon Pe Apne Nabi Uthaae Hain

 

 

Jo ishq e Aal e Muhammad pe jaan dete hain,

Nabi unhi ki shafaat pe dhyaan dete hain,

Humein mila hai mukammal Ghadeer se Islam,

Hum hi wo hai jo mukammal azaan dete hain.

 



Inkaar Jo Ali a.s Ki Wilayat Se Kar Gaya

Unka Naseeb Banne Se Pehle Bigad Gaya

Chadne Lage Ghadeer Ke Mimbar Pe Jab Ali a.s

Saare Haraamzado'n ka Chehra Utar Gaya

 

 

Fazilato'n ka samandar kaha se laonge,

Bulandi ka yeh manzar kaha se laonge,

Bayan aapni badhayi ka kahi bhi karlo,

Magar Ghadir Ka "Mimbar" kaha se laonge

 

 

Allah ke Rasul ka farman hai Ghadeer

Maula Ali (as) ki shan ka eelan hai Ghadeer,

Aapne paraye logo ki pehchan hai Ghadeer,

Islam KARBALA hai to Ima'an hai Ghadeer

 

 

Munkunto Ka Nabi Ne Joh Naqma Sunadia

Har Munkir e Ghadeer Ke Dil Ko Jala Dia

Jibreel Jhoom Jhoom Ke Aamir Yeh Kehte Hain

Moula Ne Aaj Moula Ko Moula Banadiya

 

 

Ghadeer e Khum me Ailaan e Wilayat e Murtaza (as) Ho Gaya

Ailaan Ye Aisa Hua, Deen Muqammal Mustafa (Saw) Ka Ho Gaya

Deen e Mohammed (Saw) Akmalto  ki Sanad Quraan me Paa Gaya

Haan Dekho Momino Saare Aalam Me IMAMAT o WILAYAT ka Taaj Chaa Gaya

 

 

Mabood, Madad kar ke Aaj Mere Ashaar ka Unwaan Hai Ghadeer,

Tamam Aalemin pe Masoomeen (Slwt) ki Wilayat ka Ailaan Hai Ghadeer,

Janasheen e Risalat Ki Qul Aalemin ko Sunata Shaan Hai Ghadeer,

Haan Haqeeqatan, Haq o Baatil ke Darmiyaan ki Pehchaan Hai Ghadeer

 

 

Muqam E Ishq Koi Be Zameer Kya Janay

Hussainiyat Ki Haqeeqat Haqeer Kya Janay

Nabi (S.A.W.) Ki Zaat Pe Hazyan Ka Ho Shak Jis Ko

Woh Do Rakat Ka Namazi Ghadeer Kya Janay

 

 

 

Khuda parast wafaa e Ameer yaad rahe

Zamane bhar ko Nabi ka wazeer yaad rahe

Sajaya jaata hai masjid mein is liye mimbar

Namaziyo'n ko bhi Eid e Ghadeer yaad rahe

 


Baade ghadir waliullah ko pehchaan na to common sense hai,

Ali a.s. Ko chodke kisi aur aur aur ko maan na to non sense hai,

Nabi ne jo kaha tha kehde,tujh me kuch to sense hai,

Ali a.s. Ko jo maane, jannat me bas usiki entrance hai..

 

 

Jo kul hayaat mein ek raat mehve khwaab huwa,

Oosi ka nafs Mashiyyat ka intekhaab huwa,

Ghadeer e Khum mein jo odhey the maslehat ki rida,

Wo zulm Karbobala aake be-naqaab huwa.

 

 

Kaha badnaam e Saqifa kaha mai-khar e Ghadeer,

Kabhi donon ki tabiyat nahi milne wali.

Ya Nabi aaj hi kar dijiye ailaan e Ghadeer,

Aaj ke baad ye ulfat nahi milne wali.

 

 

Bugz e Ali mein jo bhi Saqifa, Shura kare,

Dozakh bhi aise log se bachne dua kare.

Sab kuchh sunaai deta hai 'Man Kunto' ke siwaa?

Tum sa na behra aur kisi ko Khuda kare.

 

 

Rab ne Ghadeer mein jise Maula bana diya,

Ummat ne baad mein usay chautha bana diya,

Anmol silaa deta hai hubbe Ali ka Rab,

Haider ke zacha-khaane ko Qibla bana diya.

 

 

Kahna Hai Mujh Ko Aaj Qaseeda Ghadeer Ka

Qudsi Wilaai Jaam Pilana Ghadeer Ka

Is Jaam Se Sambhalta Hai Ahle Wila Ka Dil

Ye Pi Ke Kab Bahakta Hai Banda Ghadeer Hai

Banda Wo Hai Jo Poora Kare Haqqe Bandagi

Shaamil Rahe Namaz Me Nashsha Ghadeer Ka

Nashsha To Tab Chadhega Jo Pi Loon Hazar Jaam

Ji Bhar Pila Ki Main Hoon Diwana Ghadeer Ka

Deewana e Ghadeer Hoon Dil Bhar Ke Peene De

Tab Ja Ke Likh Sakunga Tarana Ghadeer Ka

Aisa Tarana Jis Pe Malaaek Me Dhoom Ho

Ek Ek Lafz Me Ho Sarapa Ghadeer Ka

 

 

 

Takmil-E-Deen Naam Hay Jashn-E-Ghadeer Ka

Bheja Hay Taaj Rab Ne Nabi K Wazeer Ka

Aao Ali A.S K Chahne Walon Khushi Khushi

Yeh Jashan Ho Raha Hay Janab-E-Ameer Ka

Koi Ali A.S Ko Maula Kahay Koi Na Kahay

Yeh Masla Azal Say Hay Zarf-O-Zameer Ka

Humein Woh Likhte Hein Deewar-O-Dar Pe Aaj

Hay Jin K Dill Mein Zakham Abhi Tak Ghadeer Ka

Mushkil To Us K Qadmon Mein Khud Lotne Lagi

Jiss Ne Bhi Naam Le Liya Qambar K Peer Ka

 

 

 

Nabi Ke Baad To Rehbar Bana Dye Laikin

Kahin Ghadeer Sa Mimbar Mile To Le Aaao

Ali Ki Baat Bari Hai, Ali To Mola Hain

Jawab E Hazrat E Qambar Mile To Le Aao 



Ghadir e Khum Ke Jo Khilaaf Huwe Hai

Unhi Ke Yaha Teen Talaak Huwe Hai

Kabool Nahi Jinko Wilayat e Ali (as)

Dunya Me Wahi Log Halaak Huwe Hai


 MANQABAT EID E GHADEER 

Quraa'n ko uthaaye hain Quraa'n Ghadeer mein.

 

1. Allah ne banadiya mizaa'n Ghadeer mein

Naslo'n ki horahi hai pehchaa'n Ghadeer mein

 

2. Zul Ashr ka jo waada tha waada wafa hua

Man kunto ka jo hogaya Ailaa'n Ghadeer mein

 

3. Wirse ki aarzoo thi bohat beti ke ewaz

roundhe gaye hain uske bhi Armaa'n Ghadeer Mein

 

4. Baqqin to shaiq l.a ji bhi wahan keh chuke magar

Dil par gira hai unke bhi toofaa'n Ghadeer mein

 

5. Thi munkiraan e dee'n ki shinaqat bohat muhaal

Naam e Ali a.s ne kardiya Aasaa'n Ghadeer mein

 

6. Takmeel Aaj hogaya Islaam Dekhiye

Quraa'n ko uthaaye hain Quraa'n Ghadeer mein

 

7. Sab kar rahe the dawa e imaan us Ghadi

Par the sabhi ke raaz numayaa'n Ghadeer Mein

 

8. Douraan e raah rok kar hujjaj ko wahan

Allah ne parakh liya imaa'n Ghadeer Mein

 

9. Har jung ki tarah koi bhaage na isliye

Rakha gaya tha mimbare paalaa'n Ghadeer mein

 

10. Teri Mohabbato'n ka yeh Ahsaan hai Ali a.s 

Har saal badh raha hai jo Irfaa'n Ghadeer mein

 

11. Ye Maa ki taharat ka Asar bol raha hai

Kyun mai na apni Maa pe hun khurbaa'n Ghadeer mein

 

12. Jo maangna hai maanglo Rahmat ki hai ghadi

Khush hai bohat jo Qaliq o Yazdaa'n Ghadeer mein

 

13. Khushiyaa'n Ghadeer ki Meri Dobala hoyegi

parda hata do Aaqri sultaa'n Ghadeer Mein

 

14. Parwardigaar isko to aabaad o shaad rakh

karta hai teri hamd sana khwaa'n Ghadeer mein

 

15. Jhutla diya hai jisne bhi farmaan e Mustafa saww

Har us bashar ka hogaya nuqsaa'n Ghadeer Mein

 

16. Ab Kya koi mitayega Moula ke zikr ko

Allah Ban gaya hai nigahbaa'n Ghadeer Mein

 

17. Dikh jaayega Nazaara hamein Qum ka bil yaqee'n

Aajaye jon'hi hujjate Douraa'n Ghadeer Mein

 

18. Fatwe laga raha hai aza e Hussain Par

lagta hai tu tha chaak girebaa'n Ghadeer Mein

 

19. Zikre Abu Turaab a.s se  Mirza ne bazm me

Momin ke Dil ko kardiya shadaa'n Ghadeer mein

 

 

 

Aelan Ye Sunado Payambar Ghadeer Me

Maula He Sabka Aaj Se Haidar Ghadeer Me

Ballig Ne Aa Ke Kardiya Jab Deen Mukammal

Baatil Ke Dil Pe Chal Gaya Khanjar Ghadeer Me

Mankunto Maula Jo Kaha Mimbar Se Rasul Ne

Kuch Laug Jal Gaye The Sunkar Ghadeer Me

Hontho Pe Han Thi Dil Me Tha Hasad Bhara Hua

Mayusiyo Tha Khub Manzar Ghadeer Me

Jalti Zamin Pe Jalta Tha Dil Bugze Ali Me

Mansube Fail Ho Gaye Aakar Ghadeer Me

Haris Ne Jab Ikar Kiya Hukme Khuda Ka

Bankar Azaab Aa Gaya Patthar Ghadeer Me

Malte The Hath Sare Munafiq Ye Jaan Kar

Haidar Bane Hai Deen Ke Rahbar Ghadeer Me

Aelan E Wilayat Ko Na Bhule Koi Ahmad

Ye Soch Kar Banaya Tha Mimbar Ghadeer Me

Ban Kar Sawaar E Dosh E Risalat Ghadeer Me

Pehna Ali Ne Taaj E Wilayat Ghadeer Me

Dast E Rasool E Paak Pe Quraan Ki Tarah

Parwaan Chadh Rahi Hai Imamat Ghadeer Me

Pakiza Nafs Jo The, Wo Khush Ho Ke Jhoom Uthe

Or Tilmila Rahi Thi Najasat Ghadeer Me

 

  

 

MILA HAI ISHQ E HAIDER HUM GHULAMON KO MUQADDAR SE

YE GAUHAR HAATH AATA HAI, WILAYAT K SAMANDAR SE

 

WILA KA JAAM PEENE KHUM KE MAIKHANE MEIN AAYE HAIN

HUMEIN SAIRAAB KAR SAQI, SHARAAB E HUBB E HAIDAR SE

 

NABI HAIN BAR SAR E MIMBAR, ALI HAIN UNKE HAATHON PAR

JHULASTE HAIN KAI SEENE, GHADEER E KHUM K MANZAR SE

 

BULANDI SAHIB E MERAJ K HAATHON SE PAAYI HAI

TO HAI AB PAST YE SAARA ZAMANA PAYE HAIDER SE

 

MAQAAM E BANDAGI MEIN MOJIZA YE BUS ALI KA HAI

HUI HAI IBTEDA AUR INTEHA ALLAH KE GHAR SE

 

HUM APNI BAZM MEIN KYUN TAZKIRA UNKA KAREN AAKHIR

NIKAALE JAAYEN JO AFRAAD KHUD BAZM E PAYAMBAR SE

 

NA JAANE KITNE GUMRAAHON NE HAQ KI RAAH PAAYI HAI

KABHI AKHLAAQ E HAIDER SE, KABHI ZAHRA KI CHADAR SE

 

BACHANA HUMKO UNKI PAIRAWI K SHAR SE AYE MALIK

WO REHBAR KHUD NA HON MEHFOOZ JO SHAITAAN K SHAR SE

 

IDHAR SABIT QADAM HAIDER, UDHAR FARRARIYAT SABIT

KABHI BHAAGE UHAD SE AUR KABHI DAUDE HAIN KHAIBAR SE

 

UDHAR ELAAN APNI JAHILIYAT KA HUA AKSAR

IDHAR DAWA SALOONI KA HUA BALAAYE MIMBAR SE

 

SABAQ US MUNKIR E AWWAL SE SEEKHO AYE MUSALMANON

ALI KE BUGHZ KI JISNE SAZA PAAYI HAI PATTHAR SE

 

SHAB E HIJRAT ALI NE KAR LIYA KAISA HASEEN SAUDA

KHAREEDA MARZI E MABOOD PAIGHUMBAR K BISTAR SE

 

TERE KHUD SAAKHTA REHBAR MUBARAK HON TUJHE WAEZ

NABI K JANASHEEN HAIDER HUE HAIN HUKM E DAWAR SE

 

MILE GA AJR SAJID ROZ E MEHSHAR IS QASEEDE KA

KARENGE JAB ALI SAIRAAB HUMKO HAUZ E KAUSAR SE.

 

 

 

Bugz e Ali mein jo bhi Saqifa, Shura kare,

Dozakh bhi aise log se bachne ki Dua kare,

 

Sab kuchh sunaai deta hai ‘Man Kunto’ ke siwaa?,

Tum sa na behra aur kisi ko Khuda kare,

 

Aata isi bahaane hai lab par Ali ka naam,

Allah har qadam mujhe thhokar lagaa kare,

 

Aisi shadiid dhoop mein paigaam talkh hai,

Jalte hain paao’n saath mein dil bhi jalaa kare,

 

Sajde ko uske dekh ke hota hai itminaan,

Banda hai wo to warna sajda kyun Khuda kare,

 

Naam e Ali pe karta hai Allah sab qubool,

Chaahe azaab ke liye Haaris Dua kare,

 

Jisko Ali ke baap ke kalme ki fikr hai,

Pehle wo apne baap ka jaa kar pata kare,

 

Kehtein hain wo ke maani hai Maula ke dosti,

Ailaan e dosti ka hukm kyu’n Khuda kare?,

 

Aur aise dost pe to meri jaa’n nisaar ho,

Tableegh e Risaalat ko jo kaamil-shuda kare,

 

Hai shab ye Wilaayat ki lagaa Haideri naara,

Aisi ibaadato’n ko bhala kyon qaza kare,

 

Duniya o Akherat mein hai Mushkil Kusha yahi,

Kyu’n phir ‘Salim’ dusro’n se iltija kare.

 

 

 

EK TO SHIDDAT DHOOP ME THI DUSRI ELAAN MEN

DONO RUKH SE JAL GAYE KUCH LOG REGISTAAN MEN

 

TUMNE ITNI DER KARDI NOOR KI PAHCHAAN MEN

DHOOP UTAR KE AA GAYI DEEWAR SE DALAAN MEN

 

SHUKR BHEJO KUL MA'AANI KUL E EEMAAN DE GAYA

WARNA KYA THA PANNCH HARFON SE BANE EEMAN MEN

 

KOI RISHTA HI NA THA TAHREER SE SHAMSHEER KA

KISNE NA MUMKIN KO MUMKIN KAR DIYA EK AAN MEN

 

LAFATAH ILLAH ALI  LA SAIF ILLAH ZULFEQAAR

YE QALAM NE TEGH PE LIKHA ALI as KI SHAAN MEN

 

RAAT BHAR JAGA KIYE DUSHMAN ALI as SOTE RAHE

KIS QADAR BECHAINIYAN HAIN EK ITMINAAN MEN

 

AYE MUSALMANO NABI sws SE APNI ANKHE PHER LO

AYE HAIN JALWA KHUDA KA DEKH KAR INSAAN MEN

 

ZINDAGI CHAHO TO MAR JAO ALI as KE NAAM PAR

FAIDA HI FAIDA HOTA HAI IS NUKHSAAN MEN

 

AYE HASAN US SHAYERON PE BHI KHUDA LANAT KARE

EK MISRA JO NA LIKH PAYE ALI as KI SHAAN MEN

 

 

 

Kuch is tarah se yeh ibadat ko aam kertay hain

Sujood unki gali mein qayam kertay hain

 

Kaha Khuda ne Ali se bana kay jannat ko

Isay bhi Hum teray bachon kay naam kertay hain

 

Kaha Gadeer per Khaliq ne Mustafa se kay Hum

Ali kay zikar pe naimat tamam kertay hain

 

Tumharay han jo imamon se kaam ho na saka

Hamaray han woh Ali kay ghulam kertay hain

 

 

 

 

Sabhi kay Maula banay hain Ali Gadeer kay din

Khuda kay Deen ko mili zindagi Gadeer kay din

 

Sawad-e-kufr ka sara tilisam toot gaya 

Jahan mein phel gai roshni Gadeer kay din

 

Isi liye tou manatay hain Eid ahl-e-wila

Hui Rasool kay ghar mein khushi Gadeer kay din

 

Hain masnad-e-Sheh-e-Bat’ha kay Murtaza waris

Yeh sab kay dil per haqeeqat khuli Gadeer kay din

 

Jo sadq-e-dil se karein mustajab hoti hey 

Dua kabhi na koi rad hui Gadeer kay din

 

Ali kay paaon se jis dam lipat gai aa ker

Falak maqam hui zindagi Gadeer kay din

 

Ali banay hain Maula tamam aalam kay

Jahan mein noor ki mehfil saji Gadeer kay din

 

Woh log kitnay muqaddar kay dhani thay jinhein

Wila-e-Aal ki daulat mili Gadeer kay din

 

عید سعید غدیر و ولایت و امامت مولیٰ علی علیہ السّلام کی مبارکباد۔💐

۔۔الحمدللہ الذی جعلنا من المتمسکین بولایت علی بن ابیطالب (علیہ السلام)


الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ وَأَتْمَمْتُ عَلَيْكُمْ نِعْمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ الْإِسْلَامَ دِينًا

“This day have I perfected your religion for you, completed My favor upon you, and have chosen for you Islam as your religion

 [Al Quran Chapter.5 Verse.3]



 اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

5 comments: