1) Best Two Lines Ashaar Janabe Fatema Zahra (sa)
Jaha Hota Hai Tere Katilo Ka Tazkerah Zahra (sa)
Tabarre Ke Liye Hum Ko Lahu Majbur Karta Hai !
Is baat par Khuda ki tarah se yaqeen hai,
Dil Fatima ka jisne dukhaya laeen hai.
Haqqe zahra (s)ke mukhalif se mohabbat main karun
Mujhko to Bar Umar Lanat mein maza aata hai
Zehra (s)ka ghar jalaya tha jis laanati ne aag se ,
Showlo me uske jal gaya khaimaa husain (a) kaa.
Dawa To bahut Hai Tere Ishq E Rasul (saw) Ke,
Firr Kyu Tujhe Pasand Hai Katil Butool (sa) Ke.
Zehra (s.a.) ke dushmano ke muqaddar se khauf khaa,
Dozakh bhi unke jurm ki poori sazaa nahi .
Wo kitney badnaseeb hain jinke wajood per
Karti rahi BATOOL(sa) shikayet Namaaz mein.
Bughz_ZEHRA (s) K Sath Na Kiya Kar Naaz Apni Ibaadaton Per.
Mehshar Mein Hazaar SAJDON Ko Kha Jaaye Gi Aik Shikayat BATOOL (S.A) Ki..
Jis Jism Pe Adawate Zahra (sa) Ki Khaaq Hai,
Bas Samjho Wo Shaheed Bhi Ho To Halaaq Hai.
Mai kayse mustufaa ka use jaanashin kahu,
Jin kafiro ne Fatema s.a. ka ghar jala diya.
Ham Khush Hai Kisi Se Toh Faqat Zahra Ki (sa) Khushi Pe
Jis Jis Pe Sayyada Naraaz Hai Laanat Hai Usi Pe !
2) EID E ZAHRA (SA) KI MUNASEBAT SE ASHAAR
Eid e Zahra (sa) Manane Aaya Hu,
Apnaa Emaan Sajaane Aaya Hu,
Jis Ne Zahra (sa) Ka Ghar Jalaya Tha.
Uska Putlaa Jalaane Aaya Hu.
Khila khila huwa har hussaini chehra hai,
murjhaya huwa har ek yazidi shajra hai,
bint e zehra aaj fir muskurayi hai,
khusyan manao k aaj eid e zehra hai.
Gulshan me bahar jaise kya lout ayi he,
Abhi mukhtar nay khabar kuch aisi sunai he,
Khilkhilao kya aaj eid hai tumhari husinio,
Bint e zahra bhi aaj phir se muskurai hai.
Eid e Zehra ki khushi main aur izaafa ho jaaye
Ab jald se zuhor e Imam e Zamaan ho jaye
Hum bhi muskuraye misle Sajjad aaj se
Daur e haazir ke Umar ka khatama ho jaaye
68 dinon tak un ke masaib pe roey hain
woh aaj kush huay to zamanay kee eid hai
yarab na mominon ki kushi ko nazar lagey
zehra (s.a) ke sogwar gharaney ki eid hey
Sajjad (a) Ki Muskan se Lagta Hai Iss Tarah
Hastey Hue Quran Ki Deed Hogayi
Dekho toh Karam Kaisa ye Hum pe Hua Hai
Aabid Muskuraye to Humari Eid Hogayi
Do maah gam e Shah main hum ashk bahate hai
Apni mohabbat ka ye rukh bhi dikhate hai
Aik pal thama gam jo sayyad e sajjad ka
Us aaik tabassum ka hum jashn manate
Kuch log keh rahe hain fazilat ki raat hai
Kuch keh rahe khoobi e qismat ki raat hai
Sab ne sahi kaha hai magar apne wastey
ZAHRA ke dushmano se bara'at ki raat hai
3) TABARRAH ASHAAR (B.U.L.B.)
Sochiye To Gaur Kijiye Gaur karne Ki Hai Baat,
Parde Me Hai Isliye Kyu Qatile Zahra (sa) Ka Naam,
Maslehat Kya Hai Kisi ke Ye Wahi Jaane Fakat,
Ilm Me Sabke Magar Hai Qatile Zahra (sa) Ka Naam,
Ye Rawa Daarane Millat Kya Batayenge Tumhe,
Mai Bataa Hu Umar Hai Katile Zahra Ka Naam.
Sharafato Ka Libaada Udhaa Nahi Sakte,
Zaleel Logo Ko Izzat Dila Nahi Sakte,
Jise Nazro Se giraan De Rasool Ki Beti,
Crane Laake Bhi Usko Utha Nahi Sakte.
Zahra (sa) Ki Manqabat Me Hamesha Rahe Khayal,
Lafzo Me Saadgi Ho Zyada Hunar Na Ho,
Peshe Khuda Kalam Mera moatabar Na Ho,
Zahra (sa) Ke Katilo Pe Tabarra Agar Na Ho,
Quraan Kehraha Hai Ke Batil Hai Saara Deen
Sarwar Ki Laadli Se Mawaddat Kiye Baghair
Paani Ki Ek Boond Bhi Pina Haram
Zahra (sa) Ke Dushmano Pe Tabarrah Kiye Baghair.
Har taraf Guftugu Khushi ki hai.
Woh jo tha Khaak, Aaj Khaak hua.
Jisne Haq Fatema ka Chheena tha.
Aaj Mardood woh Halaak hua.
Zahra (sa) Ke Katilo Pe Tabarrah Kiye Bagair,
Jannat Koi Na Jayega Aisa Kiye Bagair.
Deta Hai Bhik Aaj Bhi Zahra (sa) Ka Khandaan
Insaan Ke Zamir Ko Ruswa Kiye Bagair.
Janab Hilal Naqvi Sahab
Jannat Ka Shahzada Pisar Fatema (sa) Ka Hai
Kahte Hai Khuld Jis Ko Wo Ghar Fatema (sa) Ka Hai
Baghe Fedak (khums) Ko Lutne Wale Ye Jaan Le
Parde Me Jo Hai Noor e Nazar Fatema (sa) Ka Hai.
Dr. Ifham Sahab
Saañs hai Zehra ke Adoo ke liye Laanat.
Laanat ki Alag se kabhi Zehmat nahin karte.
Zehra Ke Sitamgar pe Khuda karta hai Laanat.
Tum kaise Musalmaan ho Laanat nahin karte.
Ho tou jaoon mein Musalman magar ek gham hey
Ho na jaoon kahin rastay ko bhulanay walau
Sun Bhi rakha hey, kitabon mein perha hey mein nay
Ek Musalman tha Zahra (sa) ko rulanay wala.
🖊️ Hindu poet Gopinath Shb
Kis Balandi Pe Tasadduq Hai Tera Aye Zehra (sa),
Sar Farishton Ke Tere Dar Pa Jhuka Karte Hain.
Teri Tasbeeh Ke Dano Ka Sahara Lekar,
Mashvere Log Mashiyat Se Liya Karte Hain.
Tum Ettehaad Badhaaney Ki Baat Karte Ho,
Nadi Me Aag Lagaane ki Baat karte Ho,
Jise Husain Ki maadar s.a. Na Den Jawab e Salam,
Tum Unse Haath Milane Ki Baat Kartey Ho.
Iska Emkan Ho Nahen Sakta
Kufr, Iman Ho nahen Sakta
Jise Zahra(sa) Na de Jawabe Salam
Wo Musalman, Ho nahen Sakta
(Fanoos Barwani)
Ye Musalman To Bas Hai Fakat Zinda Laashe,
Har Azaadar Ko Zahra (sa) Ki Dua Kehte Hai.
Apni Janib Se Tabarrah Nahi Karte Hum Log,
Jinko Zahra (as) Ne Kaha Unko Bura Kehte Hai.
Janaze ittehadiyo ke abb nikalte hai,
Jo Dushmano ko kehrahe hai bade Bhaai hai.
Hasan tum bhejte raho Umar per laanat,
Fatima (s) khush hai usise Jo Tabarrayi hai.
Mehshar
mai mureedo se kuch Ustad kahenge,
Hum khud hain pareshaan tumhe apni padi hai,
Jaaye to kahan jaaye ke Haq chheena tha jiska,
Darwazaye jannat pa wahi Bibi Khadi hai.
Wo Dubb Jaate Hai Farzande Nuh Ki surat
Safine Chalte Hai Jinke Hawa Ki Marzi Se
Banaa Lo Tum Razi Allah Jisko Chahe Magar
Najaat Hogi Fakat Sayyada (sa) Ki Marzi Se.
Maqaam e fakhr yehi hai usool Raazi ho,
Wo khush-naseeb hai jis se Rasool (saw) Raazi ho,
Jise jise kaho maanunga main Raziallah,
Magar ye shart hai pehle Batool (sa) Raazi ho.
Har dushman-e-Zehra se adawat hey zaroori
Ho baat aqeeday ki tou socha nahi kertay
Bay-saakhta honton se nikal jati hey lanat
Hum log tabarray ka irada nahi kertay.
Nuzoole Ayat e Tatheer Ke Misdaq Ahlebait (as),
Aur Ayse Taahiro Me markaze Tatheer Hai Zahra (sa)
Tere Aada Ke Naam Unpar Fakat Tahrir Hai Zahra (sa)
Mere Tarkash Me Jitne Lanato ke teer Hai Zahra (sa)
Jo Dushmane Zahra (sa) Pe Tabarrah Nahi Karte,
Wo Log Bura Karte Hai Achcha Nahi Karte,
Matam Nahi Chodenge Na Chodenge Tabarrah,
Hum Log Azadaar Hai Dhoka Nahi Karte.
Ham Hazrate Sadiq (as) ke usulo pa chale hain
Izhare adawat ka salika nahi chora
Jab tak na kiya qatile Zahra (sa) pa tabarra
Abbas kabhi ham ne musalla nahi chora
Dukhtar Kushi Ke Desh Me Beti Ka Ehtaraam,
Tune Hi Iss Riwaaj Ko Dhaala Hai Fatema,
Mai Un Bhikariyo Ko Gani Kiss Tarah Kahu,
Jo Log KhaaGaye Tere Baagaat Fatema (sa).
Tum ne nabi s.a. ke pehlu me usko sulaa diya,
Jis ne nabi s.a. ko paala wo kafir hai aaj tak,
Shabbir ke katilo ko musalman bana diya,
Mai kayse mustufaa ka use jaanashin kahu,
Jin kafiro ne fatema s.a. ka ghar jala diya
Misle
fadak jo maal udaaa jaaye ghair kaa,
Aise Haramzaado ka hai Devta Umar.
CHANCHAL
udu-e-FATEMA ZEHRA (s.a.) yahi to hai.
Awwal Umar, darmiyaan Umar, intehaa Umar.
Dua Hai Itni Ki Raazi Hon Fatima Zahra
Wila e Aal e Mohammad Me Aisa Kaam Karun
Khudaya Mujh Pe Kabhi Bhi Na Aisa Waqt Aaye
Ki Main Bhi Dushman e Zahra Ka Ehteraam Karun.
Kar Lijiye Tilaawat e Qur'aan Ka Ehtemaam,
Tab Jaake Naam e Maadar e Hasnain Lijiye,
Zahra Ke Qaatilon Pe Tabarra Kare Na Jo,
Zahra Ke Qaatilon Me Shumaar Uska Kijiye
Mohammad (saw) ke Gulami Me Itaat Bahut Zaroori Hai,
Mohammed (saw) Ke Sahaba Ki Mohabbat Bhi Zaroori Hai,
Chahiye Agar Shifaat Maidaane Mehshar Me Mohammed (saw) Ki,
Janabe Fatema Zahra (sa) Ke Dushman Pe Laanat Bahut Zaroori Hai
Dushmane Aale Mohammad (as) To Hai Zinda Laashe,
Bas Ali (as) Waalo Ko Zahra (sa) Ki Dua Kehte Hai.
Apni Janib Se Tabarrah Nahi Karte Hum Log,
Jinko Zahra (as) Ne Kaha Unko Bura Kehte Hai.
Saamne Rakh Ke Riwaayat Ko Aqeeda Dekhna
Shaikh Mushkil Hoga Aaine Me Chehra Dekhna
Dushmanaan e Fatema Zahra Pe Laanat Main Ne Ki
Kya Pada Hai Apno Ke Dil Pe Bhi Ghoonsa, Dekhna
Ishke Ali ka jaam barabar piya karo
Mushkil pade toh naam Ali ka liya karo
Jannat main jaana chahte ho toh momino
Zahra ke dushmano pe tabarra kiya karo
Dhaaya Nabi Ki Beti Pe Ummat Ne Yun Sitam,
Turbat Pe Baap Ki Bhi Na Rone Diya Use,
Karte The Ehteraam Sada Jiska Mustafa,
Darbaar Me Laeeno Ne Ruswa Kiya Use.
Ummat ka syeda (sa) se rawaiyya ajeeb hai,
Darbaar me Bibi (s.a) ko satana ajeeb hai,
Un fasiqon ko kaise khalifa kaha gaya,
K jin ko musalman b kehna ajeeb hai.
Chhod Ke Baagh e Fidak Zahra Bhi Kartin Ittehaad,
Kah Ke Waaez Apni Teenat Ka Pata Dene Laga,
Aalim e Be Aql Ki Jur'at Zara Dekhe Koi,
Fatima Zahra Ko Bhi Ye Mashwera Dene Laga
Misle Qalam e Pak Hai Zikre Sayyeda (sa),
Hoshiyar Ek Lafz Idhar Se Udhar Na Ho.
Usko Mai Kaise Manu Wafadar e Fatema (sa),
Zikre Fidak Sune Jo Magar Kuch Asar Na Ho.
Agarcha farsh nashein thi falak bhi de deti
Ye bagh kia hai wo jannat talak bhi de deti
Samajh sakay na Musalmaan Binte Ahmed ko
Sawal kartay to Zehra Fedak bhi De Deti.
Markaze Anwaar se wabastagi miljaegi
Gar tujhe Zehra(sa) ke dar ki Noukri mil jaegi
Har Ebadat teri kar lega qubool rabbe qadeer
Inke Dushman se teri jab dushmani badh jaegi.
Koshish karo ke jaan lo Fikr-e-Rasool ko.
Paamaal kar rahe ho Haqeeqi Usool ko.
Gar 4 Betiyaa'n thi to Khaiber ke Maal se.
Kyun Khums mil raha tha Akeli Batool ko
Bhage the jang me chor apne rasul ko,
karte rahe wo tang bibi batul ko,
aaj unke haq me bolti hy is tarah zabaan,
laanat ho tum pe kehte ho tum khud ko musalman?
Dil kis tarah se mil sakta hai usse mera
Jisko haider ki adawat mein maza aata hai
Haqqe zahra s.a ke mukhalif se mohabbat main karu
Mujhko to bar umar lanat mein maza aata hai BULB😍
Haider ki adawat say jo beemar hain Maula,
Laanat ki dawa do jo subh o sham asar day.
Jis jis nay jalaya tha dar e Bint e Nabi ka,
Ta hashr laeenon ki lahad aag say bhar day.
Agar kisi dil mein bughz-e-Haider (a.s.) ki dhool hogi
To phir har aqeeday ki har ada be-usool ho gi
Agar kisi se baroz-e-mehshar khafa ho gi Nabi (SAW) ki Beti (a.s.)
To phir bahisht-e-baree`n ki khuahish fuzool hogi
Dar e Batool Se Utthe Hain Aag Ke Sholey
Nabi Ke Qarz Ko Ummat Ne Yun Utaara Hai
Nabi Ki Aal Me Mohsin Akela Hai Jisko
Jahan Me Aane Se Pahle Jahan Ne Maara Hai
Kar Lijiye Tilaawat e Qur'aan Ka Ehtemaam,
Tab Jaake Naam e Maadar e Hasnain Lijiye,
Zahra Ke Qaatilon Pe Tabarra Kare Na Jo,
Zahra Ke Qaatilon Me Shumaar Uska Kijiye
Meri koi bhi Ibadat na Mukammal hogi, Ho na Jab tak terey Dushman pe Tabarra Zahra
Tab kahi'n jaa ke Suku'n Faiz e Hazee'n Paayega,
Gaib se Aayega jab Aap ka Beta Zahra.
Bhar Bhar K Jaam Ulfat e Haider (A.S) Piya Karo
Aur Mushkil Paray Toa Naam Ali (A.S) Ka Liya Karo
Bhai Gar Chahtay Ho Kuld Mein Milay Uncha Muqaam
Toa Zehra (S.A) K Dushmanon Per Tabarra Kiya Karo.
Tum Agar Chahte Ho Aaye Areeze Ka Jawab
Wo Jo Aajaye Pasand Unko Kuch Aisa Likkho
Qatile Binte Payambar Pa Tabarra Karke
Warise Fatema Zehra Ko Areeza Likkho
Teri Mazloomi Nabi Ki Laadli
Jis Pe Qurbaa'n Jaan Aur Tan Ho Gaye
Tere Dushman Pe Tabarra Kya Kiya
Mere Apne Mere Dushman Ho Gaye
Ye anaaj ye paani jo bhi milta hai humko
Shahzadi kaunen ka sab rizke aam hai
Batool ka namak khane walo yeh sun lo
Tabarrah kiye bagair ise khaana haram hai
Ya ahlebayt a.s dil ke chaman mein basaaiye,
ya hajjebayt a.s ke lie tum jana chhorhdo??
Ya sayyada s.a ke dar pe jhuka dijie apna sar,
ya fatima zahra s.a ka namak khana chhorhdo.??
Ali Ki Zaat Pe Jisne Bharosa Kar Liya Mufti
Kabhi Usne Kisi Bhi Kaam Ko Mushkil Nahi Samjha
Tere Is Ittehaadi Zehn Pe Laanat Ho Aye Waaez
Ki Toone Qaatil e Zahra Ko Bhi Qaatil Nahi Samjha
Ittehaad e Haq o batil ke liye hai koshaañ
Deeñ ke Qanoon se yuñ khel raha hai koi
Jin ko Zahra (sa) ne janaze me bhi aane na diya
Un ko seene se lagaane pe tula hai koi
MAINE TAQDEER SE PAAKIZAH NASAB PAAYA HAY
ISLIYE ISHQ E ALI, KHOON ME RANG LAAYA HAY
UMR BHAR, DUSHMAN E ZAHRA PAR KARUNGA LA'ANAT
KYUNKI MAINE BHI KHADIJA KA NAMAK KHAYA HAY.
Ham
Haq Baat Kehne ke Aadi Hai,
Fakat Zehra(sa) Hi NabiZaadi Hai,
Jalaya Batool(sa) Ka Dar Jisne,
Woh Sabse Pehla AatankWaadi Hai.
Khushnudiye BATOOL ka kuch bhi nahi khayaal,
Socho to apne baare me kitne zaleel ho,
Kahte ho naam leke Tabarra na kijiye,
Tum FATEMA ke ho ya Umar ke wakeel ho.
Jo
dushmane Zehra hai wo Rasul ka dost kaise banega,
Jo fatima se rakhay mawadat dozakh bhi use na
jala sakega,
Jo Risalat pe shaq or hizyan kahe fir wo kaise
wasi banega
Jo inke ghar ko jalanay aye wo kaise jannat me
ja sakega.
Jinho'n ne Fatema Zehra ka ghar jalaya tha
Unhin ko aa ke wo suli chadhane wale hain
Zahoor karte hi ja kar Baqee' me Maula
Mazaar e Fatema Zahra (sa) banane wale hai
Jalayega Jo Bhi Dile Dukhtar e Khairul Anaam,
Jahannum Ispe Wajib Hai Ye Rasul Ka Hai paigham,
Baghe Fedak Ka Chorr Ho Ya Choro Ka Saathi,
Har Dushman e Butool Pe Lanat Ho Subho Shaam.
Zehne nabi (saws) par shak jo kare be samhjhe bak bak jo kare
Who khud hai zehni beemar us par laanat beshumaar
Zaalim ghaasib aur shaatir teeno ke teeno kaafir
Jinse zehra (sa) ho bezaar us par laanat beshumaar
Jab Dushman-e-Zehra s.a Ka Zikir Aata Hai TaaSeeR,
"La'anat" Ka LAfz Dil Mein Machalta
Hai Baar BAar.
Main Jis Qadar Labon Pe
LAgata Hoon Hadd-e-Zabt,
Us Se Ziyada Moon Se Nikalta Ha "Beshumaar"
Har Dushmane Batul (sa) Ka Shar Pe Hai Khatema,
Uske Nasib Me Hai Sare Hashr Hatema,
Mehshar Talak Bhatak Ti Bas Uski Aatema,
Jis Jis Pe Bhi Hoti Hai Naraaz Fatema (sa),
Tazkira Fatima Zahra Ka Zara Ho Jay
Kia Haqiqat Hai Zamany Ko Bayan Ho Jay
Us Se Allah-o-Nabi Ho Nahi Sakty Razi
Jis Se Shahzadi-e-Konain Khafa Ho Jay
Iss Baat Pe Jhagda Karna Fuzul Hai,
Waris Fedak Ki Wo hai Jo Binte Rasul (saw) Hai,
Chehra Ghasibo Ka Dikhana Tha Bas Hame,
Warna Fedak To Batool Ke Kadmo Ki Dhool Hai.
Ya Rab Mere Har Lafz Tu Shola Banaday,
Jo Munqire Zahra (sa) Ke Kaleje Ko Jaladay,
Wo Lanati Hai Jisse Raazi Nahi Zahra (sa),
Lakh Usko Zamana Razi Allah Banday.
zehra (sa) ka bugz jou rakah huwa hai seenay
main,
Tere liye nahi rakha hai kuch madina main,
Tu lanati hai sada se batool (sa) ke dushman,
Tu mar he ja kuch nahi faida hai jenay main.
Dhunda kare madine ki galiyo me raat din,
kyu kar unhe rasul s.a. Ka jalwa dikhai de,
kaise rahenge apni lahed me bhala rasul s.a.
Pahlu me gar kaatile zehra s.a. Dikhai de.
Jahil ko kabhi aalime quraan
nahi kehtey
gaasib ko kabhi deen ka sultan nahi
kehte Haji ho
namazi ho mulla ho ya mufti ho Ham dushmane zehra (s.a)ko muslmaan nahi kehtey
Jo bhi namaz padhta hai behubbe Ali (a) bagair,
Wo karraha hai maa ki shiqayat namaz me.
Wo kitne badnasib the jinke wujud per,
Karti rahi Batool (s) bhi lanat namaz me.
Kuch zikr ek roz amir gareeb ka tha
Salman e farsi se mustufa (saws) ne kaha
Dushman na hota gar koi jauza e murtuza (a.s) ka
Karta kabhi na khalq jahannam ko phir khuda
Nabi ke baad ye sab kha gaye udham ker key
khyaal ye tha ki aytheen ge ab sitam ker ke
bada ehsaan kiya tune aye khanjar e
firoz
nikaala baagh e fidak postmortom kerke
Ho tau Jaao Mai Musalman Mager ek gham hai:
Ho na jaon kahin rastay ko bhulanay wala.
Sun bhi rakha hai, kitabon main perha hai mäin ne.
Ek musalman tha Zehra (S.A) ko rulanay wala
Ali Wali (A.S) Se Jo Dushmani Hai Toa Jaltay Kurtay Hayat Kato
Tumhein Muyasir Nahi Sakoon Se Lehad Mein Tum Ek Raat Kato
Jo Roz e Mehshar Saza Milay Gi Jab Apnay Apnay Buray Aamal Ki
Nida Yeh Aaye Gi Sab Se Pehlay Fidak K Choron K Hath Kato.
Kya Dushmani Hai Tujhko Ali Or Husain Se,
Behtar Hai Apna Khoon Ka Checkup Karake Dekh.
Mehshar Me Fatema Tujhe Kardengi Surkhuruh,
Ghasib Fedak Ke Chor Pe Lanat Lagake Dekh.
Arey o baghey Fidak chheen k khanay walon,
Dono aalam men na tum logon ka ghata hota;
Bheek men BINT E NABI (S.A) tum ko Fidak de deteen,
Haath phela ke jo tehzeeb se maanga hota.
Bhaga muqablay se jo medan chhor kar,
us ka khuda k sher (a.s) ne peechha nahi kiya,
gar mang letay bheek mein day deti khud batool (s.a),
tum ne fidak ko chheen kar achha nahi kiya
Padhti Namaz Muh Pe Hai Firte Hai Unke Muh,
Tujh Pe Jo Bhejte Nahi Salwat Fatema (sa),
Mai Un Bhikariyon Ko Ghani Kis Tarah Kahu,
Jo Log Khaagaye Tere Baghaat Fatema (sa).
Khaya Jinho Ne Cheen Ke Binte Nabi (saw) Ka Haq,
Un Ghasibo Ko Kaise Bhala Mai Gani Kahu...
Bage Fidak Ko Cheen Ne Waale Ko Dahr Me,
Koi Khata Nahi Hai Agar Lanati Kahu..
Wafa jo rasool (saw) se kargaye hote,
Ali (a.s.) Ko maula (a.s.) Samjhte to sudhargaye
hote,
Na
ghar batool (s.a.) Ka jalta na karbala hoti,
Agar ye teeno bachpan me hi margae hote
Maana murtad hai ye Rushdie aur Taslima magar,
Ab kaho "Hizyaan" pe kya raye honi chahiye,
Ay musalmano Babri masjid ke gham se peshtar,
Rauza e Baqi(zehra s.a.) ka gham tum ko mamana chahiye.
Is baat ki gawah hai turbat butool ki
Naaraz kalmagoh se hai beti rasool (s.a.w.s) ki
Iqbaal jisse raazi nahi binte mustufa (s.a.w.s)
Us kalmagoh ne saari ibaadat fuzool ki
Nigraaniye Imam a.s. me hona hai ek kaam,
Achchaa hai waqt khwab ki taabir ke liye,
Mehshar me tujh ko surkhuru kardegi Fatema s.a.,
Uthh jannatul Baqi ki tu taameer ke liye.
Zahra (sa) Ke Katilo Pe Tabarrah Kiye Bagair,
Jannat Koi Na Jayega Aisa Kiye Bagair.
Haq Maangna Bhi Hukm e Khuda Bhi Ke Fatema (sa),
Khamosh Kaise Rahti Taqaza Kiye Bagair.
Khush Na Hum Se Dushman e Haider (A.S) Huwa Achha Huwa
Dushman e Haider (A.S) Ka Hum Se Dil Jala Achha Huwa
Ho Gaya Nazdeek Mujh Se Rab Meray Ae Dosto
Fatima (S.A) K Dushmanon Se Fasla Achha Huwa.
Ali k maanne
wala aqeel hota hai
Haqooq e binte nabi ka waqeel hota hai
Aray zameen say ooncha fizaoon mein bi chala jay
Wahan bhi dushman e zahra s.a zaleel hota hai
Aise muqassiroñ se aqeede
bachayeñge
Bachchoñ ko ibteda se Tabarra sikhayeñge
Marge yazeed (la)
ho ke ho roze naveeñ janab !
Ahle wila to teenoñ ke putle jalayenge
Zillat hui hai jin ki sar e aam bazm me
Kya phir wo Ittehad ka PARCHAM uthayenge?
Zahra ke qatilon se milaya hai jis ne hath
Ham unke Ittehad ka khaima jalaenge
Ye kah ke ham ne khoon bahaya HUSSAIN par
Fatwe lagane waale to fatwe lagayenge
AADIL Imam e ASR ke hamraah aik din
Marge yazeed sare Hussainy manayenge
Tum Se Tumaray Haq May Jo Magay Koi Gawah
Na-Qabil-E-Mafi-E-Jasarat Hai Fatima (as)
Jo Tera Ghar Jala'ay Jahanum May Wo Jalay
Us Nay Kia Khuda Se Baghawat Hai Fatima (as)
Jo Tum Se Bugz Rakhay Wo Hai Dushman-E-Khuda
Hasil Tumhe Ko Izn-E-Shefa'at Hai Fatima (as).
Mere Kisi Bhi Lafz Ko Izzat Nahi Mili,
Jab Tak Ke Fatema (sa) Ki Ijazat Nahi Mili,
Zahra (sa) Ki Sukhi Roti Ne Dare Khaiber Uthaa Liya,
Biryani Khaake Shaikh Ko Taqat Nahi Mili,
Malik Makaan Ne Aysa Nikala Makan Se,
Laat O Hubal Ko Tauba Ki Mohlat Nahi Mili,
Itne Gunehgaar The Haider (as) Ke Anti,
Shaafi Ke Paas Rehke Shifaat Nahi Mili,
Har TV Per Ye News Hai Maidane Hashr Me,
Zahra (sa) Ke Dushmano Ko Zamanat Nahi Mili,
Karta Mai Kyu Fulan Ka Fulan Ka Fulan Ka Zikr,
Madhe Abuturab Se Fursat Nahi Mili.
Dua e malak hai dare sayyada (s) per,
Salamat rahe rotiya dene wale.
Fedak to imame zamana hi lenge
Arey log ayse kaha denewale.
Sahaba kaha aur kaha aale Ahmed (s)
Kaha lene wale kaha dene wale.
Uthaate nahi kyu Nabi (s) ka janaza,
Kahaa margaye betiya dene wale.
Jo gaar me saap ko dekh kr kapa hoga
Lagta h wo apne baap ka papa hoga
Jo zahra ka bagh e fidak kha gaye fahmi
Mahshar me uske ghar pe chhapa hoga
Wo Jo Bhage The Payamber Ka Janaza Chorrey,
Unko Zahra Ne Janaze Me Bulaane Nadiya,
Hum Ne Aise Pesar e Aam Pe Tabarrah Karke,
Unki Aulaad Ko Majlis Me Bhi Aane Nadiya.
Baroze hashr umar se jo saamna hoga,
Gatar ke paani me chappal duba ke maarenge (inshaAllah),
Zehen me ab bhi hai sholo'n ke beech darwaza,
Haraamzade ko kutta bana ke maarenge.
Jazakallah 🙏
ReplyDeleteMashallah moula salamaat rakhe sabko
ReplyDeleteThanks admin
ReplyDeleteMashAllah JazakAllah Mawla a.s. salamat rakhay aapko!
ReplyDeleteMashallah khuda slamt rkhe
ReplyDeleteAmazing Masha Allah
ReplyDeleteMashallah salamt raho
ReplyDeletemashallah mola slamat rakhhe
ReplyDeleteMashallah
ReplyDeleteMashallah
ReplyDeleteMashallah subhanallah bahot khoob jiyoooo
ReplyDeleteNajam Fareed
ReplyDeletePlease qasida 9 rabiawwal
ReplyDeleteEid e zehra
ReplyDeleteSADAF MIRZA.
ReplyDeleteMashallah maula slamat rakhe
ReplyDelete