Manqabat Imam e Zamana (afts)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم                     وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا                    






Imam e Asr [a.t.f.s] Ki Midhat Se Jin ko 'TENSION' Hai.
Zaroor Unka Abujahal Se 'CONNECTION' Hai.
Hamari Rooh Ko Milti Hai Taazgi Is Say.
Ye Intezaar Nahi Hai. . YE OXYGEN Hai.

Imam e Asr [a.t.f.s] Bhi Abbas [a.s] Jaise Lagte Hain.
Ye Sun Kay Kalb e Munafiq Main Vibration Hai.
Mare Jo Munkir E Ghaybat To Ye Malaq Bolay.
Chalo Tumhara Jahannam Main 'ADMISSION' Hai.

Janab e Sheikh Tumhe Khuld Mil Nahi Sakti.
Tumhare Naam Pe Zahra [s.a] Ko 'OBJECTION' Hai.
ALI [a.s] Se Bugz Hai Tum ko To Call Mat Karna.
Tumhara Phone MUHAMMAD [s.a.w.w] Se 'DISCONNECTION' Hai.

Baha Ke Khoon Gham e Shah Main Hum Batate Hain.
Hamara Karbobala Se 'BLOOD RELATION' Hai
Khuda Hi Jaane Kahan Pe Jayegi Ye Bugz Ki Rail.
Patri Ek Hai Par Teen Teen 'ENGINE' Hai.

Bulao Jang e Ohad Se Farrar Logon Ko.
Bhaagne Ka Olampic Main 'COMPETITION' Hai.



Baheriya Re Tanik Saath Liye Ja More Man Ka Sandeshwa,
Tarsat Hai Darshan Ko Kabse Hamri Pyaasi Najariya...

Darshan Tum Apna Karaao Ge Kab Tak,
Mukhda Tum Apna Dikhaao He Kab Tak,
Ankhiyo Ko Humri Rolaao He Kab Tak,
Talwaar Apni Uthaao He Kab Tak,
Dikhwa Do Jalwa Iss Tarha Aake,
Jaise Ali Ne Khaiber Me Jaake,
Dushman Ki Ulti Nagariyan Re.   Baheriya Rey....

Sewa Me Aaka Ki Karna Niwedan,
Kathin Sewako ka Tumhara Hai Jeevan
Mukhda Jo Dekhe To Mann Howe Parasann,
Aasha Ki Mahko Se Phool Uthe Upwan,
Jee Ko Santosh Mile Khoya Huwa Josh Mile,
Dushman Ki Todey Kamariyan Re.    Baheriya Re...

Andhkaar firlo Nabi Ke Sudhakar,
1400 Saalo Ka Badlo Lo Aakar,
Sare Yazido Ko Rakhdo Mitaa Kar,
Ban Kar Jo Firoun Le Tum Se Takkar,
Aysa Ek Waar Karo, Sab ko Finnar Karo,
Haadi Ki Lekar Talwariya Re.  Baheriya Re...

Darshan Ko Kab Se Taraste Hai Naina,
Sukhgaya Gaya Neend Gayi Aawe Na Chaina,
Jaake Huzur Ke Samit Yahi Kehna,
Sahebji Aane Me Deyr Nahi Karna,
Jee Ka Ye Haal Huwa Jeena Muhaal Huwa,
Kab Loge Hamri Khabariya Re.  Baheriya Re..

Itna Zarur Kaho Swami Sejaakar,
Hai Patrr Sewak Tumhari Daya Ke,
Shriddha Se Rakhhe Hai Hirday Sajaake,
Aao To Bhet Kare Charno Me Laake,
Raho Ko Tumhri Aisa Sajaade,
Laala Ke Apni Akhiyan Sajaa De,
Tumko Lage Hamri Umariya Re. Baheriya Re..


Hum Raah Dekhe Kaha Tak Tumhari,
Abb To Dukhan Laage Akhiyan Hamari,
Jaldi Mangaao Abb Aaka Sawari,
Tera Ameer Teri Deed Ka Bhikaari,
Abb Na Niraash Karo, Deed Ko Bardasht Karo,
Roz Ghate Hamri Umariya Re.  Baheriya Re...



Yakin Hai Mere Maula Tere Zahoor Ke Baad,
Zhuke Gi Kadmon Me Dunya Tere Zahoor Ke Baad. 
Furaat Cheeni Thi Gazi Ne Jiske Saaye Me,
Khulega Phir Wo Phareyra Tere Zahoor Ke Baad.

Jo Us Phareyre Ke Saaye Me Aayega Maula,
Bachega Bas Wo Kabila Tere Zahoor Ke Baad.
Har Ek Firqe Ka Daawa Hai Jannati Hum Hai,
Taamam Hoga Ye Jhagda Tere Zahoor Ke Baad.

Ye Faisla Hai Wohi Firqa Jannati Hoga,
Jo Tere Saath Rahega Tere Zahoor Ke Baad.
Munafeqin Bhi Kuch Momino Ke Bhes Me Hai,
Uthega Chehro Se Parda Tere Zahoor Ke Baad.

Dukan Khul Nahi Sakti Kisi Bhi Mufti Ki,
Tere Hi Hukm Chalega Tere Zahoor Ke Baad.
Buland Hota Tha Jo Mimbare  Saluni Se,
Sunenge Hum Bhi Wo Lahja Tere Zahoor Ke Baad.

Dilo Ke Haal Zabani Sunayenge Sablog,
Likhega Kaun Areeza Tere Zahoor Ke Baad




Mai Huwa Sajda Huwa Masjid Huwi Kaaba Huwa,
Har Koi Hai Aapke Deedar Ko Tarsa Huwa. 
Dekhta Rahta Hu Haato Ki Lakire Raat Din,
Aap Ka Deedar Ho Shayad Kahi Likhaa Huwa.

Aayiye Or Kum Be Izni Kahke Zinda Kijiye,
Muntazir Hu Zindagi Ki Qabr Me Soya Huwa.
Sunraha Hu Aayenge Abbas Bhi Saath Aapke,
Kabse Hai Mera Tasawwur Bas Yahi Tehra Huwa.

Ba E Bismillah Ke Nuqte Ki Ye Ghaibat Ke Sabab,
Aaj Tak Quraan Hai Tafseer Se Bhichda Huwa.
Mera To Qaayil Hai Lekin Qayile Ghaibat Nahi,
Dang Khud Shaitan Hai Ye Molvi Ko Kya Huwa.

Dekhna Baghe Fedak Ke Har Shajar Par Ek Din,
Ghasibe Haqqe Janabe Sayyada (sa) Likhaa Huwa.
Roz Kahta Hai Munafiq Din Guzar Jaane Ke Baad,
Aaj Bhi Shamsheer Se Mai Bachgaya Achcha Huwa



Chalega Adl Ka Sikka Zahoor Hone Do,
Zara Imam E Zamaan (afts) Ka Zahoor Hone Do.

Sajega Hazrate Abbas (as) Ka Jo Chat Pe Alam,
Khushi Se Jhumega Kaaba Imam e Haq Ki Kasam,
Karega Shukr Ka Sajda .. Zahoor Hone Do..

Ladenge Jis Me Alamdaar Saath Mahdi (afts) Ke,
To Zulfiqar Bahaye Gi Khoon Ki Dhaare,
Zarur Hoga Wo Hamla .. Zahoor Hone Do..

Bichega Khanaye Kaaba Me Farsh Matam Ka,
To Shore Matame Sheh Sunke Fhat Hijaayega,
Muqassiro Ka Kaleja.. Zahoor Hone Do..

Wilaa Ke Jo Bhi Hai Munkir Saza Wo Payenge,
Ali (as) Ke Bugz Me Dozakh Me Phenke Jaayenge,
Koi Bhi Bachna Sakega.. Zahoor Hone Do..

Sukoon Hai Ye Eram Or Ye Khushi Humko,
Na Rok Payegi Aale Saud Bhi Hamko,
Banega Rauza e Zahra (sa) ... Zahoor Hone Do..




Kashkol Me Beshaq Mere Koi Bhi Sikka Nahi,
Muntazir Aankhon Ka Lekin Hausla Tuta Nahi.
Roz Hi Guzraa Kal Puchta Hai Aaj Se,
Aaj Bhi Tune Imam E Asr (as) Ko Dekha Nahi.

Aankh Binaayi Nazar Ye Sab Ke Sab Bekar Hai,
Zindagi Me Aap Ka Chehra Agar Dekha Nahi.
Rizq e Dunya, Rizq e Fann, Rizq e Shifa'at, Rizq e Lab,
Ghair Ka Mere Dahen Me Ek Bhi Lukma Nahi.

Bas Yahi Kaafi Hai Mujhko Tere Hone Ki Daleel,
Mai Abhi Tak Is Jahaan Me Toot Ke Bikhra Nahi.
Yeh Jagah To Wakf Hai Bas Mere Aaka Ke Liye,
Isliye To Aajtak Mimber Pe Mai Baitha Nahi.



Uthega Shor Ke Karzar Se Bhago,
Baras Rahi Hai Ajab Zulfiqar Se Bhago,
Sada Kisi Ki Nabi Ke Dayar Se Bhaago,
Koi Kahega Nikalkar Mazar Se Bhago,

Kab Aaye Zulm Tashaddud Ko Phadne Waala,
Ke Aajaya Dare Khaibar Ukahdne Waala.

Ali Ki Tegg Hai Phir Be Neyam Bhaag Chalo,
Jagah Haram Me Nahi Suwe Shaam Bhaag Chalo,
Ajal Ko Yaad Hai Hum Sabke Naam Bhaag Chalo,
Ke Bhaagna Hi To Hai Apna Kaam Bhaag Chalo,

Amaa Nahi Hai Kahi Karzar Hasti Me,
Dayar Chodke Sher Aagaya Hai Basti Me.



Phir Aaj Bazme Mohabbat Sajaa Raha Hu Mai,
Chalebhi Aayiye Kabse Bulaa Raha Hu Mai,
Ghame Husain Ke Ashkon Se Dhoke Subho Masah,
Ye Aankhe Deed Ke Kabil Bana Raha hu Mai,

Mudhakhelat Na Karo Dilki Dhadkano Tahro,
Ke Haale Dil Unhe Apna Suna Raha Hu Mai,
Aajeeb Waqt Hai Baithe Hai Wo Sare Bale,
Ajal Se Kehdo Zara Tehre Aaraha Hu Mai.

Meri Wafa o Pe Kya Abbhi Eitbaar Nahi,
Ke Dage Sajda o Matam Bataa Raha Hu Mai.
Kahi Se Aaye Yakeenan Yaha Pe Tahrenge,
Dare Batul Pe Aankhen Bichaa Raha Hu Mai.




Ay Inteqame Shah Ke Haqdar Aabhi Jaa,
Aawaaz De Rahe Hai Azaadaar Aabhi Jaa
Le Inteqame Khoone Shahida Yazid Se,
Lashkar Bhi Tera Hogaya Tayyar Aabhi Jaa.

Akdi Huwi Guroor Ki Gardan Utaar Ne,
Lekar Ali Ke Haath Ki Talwar Aabhi Jaa.
Kya Hai Ye Ek Pardaye Ghaibat Tere Liye,
Parda Hataa Ke Parde Ke Ispaar Aabhi Jaa.

Dono Jahan Me Apni Wirasat Sambhalne,
Ay Wirsa dare Haidar e Karrar Aabhi Jaa.
Baghe Fidak Ke Choro Ka Badhne Laga Hai Zulm,
Ay Wirsadaar E Haidar e Karrar Aabhi Jaa.



Maine Pucha Aapke Aane Me Kyu Takhir Hai,
Bole Hai Marzi Khuda Ki Paao Me Zanjeer Hai,
Maine Pucha Kis Taraf Se Or Kaha Se Aaoge,
Bole Kaaba Baap Dada Ki Meri Jagir Hai,

Maine Pucha Karbala Or Kaabe Me Hai Farq Kya,
Bole Kaaba Khwab Hai Aur Karbala Taabir Hai,
Pucha Jab Aane Se Kya Hogi Imamat Ki Daleel,
Bole Mere Sar Pe Taj e Ayate Tatheer Hai,

Maine Pucha Kyu Jalale Haidari Aata Nahi,
Bole Sabre Fatema (sa) Har Waqt Daman Gir Hai,



Parde Hi Parde Agar Unka Nazara Hojaaye,
Dard e Betabi Ye Furkat Ka Mudawah Hojaaye,
Talibe Deed Ko Halkisi Bhi Jalwe Ki Jhalak,
Dubne Waale Ko Tinke Ka Sahara Hojaaye,

Sunte Hai Hashr Pe Deedar Uthaa Rakhkha Hai,
Dil yahi Kahta Hai Hashrr Aaj Hi Barpa Hojaaye.
Ghairate Ishq Ko Ye Bhi To Nahi Hai Manzur,
Dam Nikaljaaye To Sharminda Maseeha Hojaye.

Iss Liye Waar Du Unper Ye Bachi Saanso Ko,
Ek Pal Hi Magar Armaan To Pura Hojaaye.
Ye Wo Mey Hai Jise Insaan Ba Khuluse Niyyat,
Dil Ke Paimaane Se Peele To Farishta Hojaaye.

Dilme Armaan Hai Qisa se Ghame Zahra Hojaaye,
Aap Aajaaye To Takmile Tamanna Hojaye.
Hum Ne Dekha Hi Nahi Rahbaro Ko Apne,
Aap Aajaaye To Deedar Sabhi Ka Hojaaye.

Dekh Kar Aap Ke Chehre Pe Jaamale Haidar,
Phir Nusairi Ki Nigaaho Ko Na Dhoka Hojaaye.
Halat e Ummate Marhuma Hai Tarikh Bahut
Abb To Aaka Shabe Ghaibat Ka Sawera Hojaaye.



Moajiza Humko Bhi Ek Baar Dikhado Maula,
Bahte Paani Pe Musalle Ko Bichaado Maula,
Raat Din Aapki Yadon Me Guzarti Hai Hayat,
Jaane Nargis Rukhe Anwar Ko Dikhaado Maula.

Hum To Har Saal Areeze Me Yahi Likte Hai,
Kab Talak Aaoge Ghaibat Se Bataado Maula.
Luttne Wale Bhi Abb Baithrahe Hai Isspar,
Hurmate Mimbare Mursal Ko Bachado Maula.

Khoon Pite Hai Jo Mazlum Ka Bejurm o Khataa,
Tegg Haidare Ka Unhe Paani Pilaado Maula.
Abb Daleelo Se Bhi Akhbari Nahi Maante Hai,
Azmate Marjaye Taqleed Bataa Do Maula.

Jinka Bikjaaye Aqeeda Wo Husaini Hi Nahi
Karbala Kya Hai Unhe Aake Bataado Maula.
Wadi e Khizr Me Meraaj Ko Ziyarat Ke Liye,
Abb Nahi Aate To Phirr Isko Bulaalo Maula.



Zulm Ka Namo Nishan Mittjayega Ghaib Se Jab Aayenge Mere Imam,
Har Yazidi Maut Se Tharrayega Ghaib Se Aayenge Jab Mere Imam.

Dosh Par Kamli Rasulallah Ki Aur Zabane Haq Lesanullah Ki,
Ye Zamana Geet Unke Gayega.  Ghaib ....

Jab Musalla Pani Pe Bichjayega Bahta Darya Khud Ba Khud Rukjayega,
Dekhkar Hairaan Jahan Hojayega,
Ghaib....

Kabe Ki Chat Se Karenge Wo Zahoor,
Har Taraf Chajaayega Dunya Me Noor,
Sabko Noore Mustafa Yaad Aayega,
Ghaib....

Dushmane Deen Sab Muhki Khayenge,
Sare Jhande Khaak Me Miljayenge,
Bas Alam Abbas Ka Lehrayega,
Ghaib..

Marhaba Ek Roz Aysa Aayega,
Puri Hogi Har Hussaini Ki Duwa,
Rauza e Zahra (sa) Banayajayega,
Ghaib....

Pura Bar Amir Ka Ye Armaan Ho,
Mahdi e Jaan Par Nisawar Jaan Ho,
Mere Bhi Dilko Karaar Aajayega,
Ghaib Se Jab Aayenge Mere Imam (afts).




Ghame Furkat Ke Aalam Me Ye Jeena Bhi Ye Jeena Kya,
Chale Aao Ya Firr Itna Batado Hai Iraada Kya.
Ye Manzar Kya Ye Raunak Kya Ye Aankhe Kya Nazara Kya,
Tujhe Dekhaa Nahi Jisne Firr Iss Dunya Me Dekha Kya.

Teri Furqat Me Hum Bandagi Beqaif Lagti Hai,
Ye Masjid Kya Namaze Kya Ye Mimbar Kya Ye Sajda Kya.
Mai Wo Bimaar Hu Jiska Ke Bas Wohi Masiha Hai,
Elaje Darde Dil Kar Paayega Aur Koi Masiha Kya.

Muqaddar Se Ghulame Mahdi e Deen Me Hu Mai Shamil,
Koi Kya Chinke Lejaayega Mera Naseeba Kya.
Hami Wo Hai Ke Jiska Wali o Waris Hai Parde Me,
Samajh Rakhkha Hai Iss Dunya Ne Humko Besahara Kya.

Nabi Ka Aakhri Nayeb Jo Aayega Ali Bankar,
Samajh Me Aayega Dunya Ko Dunya Me Hai Achcha Kya.
Imam e Waqt Apne Saath Ye Manzar Bhi Laayega,
Kabhi Bichte Huwe Dekha Hai Paani Pe Musalla Kya.

Ye Aakhir Kya Huwa Maujo Se Kyu Uthne Lage Shole,
Kisi Ne Haal e Dil Likhke Bahaya Hai Areeza Kya.
Nekab e Rukh Ulatdije Yaha Sab Ne Sada Dihai
 Yaha Pe Sab Hi Apne Hai Ke Abb Apno Se Parda Kya.

Sawaal  Apno Se Hai Amaal Pe Apne Nazar Daale,
Agar Wo Aayenge Hum Kya Dikhapayenge Chahera Kya




Ek Yahudi Ek Saudi Dono Deen Ke Dushman Hai,
Jab Tak Ye Dono Baaki Hai Deen Me Jhagda Baki Hai.
Lekar Alam Abbas Ka Koi Ghaib Se Aana Waala Hai,
Yane Jung e Karbobala Ka Aakhri Humla Baaki Hai.

Sare Darya Sukh Hi Jaate Tashna Labi Ke Sholo Se,
Sirf Areezo Ka Sadqa Hai Aaj Jo Darya Baki Hai.
Lehrata Hai Surkh Pharayra Tashnadahan Ke Rauze Per,
Surkh Pharayre Ka Matlab Hai Abb Tak Badla Baaki Hai.

Ayat Ayat Zinda Hai Or Nukta Nukta Baki Hai,
NasleAbutalib Ka JabTak Ek Bhi Bachcha Baki Hai.
Harne Wale Iss Parcham Ke Paas Kabhi Aate Hi Nahi,
Ye Wo Alam Hai Jispe Husaini Fataha Ka Sahera Baki Hai.

Baiyat Ko Jo Haath Uthete Uski Nishaani Koi Nahi,
Parcham Me Abbas Ke Lekin Aaj Bhi Panja Baki Hai.



Teri Aawari Ka Mausam Bada Khush Gawar Hoga,
Koi Phool phool Hoga Koi Khaar Khaar Hoga.
Jo Hatega Rukh Se Parda To Wo Noor Baarhoga,
To Zamin Ka Zarra Zarra Falak Iftekhar Hoga.

Nahi Ghaib Par Hai Emaan To Samajhle Ay Musalman,
Jo Huwa Hai Syria Me Wahi Baar Baar Hoga.
Ye Fareb Ke Pujari Ye Khums Ke Karobari,
Jo Ho Wasile Jahannum To Zahoor Yaar Hoga.

Meri Umre Shab Nawayi Kare Laakh Bewafai,
Teri Gustuju Rahegi Tera Intezaar Hoga.
Garr Uss Ali Ne Chaha To Pase Zahoor e Shaha,
Yahi Mahfile Sajegi Yahi Ishtehar Hoga.

Jo Chalega Adl Unka To Ye Dekhlegi Dunya,
Kisiki Basegi Basti Koi Bedayar Hoga.
Hai Sitam Ke Jinke Saaye Hai Labo Pe Jinke Haaye,
Jo Bujhe Hai Jinke Chahere Unhi Par Nikhaar Hoga.

Na Husain Se Ulajhna Ay Faqire Shaam Warna,
Na Lahed Kahi Milegi Na Kahi Mazaar Hoga.
Dare Murtuza Ka Sayel Mai Hu Ibne Ashq Mayel,
Mere Fikro Fan Ka Suraj Yuhi Jalwabar Hoga.




Rab Ne Mahdi (afts) Ko Kiya Nazil Mahe Shaban Me,
Yu Bhi Roze Shukr Ke Rakhta Hu Mai Ramdhan Me. 
Kehrahi Hai Surah E WalAsr Ye Quraan Me,
Jo Nahi Muntazir Mahdi (afts) Ka Hai Nuksaan Me.

Wo Zahoor e Mahdi (as) e Deen Ko Na Manega Kabhi,
Tol Ta Hai Jo Ali (as) Ko Aql Ki Meezan Me.
Munkire Mahdi (afts) Sudhar Ja Dekh Abbhi Waqt Hai,
Tere Jaisi Thi Aqal Haris Bine Noman Me.

Rokle Shabbir(as) ke Matam Se Matamdar Ko,
Dam Nahi Itna Kisi Dunya Ke Turram Khan Me.
Wo Sadaye Midhat e Mahdi (afta) Bhala Kaise Sune,
Jo Aazan Dete Huwe Rakhte Hai Ungli Kaan Me.

Nasb Gazi Ka Alam Kaabe Me Karna Hai Hame,
Kaash Aajaaye Mere Maula Isi Shabaan Me.
Ummati Hote Huwe Aale Mohammed Hogaya,
Kya Izaafa Hoga Abb Salman Ke Irfan Me.

Ched Mat Waiz ise Ye hai Gulame Panjatan,
Dafn Kardega Tujhe Zillat Ke Kabristan Me 
Shiakh Ko Allah Ke Ghar Me Bhi Hiadar Naa Mila,
Milgaya Kafir Ko Haidar Hazrate Bhagwan Me.

Aap Aane wale Hai Iss Aas Par Mai Rooh Ko,
Qaid Kar Ke Jee Raha Hu Jism Ke Zindaan Me.





Aap Aajaaye Jo Maula (afts) Ham Ye Manzar Dekhle,
Ke Halka e Matam Bana Kaabe Ke Andar Dekhle. 
Intekaam e Karbala Ke De Ali Akbar (as) Azaan,
Murtuza (as) Ki Teg Se Udte Huwe Sar Dekhle.

Aap ke Zakir Ki Hai Meraj Mimbar Aap Ka,
Aap Mimbar Parho Hum Meraaj e Mimbar Dekh Le.
Hum Isi Lalach Me Peete Hai Mahe Hubbe Ali (as),
Aabe Kausar Aap Ke Chullu Me Peekar Dekh Le.

Daye Abuzar Baaye Qambar Saamne Salman Ho,
Ek Naamaz Aysi Bhi Ham Kaabe Me Padhkar Dekh Le.
Wo To Hai Gaazi Hai Agar Mai Ban Gaya tera Gulaam,
Meri Thokar Me Jahaan Wale Samandar Dekh Le.

Munkire Eylaan e Khum par Jistarah Kankar Gira,
Munkire Matam Pe Bhi Girte Patthar Dekh Le.




Yazidi Nasl Ka Sara Khazana Dubb Jayega,
Chalega Tab Na Koi Bhi Bahana  Dubb Jayega,
Fedak Ke Ghasibo Pe Istarah Sailaab Aayega,
Ke Jisme Kufr Ka Har Ek Gharana Dubb Jaayega,

Ba Hukme Rabb Nikalke Ayega Ghaibat Se Jis Din Wo,
Gule Narjis Ki Khusbu Me Zamana Dubb Jayega,
Yakin Ke Saath likkho Unko Bhejo To Padhenge Wo,
Ye Mat Samjho Ke Kagaz Ka Areeza Dubb Jaayega.

Chalegi Zulfiqar e Haidari Mahdi (afts) Jab Aayenge,
Lahu Me Har Saqifayi Ka Chera Dubb Jayega.
Alam Abbas Ka Lekar Jab Aayenge Mere Maula,
Azadari Ki Kasrat Se Mecca Dubb Jaayega.

Kamano Teer leke Hurmula Asger Se Matt Takraa,
Tabassum Ki Laher Me Harr Nishana Dubb Jayega.
Phirayega Zuban Apni Jo Sukhe Hoto Pe Asger,
Sipaahe Shaam Ka Zillat Se Chehra Dubb Jayega.

Kumail Aayenge Aise Aise Aalim Dekho Mimbar Par,
Suno Ge Gar Ho Unko To Aqida Dubb Jayega.



Suraj ko saare raste batata hai khud imam (a.j.f.)
Mashriq hai yeh yahaa'n se nikalna hai tera kaam
thak jaye gar safar mei to phir bhi hai ik maqaam
maghrib hai mere qadmo'n mei karna yehi qayaam

kehde jahaa'n se waan se nikalta hai aftaab
mehdi (a.j.f.) Se puchh puchh ke chalta hai aftaab
kaho ya mehdi (a.j.f.) Kaho ya mehdi (a.j.f.)
Raaz e muqatiyaat ka humraaz aayega

qur'aan ali (a.s.) Ka likha huwa saath layega
shaan e nazool aayato'n ki khud batayega
makki se makki madni se madni milayega
far far sahifa bolega uski janaab mei
woh jaan daal dega khudda ki kitaab mein
kaho ya mehdi (a.j.f.)
Kaho ya mehdi (a.j.f.)


Makeen e hijaab e wahdat

ek rang hai, ek roop hai, jo zain nazar hai
pheli hui ek raat k daman mai sehar hai
kehta hai mere dil se andheron ka ujala
shayad k yehi pardon k sultaan ka ghr hai

har shb mai ye phela huwa purnoor sawera
bus mehdi e doraan k chehray ka asr hai
ye chand ki aaghosh mai liptay huwe taaray
zehra k haseen chand ka purnoor nagar hai

aflaak ka seena hai teri sair ka markaz
badal tu bata mera sultaan kidhar hai??
Ye mehdi e doraan k danton ki chamak hai
duniya ye samjhti hai k shayad ye qamar hai

hum khak hain humen khak nazar aynge mola
ankhon mai ho gr noor to aata wo nazar hai
ye looh o qalam, arsh o adan, sidrah o kursi
wallah sabhi kuch mere mola ka hunar hai



Al'ajal ya waris e dastar e rasool ajtf
hujjat se ye duniya qayaam hai qayaam se zamana qayaam hai
dil hijr mai jal kar khaak hua par dil ki tamana qayam hai
kis pardah nasheen ny duniya mai khud pardah uthatya hai apna

kotaahi dast e showq hi tak mashooq ka pardah qayaam hai
ankhon mai wahi hai dil mai wahi rastey mai mehfil mai wahi
khilwat mai wahi mehfil mai wahi phir parde ka parde qayaam hai
ghaflat se musalmano chownko kuch ghour karo socho samjho

duniya se shah e laulaak gaye kis k liye duniya qayaam hai
quran nahi etrat asws se juda farma gaye hen mahboob e khuda
jo toote na roze mahsar tak who dono mai rishta qayaam hai
tum pardah utha do gey jis din duniya ka barhaam khul jay ga
haq ye hai tumharay pardeh se ik ik pardah qayam hai
inkar jinhen hai ghabeit se ae qais who imam kho bethay
hum ghaib pe imaan rahkte haan imaan hamare qayaam hai



Moujizaa ek ye bhi hogaa Aap ke aane ke baad,
Dhup ban jaaye gi saayaa Aap ke aane ke baad,
Apne saaye se darenge aaj ke shimro yazid,
Aysa badle ga nazara AAP k.........
Khud hi hojaaunga haazir Aap ke dar baar me,
mai na lunga istekhaara AAP k...
muskuraya tha fakat tera rajab ko aur phir,
Muskuraa uththega kaaba AAP K......
wo jo kehte hai tamasha matame shabbir ko,
khud banenge wo tamasha AAP k......
Husn per yusuf ke jab wo aaj tak hairaan hai,
Marhi jaaye gi zulekhaa AAP k....
Kaun rokega bhala taamir karne se hame,
Fatema Zehra (s) ka rouza AAP k......
Jo gade murde hai wo kabr se ukhade jaayenge,
Faisla hogaa Fidak ka AAP k.......
kar raha hu mai tabarra me takayya aaj kal,
Chod dunga mai takayya AAP K.......
Aap ke aane se pehle Maut thi ye zindagi,
Zindagi khud hogi zinda AAP K......



Nazar gum hai nazaaro ko badi taklif hoti hai,
Bagaair unke baharo ko badi taklif hoti hai,
Ilaahi bhejde parde se dawaye saluni ko,
ke Quraan ke paro ko badi taklif hoti hai,

sitaro ki trah hai kul ke kul ashaabe paygamber,
ye sun sun ke sitaaro ko badi taklif hoti hai ,
Nabi kehte the ye akser ke akser zikre Haider se,
Mere kuch jaa nisaaro ko badi taklif hoti hai,

Tabarra bhej te hai hum jabbhi Aale umayya pe,
To unke rishte daaro ko badi taklif hoti hai.



Khuda ka fazl, bashar par tamam baaqi hai
Naam Islaam ka, parcham, Imaam baaqi hai
Wo royenge jo muharram me khoob hastey hain
k shah ke (a) khoo(n) ka abhi Inteqaam baaqi hai

Abhi to Zaalimo ka qatl-e-aam baaqi hai
Jaha Ali huwey paida, makaan baaqi hai
Imam-e-Asr karengey zuhoor kaabey me
Bidat k khaatmey ka ab bhi kaam baaqi hai

Har ek nabi ka, Mohammad ka naam baaqi
shariyato ka zara ehteraam baaqi hai
chhupaya lakh garaqadr itrato ko magar
Abhi bhi bolta aakhir Quraan baaqi hai

Namaz, Roza bhi baaqi Azaan baaqi hai
tufail-e-Panjetan, saara jahaan baaqi hai
Zuhoor hoga kab unka, jo merey haadi hai
is intezaar me hi subh-o-shaam baaqi hai

Bhaagney waley Bhagoro ka naam baaqi hai
Ali hi sab ke hain maula kalaam baaqi hai
Ham intezaar me uskey hain Jissey duniya me
Khuda ka adl bharaa intezaam baaqi hai 



Dedaar Kara do Ay Yousof-e-Zahra(A.S) Mujhye Dedaar Kara do !
Tarpaon na Pardah-e-Gaibat Ko Utha do !

Forqat Main Kare Wqt Guzarte Hain Abh A Jao!
Har Roz Nay Fitne Ubharte Hain abh A Jao!
Ankhon main hain jo khowab bikharte hain abh a jao!

hum Tashna-e-Dedar hain Jalwa tu Dekha do !
Tarpao na Pardah-e-Gaibat ko Utha Do!


Aey badshah e aalam e ghaibat nazar bhi aa
ghulam karain teri nyabat nazar bhi aa
hai intehaey karb o musibat nazar bhi aa
har momin e dil soz ki chahat nazar bhi aa

kam aqli o tang nazri hai had say barh gai
har deed ko ata kar wusa't nazar bhi aa
karbal kay shaheedon ka lenay ko inteqam
aey pakar e josh e shujaat nazar bhi aa

kehtay thay rahiyan e muhabbat shab e ashur
aey aftab e roz e shahadat nazar bhi aa
rukh wo hai k khud husn bhi nazan hua karay
jis ki k zyarat hai ibadat nazar bhi aa

ehl e zameer ehl e jor say hain quwwat azma
ab toa baraey wusa'at e jurrat nazar bhi aa
ma'shuq k deedar ki chahat main hain zinda
hai had nazar bhi kisi sa'at nazar bhi aa

tabeer jis ki qom ko yaksar karay tabdeel
aey wo khwab e tark e ma'asiat nazar bhi aa
sar par hamesha saaiban e yaar hai mojood
phir bhi dil e tanha ki hai hasrat nazar bhi aa



Hata ker Ghaib ka purdah meray Maula chale aao,
Yeh aankhein muntazir hai abb Khudara tum chalay aao.
Ik muddat ho gayii tum chupke bethay purday ke peechay,
Ziyarat abb tau kerwa do meray Maula chalay aao.

Mein wasta deiti huN tujh ko Shaheed e Kerbala ka aaj,
Imam e tum Zamana ho chalay aao chalay aao,
Najane kab khatam hogi tumhari ghaib kii muddat,
Khatam hoti hai muddat tum Khudara abb chalaye aao.

Nahii kuch bharosa iss dil e nashad ka Maula,
Sahara hum ko deiney ko meray Maula chalay aao.



khuda ke naam ki azmat hai aap ki ghaibat,
baqa e haq ki zamanat hai aap ki ghaibat,
usoole dee(n) ki zaroorat hai aap ki ghaibat,
isi se silsila e subah sham qayam hai,
hamein bhi naaz hai apna imam qayam hai,

kabhi jo haal e shahe dee(n) koyee sonata hai,
her ek fard yahaan ashk e ghum bahata hai,
tumhi batao tumhe kaise sabr aata hai,
liye hue shahe mazloom ka alam aao,
tumhe hussain ke abbas ki qasam aao,

yeh arzoo hai ghame karbala manaege,
tumhare jad ki safey matami bichayege,
tumhare saath alam sheh ke hum uthaen ge
shumaar hum ko bhi ker lo jo sogwaroon mein
hamara naam bhi aajae jaa(n) nisaroon mein

bshakle nazam areeza qubool ker li je
Hussain waloon ka tohfa qubool ker lije
zabih e khaas ka pursa qubool ker lije
yeh ilteja dil e shohrat ki briyab to ho
mere khutoot ka lilah kuch jawab to do..


Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan
Aey waqt ke Hussain ab ajao ek baar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Jalwa karain jahan main Imam e Falak Wiqar

Chamke ufaq pa phool ke phir noor e kirdigar
Hojae poora teen sou tera (313) ka ab shumar
Sadyon ke baad khatm ho Maula ka intezar
Aaen nikal ke parda e ghaibat se Zulfiqar

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Ghaibat ka parda unke uthane ke baad bhi
Ilm o amal se khud ko sajane ke baad bhi
Maula ka saath dena hai aane ke baad bhi

Jaana nahi charagh bujhane ke baad bhi
Naasir hai kaun kaun ye hona hai phir shumar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Hai maqsad e hayat yahi khaas o aam ka
Atka hua hai seene mai dam es ghulam ka
Poora ho khwaab nusrat e shah e anaam ka

Bas ek bar dekh loon chehra Imam ka
Sadyon se hai Imam e Zamana ka intezar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Bas ek bar Deen e Khuda ko bachaiye
Bas ek baar amn o aman sath laaiye
Bas ek baar pardae ghaibat uthaiye

Daadi ka roza karta hai faryaad aaiye
Phir Jannatul Baqi mai aajaegi bahaar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Baba ab apne zakhm ko dhoti nahi hoon main
Noke mizhan pe ashq piroti nahi hoon main
Durron se khauf aata hai roti nahi hoon main
Raaton ko neend aati hai soti nahi hoon main

Zindaan se Sakina ko lejao ek baar
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Bazar e Shaam mai hai masaeb ki inteha
Phupiyon ke sar khule hain tou Aabid ka sar jhuka

Hojaen tai ye saathwe dar ka bhi marhala
Namoose Mustafa ko jo mil jae ek rida
Reh jae Maan ki chadar e tatheer ka wafa
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar


Deen par amal, tameez halal o haram ho
Jazba jihad e haq ka zamane mai aam ho
Eesar ka hai shauq tou phir aisa kaam ho
Bas ek bar Lashkar e Mehdi mai naam ho
Phir eske baad mushkilain aaen ????
Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar
Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan




YE KISKI AAMAD PE AAJ KHUSHIYAAN MANAA RAHEY HAIN ZAMAANE WAALEY
YEHI TO HAIN DEEN-E-HAQ KA BIGRHA HUWA MUQADDAR BANAANE WAALEY
SUNO SUNO GHAUR SE SUNO TO, SADA YE KAABE SE AA RAHI HAI
IMAM-E-MAHDI HAIN AANE WALE, IMAM MEHDI HAIN AANE WAALEY
HAR IK SITAM KA JAWAAB HOGA, FIDAQ KA SAARA HISAB HOGA
KE SAAHIB-E-ZULFIQAR AB HAI NAQAAB-E-GHAYBAT UTHANE WAALEY
DIYE JALAAO SAJAAO RAASTE, KHUSHI KE GUN GUN GUNAAO LOGON
KE AA RAHEY HAIN JAHAAN MEIN KAABE KO PHIR SE KAABA BANAANE WAALEY
NA KOI RANJ INKE PAAS AAYE, HAR EK KHUSHI INKO RAAS AAYE
MERI DUA HAI RAHEY SALAAMAT YE JASHN-E-QAIM MANAANE WAALEY
HUSAIN IBNE ALI NE RANN MEIN, JAWAAB AISA DIYA HAI UNKO
UTHA NA PAAYE SARON KO AB TAK SAWAALE BAYYAT UTHAANE WAALEY
FALAK SE BARSAAT-E-SARD HOGI, ZAMEEN BHI UNPE TANG HOGI
KE CHHUP NA PAAYENGE AB KAHIN BHI BATUL KA DIL DUKHANE WAALEY
RASUL BHI MUNTAZIR TERE BATUL BHI TERI MUNTAZIR HAI
MAIN MARTABA TERA KYA BATAAUN, WILA KE MEHFIL MEIN AANE WAALEY
CHALE YE KEHTE HUWE FARISHTE BAANI-E-MEHFIL KE GHAR KE JAANIB
RAHEY SALAAMAT HAMESHA YA RAB HUMEIN ZAMEEN PAR BULAANE WAALEY




Haal e gham sunaenge jab Imam aayenge
zakhm Dil dikhaenge Jab Imam Ayenge.
Mehfil e jamaaenge Jab Imam Ayenge
 Bamodar sajaenge Jab Imam Ayenge
Jashn Hum manaenge Jab Imam Ayenge.

Zakhm hai abhi taaza maqqa aur madeena ke
Sham o kufa karbobala hum bhula nahi sakte
Az sakheefa taai dam ghair se nahi pohche
Jitne dukh uthae hai humne kalma goyo se
 Ek ek chukaenge Jab Imam Ayenge.
Shaq hai jinko allah ke adl aur adaalat par
Mansab e nubuwat par saiyada ki ismat par
Murtuza ki ahmed se mukhtasir niyabat par
Jinko shaq hai bara par baarwey ki ghaibat par
Sab hi maar khaenge Jab Imam Ayenge.

Naam par sahaba ke kaam kafiro jaise
Naam par sahaba ke kaam fasiqo jaise
Naam par sahaba ke kaam munkiro jaise
Naam par sahaba ke kaam mushriqo jaise
 Sab hi muh churaenge Jab Imam Ayenge.
Dawa e mohabbat jo subho shaam karte hai
Unke dushman o se bhi raao rasm rakhte hai
Khums bhi nahi dete gheebatei bhi karte hai
Momino se bhi dil me bughz o keena rakhte hai
Kistarah nibhaenge Jab Imam Ayenge.

Jhut bolne ko hum mashwala samajhte hai
Baat baat par bejaa'n maslehat barakhte hai
Aur munafiqat ko bhi maslehat hi kehte hai
Lahmo laab ka saamaa'n hum gharo me rakhte hai
Kistarah chhupaenge Jab Imam Ayenge.

Nemate shariyat ko bojh hi samajhte hai
Lahmo laab hi ko hum zindagi samajte hai
Saahobaan e zar ko bada aadmi samajhte hai
Tang dast momin ko bas yuhi samajhte hai
Kya maqaam paenge Jab Imam Ayenge.

Ye hamare mukro riya shatirana aiyari
Kya hamare saamo salaat aur ye h azadari
Kitna ghaik mohsin me kis kadar riyakari
Kya imaam ki khatir hum ne ki hai taiyari
 Kaise muh dikhaenge. Jab Imam Ayenge.

Al ajal jo kehte hai agae to kya hoga
 Kya hai apni taiyari pesh hum karenge kya
Sibt e jafar' apna to kul yahi hai sarmaya
Humd o naat o soz o salaam aur manqabat nauha
Ham yahi sunaenge Jab Imam Ayenge.



CHAWDA SADYAA BEET GAYI, SHABBIR KA CHARCHA BAAKI HAI 
QURAN AB TAK BOK RAHAA HAI KHAANAE KAABA BAAKI HAI
KARBOBALAA KA PAAKE SAHARA GUMBADE KHIZRA BAAKI HAI 
SAARAY JANDAY TOOT CHUKE HAI SABZ PHARAIRAA BAAKI HAI

IN CHAWDA SADIYON KE ANDER, CHAWDA SO TOOFAAN UTHE 
UMAWI HAR KAARAIN DORE HAI, ABBASI SULTAAN UTHE 
LAAKHON HOBUL SINO ME CHUPAAYE, HAATHON PAR QURAN UTHE 
JIN KI BUNYAADON ME LAHU THA, QASR WO AALISHAAN UTHE 
SAB DEEWAARE BAITH GAYI, MAZLOOM KA ROZA BAAQI HAI

TEGH-O-TABAR NE RASTAA ROKA, FOJON KI YALGHAAR HUWI 
LAAL-O-GOHAR NE DAAM LAGAAYI, SIKKON KI JHANKAAR HUWI 
LAMBI KABAAON WAALE UTHE, FATWON KI BHARMAAR HUWI
 DEEDA-E-IBRAT TU HI BATAA, YE JEET HUWI YA HAAR HUWI 
SAJDE ME SAR KAAT LIYA THA, LEKIN SAJDAA BAAKI HAI

KYA JAANE KIN KIN QOMO NE, DERAI DAALE DARYA PAR 
AAI AA KAR LOT GAYE, SAB GORE KAALE DARYA PAR 
AB BHI MILENGE TOOTE HUWE, KUCH KHANJAR BHAALE DARYA PAR 
QABZA KAREN AAYE THE SAB TAAQAT WAALE DARYA PAR 
SAB KA QABZA KHATM HUWA ABBAS KA QABZA BAQI HAI

PYAASO KE INKAAR KA KHANJAR, GARDAN PAR KUCH AISA CHALAA 
LAAKHON FITNE UTHE LEKIN, PHIR SAR BAYYAT UTH NA SAKAA 
JAB BHI KISI KE DIL ME TAMANNAA, BAYAT KI UTH TI HE ZARAA 
TO KEHTA HAI ABBAS KA PARCHAM, FIKR-E-YAZEEDI HOSH ME A
JISNE TUJE MAARA THA TAMAACHA, AB BHI WO PANJAA BAAKI HAI

DEENE NABI KI KHOON KI HARAARAT SEENA-E-AALAM KI DHARKAN 
AARZOO-E-ZEHRA AUR PAYAMBAR JAANE ALI AUR ROOHE HASAN 
BAITHAA HUWA HAI PARDE ME TALWAAR LIYE IK QALLAA SHIKAN
TAAKAT PAR ITRAANA KAISA DEENE ILAAHI KE DUSHMAN
BADR-O-OHAD SE BHAAGNE WAALO, AAKHRI HAMLAA BAAKI HAI





MOJIZA EK YE BHI HOGA, AAP KE AANE KE BAAD 


MOJIZA EK YE BHI HOGA, AAP KE AANE KE BAAD 
DHUP BANJAYEGI SAAYA, AAP KE AANE KE BAAD

APNE SAAYE SE DARENGE AAJ KE SHIMRO YAZID 

AISA BADLEGA NAZAARA, AAPKE KE AANE KE BAAD

KHUD HI HOJAAUNGA HAAZIR AAP KE DARBAAR ME 

ME NA LUNGA ISTIKHAARA AAPKE AANE KE BAAD

WO NAMAAZI, WO NUSAIRI OR WO HAI MAATAMI 

KHATM HOGA BAS YE JAGRA AAPKE AANE KE BAAD

MUSKURA YA THA FAKAT TERA RAJAB KO AUR PHIR 

MUSKURA UTHEGA KAABAH AAPKE AANE KE BAAD

WO JO KEHTE HAI TAMAASHA, MAATAME SHABBIR KO

KHUD BANENGE WO TAMASHA AAPKE AANE KE BAAD

HUSN PAR YUSUF KE JAB WO, AAJ TAK HERAN HAY

MARHI JAAYEGI ZULEKHA AAPKE AANE KE BAAD

AAP KE AANE SE PEHLE, MOT HAI YE ZINDAGI 

ZINDAGI KHUD HOGI ZINDA AAPKE AANE KE BAAD

SOCHTA HU LUTF KITNA AAYEGA KAABE NE JAB

MAATAME SHABBIR HOGA AAPKE AANE KE BAAD

KON ROKEGA BHALA, TAAMIR KARNE SE HAME

FATEMA ZAHRA KA ROZA AAPKE AANE KE BAAD

KARRAHU ME TABARRE ME TAQAYYA AAJ KAL 

CHORDUNGA ME TAQAYYA AAPKE AANE KE BAAD

KITNI BATEIN MADHE HAIDER KI ABHI SEENE ME HAI

MAI JINHE ZAHIR KARUNGA AAPKE AANE KE BAAD

HUM TO KYA HAI AAPKE DUSHMAN SE KHUD LEGI ZAMEEN

AAPKE JAANE KA BADLA AAPKE AANE KE BAAD





DUA KARO KE ZUHOORE IMAM HOJAYE YEH ROZ ROZ KA QISSA TAMAAM HOJAYE

ALI KI TEGH KE JOHAR KHULE ZAMANE PER 
TAMAAM DUNYA HO  EK TEGH KE NISHANE PER 
HO SAARI KHALQE KHUDA MOWT KE DAHAANE PER 
JO GHAYB ME HAI WHO ZAAHIR IMAM HOJAYE   

SINA KI NOWK PA UTHEGA KALAYE KHAYBAR 
KAFAN HAWA KA MILEGA NA KHAAK KA BISTAR
AJAL CHABATI PHIRE LAASHE MARHABO ANTAR 
JO ZULFIQAARE ALI BE NIYAAM HOJAYE   

WO JIN KE DAM SE HAI QAYEM IMAME DEEN E MUBEEN
WHO JIN KE ROZE SE ROSHAN HAI SAMARA KI ZAMEEN 
AB UNKE ROZE KI JAANIB BARHA HAI DUSHMANE DEEN 
IS ABARAHA KA BHI JEENA HARAM HOJAYE   

KAREGI MOWJE HAWA ZULM KO RASAN BASTA 
ZAMEEN BAND KAREGI FARAAR KA RASTA 
WOH BARSE AAG JO DARBARION KO HO SAKTA 
AGAR ZABAN FIDAK HUM KALAAM HOJAYE   

HAQEEQI SOORATE ISLAAM BHI AYAAN HOGI 
NIGAHE ADL ZAMANE KI PASBAAN HOGI 
PHIR EK KALMA YAHAAN EK HI AZAAN HOGI
 PAYE NAMAZ JO HAZIR IMAM HOJAYE

RAHE JO PYAASE LABE JOO UNHE ABAD KA SALAM 
QALAM JO HOGAYE BAZU UNHE ABAD KA SALAM 
JO UNKE GHAM ME HAI AANSU UNHE ABAD KA SALAM 
KHUDA KARE KE SHUROO INTEKAAM HOJAYE




MADAD KIJIYE YA IMAME ZAMANA 

HATADIJE GHAIBAT KAA PARDAA KHUDARAA PARDA KHUDARA
MADAD KIJIYE YA IMAME ZAMANA   
BARI AAFATEN HEIN ZAMANE PE MAULA 
PARESHAAN SHIA KAHAAN JAAYEN MAULA 

PUKARAA TUMHE JAB HUWAA DIL JO MUZTAR  
BALAAON NE GERA NAHI KOI SAATHI 
ANDHERAA HAY HAR SU UDHAASI HAY CHAAYI 
TUMHAARE QADAM SE HO DUNYAA MUNAWAR

BHAWAR MEN HAY KASHTI 
BACHAANE KO AAWO GHAME ZINDAGI SE 
CHURAANE KO AAWO MOHAMMED KI JAAN 
HO SAAFINE KE LANGAR 
   
GUNEHGAAR HEIN AUR SHARMINDA MAULA 
MAGAR AAP PER HI HAY HUMKO BAROSAA 
KARO REHBARI AB BARAAYE MUHAMMED  

TAMANNA YE DIL ME BOHOT KUCH HAI MERI 
HAI UMMID HOGI BOHOT JALD PURI 
MERE HAQ ME KARDIJE JO KUCH HO BEHTAR  
HAME ILM OR MA’RIFAT AB ATAA HO 
SADAAQAT BASIRAT HIDAAYAT ATAA HO

BACHAALENA SARWAR HAME ROZE MEHSHAR   
HAME KERBALA MEIN HO JAANAA MAYASSAR 
MADAD KIJO MAULAA HAI DIL ME YE HASRAT 
ZARIHE MUQADDAS SE HAY AANKHEN LAGAANAA




ALLAH MUJHE LASHKAR E MEHDI SE MILADE 
AISA NA HO AAKA MERA HALMIN KI SADA DE
NAZRON KO MERI LAIK-E-DEEDAR BANA DE 
PARDA JO PARA HAI MERI ANKHON SE UTHA DE 
HADI YE ZAMAA KAA RUKHE PURNOOR DIKADHE

HAR AIK NISHA KUFR ZALALAT KA MITA DU 

HAR RAAH MAIN AIK DEEP SADAKAT KA JALA DU 
IS KHAIR E AMAL KI MUJHE TOUFEEK KHUDA DE
LIKH DE MERI TAKDEER MAIN MOLA KI GHULAMI 
HAASIL MUJHE HOJAYE YEH EZAZ E DAWAMI 
HAR KWAHISHE E DUNIYA KO MERE DIL SE MITA DE

SHAMIL RAHE LEHJE MAIN SADA HARFE SADAKAT 

SHAMSHEER TALAY MAIN BHI KARU KOI IBADAT A
Y KASH MUJHE FATIMA ZAHRA BHI DUA DE
SHABBIR KE ANSAR MAIN SHAMIL HO MERA NAAM 
JO HURR KA HO MEHSHAR MAIN WOHI HO 
MERA ANJAAM KHAKE KADAME HAZRATE SHABBIR BANADE

DEKHU NA AGAR UTHTE HUWE PARDA E GHAIBATH 

AYE JO MERE BAAD YAHAN HAZRAT E HUJAT 
TURBAT MAIN ABAD KOI MERA SHANA HILA DE
ALLAH MUJHE LASHKAR E MEHDI SE MILADE 
AISA NA HO AAKA MERA HALMIN KI SADA DE
NAZRON KO MERI LAIK-E-DEEDAR BANA DE 
PARDA JO PARA HAI MERI ANKHON SE UTHA DE 
HADI YE ZAMAA KAA RUKHE PURNOOR DIKADHE

DEKHU NA AGAR UTHTE HUWE PARDA E GHAIBATH 
AYE JO MERE BAAD YAHAN HAZRAT E HUJAT 
TURBAT MAIN ABAD KOI MERA SHANA HILA DE
DUA-E MANG RAHA HU, KHUDA ASR DEDE ME 
CHAND ZAHRA KA DEKHU, MUJE NAZAR DEDE
SUNA HAI NOOR SA CHEHRA HAI,  MERE MAWLA KA 
NIGAHE MERI HAI BE NOOR,  TU NAZAR DEDE



ME SUBHO SHAM ZIYARAT,  KARU TERI MAWLA 
AGAR ARIZE KO MERE,  KHUDA NAZAR DEDE
MERE IMAM KE PICHE  PARHENGE ISSA NAMAAZ 
BAS IS NAMAAZ KI TU  POPE KO KHABAR DEDE
ALAM UTHATA HU ABBAS KA  MERE MALIK 
JUKE NA AAGE KISIKE  MUJE WO SAR DEDE.




YA IMAME ZAMAANA KARAM KIJIYE 

NOOR ANKHON KA MERI BARHA DIJIYE

GHAIR KE DAR PE KYU JAAYE FARYAD KO 

AAP SARPAR SALAMAT HAI IMDAAD KO 
MAANGE KA SALIKA BATA DIJIYE

JIS GHARI AAP KI DEED HO JAAYEGI,  

DAR HAQEEQAT MERI EIID HOJAYEGI 
ZINDAGI MEIN WOH DIN BHI DIKHADIJIYE

SAR UTHAYA SIPAHE YAZIDI NE PHIR  

HUM HAI EHLE WILA AAP KE MUNTAZIR 
AAKE NASLE YAZIDI MITADIJIYE

AAP KI MADHA KAISE KAREIN YAA IMAM,  

YEH HAI NABIYON KA SHEWA KHUDA KA HAI NAAAM 
HUM KO AAADABE MIDHAT SIKHADIJIYE

HUR GHARI AAP YUN TO MERE DIL ME HAI,  

AUR YAQEEN HAI KE MAWJUD MEHFIL MEIN HAI 
SUB KI NAZRON SE PARDA HATA DIJIYE




SHIDDATE DARD KO YAKSAR NAHI REHNE DETAA 


SHIDDATE DARD KO YAKSAR NAHI REHNE DETAA 
MERA MAWLA MUJE MUZTAR NAHI REHNE DETAA

MAIN BHI ZINDAAN HUN ARIZA BHI MERA ZINDAAN HAI 
MURDA CHEEZO KO SAMANDAR NAHI REHNE DETAA

KITNE MAASOOMO KO AANE KI KHABAR LAAYA HAI 
MAAHE SHABAAN MUJE GHAR PAR NAHI REHNE DETAA

AA BHI JAAO AY GHULE NARJISE KHATOON KE AB 
HIJR SAANSOO KO BARAABAR NAHI REHNE DETA

DEHR NE NAARA-E-HAIDAR WO KSAUTI HAI KE 
JO BAD NASAB KO KABHI CCHUP KAR NAHI REHNE DETA.



Marhab hai phir se jaaga, kahaan waqt ka Ali hai,
Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.
Zaair pe, namazi pe, taari hai khauf Maula,
Rozon pe, masjidon pe, hota hai roz hamla,

Ab jald aao Maula, mushkil ki ye ghadi hai,
Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.
Shiyyat pe, aur Shiyon pe, har su se musibat hai,
Khaamosh Musalmaan hai, isme bhi maslehat hai,

Taaqat ki numaaish hai, paise ki bandagi hai,
Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.
Hoti hai sazaa hum ko, jab ke khataa nahin hai,
Sau Zakhm hai dilon par, koi dawaa nahin hai,

Har Zakhm ki dawaa to, Maula bas aap hi hai,
Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.
Hai Sheh ki azaadari, baatil ke nishaane par,
Fatwon ki aandhiyaan hai, Zehra ke gharaane par,

Mazloom e Karbala ki, mazloomi aur badhi hai,
Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.
Taakhir aane mein ho, aisa Khuda kare na,
Mumkin hai meri saansein, tab tak wafa kare na,

Kya maut ka bharosa, jo saamne khadi hai,
Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.
Gar maut mujhko aaye, ehsaan itna karna,
Aye fakhr e Masih mujhko, do pal ko zinda karna,
Ziyarat Salim kar le, ummeed aakhri hai,


Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai



AL AJAL LABBAIK MAULA YA SAHEBAZZAMAAN (ATFS).



                        اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

4 comments:

  1. Mashallah Allah barkat da nimr from kargil ladakh India

    ReplyDelete
  2. Jazakallah al khair
    Very nice collection at one place

    ReplyDelete