Best Manqabat

                               بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم    وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا                    









SAVERE SAVERE – IMAM ALI AS 


MUSALLE PE MAINE ALI KA QASIDA JUHI GUN GUNAYA SAVERE SAVERE 

KHUDA KI KASAM PHIR IBADAT KO MUJKO BARA LUTF AAYA SAVERE SAVERE 

NIKAL KAR ANDHERO KE NARGE SE HUR JAB  DARE SHEH PE AAYA SAVERE SAVERE TO ZEHRA KE BŹTE NE EK PAL ME USKA MUKADDAR JAGAYA SAVERE SAVERE   


MALAIK NE JIS WAKT MADHO SANA KI  FIZAO ME GUNJI SADA YA ALI KI PARINDO NE BHI APNI BOLI ME NARA ALI KA LAGAYA SAVERE SAVERE   


HE MARZIYE HASNAIN MARZI KHUDA KI  ABHI SAYYADA KE LABO PAR DUA THI LIBASE JINA LEKE RIZWANE JANNAT NE DAR KHAT KHATAYA SAVERE SAVERE   


MAHEK BAAGHE ISMAT KI HAR SIMT PHELI  LAGA YUN KE AHMAD HUWI SAYYADA KI JUHI MAINE GHAR ME HADISE KISA KE DIYE KO JALAYA SAVERE SAVERE   


ME NAADE ALI PARKE SOYA THA SHAB KO  PASAND IS KADAR AAYI YE BAAT RAB KO SUHAIL EK FARISHTA SHIFAAT KA MERI SANAD LEKE AAYA SAVERE SAVERE 





SAVERE SAVERE – IMAM HASSAN AS 

KHUDA KE KARAM SE NABI KE CHAMAN ME  YE GUL MUSKURAYA SAWERE SAWERE MUBARAK MAHINE ME WARIS ALI KA  ZAMANE ME AYA SAWERE SAWERE 


YE MASOOM ZAHRA KA LAKHTE JIGAR HAI,  YE SHAJRE IMAMAT KA PEHLA SAMAR HAI ZAHURE IMAME HASSAN GAR HAKIKAT,  


RASULE KHUDA KI DUA KA ASAR HAI KHUD ALLAH KI REHMAT NE AKAR ALI KA  HAI DAR KHAT KHATAYA SAWERE SAWERE 


JULATI HAI JULA JANABE HASSAN KA,  KABI CHEHRAE MUJTABA CHUMTI HAI ACHANAK HI DAR PE DI DASTAK KISINE,  


JO BIBI NE KHOLA TO KYA DEKHTI HAI PEHEN NE KO KAPRE, BAHISHTE BARI SE,  JIBREEL LAYA SAWERE SAWERE 


UTHAYA JO HAATON PE KHATMUL RUSUL NE,  TO QURAN KARNE LAGA KHUD TILAWAT BA’AT BANGAYI WO BARI BA SAADA, 


IMAMAT NE CHUSI ZUBANE RISALAT NA JAANE NAWASE, KE LAB CHUM KAR KYA,  NABI NE PILAYA SAWERE SAWERE 



HUWA JAB MUKAMMAL HASSAN YE QASIDA,  TO MAINE DUA KI YE SABKI TARAF SE ZIYARAT KA TERI PAYE SHARAF HAM,  


KARAM HOGA JAB YE KHUDA KI KARAM SE ZIYARAT KARE HAM MAWLA HASSAN KI,  POHONCH KAR MADINE SAWERE 





NA POOCHIYE KEH KYA HUSSAIN HAI 


NA POOCHIYE KEH KYA HUSSAIN HAI KHUDA KEY DEEN KA NA KHUDA HAR IBTADA KI IBTADA   KARAM KI INTEHA HUSSAIN HAI 

KAREY JO KOII JO HUM-SARII, KISI KI KYA MAJAAL HAI JAHAAN MEIN HAR LEHAAZ SEY, HUSSAIN  BE MISAAL HAI 


YEH HO CHUKA HAI FAISLA, NA KOII DOOSRA KHUDA NA KOII DOOSRA HUSSAIN HAI 


KARO GEY GAR MUKHALIFAT, GHAM E HUSSAIN  KI YAHAAN WO HASHAR HOGA HASHAR MEIN, KEH AL-HAFEEZ O AL-AMAAN 


JAHAAN BHI CHUPNEY JAAO GEY, KAHIEN PEY BACH NA PAO GEY KEH HAR JAGA MERA HUSSAIN  HAI 


HAI JIS KI FIKR KARBALA,  HUSSAIN  WO DEMAGH HAI YEH PANJTAN KII ANJUMAN, KA PANCHWAAN CHIRAAGH HAI 


HASSAN  KA PEHLAY HUMSAFAR, ALI  KA DOOSRA PISSAR IMAAM TEESRA HUSSAIN HAI 


HUSSAIN  SEY JO DOOR HAI, WO SAB GHAMON SEY CHOOR HAI HUSSAIN (AS)KEY JO PASS HAI, GHAM E JAHAAN SEY DOOR HAI 


YEH DEEN JIS KII DAIN HAI, JO ZINDAGII KA CHAIN HAI WO SACHA QAAFIYA HUSSAIN  HAI 


QAZA KEY BAAD PHIR MUJHEY, NAII HYAAT MIL GAI FISHAAR SEY AZAAB SEY, MUJHEY NIJAAT MILL GAI 


SAWAAL JAB KIYA GAYA, HAI KON TERA RAHNUMA TO MAIN NEY KEH DIYA HUSSAIN HAI 


WO JIS NEY BAANDH KAR HAWA, JALLA DIYA BUJHA DIYA ZAMEE KO JIS NEY ARSH SEY, BULAND MARTABA DIYA 


WO JIS NEY KAAIYENAAT KA, NIZAAM HII BADAL DIYA IK AISA MOUJZA HUSSAIN  HAI 


KISI KO HOSLA DIYA, KISI KO BAKHSH DII SEHAR DIYE KISI KO BAAL O PAR, KISI KO DEY DIYE PISAR 


PUKAAR BANDA PARWARII, LUGHAT MEIN EHL E ISHQ KII MADAD KA TARJUMA HUSSAIN  HAI 


SHAHEED E KARBALA KA GHAM, JISEY BHI NA-GAWAR HAI  WO BAD AMAL HAI BAD NASEEB, USII PEY BE-SHUMAAR HAI 


AREY O DUSHMAN E AZZA, TOO MAR ZARA QABAR MEIN JA PATA CHALEY GA KYA HUSSAIN HAI 


NA POOCHIYE KEH KYA HUSSAIN HAI BENA E LA AEY LA HUSSAIN  HAI 





JANAB RAZA SIRSIWI   MAUT KI AAGOSH ME JAB THAK KE SOJATI HAI MAA.

MAUT KI AAGOSH MEIN JAB THAK KEY SOO JATTIII HAIN MAA TAB KAHII JAAKAR SUKOON THORA SA PAA JAATI HAIN MAA 


FIKAR MEIN BACHOO KI KUCH ISTARAH GHUL JAATI HAIN MAA NO JAWAN HOTEY HOWEY BHORII NAZAR AATI HAIN MAAA 


EIK HI HASRAAT KO APNEY AZM-O-ISTAQLAL SEY  AANSOO SEY GUSL DEKAR KUDH HI DAFNAATI HAIN MAA 


AURHTII HAIN GURBATOO KAA KHUD YEH BOSEEDA KAFAN CHAHATOO KA PERAHAN BACHEY KO PEHNAATII HAIN MAA 


BHOOKA REHNAY HI NAHI DETI YATEEMOO KO KABHI JAANEY KIS KIS SEY KAHAN SEY MAANG KAR LAATI HAIN MAA 


ROOH KEY RISHTEY KI YEH GHERAIYAN TOU DEKHAYEY  CHOT LAGTII HAIN HAMAREY AUR CHILAATII HAIN MAAA 


KAB ZARORAT HOON MERAY BACHEY KO ITNAA SOCH KAR  JAAGTI REHTII AAANKHEN AUR SOOOO JAATI HAIN MAAA 


HAADYOON KA RAS PILA KAR APNEY DIL KEY CHAIN KOO KITNII RAATEY MEIN TOU KHALII PAET SOJAATI HAIN MAAA   


JAANEY KITNII BARF SI RAATOO MEIN AISAA BHI HOWA  BACHA TOU CHATII PEY HAIN GELAY MEIN SOJATII HAIN MAA 





APNI KISMAT AZMA KAR DEKHNA, TUM AZAA KHAANA SAJAA KAR DEKHNA 


KHUD MUNAFIQ KA PATA CHAL JAYEGA NARA-E HAIDER LAGA KAR DEKHNA 


HO AGAR JANNAT ZAMI(N) PAR DEKHNI KARBALA EK BAAR JAAKAR DEKHNA 


AMBIYA KO DEKHNA CHAHO AGAR HALQAYE MATAM ME AKAR DEKHNA 


TUM KO ZEHRA KI DUA MILJAYEGI PARCHAM-E- GHAZI UTHAA KAR DEKHNA 


WOH TO PHIR MAULA ALI HAI HASHR MEI MARTABA QAMBAR KA AAKAR DEKHNA 


CHAND-E- TAARE DEKHNA CHAHO AGAR DAAGH MATAM KE SAJAAKAR DEKHNA 


KHUSHBU E RUMAL ZAHRA CHAHIYE ASHK MAJLIS ME BAHAKAR DEKHNA 


PANJATAN MEHMAN KHUD HONGE ZAKI FARSH MAJLIS KA BICHAKAR DEKHNA 






GHAM KA ILAAJ ISKE SIWAA AUR KUCH NAHIN KHAAKE SHIFAA HAI MERI DAWAA AUR KUCH NAHIN 

PAAYEGA HAR MARIZ SHIFAA SHART HAI MAGAR MILJAAYE BAS ALAM KI HAWAA AUR KUCH NAHIN 


GAR CHAAHTEHO FATEMA AAYE BEHISHT SE GHAR ME BICHAADO FARSHE AZAA AUR KUCH NAHIN 


USNE KAHAAN KE DIN KI TAARIKH POORI LIKH MAYNE FAQAT HUSSAIN LIKHAA AUR KUCH NAHIN 


YE KYUN JANAAB AAPKA CHEHRA UTAR GAYAA MAYNE TO YA ALI HI KAHAAN AUR KUCH NAHIN 



GHURBAT KI TEZ DHOOP SE BACHNE KE WASTE PARTE RAHO HADISE KISAA AUR KUCH NAHIN 






YE JITNE SHAH TAWANGAR DIKHAAI DETE HAI 
SABHI HUSSAIN KE NAUKAR DIKHAAI DETE HAI   

PUKAARTI HAI SAKHAAWAT WHO DAR HUSSAIN KA HAI 

JAHAAN FAKIR KALANDAR DIKHAAI DETE HAI 

HUSSAIN TERE SIPAAHI AJEEB SHAAN KE HAI  

JAHAAN FAKIR KALANDAR DIKHAAI DETE HAI 

NISHAANE MAATAME ZANJEER0 HATHKADI BEDI 

HURUF-E-ISHK KE ZEWAR DIKHAAI DETE HAI 

ALI KE DAR KE GADAAGAR BHI MOAJIZA GAR HAI 

FAKIR HO KE ABUZAR DIKHAAI DETE HAI 

KAHIN ZAMEEN PE FARISHTE NAZAR NAHI AATE 

MAGAR HUSSAIN KE DAR PAR DIKHAAI DETE HAI 

ZAMEENE JO GHAME SHEH ME BHAAYE HAI AANSUN  

WAHI TO HAI JO SMANDAR DIKHAAI DETE HAI 

NA JAANE KIS SE BANI HAI YE KHAAKE KERBOBALAA  

YAHAAN KE ZARRE BHI GOHAR DIKHAAI DETE HAI 

CHAMAKTE CHAAND SITAARE FALAQ KE SEEENE PAR 
NUKOSH E MAATAME SARWAR DIKHAAI DETE HAI  





BANKE SAIL AAYE HAI DAR PER TUMHAARE YA HUSSAIN AAJ PURE KIJIYE ARMAAN HAMAARE YA HUSSAIN 

FATEMA KE LAKHTE DIL MUSHKIL KHUSHA KE NOORE AIN HO RASULULLAH KE AANKHO KE TARE YA HUSSAIN 



MAALIKE KULNE BANAAYA HAY TUME MUKHTAARE KUL AAP MAKHLU KE KHUDA KE HO SAHAAREY YA HUSSAIN 


GODIYAAN BHAR DIJIYE SARKAAREY BEHRE FAATEMA MUNTAZIR HAI DER SE DAAMAN PASAARE YA HUSSAIN 


AAPKA DAR CHOD KAR JAAEY KAHAA FARMAAI YEH HAY YE KHAADIM AAPKA  MAWLA HAMAARE YA HUSSAIN 


AAP JO FARMAAYENGE  MAKBULE HAQQ HOGAA WOHI AAP HAY ALLAH KEY PYARO KE PYAARE YA HUSSAIN 


KITNE HAY MU’MIN MARIZ UNKO SHAFAA TO DIJIYEH AIK ISHAARA KAAFI HAY  UNPER HAMAAREY YA HUSSAIN 


GARSEY TO UMMID LEKAR AA-YA HU MAWLA HUSSEIN BIGRI MERI AAP BANAADO  RAAJ DULAARA YA HUSSAIN 





KHUD WAFA KO NAAZ JIS PAR BAAWAFAA ABBAS HAI LAADLA HAIDER KA ZAHRA KI DUA ABBAS HAI 


HAI JAWAAN BHAI KA GHAM TAQDEER DIKHLAEGI AB YOON LAGA SHABIR KO DHARKAN YEH RUK JAAYEGI AB IZN JAB MAIDAAN KO LEKAR CHALA ABBAS HAI 


HUBAHU BETA ALI KA SAB KO LAGTA HAI ALI HAIDER E KARBOBALA HAI YEH ALAMDARE JARI SANI E HAIDER HARAM KA AASRA ABBAS HAI 


TARBIYAT KA HAIDER E KARAAR KI DEKHA ASAR KAR LIYA BE TEGH BHI QABZA JARI NE NEHR PAR RAN ME TANHA HAI MAGAR LASHKAR NUMA ABBAS HAI 


ROKE ZAINAB NE KAHA BHAI KI MERE KHAIR HO AB BHALA KIS WAASTE MEHSHAR ME KOI DER HO JAB SUNA BE DASHT GOREH SE GHIRA ABBAS HAI 


DOOR SE DEKHA ALAM SHABIR NE GIRTE HUWE CHALDIYE MAQTAL KI JANIB WOH QAMAR THAME HUWE DE RAHA BHAI KO MAQTAL SE SADA ABBAS HAI 


NEHR SE AATE HUWE DEKHA SAKINA NE ALAM BE KHABAR THI SHAHZADI HOGAYE BAZU KALAM YOON LAGA BACHI KO PAANI LAA RAHA ABBAS HAI 


SHAH BOLE AB SAKINA APNE KUZE TORDE AB SAKINA SE KAHO TA UMR WOH PYASI RAHE NEHR PE BAZU KATA KE SOGAYA ABBAS HAI 


NOHA GHAZI KA JO LIKHA HAI ATAA E SHAHE DEEN AB QALAM KA SAR MERE SALMAN JHUK SAKTA NAHI BAR SARE QIRTAS MAINE LIKH DIYA ABBAS HAI 







JHUKTE HAI JAHAA SHAHI TERA WO AASTA..
ABBAS TERE DAR SA DUNIYA ME DAR KAHAA'N MAULA.....
ABBAS TERE DARSA...MAULA 

TU QAMRE BANI HASHIM ZEHRA KI TU DUA HAI..

SAYA TERE ALAM KA DO JAG PE BAKHUDA HAI...
TERE ALAM KO CHUMNE JHUKTA HAI AASMAA... 

JO BHI KHUDA SE MAANGA TERE ALAM SE PAAYA..

TERE ALAM KA SAYA HAI KIBRIYA KA SAYA.. 
KYU NA TERE ALAM PE AAKAR KAHE JAHAA'N 

TERE DAR KE HAI BHIKARI SAB AULIYA KALANDAR..

SAJDE KARE FARISHTE CHAUKHAT PE TERI AAKAR..
DENE LAGE ZAMEE'N PAR QUDSI BHI YE AZAA'N 

MUSHKIL KUSHA ALI HAI MUSHKIL KUSHA HAI TU BHI..

WO DAST E KIBRIYA HAI RABBE WAFA HAI TU BHI..
PADHTE HAI ALIWALEY YE MANQABAT YAHA 


RAUZE PE TERE AAKE EHSAAS YE HUA HAI..

YE GHAR HAI PANJETAN KA IS GHARME HI KHUDA HAI.
SAJDE ME GIRGAYA MAI DEKAR YAHI BAYAA'N 


DAR DAR BHATAKNE WALO EK BAAT MERI MAANO..

BEDAST IS SAKHI KE DAR PAR JABEE'N JHUKALO..
BE-SAAKHTA KAHOGE KHOLOGE JAB ZABAA'N 


"FARHAN" TERE DARKA NAUKAR HAI MERE GAZI...

EK KARZ MAREFAT KA MUJHPE HAI MERE GAZI..
PADHLU NAMAZ E MIDHAT DEKAR YAHI AZAAN 





JAB KOI DUA OR NA DAWA, KAAM KAREGI 
TO ABBAS KE PARCHAM KI, HAWA KAAM KAREGI 
AKSAR YE ALI KEHTE THE, GAZI KO UTHAKAR 
ZEHRA KI DUA SABSE JUDA, KAAM KAREGI 

AB CHAAND KYA KAAM RAHA GHAR ME ALI KE 

MAA HAI BANI HASHIM KI ZIYA KAAM KAREGI 
PHIR BHI NAHI UTREGA KHADIJA TERA QARZA 
DIN RAAT BHI GAR KHALQE KHUDA, KAAM KAREGI 

SHABBIR KE ROZE SE KAFAN LEKE CHALA HU 

AB MERI HIFAZAT KA, KAZAA KAAM KAREGI 
MAALUM THA ASGHAR KO KE TALWAAR SE BAR KAR 
MAIDAN ME ME HASNE KI ADA KAAM KAREGI 

KEHTE THE ALI DEKH KE ZAINAB KO HAMESHA 

YE BETI BARI HOKE BARA KAAM KAREGI 
AI SHEIKHJI BHARTE RAHO, TUM SISE PE SISA 
DIWARE HARAM PHIR TUMHE NA KAAM KAREGI 

KHALIQ NE KAHA ZIKR MUJE KARNA HAI SHEH KA 

YE QOUME AZADARI MERA KAAM KAREGI 
MAREGI NUSERI KO BHI LEKIN AI MUQASSIR 
WO TEGE ALI PEHLE TERA KAAM KAREGI 




WAFA JISKA PADHE KALMA USSE ABBAS KEHTE HAI 

JISE SAJDE KARE SAJDAH USSE ABBAS KEHTE HAI 

WOH PYASA  PYAS NE JISKI KIYA SEHRAB DARIA KO

HAI JIS KI PYAS BHI DARYA  USSE ABBAS KEHTE HAI 

JO HAI SHABBIR KI KUWAT ALI KO NAAZ HI JIS PAR 

JISE ZEHRA KAHE BETA USSE ABBAS KEHTE HAI 

LAGA DE JO BAGAIR TEG HI AMBAAR LASHON KE 

JO HAI PAIKAR SUJAAT KA USSE ABBAS KEHTE HAI 

JO PATTHAR PAR ALAM GADE USSE KEHTE HAI 
SUB HAIDER 
ALAM GADE JO PANI PE USSE ABBAS KEHTE HAI 

JO HUKME SHAH PE ROKE  RAHE TALWAR KO APNI 

JO TANHA BHI RAHE LASHKAR USSE ABBAS KEHTE HAI 

UTHE TUFAN CHALE AANDHI ZAMEEN GARDISH KARE PHIR BHI 

RAHE UNCHA ALAM JISKA USSE ABBAS KEHTE HAI 

JO THA SHABBIR KA KHADIM MAGAR SAB SAHEBANE DIL 

USSE AAKA, USSE MAULA USSE ABBAS KEHTE HAI 




KARAM MAANGTA HUN DUA MAANGTA HUN ILAAHI ME TUJSE DUA MAANGTA HUN 



ATAA KAR TU SHAANE KARIMIKI KA SADKAA DILAADDD ILAAHI RAHIMI KA SADKAA NA MAANGUNGAA TUJSE TO MAANGUNGAA KISSE TERA HUN ME TUJSE DUA MAANGTA HUN 


ILAAHI TUJE WAASTA PANJATAN KA HO SHAADAAB GUNCHA DILONKA CHAMANKA YE DAAMAN HAMAARE MURAADO SE BHARDO KARAM KIN AZAR SE DUA MAANGTA HUN 


JO MUFLIS HAI UNKO TU DOLAT ATAA KAR JO BIMAAR HAI UNKO SEHAT ATAA KAR GARIBON PET U REHM KAR YA ILAAHI MARIZO KE KHAATIR DUA MAANGTA HUN 


ILAAHI HAME SHAADO MASRUR RAKHNA PARESHAANIYA HAMSE TUM DOOR RAKHNA PARESHANIYA HAMKO GHERI HUI HAY PARESHAANIYO KI DUA MAANGTA HUN 


HUWA HAI NA MAAYUS TERE SA WAALI NAHI TERE DARES FIRA KOI KHAALI YEH ILTEJAA EK MERE HI KHAATIR ME SABKE LIYE MUDDUA MAANGTA HUN 


BEHAKKE PAYAMBAR BEHAKKE ALI BE HAKE BATUL AUR SHABBARO SHABBIER KASAM CHAWDA MAASUM KI YAA ILAAHI ME TUJSE DILI MUDDUA MAANGTA HUN 





APNI KISMAT AZMA KAR DEKHNA TUM AZAA KHAANA SAJAA KAR DEKHNA) 


(MERA DAWA HAI UJAR SAKTE NAHI) KARBALA DIL ME BASA KAR DEKHNA 


(KHUD MUNAFIQ KA PATA CHAL JAYEGA) NARA-E HAIDER LAGA KAR DEKHNA 


(HO AGAR JANNAT ZAMI(N) PAR DEKHNI) KARBALA EK BAAR JAAKAR DEKHNA 


(AMBIYA KO DEKHNA CHAHO AGAR) HALQAYE MATAM ME AKAR DEKHNA 


(TUM KO ZEHRA KI DUA MILJAYEGI) PARCHAM-E- GHAZI UTHAA KAR DEKHNA 


(WOH TO PHIR MAULA ALI HAI HASHR MEI) MARTABA QAMBAR KA AAKAR DEKHANA 


(CHAND-E- TAARE DEKHNA CHAHO AGAR) DAAGH MATAM KE SAJAAKAR DEKHNA 


(KHUSHBU E RUMAL ZAHRA CHAHIYE) ASHK MAJLIS ME BAHAKAR DEKHNA 


(PANJATAN MEHMAN KHUD HOJAENGE) FARSH MAJLIS KA BICHAKAR DEKHNA 


(AAG LAGTI HAI DHUA UTHTA NAHI)X2 MUNKIRO KA DIL JALA KAR DEKHNA 


(YE SABAK BESHIR KO MAA NE DIYA)X2 TEER KHAKAR MUSKURAKAR DEKHNA 


(AY MAREEZE LA DAWA GHABRA NAHIN)X2 WASTA ABID KA LEKAR DEKHNA 


(ZIARATE ASHUR PARHNE KA SILA)X2 HASHR ME JANNAT MEIN JAAKAR DEKHNA 


(SAR BULANDI CHAHATE HO TUM AGAR)X2 SHEH KE DAR PAR SAR JUKA KAR DEKHNA 






GHAM KA ILAAJ ISKE SIWAA AUR KUCH NAHIN KHAAKE SHIFAA HAI MERI DAWAA AUR KUCH NAHI 


PAAYEGA HAR MARIZ SHIFAA SHART HAI MAGAR MILJAAYE BAS ALAM KI HAWAA AUR KUCH NIHI 


GAR CHAAHTEHO FAATEMA AAYE BEHISHT SE GHAR ME BICHAADO FARSHE AZAA AUR KUCH NAHI 


USNE KAHAA KE DEEN KI TAARIKH POORI LIKH MAYNE FAQAT HUSSAIN LIKHA AUR KUCH NAHI 


YE KYUN JANAAB AAPKA CHEHRA UTAR GAYA MAYNE TO YA ALI HI KAHAA AUR KUCH NAHI 


GHURBAT KI TEZ DHOOP SE BACHNE KE WASTE PARTE RAHO HADISE KISA AUR KUCH NAHI 





DUA FATIMA KI HUM EHL E AZAA HAIN HUME AAZMAANE KI KOSHISH NA KARNA MUQALLID HAIN MEESUM KE DAAR O RASAN SE KABHI BHI DARAANE KI KOSHISH NA KARNA 


VILAYAT KE MUNKIR SAI YEH KEH RAHI HAY LAHOO KI TAHARAT SADA DE RAHI HAY NAJAF KI ZAMEEN HAI SAQIFA NAHI HAY YAHAN AAP AANE KI KOSHISH NA KARNA 


WAHAN BHI ALI NE KI MUSHKIL KUSHAI LEHED KE SIRHANE SAI AAVAAZ AYI AZAADAR E SARWAR HAY SOONAY DO ISKO FARISHTOON JAGAANE KI KOOSHISH NA KARNA 


KAJAAVON KA MIMBAR BANAYA NABI NE  YE HUKM E KHUDA HAY BATAYA NABI NE ALI KE SIWA JAA NASHIN E MUHAMMAD  KISI KO BANANE KI KOSHISH NA KARNA 


MUSALSAL HAY PEHERA WAHAN ANBIA KA JAHAN PAR SAJA HAY ALAM BAWAFA KA KHABARDAR KEHDE KOI MUSHKILON SAY  WAHAN AANE JAANE KI KOSHISH NA KARNA 


KHUDA HUKM DETA HAY MERE MUHAMMAD KIYE JAYEN SAJDOON PE SAJDE MUHAMMAD HUSSAIN AAP KI PUSHT PAR AA GAYE HAIN ABHI SAR UTHANE KI KOSHISH NA KARNA 


KHUDA KI QASAM SHAK NAHI ISME KOI  NIGEHBAN KHUD HAY MUHAMMAD KI BETI CHARAGH E AZADAARI JALTA RAHEGA HAWAON BUJHAANAY KI KOSHISH NA KARNA 



HAY NOKAR ALI KA AZAL SE MIZAJAN  BIGARH JAYE GA MISLE TOOFAAN FAURAN TAKALLUM KE AAGE UDUVE ALI KA  QASIDA SUNANE KI KOSHISH NA KARNA





ALI KE CHAHNE WAALE KHUSHI AISAY MANATE HAI LAGATE HAIDERI NAAREY, HAI CHEHRE MUSKURATE HAI 


HAMARI BANDAGI MAWLA, HAMARI ZINDAGI MAWLA NABI NE KEHDIYA MAWLA JISE BAS HAI WOHI MAWLA SIKHAYA MAA NE APNI LORIYO ME YA ALI MAWLA GHADIRE KHUM KA KISSA APNE BACHO KO SUNATE HAI 


ZAMANA DAAR PAR DEKHE ZARA MEESAM KI DARAYI BANAYA DAAR KO MIMBAR MILI MERAJ GOYAI ALI KA KOWL SACHA HOGAYA HAI YE KHUSHI PAYI ZABAAN JAB KATI JAATI HAI TO MEESAM MUSKURATE HAI 


JAHAAN HO ZIKRE ZEHRA AASMAN AISI ZAMIN HOGI WAHA MAHOL ME PAKIZGI BHI BIL YAKEEN HOGI ALI KI MANQABAT HOGI TO MOSIQUI NAHIN HOGI GUNAHON SE HAR EK TAKLEEF ME DAMAN BACHAATE HAI 


KHULA KARTA HAI HAJ KE DARMIYA KHUSHIYO KA DARWAZA TAWAAF AISA HAI HOTA JOOMTA HAI KHAANAE KAABA DILO ME AZMATE TAWHEED LAB PAR YA ALI MAWLA KHUDA KE GHAR ALI PAIDA HUWE SAB KO BATATE HAI 


KOI BURHA BHI AAJAE TO WO HOKAR JAWAAN UTHE DILO SE NARA-E-HAIDER  ZAMIN TA AASMAN UTHE ARE MERE HAR SHER PAR DIL SE MUNAFIQ KE DHUAN UTHE JO MUNKIR HAI ALI KE UNKO LAFZO SE JALAATE HAI 


MUSALSAL KOSHISHO KE BAAD BHI NAKAAM THA LASHKAR ALAM JISKO PAYAMBAR SE MILA WO MARD HAI HAIDER MAWALI SAB IKHATTA HOGAYE HAI SAJ GAYA KHAIBER JO SACHI BAAT HOTI HAI WOHI SABKO SUNATE HAI 


JO APNE RUKH KO PEHLE DIN SE HI HAIDER SE MORE HAI ALI KI TEGH KO DEKHA TO KITNI TEZ DORE HAI FARAAR AISE HUWE AAGE KE PEECHE UNKE GORE HAI HAM UNKA ZIKR KARTE HAI KE JO AADHI BHAGORE HAI HAI AADAT BHAAGNE KI JINKO HAM UNKO BHAGAATE HAI 



YEHI RAKHTE HAI ROZE RAAT DIN HAI YE DUA KARTE FARIZA KHUMS KA HAR DOR PAR HAI YE ATA KARTE ALI WAALE NAHI HARGIZ NAMAAZO KO KAZAA KARTE NAMAAZO ME KHUDA KE SAAMNE SAR KO JUKAATE HAI 





AISE HOTE HAIN ALI KE NAUKAR  DEKH KAR MISSAM O SALMAAN KO KEHTI HAI NAZAR AISE HOTE HAIN ALI KE NAUKAR  


VAQT PAR VAQT KI RAFTAAR BADAL DETE HAIN FITRATE KHANJAR O TALWAAR BADAL DETE HAIN DAAR PAR LEHJA E GUFTAAR BADAL DETE HAIN ZERE KHANJAR BHI SADAA DETE HAIN HAIDAR HAIDAR 


TUMNE MOLA KI MOHABBAT KA NAZAARA DEKHA LASHKARE KUFR ZIYAADA THA MAGAR HAAR GAYA CHAND AFRAAD NE LUBNAAN KA NAKSHA BADLA BHAAGNE VAALE ZARA DEKH TO PITCHE MURH KAR 


ISHQE HAIDAR KI YE TABLIGH KIYA KARTE HAIN AISE DIWAANE HAIN DAANAAYI ATAA KARTE HAIN AQL WAALE INHEIN BEHLOOL KAHA KARTE HAIN HAA MITTI SE BANA DETE HAIN YE KHULD KE GHAR 


QASRE BAY’AT KE SUTUNON KO GIRAANE KE LIYE APNAA GHAR QALBE PAYAMBAR ME BANAANE KE LIYE JHUTIYAAN SIBTE PAYAMBAR KI UTHAANE KE LIYE HUR NE HASTE HUWE DUNYA KO LAGAADI THOKAR 


MARKE BHI ULFATE HAIDAR NAHI MARNE DETI BAAT YE HAZRATE SALMAAN NE SAABIT KARDI BAAD MARNE KE AGAR INKO BOULAAENGE ALI MAUT KI GOD SE LABBAYK KAHENGE UTH KAR 






ZINDAGI KA BHAROSA NAHIN, ZIKR E HAIDER KIYA KIJIYE AKEEBAT BHI SAWAR JAYE GI, YEH FARIZA AADA KIJIYE. 


LAKH SAJDE KIYE JAYE, PHIR BHI BAKHSISH NA HO PAYE GI YEH MOH’D KA FARMAN HAI, IN KAY GHAR SAY WAFA KIJIYE. 


MAR BHI JAAYE TO MARTE NAHI, HUM TO KASRAT SE DARTE NAHIN KUFR HAI AGAR WILAYE ALI, HUM KO KAFIR KAHA KIJIYE. 


DAR PAY AA KER YEH SHABIR KAY, AIK RAHIB NAY KI ILTAJA MAIN SAWALI HOUN SHAH E ZAMAN, MUJKO BAITAY AATA KIJIYE. 


BUGHZE HAIDER HAI BUGZE NABI, YE NAJASAT HAI SAB SAY BARI JO ALI SAY ADAWAT RAKHAY, DUR US SAY RAHA KIJIYE. 


DO FARIQAIN MAIN AIK HI, HAQ PAY HOTA HAI AIE DOSTO KOUN JANG E JAMAL MAIN MAGAR, HAQ PAY THA FAISLA KIJIYE. 


YA ALI MUKHTAR HAIN, ANBIYA KE MADAD GAR HAIN JITNAY MOMIN HAIN UQDA KUSHA, UNKI HAJAT RAWAN KIJIYE. 


AAL E AHMED KAY ZAKIR MUHIB, ZIKR GHAIRON KA KERTAY NAHIN APP SHAYER HAIN IMRAN KE, MAQABAT HE LIKHA KIJIYE. 


ZINDAGI KA BHAROSA NAHIN, ZIKR E HAIDER KIYA KIJIYE AAQBAT BHI SANWAR JAYE GI, YEH FARIZA AADA KIJIYE. 





LAAZIM THI MUJHPE RADDE BALA KYA BURA KIYA NADE ALI SE KAAM LIYA KYA BURA KIYA 


KHALIQ SE MILTI JULTI HAI TASWEER AAPKI ISME NUSERIYON NE BHALA KIYA BURA KIYA 

JISME SHARAABE ISHQE ALI KI RAMAQ NA THI WO JAAM MAINE TOR DIYA KYA BURA KIYA 

JISNE HALAQATON SE BACHAYA THA SHAYKH KO MAINE USI KA NAAM LIYA KYA BURA KIYA 
BADLO NA ITEHAAD KE BISTAR PE KARWATEN MAINE KAHA BURAY KO BURA KYA BURA KIYA 

JATA HAI KHUD TAWAAF KO KABA BHI KARBALA PHIR MAINE JAA KE KARBOBALA KYA BURA KIYA 

KHALIQ KI BAARGAH ME TAKHEER DEKH KAR MANGI ALI KE DARPE DUA KYA BURA KIYA



Sher-e-Khuda (as) o Zaigham-e-Daawar (as) Ali (as) Ali (as)

Nafs-e-Rasool-e-Khaaliq-e-Akbar Ali (as) Ali (as)

Uqda Kusha (as) Haiñ Fatah-e-Khaibar (as) Ali (as) Ali (as)
Haq Ke Wali (as)-o-Saaqi-e-Kausar (as) Ali (as) Ali (as)

Khairunnisa-o-Malka-e- Tat'heer (sa) Al Madad
Lena Hai Mujh Ko Naam-e-Mutahhar Ali (as) Ali (as)

Bid'at Nahiñ Hai Sher e Khuda (as) Ko Pukaarna
Mushkil Me Thi Nida-e-Payambar (as) Ali (as) Ali (as)

Mushkil Kabhi Na Aap Ke Qariye Me Aayegi
Baazu Pa Baañdh lijiye Likh Kar Ali (as) Ali

Taayer Mere Khayaal Ka Lafzoñ Ke Waaste
Awaz De Raha Hai Barabar Ali (as) Ali (as)

Kaabe Se Mu Phirate Haiñ Imran (as) Ke Udu
Kaaba Jo Un Se Kahta Hai Hañs Kar Ali (as) Ali (as)

Zikr-e-Ali Ibadat-e-Uzma Hai Is liye
Shaam-o-Saher Ho Kyuñ Na Zabaañ Par Ali (as) Ali (as)

Aakhir Hisaab-e-Qabr Se Wahshat Ho Kis Liye
Hoga Wahañ Bhi Meri Zabaañ Par Ali (as) Ali

Is Rukh Se Sochiye To Nusairi Ki Kya Khata?
Ausaaf-e-Haq Hi Kahte Haiñ Aksar Ali (as) Ali (as)

Misl-e-Ghadeer Nara-e-Haidar (as) Agar Lage
Mehfil Me Bolo Hath Utha Kar Ali (as) Ali (as)

Gul Kazmi Hai Jab Se Dar e Ahlebait (as) Par
Kahne Laga Hai Us ka Muqaddar Ali (as) Ali (as)




Mein hoon Abu-Talib (A.S), meri pehchan yehi hai,
Kehtay ho nabuwwat jisay, gaudi mein pali hai,

Paida hua ghar mein meray Payambar-e-Akbar (saw),
Baitay ki wilaadat meray Ka'abeh mein hui hai,

Ghar mein hai nabuwwat meray, ghar mein hai imaamat,
Jo maalika-e-Jannat (S.A) hai, bahu mujhko mili hai,

Kia hai mera eemaan, ab poochho Khuda say,
Bachpan mein nabuwwat meray seenay pay rahi hai,

Jo hum bhi na hotay tau yeh Ka'aba bhi na hota,
Ka'abeh ki yeh bunyaad meray Jadd (A.S) nay rakhi hai,

Qura'an mein maujood meray naam ka surah,
Pala hai nabuwwat ko, sana tab yeh mili hai,

Aye Khaliq-e-Qura'an, teray Qura'an ki ayat
Ayi na thi duniya mein, magar mein nay parhhi hai,

Talwaar kay seenay mein sulaya hai Ali (A.S) ko,
Tab ja kay Muhammad (S.A.W.W.A) ki kaheen jaan bachi hai,

Fatwa tau lagatay ho, magar yaad yeh rakhna,
Parday say ek aulaad meri daikh rahi hai.




Chod Kar Jisko Jaha Fatema Zahra (sa) Aaye,
Ye Wo Jannat Hai Jise Farshe Azaa Kahte Hai.
Jab Ye Pucha Ke Zamin Par Bhi Koi Jannat Hai,
Hum Ye Bole Ke Usey Karbobala Kahte Hai.

Dushmane Aale Mohammad To Hai Zinda Laashe,
Bas Ali (as) Waalo Ko Zahra (sa) Ki Dua Kehte Hai.
Sar Udaa Sakti Hai Aada Ki Jo Patto Ke Tarah,
Ussko Abbas Ke Naizo Ki Hawa Kahte Hai.

Kahana Jayez Nahi Mitti Ka Shariyat Me Magar,
Jisko Khate Hai Usey Khake Shifa Kahte Hai.
Majlise Sheh Me Jo Battaa Hai Tabarruk Meraj,
Ahle Irfaan Usey Rooho Ki Giza Kahte Hai

Apni Janib Se Tabarrah Nahi Karte Hum Log,
Jinko Zahra Ne Kaha Unko Bura Kehte Hai.
Aale Imran Ke Dushman Ko Buraa Kahte Hai,

Hum To Khatoone Qayamat Ka Kaha Kehte Hai



Meri Zabaan Par Qasida Aina Gar Kaa,
Khafa Hai Isliye Mujhse Mijaz Patthar ka,
Meri Hayat Aza Khanaye Shahe Deen Hai,
Mujhe Khabar Nahi Mahaoul Kya Hai Bahar Kaa.

Wo Zalzala Wo Mere Labpe Wird Nad e Ali.
Zamin Sarak Gayi Lekin Yakeen Nahi Sarka,
Khilaafe Matame Sarwar Ye Soch Kar Bolo,

Sunaai Dene Lagega Yazid Andar Ka.



Sarwar Jo Chahte The Wo Huwa Karbala Ke Baad,
Jagah Dilo Me Khaufe Khuda Karbala Ke Baad.
Khoone Husain (as) Kholgaya Raaste Tamaam,
Islam Phir Safar Pe Chala Karbala Ke Baad.

Tarikh Ne Yazid Ko Dhunda Bahut Magar,
Zere Zamin Bhi Na Milaa Karbala Ke Baad.
Hur Aagaya Husain Ki Jaanib Ye Soch Kar,
Bakhshe Kaun Meri Khata Karbala Ke Baad.

Mazur Tha Jo Qalbe Ali Or Batul Ko,
Mukhtar Ne Wahi To Kiya Karbala Ke Baad.





Zikre Ali Rawa Hai Meri Zindagi Ke Saath,
Jari Hai Raushni Ka Safar Raushni Ke Saath.
Kagaz Bahar e Khuld Ki Taswir Hogaya,
Likha Tha Maine Naame Ali Sadgi Ke Saath.

Bas Manzilo Ka Farkh Hai   Dozakh Ho Ya Bahist,
Tum Bhi Kisi ke Saath Ho Hum Bhi Kisi Ke Saath.
Daste Ajal Zara Mera Chahera Sawaar De,
Kuch Pal Guzaarna Hai Lahad Me Ali Ke Saath.

Hum Log Aaj Bhi Hai Mukhalif Yazid Ke,
Eylaan Karrahe Hai Ye Sina Zani Ke Saath
Koi Kise Ke Saath Hai Koi Kisi Ke Saath,
Allah Mere Saath Hai Mai Hu Ali (as) Ke Saath.

Uss Aadmi Ka Naam Hai Tarikh Me Husain (as),
Pyasaa Khada Hai Dasht Me Dariyadili Ke Saath.
Haider Ki Adawat Me Jo Aqqas Bangaye,
Unki Naamaz Bhi Gayi Angushtari Ke Saath

Kyu Bhulgaye Log Musalman Ki Amma
Junge Jamal Me Aayi Thi Ladne Ali Ke Saath




Abbas tera naam bhi kya Naad e Ali hai,
Jab naam liya tera balaa meri tali hai,
Abbas katey haathon se dete hain itna!
Hairat se sakhaawat ye khadi dekh rahi hai.

Main hoon dar e Abbas hai aur meri jabeen hai,
Sab kehne ki batein hai falak hai na zameen hai.
Zakmi hai magar karbobala kitni haseen hai,
Jannat kaheen dunya mai agar hai tu yahin hai.

Utna hi yaqeen hai teri imadaad ka mujhko,
Jitna mujhe Zehra ki dua'on ka yaqeen hai.
Kyon midhat e Abbas mein luknat hai zubaan ko,
Dekho kahin mehfil mein Sakina to nahin hai.

Kab mashk chhidi yaad hai Abbas ko lekin,
Kab kat gaye shaane ye unhe yaad nahin hai.
Ham-rahe Imam ayenge Abbas bhi ek din,
Is baat ka har toote huwe dil ko yaqeen hai.




Husain Arsh Se Tashrif Laane Wale Hai,
Siyaah Raat Tujhe Jagmaga Ne Waale Hai.
Tum Apne Apne Dilo Ko Sambhal Kar Rakhna,
Ke Hum Fazial e Haidar Sunaa Ne Wale Hai.

Ali Ko Kaise Madat Ke Liye Pukarenge,
Jo Unka Naam Azaan Se Hataane Waale Hai,
Malak Uthaaye Mehshar Me Unko  Haato Se,
Ke Jo Zamin Se Tabarruk Uthaane Waale Hai.

Adaawato Ke Parindo Tumhe Khabar Hi Nahi,
Hamare Paas Bhi Achche Nishaane Wale Hai.
Bahut Thake Ho Sitaaro Falak Pe Sojaao,
Ke Abb Ye Ashqe Azaa Zhilmilaane Waale Hai.

Yahi Hai Sakiye Kausar Ke Asl Sehdayi,
Ye Jo Sabilo Pe Paani Pilaane Wale Hai
Buzurg Mauje Ye Kehti Thi Khurd Lahro Se,
Salaam Karna Ke Abbas Aane Waale Hai.

Atta Hussain  Abb Hum Sunane Waale Hai

Husain Hur Ka Mukaddar Banane Wale Hai.


Sab Ke Sab Aabo Taab Me Suraj,
14 Hai Intekhaab Me Suraj.

Raat Hote Hi Hogaya Tabdeel,
Paikar e Mahtab Me Suraj.

Chumkar Paaye Mahdi E Mauood,
Huwa Shamil Nisaab Me Suraj.

Roz Jaakar Chiraag Hota Hai,
Taake Gardu Aab Me Suraj.

Yu Hateli Pe Meri Askhe Azaan,
Jaise Rakh kha Hai Jaan Me Suraj.

Maine Likhkha Bahut Andhera Hai,
Usne Bheja Jawab Me Suraj.

Taare Palko Pe Rakhke Sojaao,
Aake Chumlega Khwaab Me Suraj.

Ek Zarra Hai Aur Kuch Bhi Nahi,
Nigahe Buturab Me Suraj.

Uska Parchataao Hai Ye Jo Samne Hai
Asl Me Hai Hijaab Me Suraj.

Ek Kiran Bhi Kabhi Na Bheje Ga,
Sahme Nasle Kharab Me Suraj.

Aksar Abb Zere Bahas Rahta Hai,
Ijtemma e Gurab Me Suraj.

Ek Din In Mukassiro Ko Zarur,

Daaldega Azaab Me Suraj.





                        اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

2 comments:

  1. Thanks a bunch for sharing! The Naat Lyrics collection is a testament to the beauty of Islamic praise and worship.

    ReplyDelete