Showing posts with label Salaam. Show all posts
Showing posts with label Salaam. Show all posts

Marsiya & Salaam

                                     بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم           وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا

                                                        Marsiya & Salaams 




1) Ghabraegi zainab Ghabraegi zainab

Bhaiya tumhein ghar jaa ke kahan paaegi zainab

Kaisa ye bhara ghar hua barbaad elaahi
kya aayi tabahi,
Ab is ko na abaad, kabhi, paaegi zainab
ghabraegi zainab....

Ghar jaa ke kisay dekhegi qasim hai na abbas
akbar se bhi hai aas,
Apne ali asghar ko kahan, paaegi zainab
ghabraegi zainab...

Poochenge jo sab log ke baazu pe hua kya
ye neel hai kaisa,
Kis kis ko nishan rassi ke, dikhlaegi zainab
ghabraegi zainab...

Phat jaaega bas dekh ki hi ghar ko kaleja
yaad aaoge bhaiya,
Dil dhoondega tum ko to kahan, paaegi zainab
ghabraegi zainab...

Be parda hui qaid bhi khaahar ne uthaai
aur maut na aayi,
kya jaane ye kya kya abhi, dukh paeegi zainab
ghabraegi zainab...




2) Majboor Hu Behna 

Majboor hoo behna tumhein dafna nahi sakta
qaidi hoo sakina mai kafan laa nahi sakta

Laasha mai akele hi uthaunga tumhara
ghairon se tera laasha mai uthwa nahi sakta

Laachaar hai sajjad se kyon rooth gayi tum
beemar gohar aapke dilwa nahi sakta

Tum khabr may aaraam karo baali sakina
mai leke tumhein ya-se wahan jaa nahi sakta

Behna inhi kapdo may tumhein dafn karoonga
majboor hoon nanha sa kafan laa nahi sakta

Abbas chacha aao sakina ko manao
mai leke usay aapke paas aa nahi sakta

Taboot uthaane ko na akbar hai na abbas
mai ehlay watan ko yahan bulwa nahi sakta

Mai kaise khabar doo tere marne ki pidar ko
wo aa nahi sakte mai wahan jaa nahi sakta.



3) Salaam e Aakhir

Salam khaak nasheeno pa sogwaron ka
Ghareeb dete hai pursa tumhare pyaro ka

Salam un pa jinhe sharm khaaye jaati hai
Khule saron pe aseeri ki khaak aati hai

Salam us pa jo zahmat kashe salaasil hai
Musibaton may imamat ki pehli manzil hai

Salam bhejte hai apni shahzadi par
Ke jisko sawnp gaye marte waqt ghar sarwar

Musafirat ne jise bebasi ye dikhlayi
Nisar kar diye bache na bach saka bhai

Aseer ho ke jise shaamiyo ke narghay may
Husainiyat hai sikhaana ali ke lehje may

Sakina bibi tumhare ghulam haazir hai
Bujhe jo pyas to ashkon ke jaam haazir hai

Ye sin, ye hashr ye sadmay naye naye bibi
Kahan pa baithi ho qaime to jal gaye bibi

Pahaar raat bari der hai sawere may
Kahan ho shaam-e-ghareeban ke ghup andhere may

Zameen garm, yateemi ki sakhtiyan bibi
Wo seena jis pa ke soti thi ab kahan bibi

Janaab-e-maadar-e-baysheer ko bhi sab ka salam
Ajeeb waqt hai kya dein tasalliyon ka payam

Abhi kaleje may ek aag si lagi hogi
Abhi to godh ki garmi na kam hui hogi

Nahin andhere main kuch soojhta kidhar dhundhen
Tumhara chaand kahan chhup gaya kidhar dhundhen

Na is tarah koi kheti hari bhari ujdi
Tumhari maang bhi ujri hai godh bhi ujdi

Nahi layeeno may insaan koi khuda hafiz
Darinde aur ye be-warisi khuda hafiz

Shareek-e-haq darood-o-salam-e-payghambar
Salam sayyid-e-lawlaak ke lute ghar par

Salam mohsin-e-islam khasta tan laasho
Salam tum pe shaeedon ke be kafan laasho

Salam tum pe rasool-o-batool ke pyaro
Salam mehr-e-shahadat ke gird sayyaro

Bache to agle baras ham hain aur ye gham phir hai
Jo chal base to ye apna salaam-e-aakhir hai




4) Zehra (s) Pursa Lo Bahattar Ka.

Karbal ki kahani jab koi bhi sunayega
Dil walon ki aankhon se ek darya baheyega


Wo khafela sarwar ka jo shaan se nikla tha
Sughra ko khabr kya thi na laut ke aayega
zehra zehra pursa lo bahattar ka...

Tooti hai kamar sheh ki ghabra na magar akbar
Farzande nabi teri mayyat ko uthayega
zehra zehra akbar ka bhi pursa lo...

Pamaal hua qasim jab ghodon ki tapon se
Kis tarha chacha teri mayyat ko uthayega
zehra zehra qasim ka bhi pursa lo...

Tha hathon ke katne ka kuch gham na dilawar ko
Saydaniyo ka parda ab kaun bachayega
zehra zehra abbas ka pursa lo...

Sarwar ne uthaye thay sab saathiyon ke laashe
Shabbir tera laasha ab kaun utheyga
zehra zehra shabbir ka pursa lo....




5) Mujrae Khalq Me 

Mujrae qalq may in ankhon ne kya kya dekha
Par kaheen sibte payambar sa na aaqa dekha

Maine dekha alam e shah ko aaluda e khoon
Maine abbas ko bejaan labe darya dekha

Maine dekha ali asghar ka gala khoon may tar
Maine zaqmi ali akbar ka kaleja dekha

Ek ghatri shahe deen pusht pe laaye usmay
Maine tukde huye qasim ka sarapa dekha

Berida qalq ne us bibi ke sarko dekha
Jiski maadar ka kisi ne na janaza dekha

Kehti thi zainab e muztar ke khuda qair kare
Raat ko khaab may uryan sar e zahra dekha




                   اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن