Hindu Poets About Imam Husain as

 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم   وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا
oijim77

e u my u


Best 2 Lines Poems Imam Husain (as) 



Allamah Iqbal:
Ajab Mazak Huwa Islaam Ki Taqdeer Ke Saath,
Qatl Husain Huwe Naraye Taukbir Ke Saath.




Josh Malihabadi :

Insaan Ko Baidaar To Ho Lene Do,
Har Qaum Pukaray Gi Hamare Hain Hussain



Janab Mir Anees

Rone Walon Ka Bhi Kya Rutba Hai Subhan Allah,
Jin Kay Ashkon Ka Kharidar Khuda Hota Hai.




Allama Muhammad Iqbal :

Islam Ke Daman Men Bas Is Ke Siva Kya Hai
Ek Zarb-E Yadulla Hi Ek Sajda-E Shabbiri





Iftekhar Arif :

Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahin raha,
Magar tumhare baad zaalimon ka ddar nahin raha





Muhammad Ali Jauhar :

Qatl-E Hussain Asl Men Marg-E Yazid Hai
Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Baad




Janab Bilal Kazmi

Ghame Husain (as) Me Jo Sogwar Hota Hai

Kisi Bhi Mulq Ka Ho Ussey Pyaar Hota Hai



Ashaar Ahlebait

Karbala Ke Zikr Pe Hai Kisliye Paabandiya,
Kya Razi Allah Bhi Koi Safey Katil Me Hai



Ashaar Ahlebait

Abb Tabarruk Kat Rahi Hai Zindagi Apni
Ghame Husain Hai Izzat Meri Bachaye Huwe





Khwaja Moinuddin Chisti :

Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain, Deen Panah Ast Hussain
Sar Dad, Na Dad Dast, Dar Dast-E-Yazeed
Haqaa Key Binaey La Ila Ast Hussain



Hindu Poet Shayari On Imam Husain (as)



Rajender Kumar. :

Is Qadar Roya Main Sun k Dastan-E-Karbala, 

Main To Hindu Hi Raha, Aankhein Hussaini Ho Gayi.




Poet : Ram Bihari Lal "Saba"

Karbala me ek bahana tha Hussain ibn Ali

lene waale ne liya thaa imtehan-e-Mustafa





Chandra Shekhar Saxena :

Baad marne ke bhii matam kii sada aati rahi

Log hairat se meri chitaa ko dekha kiye.





Gauhar Prasad Nigam "Vilayat" Gorakhpuri:

Khuld uskii haii, khayba.n uska, Kausar us ka hai
Jis ko ulfat haii Vilayat aal-e-Payamber ke saath




Munshi Lakhman Narayan "Sakha" :

Nazar aa jatii haii bazm-e-azaa se rah jannat kii
Shaheed-e-Karbala ke gham me jab rokar nikalte hai




Mahendra kumar "Ashq" :

Ab na samjhna mujhe sab ne wali likkha hai

Mere maathe par Hussain Ibn Ali likkha hai.




Chandra Sharma “Bhuvan” Amrohi:

Hind me kaash Hussain ibn Ali aa jaate
Choomte un ke qadam palke bichhate Hindu




Poet : Kishan Laal

Dekh Mandir Se Apni Masjid Ko,
Sab Jamaat Ne Haat Bandhe Hai,
Jisne Zainab Ke Haath Bandhe The,
Uske Kudrat Ne Haath Bandhe Hai.




Bhuvan Amrohi

Pyaase Abbas kis liye rahte
Jalwe har mauj mein sama jaate
Karbala ki Furat ke badley
Kaash Ganga kinaare aa jaate.




Prof. Jagannath Azad :

Toofan barpa hai garm haii maiidan-e-Karzaar
haii qatilo me mahve fughan ek shahsawar

ibleesiyat iidhar haii, udhar insaan ka waqar
tanha Hussain or yaziidi kai hazaar

aii gardish-e-zamaana thahar zaraa yahi.n
aiisi misal phir na milegi tujhe kahi.




Gopi Nath (Hindu Poet):

Ho tou jaoon mein Musalman magar ek gham hey
Ho na jaoon kahin rastay ko bhulanay wala
Sun bhi rakha hey, kitabon mein perha hey mein nay
Ek Musalman tha Zehra ko rulanay wala.



Na-cheez hoon mein qabil-e-tauqeer nahi
Taqreer meri laiq-e-tehreer nahi
Kafir kaho mushrik kaho jo kehna hey keh do
Hindu hoon magar dushman-e-Shabbir nahi.



Bey-deen hoon bey-peer nahi
Hindu hoon magar qatil-e-Shabbir nahi
Husain Maula agar Bharat mein aata
Tou parday mein utara jata
Yeh chand Bani Hashim ka dhokay se mara jata
Na bazu qalam hotay na pani band hota
Ganga kay kinaray Ghazi ka Alam hota




Poet Kishanlal :
Mai Hindu Hoke Bhi Dushman Nahi Hu
Nabi Ki Aal (AWS) Ko Shikwa Nahi Hai
Mere Mathe Ki Surkhi Par Na Jaao,
Tilak Hai Khoon Ka Dhabba Nahi Hai.



Aankh mein unki jagah, dil mein makaa Shabbir ka 
Yeh zamee Shabbir ki, yeh aasmaa Shabbir ka
Jab se aaney ko kaha tha, Karbala se Hind mein
Ho gaya uss rozz se, Hindostaan Shabbir ka.




Jaam pay jaam piya aur musalman rahay,
Qatl imamonh ko kiya aur musalman rahay,
Yehi deen hai to is deen se tauba"Mathur"
Shaq peyamber paykia aur musalman rahay, 
Jis ne paala payamber (Saww) kowo raha kafir,
yazeediyon nai qatal-e-Shabbir ( As) kiya aur musalman rahay.





Kabhi tha sabr-e-khalil aur ab sabr-e-Husain
wo ibtedaa ke liye ye intehaa ke liye
Ali ka roza agar dekhtey hain aiy Mathur
humaare haath bhi uth jaatey hain dua ke liye




Kam jiski ziya'ay hon woh tanveer nahin hoon 
Biddat se jo mitjaye woh tasveer nahin hoon 
Gham hai meri fitrat mein to gham karta hoon Mathur 
Hindu hoon magar dushman-e-Shabbir nahin hoon




Mahender singh "Ashk" :

Muhammad (saw) jiske nahin uska khuda hota nahi
Peyshiya parti hai lekin faysalah hota nahi
Ashk yeh eeman hai mera Zikr hayder (as) ka
Rahey to hadsah hota nahi !!



Sada rakhee thi ajab baraat paani ki
Bohot kartey thay ashrar-e-yazeedi (la) paani ki
Pohnchey dariya par, thokarey maari aur chale aye
Baata di hazrat-e-abbas (as) ney auqaat paani ki




Yeh meri aanko key aanso na sookh jai kaheen
Janab-e-fatima zahra (as) ko moon dikhana hai
Mein hindoon ko husayni (as) bananey nikla hoon
Jo jal rahey hain unhe aur bhi jalana hai !




Sab Sorahe Hai Chain Se Bahon Me Neend Ki,
Wo Jaagte Hai Jinko Tera Intezaar Hai.



Poet : Jai Singh Sikh.

Hai aaj bhi zamanay maeyn charcha Hussain ka

Chalta hai kayenaat maeyn sikka Hussain ka

Bharat maeyn gar wo aatay, Bhagwan kahtay hum


har Hindu naam pooja maeyn japta Hussain ka

Iss maeyn naheen kalaam kay hum but parast haeyn


Aankhon say apni choomaeyn gay rauza Hussain ka

Hum paapion kay samnay Hur ki misaal hai


Chamkata hai naseeb ishara Hussain ka

Saahil say sar patakti piyaason ki yaad mein,
Lay, lay kay naam Ganga aur Jamna Hussain (a.s) ka;

Ravan ki tarah mitt gya duniya say Yazeed,
Lekin dilon pay aaj bhi hai qabza Hussain (a.s) ka.

Ahlay Wila to parrhtay haeyn kalma Rasul ka

Hum hindo'oan nay parrh liya kalma Hussain ka


Sar apna jo patakti hai piyason ki yaad maeyn


Laytee hai naam Gunga o Jumna Hussain ka

Jai Singh panaah mangay gee mujh say narak ki aag


Maeyn Hindu hoon, magar hoon maeyn shaida Hussain ka.




Baswa Reddy Hindu Poet On Husain (a s) :

Teri Dunya main Khuda e Husain
Mera Koie naheen sewa e Husain
Ab nazar maen koi naheen jachta
Aise Jalway mughe dikhae Husain

Jaan bhi doon to haq na hoga ada
Jaan kya hai meri ata e Husain
Mera kya zikr meri hasti kya
Ambiya ke bhi kaam aaye Husain

Waqt ka feel woh Sulemaan hai
Sidq e dil se hai jo gadae Husain
Koi samjha hai aur na samjhe ga
Ibteda hai aur inteha hai Husain

Ganga se jub poncha main Kousar par
Dekh khar muj ko muskooriye Husain.
Be khuda dil se be hoon, Fida e Husain.
Mera Koi naheen sewa e Husain.




Poet : Kunwar Mohinder Singh Bedi Sikh :

Lubb pay jab Shah-e-Shaheedaan tera naam aata hai
Saamnay Saqi-e-Kauthar liay jaam ata hai
Mujh ko bhi apni ghulami ka sharaf day dijio
Kota sikka bhi to aaqa kabhi kaam ata hai.



Zinda islam ko kiya too nay
Haq o batil dikha diya too nay
Jee ke marna to sabko aata tha
Mar ke jeena sikha diya too nay




Hindu Shayar: Anonymous

Shabbir tere naam pe sar kham karenge hum,
Baad e fanaa bhi yaad tera gham karenge hum,
Angaare mojize se agar phool ban gaye,
Apni chitaa pe aag ka maatam karenge hum.




4 comments: