13 RAJAB WILADATE IMAM ALI IBNE ABUTALIB (A.S) MUBARAK

 

                     بسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم  وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا




13 RAJAB WILADAT E MAULA E QAYENAAT ALI IBNE ABI TALIB A.S. MUBARAK


ALI (a.s.) Ke Zindagi Ke 2 Rukh Hai 

Tawakkul Ke Takiye Par Yakin Ke Bister Par,

Itmenaan Ki Chaadar Odhe Huwe, 40 Baras. 

Naarey Haidari Ya Ali a.s. Madad Haq Haidari.


Best 2 Line 13 Rajab Wiladat of Maula Ali a.s. and Ashaar others.


Ali (as) Ne Chun Liya Kaabe Ko Aamad Ke Liye Warna,

Zamana Hajj Ke Mausam Me Abutalib (a.s.) ke Ghar Jaata.



Ali (as) Ke Pyaar Kaa Yu Eyteraaf Kar Baitha,

Ke Apne Ghar Me Khuda Bhi Shegaaf Kar Baitha.



Masjid Me Tujhko Naara e Haider Nahi Gawaar, 

Jaa Murtuza (as) Ko Kaabe Me Aane Se Rokde.



Unki Taharato ka Tasavvur bhi hai Muhaal,

Paida Jaha hue use Kaaba banaa Dia.



Mera Dil Hai Ke Har Haaji Se Puchun,

Ali (a.s.) Ka Ghar Tumhe kaisa Lagaa Hai.



Ali ki jaa-e-wilaayat hai Khana e Kaaba,

Jahaan mein is se badi aur kya fazeelat hai,

Tawaaf e Kaaba hai laazim har ek musalmaan par,

Tawaaf e Kaaba ka matlab Ali ki Baiyat hai.



Agar kaabe Me Aana Fakat Ek Haadesa Hota,

Ye Nishaan Jo Abb Tak Hai Kab Kaa Mitt chuka Hota,

Mai Aksar Sochta Hu kaabe Ko Dekh Kar Mohsin

Jis Ke Aane Pe Sajde Hai Wo Yaha Agar Rahta To Kya Hota.



Jab bint-e-asad (s.a) aa gain baitullah ke dar pe,

Deewaar ne sajda bhi kia ghar k wali ko,

Kehti hain ye deewaar me maojud dararen,

Is ghar ne bohot toot ke chaha hai ALI(a.s) ko.




Aaj Kaabe Me Hai Aamad Natik e Quraan Ki,

Yani Karam al Allah Wajho Murtuza Zeeshaan Ki, 

Khil Uthi Hai aaj Diwaare Haram Bhi Dafaatan,

Dekh Kar Aamad Khuda Taala Ke Ghar Mehmaan Ki.



Ambiya ki mushkilon mein kaam aaye har jagah,

Aag mein gulshan bane toofaan mein langar bane,

Aaj tak Islam ne dekha nahi ye mojiza,

Baab e Kaaba band ho deewar e Kaaba dar bane.



Hadise hukme Risaalat ki tarjuma thhehri,

Sabab Ali se mohbbat ka meri Maa thhehri,

Ali Wali ke adu apni maa se puuchh zara,

Kahaan kahaan se wo guzri kahaan kahaan thhehri.



Be-Rang tha hayat ka naksha tere bagair,

Khamosh tha Rasul (saws) hamara tere bagair,

Aai Kalbe Mustafa ki Dua Khush - Aamadid,

Sadiyon se bekarar tha KAABA tere bagair.



Kyu kayenat sari bhala naaz na kare,

Khalik ke Ghar me aaj Wiladat Ali (as) ki hai,

Jiske liye bana hai zachakhana Raab ka Ghar,

Ka'abe se pucho kaisi Taharat Ali (as) ki hai.



Tera Rajab ki raat ajab wakaya huwa,

Qibla utar gaya kaba ke jauf me,

Mulla Namaz me bhi hai dekhe idhar udhar,

Aab tak thairi hai teri aankhe Qayamat ke khauf me.

 


Yeh Naam moatabar hai ise baar baar lo,

Mushkil Agar padhe to Ali (as) ko pukaar lo,

Kar ke tawaaf-e-Kaaba ka Sahabiyo'n,

Haider (as) ki Janmabhumi pe kismat sawar lo.



Allah (st) ne banake zacha khanay-e-Ali (as),

Kaabe ki choti si had-e-Meyar tod di,

Mehmaan ki Mezbaani ki Meraj dekhiye,

Khalik ne aapne ghar ki hi diwaar tod di.

 


Godi Nabi nur se pur nur ho gayi,

Tanhai aab Rasul (sa) ki kafur ho gayi,

Binte Asad ke Rob we Jalalat ko dekh kar,

Diwaar khud dar banane pe majbur ho gayi.



Jashne Maulade Kaaba manate raho,

Momino khuld me ghar banate raho,

Khwabe gaflat me hai ye Zamana abhi,

Naraye Haidari se Jagate raho.



FARAZ E DAAR SE MISAM BAYAAN DETE HAI,

RAHEGA ZIKR E ALI HUM ZABAAN DETE HAI..

AUR BAAT JAB JAA E WILADAT E ALI KI AAYI,

KHUDA NE KAHA APNA HUM MAKAAN DETE HAI.

 


ABHI TO BINTE ASAD THEEN TAWAFE KAABA MEN,

KI PATHARON PE AJEEB LAALI THI,

KHUDA KA SHUKR KI EK SIMT RUK GAYEN WARNA,

HAR EK SIMT SE DEEWAR PHATNE WALI THI.



13 Rajab Ajab Ye Khushi Leke Ghar Aaya,

Binte Asad ka Laal hai Khaliq k Ghar Aaya,

Baad e Rasul (s) Duniya me Khayr ul Bashar Aaya,

Yaani Sadaf Jahan me Aysa Gauhar Aaya,

Godi me Mustafa k hain Jis Dam Ali Aaye.


 


Ye sharaf paya kisne ali ke siwa,

Kaun kaabe me aaya Ali ke siwa,

Ek se ek maujud the to magar,

bolo babe khaiber kisne ukhaada ali ke siwa.



Kabah Ali (a.s) k faiz se gulzaar ho gaya.

Butt khanay se jo badla bawaqar ho gaya...

Kabah Ali (a.s) ka shukr manay k wastay...

kala libass pahn k azadar ho gaya..



Aayaton ko de rahi hai madhe Haider raushni,

Lafz kaagaz par utar aaye pahen kar raushni,

Aaj Abu Taalib ka ghar Allah ne raushan kiya,

Aaj Abu Taalib ne ki Allah ke ghar raushni.



                                    اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن



No comments:

Post a Comment