Ay Rabbe Jahaan

                                             بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم     وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا


Dua  Aye Rabbe Jahaan.







Aye Rabbe Jahaan Panjetan e Paak ke Khaaliq,
Is qaum ka daaman gham e Shabbir se bhar de.

Bachchon ko ataa kar Ali Asghar ka tabassum,
Budhon ko Habib ibn e Mazahir ki nazar de.

Kamsin ko mile walwala e Aun o Muhammad,
Har ek jawaan ko Ali Akbar ka jigar de.

Maaon ko sikha Saani e Zahra ka saleeqa,
Behnon ko Sakina ki duaon ka asar de.

Ya Rab tujhe beemari e Aabid ki qasam hai,
Beemar ki raaton ko shifayaab seher de.

Muflis pe zar o maal o jawahir ki ho baarish,
Maqrooz ka har qarz adaa ghayb se kar de.

Paaband e rasan Zainab o Qulsoom ka sadqa,
Be-jurm aseeron ko rihaayi ki khabar de.

Jo maaein bhi roti hai ba yaad e Ali Asghar,
Oon maaon ki aagosh ko aulaad se bhar de.

Qismat ko faqat khaak e shifa baksh de Maula,
Main ye nahi kehta ke mujhe laal o gohar de.

Aankhon ko dikha Rauza e Mazloom ka manzar,
Qadmon ko Najaf tak bhi kabhi izn e safar de.

Jo chaadar e Zainab ki azadaar hain Maula,
Mehfooz rahe aisi khawaateen ke parde.

Gham koi na de humko siwaaye gham e Shabbir,
Shabbir ka gham baant raha hai idhar de.

Kab tak rahun duniya mein yateemon ki tarah main?
Waaris mera parde mein hai zaahir usay kar de.

Manzoor hai khwaabon mein hi Aqa ki ziyarat,
Parwaaz ki khwaish hai na Jibreel ke par de.

Jis dar ke sawaali hain Farishte bhi bashar bhi,
Awaara e manzil hoon mujhe bhi wohi dar de.

Jo deen ke kaam aaye wo aulaad ataa kar,
Jo katt ke bhi ooncha hi nazar aaye wo sar de.

Khairaat e dar e Shah e Najaf chaahiye mujhko,
Salmaan o Abuzar ki tarah koi hunar de.

Sehraaon mein Aabid ki musaafat ke sile mein,
Bhatke huwe rahroo ko samar-daar shajar de.

Sar par ho sada parcham e Abbas ka saaya,
Mohsin ki dua khatm hai ab isko asar de.
By: Shaheed Mohsin Naqvi.


                                              اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن  

2 comments:

  1. Ameen Sum Ameen Ba'Tufayl E Masoomeen Alayhis'Salaam

    اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَّ عَلَى آلِ مُحَمَّدٍ

    ReplyDelete
  2. Masha Allah Salamath rakhai Ahlaibait ke Khidmat Guzaron ko

    ReplyDelete