Ashaar Rasool E Khuda (saw)

                                   بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم   وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا







Nabi (saw) Ka Madhe Guzar mai Bhi Hu, 
Ek sarmayadar Mai Bhi Hu,
Unki Nalain Hai Mere Sarpar,
Dekh Lo Taaj daar Mai Bhi Hu.


Ya Mohammad Aisi Izzat Aap Ne Paayi Ke Bas,
Li Jidaare Khanaye Kaba Ne Angdayi Ke Bas,
Ginte Ginte Thak Gayi Taro Ki Saari Ungliyan,
Mustufa (saw) Ke Hai Zamin Pe Itne Shaidayi Ke Bas.


Zaray uss khak k tabinda sitary hongay,
jis jaga AAP (S.A.W) nay NALAIN utary hongay,
Log tu husn e amal le k chaly roz e hisab,
SARWAR hum tu faqat tere saharay hongay.



Dil men Nabi (S.A.W.W.A) ki yaad nay daira laga dia,
Saaray ghamon say aap nay mujh ko chhurha dia;
Qurban jaaoon, ya Nabi (S.A.W.W.A), aap kay jamal par,
Aap nay pattharon ko bhi kalma parhha dia.


Banayi kia Khuda nay soorat Muhammad (S) ki,
Hua aashiq wo jis nay daikh li soorat Muhammad (S) ki,
Kamal-e-husn-e-Yusuf (A.S) par faqat aashiq Zulekha thi,
Khuda jis par aashiq ho wo hai soorat Muhammad (S) ki.


Nabi ke paseene se phool bante hain,
Ali ke naqsh e qadam se Usool bante hain,
Ali ke bachchon ki shaan ka kya kehna,
Ali ke bachchon ki sawaari Rasool bante hain.


Duniya ki har fiza mein ujaala Rasool ka,
Ye saari kaaenaat hai sadqa Rasool ka,
Khushbu gulaab ki hai paseena Rasool ka,
Ho aap ko Mubarak mahina Rasool ka.


Maazi ho haal ho ke mustakbil har zamana mere Huzoor ka hai
jis ki khusbu se do jahaan mehke wo gharana mere huzoor ka hai ,
Roze mehshar unke dushman pe shamiyana mere huzoor ka hai ,
Rizq dene ka waada rab ne kiya daana daana mere huzoor ka hai.


Shaukat ye sada aati hai Sarwar ki lahed se,
Koi to mere zakhm pe marham bhi laga do,
Ya turbat e Zahra pe bana do koi saaya,
Warna mere Rauze se ye gumbad bhi hata do.


Nabi kehte the ye akser ke akser zikre haider se,
mere kuch jaa nisaaro ko badi taklif hoti hai,
tabarra bhej te hai hum jabbhi Aale ummayya pe,
to unke rishte daaro ko badi taklif hoti hai.


Milker Jo Musalman Karte Jo Nabi (saw) Ki Mid'dhat,
Zikre Sarkaar Manaane Me Maza Aata Hai,
Aap (12) Barah Ko Manate Hai Hum (17) Satrah Ko,
Ye (5) Paanch Ka Farq To Sadiyo Se Chala Aata Hai.


Bus aaj hi Haq-o-Batil ka faisla hoga,
Mazeed behas na hogi, Mubahela hoga;
Nabi k saath faqat Ahl-e-Bait (A.S) jatay hain,
Ye baat such hay k As’haab ko gila hoga;
Magar Rasool (S.A.W.W.A) samajhtay hain unki aadat ko,
Faraar ho gaye maidaan se to kya hoga ?


Mominon, dil ki aankhon se daikho, 
Mairay Aaqa (saw) aaye huay hain,
Maang lo, maang lo, jo bhi chaaho, 
Abr-e-Rehmat kay saaye chhaaye huay hain


Mufti bane Hafiz bane Aalim bane Imam
Tumko Rasul e Paak ne itna sikha diya
Kaise Chukaya Aap ne Ehsaan e Mohammed
Jisne sikhaya usko hi jaahil bata diya



Mana k Ye Ashab Aqeedat ke Nishan they
Tasleem Kiya Ahmed e Mursal ki ye Jaan they
Namoose e Sahaba k Khatibo se Zara Ye to Pucho
Ye log Muhammad k Janaze Main Kaha They.


Log meraaje Payamber ke kayal hai magar,
Baat haider ki aayi to bura maangaye,
Sabka ikraar kiya Jism ka inkar kiya,
Humne nalain dikhaai to bura maangaye.


Meraaje Rasul se ye Sabit huwa Ke,
Qainaate Arsh pe bhi jalwa Mohammed (s.a.w.) hai,
To inka pehla bhi Mohd Aur Akhri bhi mohammed s.a.,
Ye kul ke kul sirat me saare Mohammed (s.a.w.) Hai.


Nabi (s.a.w.) ka naam jo likhti hai ungliya meri,
Usi ko dekh chamakti hai aankho ki putliyaa meri,
To khwab me chuma tha ek roz Rasul s.a. ka Rauza,
Mahek rahi hai abhi tak hateliya meri.


Nalaine payamber jo hame hoti mayasser,
Hum apne liye sar ka ise taaj samajhte,
pasti me ghiraa tha jin logo ka zameer
kis tarha wo Nabi s.a.w. ki MERAAJ samajhte.


Sadka Mere Aaka ka hai aam Madine me,
Nakaamiya hoti hai nakaam Madine me ,
Jiska na taa'aluk ho aulade Payember se,
Fir Ayse Musalman ka kya kaam Madine me,
Deti na zamanat jo Aulaade payember ki ,
Qaidi ke tarah rehta Islaam Madine me.


Jalaal-e-Kibriyayi ka haseen maktoob aaya hai
Bahut din baad fakhr-e-Yusuf-O-Yaqoob aaya hai
Shab-e-Meraj Khaaliq ne Kaha ye bar sar-e-Sidra
Baharon phool barsaao Mera Mehboob aaya hai.


Kya pata tujhko musalman kise kehte hai,
kya khabar sahebe imaan kise kehte hai,
pehle padh jaake mohammad ke nikaah naame ko,
fir tu samjhega ke imran kise kehte hai.


Jung e Uhad mein rishta e Imaan todke,
Kuchh bad-naseeb bhaage Muhammad ko chhodke,
Aise moarrikheen pe laanat Khuda ki hai,
Jo waaqiyaat pesh karein tod mod ke.


Pehchaan hai chaman ki zamane me phool se,
Aaeen pur-wiqaar hai auj e usool se,
Quraan mein itaat e Yazdaan dosto,
Mashroot hai itaat e zaat e Rasool se.


Arsh waale bhi usay uqda-kusha kehte hain,
Dar pe jhuk jhuk ke Nabi Swalle Alaa kehte hain,
Ehmaqon oos ko bashar kehne se parhez karo,
Jis ke damaad ko kuchh log Khuda kehte hain.


Khuda ka zikr kare, zikre Mustafa na kare,
Hamare munh me ho aisi zubaan Khuda na kare.
Dar e Rasool pe, aisa kabhi nahi dekha,
Koi sawaal kare, aur wo ataa na kare.
Madina jaake nikalna, na shaher se baahar,
Khuda na khaasta, ye zindagi wafa na kare.
Nabi ke qadmon pe jis dum ghulam ka sar ho,
Qaza se keh do ke ik lamha bhi qaza na kare.
Aseer jis ko bana kar rakhe Madinay mein,
Tamam umr rihai ki woh dua na kare.
Kaha Khuda ne shafa'at ki baat Mehshar mein,
Pahal Habeeb kare, koi dusra na kare.


Itrat se mohabbat bhool gaye,
Wo ajr e Risaalat bhool gaye.
Bas Gaar e Hiraa ek yaad raha,
Aur bistar e Hijrat bhool gaye.
Kab maal e ganeemat bhool sakey,
Haidar ki inaayat bhool gaye.
Kaabe ki fazeelat yaad rahi,
Haidar ki wilaadat bhool gaye.
Gairon ko Nabi ka raawi kaha,
Haidar se riwaayat bhool gaye.



  



                                           اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

8 comments:

  1. Subhan Allah

    ReplyDelete
  2. Masha Allah, wonderful poetry in honor of Hazrat Muhammad ﷺ. Jazak Allah

    ReplyDelete
  3. Just awesome! ☺️💓

    ReplyDelete
  4. This is excellent

    ReplyDelete
  5. Subhanallah
    Zabardast shane mustafa s.w. main ashaar h

    ReplyDelete
  6. Mashallah keep adding new ashaar

    ReplyDelete
  7. Jazakallah khair

    ReplyDelete