Ashaar Janabe Ali Asger (as)

                                        بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم      وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا









Qaatil ko apne teer pet ha fataah ka gumaan
Asgar ne muskura ke natija badal diya


Haider ke Pisar Bole ke Yeh Mera Pisar hai.
Meri hi tarah Tujhko Yeh Tabdeel Banaata.
Fitrus !! Tujhe Parwaaz ki Jaldi hi Badi thi.
Warna Ali Asgar (as)Tujhe Jibreel Banaata.


Ek Bachche Ne Banaya Hai Tamasha Tera,
Hurmula Isse Badi Kya Teri Zillat Hogi,
Teer Khake Hi To Hona Hai Tabassum Ka Zahoor,
Isse Pahle Agar Has De To Qayamat Hogi.


Abb Mai Samjha Hurmula Ki Saans Kyu Rukne Lagi,
Gardane Beshir Ne Gardan Dabadi Teer Ki,
Jis Jagah Maidan Me Asger Musrkuraye The Wahi,
Aaj Tak Mayyit Padi Hai Hurmula Ke Teer Ki


Aankh soti hai, hamaray dil kabhi sotay nahin,
Apnay mansab ki fazeelat ko kaheen khotay nahin,
Teer kha ke, muskura ke, keh gaye Asghar (A.S) humain,
Hum hain Aulad e Ali (A.S), maidan mein rotay nahin.


Nazaan huwi Tauheed bhi is nusrat e deen par,
Masoom Ali dasht mein kya karne chala hai,
Paaoon pe khada ho nahi sakta magar Asgar,
Islam ko paaoon pe khada karne chala hai.


Ye nanhi jaan bhi haq ki asaas lagti hai,
Ye kam-sini bhi shahadat shanaas lagti hai,
Ajeeb tashna-dehen hai Rabaab ka Asghar,
Jahaan bhi naam loon uska to pyaas lagti hai.

Asgar a.s. Pe jb bhi nazam qasida kiya karo,
Wajib hai hurmula pe tabarra kiya karo,
Gar chahte ho sarwar o abbas ki khushi,
Asgar ke sath zikre sakina s.a. Kiya karo.

Hota agar jawaan ye, talwaar jo hoti,
Rakh deta har Yazeedi ka seena ye phaad ke,
Chheh maah ke Asgar ne phir bhi nanhe labon se,
Fainka Yazeediyat ka hai Khaibar ukhaad ke.



Har ek farz,har ek khandan bolega,
hussain haq pe the sara jahaan bolega,
imame waqt ki aagosh me to aane do,
ye bezban(ali asgar) 72 zaban bolega.


Asgar a.s ko muskurana tha woh muskura gaya, 
apne lahu se deen e nabi s.a.w.w ko bacha gaya,
duniya ke baap, bacho ki himmat barhate hai,
asgar a.s toh ulti baap (as) ki himmat barha gaya...


Asgar ko bi akbar sa mujahid kahuga mai,
dunia me duja aisa koi surma nahi,
bas muskura k run me qayamat macha gya,
ye kheriyat hui k wo khul kr hasa nahi


ye kehke haye moarrik ne kalam tod diya,
haske beshir ne zalim ka bharam tod diya,
Aur muskurate hai abhi tak Ali asger,
Hurmula dekh tere teer ne dam tod diya,


Wo ful sheh ne chune Ardhe nainawa ke liye ,
khilaa hai phul Madine me karbala ke liye,
Ye kehke aagaye maidan me Ali asger,
Ay baba jaan mai kaafi hu hurmula ke liye.


Jo mushkilo ko bhi mushkil me daal deta hai,
wo dubta huwa suraj nikal deta hai,
ye meri maa ne bataya tha mujhko bachpan me ,
Ali ka zikr musibat ko taal deta hai.

Kamaan chut gayi hurmula ke hato se,
tabassume Ali asger misaal deta hai,
zamane bhar ki har ek jung ka usul hai ye ,
jo haar ta hai wo hatiyar daal deta hai,


Suna hai maut aakhon me aagaye aasu,
Ajab adaa se sare intehaan hase Asger,
gale pe teer labo pe hasi kaha mumkin,
jaha pe rona bhi mushkil waha hase asger.

Kaanton ki rukaawat se kali bhi nahi rukti,
Sayyaad se phoolon ki khushi bhi nahi rukti,
Kya rokoge tum zikr e Husain ibn e Ali ko,
Tum se to ek Asghar ki hansi bhi nahi rukti.



Ek Bar Parh K Daikh Lay Tareekh e Karbala
6 Mah K Sagheer Nay Kia Kaam Kar Diya
jitna Dya Hai Khoon Muhammad K Deen Ko
Asghar Nay Maa Ka Doodh Bhi Itna Nahi Piya


Pani, pani kar gyi darya ko ek bachchay ki piyaas,
Tishnagi ko saans lenay ka qareena aa gya,
Teer kha kar hans parha Asghar (A.S) kuch iss andaaz say,
Sharm say qaatil kay maathay par paseena aa gya.


Suno! Furaat ki lehron say aa rahi hai sada,
Ali (a.s) kay laadlay potay ki tashnagi ko salam!
Najaf kay Shah (a.s) nay Karb-o-Bala kay Shah (a.s) say kaha,
Hussain (a.s), mein bhi Ali (a.s) hoon; teray Ali (a.s) ko salam !


Use nasib hay aagoshe Shah ka mimbar
Ajab khateeb hay Asgar jo bolta bhi nahi
May sharhe Khutbae Asgar likhu toh kaise likhu
Logat may uske tabassum ka tarjuma bhi nahi
Jigar ko thaam ke fauje Yazid rone lagi
Kamaal ye hai ke Asgar ne kuch kaha bhi nahi.



Har jung mein qanoon hai hathiyar say larhna,
Khanjar say kabhi, teer say, talwar say larhna,
Aata hi nahin logon ko ufkaar say larhna,
Samjhaaoon ga duniya ko mein kirdar say larhna;
Iss nasl say har nasl ko imdad milay gi,
Maa'on ko meray jhoolay say aulaad milay gi.


Jisko dekho maqsad e jail hota hai
Har aaik apne zamane ka wali hota hai
Is ghar ke buzurgo ki karun kya tariff
Is ghar ka tau Asgar bhi Ali hota hai


Ye Kehke bose Shah he deen ne mehlakaa ke liye
Khila hai phool maidaan main karbala ke liye
Wo bin-chale hi chala gaya jahaan se
Zameen taras gayi Asgar ke nakshe paa ke liye.


Abbas Dilawar Ka Phareyra Nahi Choda,
Hum Ne Kisi Bhi Haal Aqida Nahi Choda. 
Jis Shaan Se Asger (as) Suwe Maidaan Chale Hai,
Aisa Kisi Bachche Ne Bhi Jhulaa Nahi Choda.

Tu Khush Ta Bahut Raho Me Kaato Ko Bichaakar,
Sajjad Ne Lekin Tera Picha Nahi Choda.
Asger (as) Sa Bahadur Koi Hoyi Nahi Sakta,

Hadd Ye Gala Chiddgaya Hasna Nahi Chodaa.



Ye kon bay zuban hai, tumhein kuch khayal hai?
Durr e Najaf hai, Bano e baikas (S.A) ka laal hai.
Lo maan lo, tumhein qasam e Zuljalal hai,
Yasrab k Shahzaday ka pehla sawal hai,
Pauta Ali (A.S) ka tum say talabgar e aab hai,
De do, ke iss mein naamwari hai, swab hai.
Laashay kay munh ko daikh kay kehnay lagay ye Shah (A.S),
Bay-chaargi ka waqt hai, Asghar (A.S), Khuda gawaah,
Maa behnain ghar mein, baap pay yaan nargha-e-sipaah,
Ye raig-e-garm, aur ye badn-e-narm, aah, aah;
Dil saath nikla parhta hai, kyun-kar juda karoon,
Sonpoon kisay, litaaoon kahan, aah, kia karoon.


Has Diye Asger  To Quwwat Badgayi Shabbir Ki,
Cheek Uththa Hurmula Bhi Cheek Sunkar teer Ki,
Ek Bahen aur Ek Bhai Ne taqsim Yu Jagir Ki,
Shaam Zainab Ka Huwa Aur Karbala Shabbir Ki,
Koi Samjha Hi nahi Haider Hai Ya Zainab Hai ye,
Bas Sada Aaati Rahi Taswir Se Taswir Ki.
Ghar Me Ghuskar Bhai Ke Katil Pe Hamla Kardiya,
Aur Wahi Buniyaad Rakh di Matam e Shabbir Ki
Tum Samajhte Ho Hamare Haath Paao Bandh gaye,
Hum Samajhte Hai Ke Kismat Khulgayi Zanjeer Ki
Jis Jagah Maidan Me asger Muskuraaye The Wahi,
Aaj Tak Mayyat Padi Hai Hurmula Ke Teer Ki.



                                            اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

1 comment: