Ashaar Janabe Fatema Zahra (sa)

   بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم.   وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا                  







Hoti Na Gar Batool (s.a.) To Banti Na Kayenaat,
Imkaan Ka Wujud Hi Zehra (s.a.) Ki Bheek Hai,
Aur Hote Na Gar Ali (a.s.) Na Tha Kuf Batool (s.a.) Ka,
Baad Az Khuda Husain (a.s.) Ki Maa La-Sharik Hai

Shair e Ahle Bait (a.s.) Janab Shaukat Raza Shaukat




Meri koi bhi Ibadat na Mukammal hogi,
"Ho na Jab tak terey Dushman pe Tabarra Zahra(س),"
Teri Fizza(س) ko Samajh paayi na duniya ab tak,
Kaisey Samjhegi ye duniya tera Rutba Zahra(س),
Apney Baba ke liye Arsh se Aa kar tum ne,
Lafze Abtar ka Nikala hai Janaza Zahra(س)..
Tab kahi'n jaa ke Suku'n Faiz e Hazee'n Paayega,
Gaib se Aayega jab Aap ka Beta Zahra(س)..




Kis waaste Darwaza-e-Zehra pe khadhey ho,
Tumko to Ijaazat ki zaroorat nahin hoti,
Bola Malakul Maut : Qadam kaise badhaau,
Koshish to bahot karta hoon, Himmat nahin hoti.


Kyon ye amal Huzoor ko itna pasand hai,
Nakaam isme fikr e bashar ki kamand hai,
Ki umr bhar Rasool ne taazim e Fatima,
Beti ka goya baap se rutba buland hai.


Haq yeh hai ke mazloom ka haq khaati hai duniya,
Ehsaan faraamosh Fadaq khaati hai duniya,
Is Bibi ke haq mehr mein shaamil hai namak bhi,
Haan aaj bhee Zahra ka namak khaati hai duniya.


Maqaam e burg yehi hai ke phool raazi ho,
Wo khush-naseeb hai jis se Rasool raazi ho,
Jise jise kaho maanunga main Raziallah,
Magar ye shart hai pehle Batool raazi ho.


Is qadar noor ki bharmaar huwi jaati hai,
Shaam se subah namudaar huwi jaati hai,
Aye Khadija rukh e Zahra pe udhaa do chaadar,
Shama ki raushni bekaar huwi jaati hai.


Hawwa jhuka rahi hai adab se sar e niyaaz,
Saara o Aasiya ki fazeelat ka hai ye raaz,
Fizza ke waastey  qadam e paak ja namaaz,
Isa ki maa hai unki kaneezi se sarfaraz,

Ye martabe hain farsh pe binte Rasool ke,
Hooron ke gesuoon pe qadam hain Batool ke.
Islam Fatima ki seerat ka naam hai,
Tatheer Fatima ki tabiyat ka naam hai,
Imaan sabr o shukr ki aadat ka naam hai,
Zahra kitaab e dard ki aayat ka naam hai.


Qandeel e arsh, azmat e insaan hai Fatima,
Shakl e bashar mein aayat e Yazdaan hai Fatima,
Shauhar mila Khuda se, sharafat Rasool se,
Ismat samajh mein aati hai naam e Batool se.


Nigaah e Khalq mein aali maqaam ho jaaye,
Shareek e Aal e Rasool e anaam ho jaaye,
Qamar Khuda ne wo rutba diya hai Zahra ko,
Jise wo doodh pilaa de Imaam ho jaaye.


Taskeen e deen, qaraar e Payambar hai Fatima,
Kausar hai Aal, mamba e Kausar hai Fatima,
In se ataa e Khaaliq e kul ka pataa chalaa,
Ye aa gayin to naam e Rasul e Khuda chalaa,
Ye zaat yun kitaab ki tafseer ban gayi,


Lafzon mein dhhal ke aaya e Tatheer ban gayi.
Maryam se bhi Batool ko rutba siwaa mila,
Baba usay Rasool sa Khairul Waraa mila,
Beta har ek shaheed rahe Kibriyaa mila,
Shauhar mila to khulq ka uqda kushaa mila,
Har ek apne rutbe mein intikhaab hai,
Zahra hai be-nazeer Ali lajawaab hai.


Mumkin hai unko hashr mein Zahra kare na maaf,
Jo Ajr e Risaalat mein nahi karte hain insaaf,
Duniya mein apni shaan ki hai fiqr to jinhe,
Par majlis o maatam hai jinki shaan ke khilaaf.


Deen e Khuda kabhi bhi mitaaya na jaayega,
Rutba Ali wali ka ghataaya na jaayega,
Dil mein Nabi Nabi hai zubaan par Ali Ali,
Is raaste se hum ko hataaya na jaayega,
Looti hai jisne daulat e sarkar e Fatima,
Haq ki saza se usko chhudaya na jaayega.



Kehte hain jisko shaafa e Mehshar wo Fatima,
Hai jo Hasan Husain ki maadar wo Fatima,
Bete ke jiska aah kataa sar wo Fatima,
Beti ki jis ki chhin gayi chaadar wo Fatima,

Kya kya musibatein sahee ummat ke waastey,
Aayengi roz e Hashr shafaat ke waastey.


Jaahil ko hum Aalim-e-Qura'an nahi kehte,
Nisf ko hum deen ka sulta'an nahi kehte,
Haji ho Namazi ho, Sussar ho ya kaafir,
Hum dushman e Zahra ko musalmaa'n nahi kehte.


Chaadar mein aayaton ke sitaare jhade huwe,
Jibreel unke dar pe adab se khade huwe,
Zer e qadam hai Jannat o Kausar pade huwe,
Masoom unki nasl mein chhote bade huwe,


Tazmeen nasl paak ab o jad bana diya,
Paala jise bhi usko Muhammad bana diya.
Takraao laakh hukme Risaalat maaab se,
Aal e Nabi juda nahi hogi Kitaab se,
Shaitaan duur rehta hai raah e sawaab se,
Gaasib kabhi bacha na Khuda ke azaab se,
Kya kar liya agar na gawahi qubool ki,
Binte Nabi to ab bhi hai waaris Rasool ki.


Maa ki khidmat mein shab o roz raha karti hai,
Fatima baap ki ummat ki dua karti hai,
Deen o duniya mein jo maa baap ke kaam aaye Qamar,
Aisi aulaad muqaddar se mila karti hai.


Ye kya ke jis se Deen mila, raasta mila,
Izzat mili, wiqaar mila, martaba mila,
Quraan mila, Namaz mili, raabta mila,
Jis Mustafa ke dar se humko Khuda mila,


Dono jahaan mein jisko Khuda mohtaram kare,
Oos Mustafa ki Aal pe ummat sitam kare.
Ghadeer se Saqifa talak teen maah mein,
Bayat ko apni bhoole hukumat ki chaah mein,
Dar uska jalaaya hai magar Hashr mein zaroor,
Kitna asar hai dekhoge Zehra ki aah mein.


Ghar mein Ali ke haaye wo manzar tha dil kharaash,
Zahra ki betiyon ke jigar gam se paash paash,
Hasnain ke wo bayn wo binte Nabi ki laash,
Nagaah aaya laasha e Zahra mein irteaash,
Jab peette the sar ko nawaase Rasool ke,
Nikle kafan se haath janaab e Batool ke,
Irfaan qalam ko rok ye riqqat ke waqt hai,
Zahra ke ghar pe aaj qayamat ka waqt hai,
Aafat ki hai ye raat musibat ka waqt hai,
Ghar se Ali ke bibi ki rukhsat ka waqt hai,
Taaboot mein janaza e binte Rasool hai,
Fart e alam se har dil e momin malool hai.
Dukhtar-kushi ki rasm shariyat pe baar thi,
Ye rasm zindagi ki sharafat pe baar thi,
Nau e bashar ki daaemi hurmat pe baar thi,
Ye rasm to mizaaje Nabuwwat pe baar thi,
Khaaliq ne aabru e mashiyyat bana diya,
Binte Nabi ko juzwe Risaalat bana diya.
Din Payambar ke liye to Zahra ke liye raatein hain,
Kaisi kaisi teri khaatir ke liye zaatein hain,
Arsh se aate hain Jibreel jhulaane ke liye,
Sach to ye hai bade ghar ki badi baatein hain.


Kya peshe Khuda sahebe tauqeer hai Zahra,
Khatoon e jahaan sahebe Tatheer hai Zahra,
Ummul Hasan o maadar e Shabbir hai Zahra,
Sar ta ba qadam noor ki tasweer hai Zahra,
Shauhar ko jo poochho to shahenshah e Arab hai,
Beti hai Nabi ki ye hasab aur nasab hai.


Ye Sayyada hai baag e Nabuwwat ka phool hai,
Kaar e Payambari mein sharike Rasool hai,
Is dar ko paake khwaish e Jannat fazool hai,
Jannat to Ahlebait ke qadmon ki dhool hai,
Shaamil hai inka naam ibaadat ke rukn mein,
In par durood hai to ibaadat qubool hai,
Ek ek adaa hai saancha e Haq mein dhhali huwi,
Har har amal pe Aayat e Haq ka nuzool hai,
Dil mein nahi gar unki muwaddat to ba Khuda,
Roza Namaz Hajj o Ziyarat fuzool hai.


Maa baap pe waajib nahi farzand ki tazeem,
Is amr mein Zahra ko hai sab khalq pe taqdeem,
Likha hai jab aati thi Zahra pa e tasleem,
Khud uthh ke Rasul e Arabi karte the tazeem,
Is bibi ke rutbe hain fuzoon saare jahaan se,
Kausar se wuzu kare to le naam zubaan se.


Masnad nasheen bazm e tahaarat hain Fatima,
Durre Yateem taaj e shafaat hain Fatima,
Nafse nafees taaj e shafaat hain Fatima,
Asle usool nakhl e Imaamat hain Fatima,
Shauhar Khaleel e Asr to bête Zabeeh hain,
Maryam ka ek aap ke gyarah Maseeh hain.
Aye Khadija do jahaan ki tumko azmat mil gayi,
Hashr tak jo kaam aayegi wo daulat mil gayi,
Fatima Zahra si beti tumko Haq ne ki ataa,
Ghar ki Jannat ho gayi Khatun e Jannat mil gayi.
Maryam bhi oon se kam hai Masiha se poochh lo,
Aadha bhi martaba nahi Sarah se poochh lo,
Apno ka kya hai tazkera aada se poochh lo,
Jao Mubahile mein nasaara se poochh lo,
Zahra si auratein hain na Haider se mard hain,
Khatme Rasal ke baad ye zaujain fard hain.


Mal lee hai Karbala ki jabeen par uthha ke khaak,
Poochhega mujh se kabr mein ab koi aake khaak.
Waabasta jo Batool ke dar se nahi usay,
Haath aayega Rasool ke rauze pe jaake khaak.
Deta wo kya Rasool ki beti ka haq bhala,
Mayyat ko de saka jo na uski uthha ke khaak.
Allah aur Rasool ko kya munh dikhayega,
Jisne kiya Batool ke ghar ko jala ke khaak.


Jabeen-e-Arsh ko Kaaba bohat zaruri hai,
Dar-e-Husain pe jukhna Bohat zaruri hai,
Jo chahtey ho ke Allah tum se raazi ho,
Reza-e-Fatima Zahra bohat zaruri hai,
Qasam hai Bibi tere pehlu-e-shikasta ki,
Sitamgaron pe tabarra bahut zaruri hai


Jis ne dar e Batool pe sajda nahi kiya,
Khaliq ne oos ka sar kabhi ooncha nahi kiya,
Jis ne jhukaya sar dar e Rasool par,
Allah ne kabhi usay ruswa nahi kiya.


Khata rahega thokarein ab zindagi tamaan,
Tu ne Ali ko chhod ke accha nahi kiya,
Kis tarha se milegi tumhe nemat e najaat,
Tum ne Ghadeer e Qum pe bharosa nahi kiya,
Aalam ye hai ke bhaag rahi hai sipah e Shaam,
Abbas ne abhi koi hamlaa nahi kiya,
Puuri tarha mitaa diya naam e Yazeediyat,
Zainab ne koi kaam adhoora nahi kiya.


Karti ha teri zaat kabhi baat Khuda se,
Milti hai Muhammad ko shifa teri kisaa se,
Raazi nazar aate hain Ali teri reza se,
Hasnain bhi bante hain sakhi teri ataa se,
Zaniab bhi hain pakeeza teri pak rida se,
Ban jaate hain Abbas bhi teri Dua se,
Hum khush hai kisi se to faqat teri khushi pe,
Jis Jis se tu Naraaz hai laanat ho ussi pe.


Martaba jisne tera aye Fatima samjha nahi,
Dar haqeeqat wo maqaame Mustufa samjha nahi,
Haq ne Siddiqa banayaa, qoum ne jhutla diya,
Yaani wo samjhe Muslmaa'n jo Khuda samjha nahi,
Fatima ke khoon se mazhab huwa hai surkhroo,
Khaak wo samjhegaa jisne Karbala samjha nahi.


Apne ghar mein unhe bulana hai,
Jin ke sadqe mein ye sara zamana hai,
Jab mere ghar mein ho Panjetan mehmaan,
Kaise keh doon mera ghar gareeb-khana hai.


Ghar Fatima Zahra ka ajab shaan ka ghar hai,
Ye Wahi ki manzil hai ye Quraan ka ghar hai,
Islam ke maahaul mein Imaan ka ghar hai,
Momin ki Munafiq ki ye pehchaan ka ghar hai,


Kuchh log marey jaate hain is ranj o mehan mein,
Is ghar ka jo darwaza hai Masjid ke sehan mein.
Allah ne is ghar ko Nabuwwat se nawaaza,
Duniya mein ise deen e shariat se nawaaza,
Ismat se, Imamat se, Wilayat se nawaaza,
Har fard ko Quraan ki Aayat se nawaaza,

Saanche mein mashiyyat ke ye afraad dhale hain,
Sab chaadar e Tatheer ke saaye mein pale hain.
Ye azm ke faulaad isi ghar mein milenge,
Ye noor ke ajsaad isi ghar mein milenge,
Jibreel ke ustaad isi ghar mein milenge,
Is satha ke afraad isi ghar mein milenge,
Makhlooq ki bas aakhri sarhad nazar aaya,
Jis fard ko dekha wo Muhammad nazar aaya.
Mumkin nahi ummat ka qayaas Aal e Nabi par,
Ye log alag log hai ye ghar hai alag ghar,
Is ghar ke to bachche bhi badal dete hain aksar,
Insaanon ki taqdeer, farsihton ke muqaddar,
Raahib ko kayee laal isi ghar se miley hain,
Fitrus ko par o baal isi ghar se miley hain.
Raushan hai unke noor se khursheed ka tabaq,
Dekhe jo unka dar to falak ho araq araq,
Quraan unko ghar mein sonata raha sabaq,
Kahiye unhe Kisaa ke sahife ka sar waraq,
Shaheed mubahile ka bayaan unki zaat par,
Aayaat naaz karti hai Zahra ki baat par.


Haq ki nazar mein jaan e Hadees e Kisaa hai ye,
Qalb e Nabi muraad hai harf e Dua hai ye,
Qurbaan haqeeqatein wo haqeeqat rasa hai ye,
Qibla Nabi ki zaat hai Qibla numa hai ye,


Jo waja-e-khilqat-e-zaat-e-Ra
sool (saw) hoti hai
Dua, usi ki dua se qubool hotia hai
Ye baat hum ne suni hai zabaan-e-Ahmed (saw) se
Jo apne baap ki maa'n ho Butool hoti hai


Aaj aur badh gaye hain madaarij Rasul ke ,
Tatheer ki rida mein pidar hai Batool ke.
Ye Rehmat e Khuda e do aalam ki jaan hai,
Ye nasl e Mustafa ki baqaa ka nishaan hai,
Ye aayat e namaaz ki wajhe azaan hai,
Lafz e “Nisaaona” ki yahi tarjumaan hai,
Takmeel muddua e nabuwwat inhi se hai,
Duniya mein aitbaar e sayaadat inhi se hai.
Hashmat pukaarti hai ye hai saheb e hasham,
Aalam mein inki wajah se Imaan hai mohtaram,
Daale nazar jo gayr nikal jaaye uska dam,
Muththi mein unki Khuld hai zer e qadam Iram,
Jalwe tamaam unki hudood e nazar mein hain,
Wehdat ke jitne chaand hai sab unke ghar mein hain.



Wajh e baqaa e aalam e niswaan Batool hai,
Ismat hai ek raaz nigehbaan Batool hai,
Quraan Ali hai maani e Quraan Batool hai,
Har Maa salaam karti hai wo Maan Batool hai,


Quran ke warison ki ye pehchan bangai,
Nikli jo baat munh se wo Quran bangai;
Hukm e Khuda se choomay qadam Syeda (S.A) ke jab,
Banjar zameen Arab ki gulistan bangai;
Chashm e falak gawah hai waqt e Mubahila,
Zehra (S.A) lab e Rasool (saw) ki muskan bangai;
Farsh e ghum e Hussain (as) ki taaseer dekhiye,
Zehra (S.A) ghareeb khanay pe mehman bangai;
Utri thi jo Kitab Khuda k Rasool (saw) pe,
Zehra (S.A) ussi Kitab ka unwan bangai.



Ye "Fay" se Fehm-e-Bashar ka hasil,
"Alif" se Alhamd ki kiran hai,
Ye "Toyain" se Taha (saw) ke ghar ki ronaq,
Ye "Meem" se Manzil-e-Mahann hai,
Ye "Hey" se har Dosira ke Sultan ke Deen ki Purnoor Anjuman hai,
Ye "Zey" se Zeenat Zameen ki hai,
Ye "Hey" se Hidayatoan ka Chaman hai,
Ye "Rey" se Rehber Rah e Wafa ki,
"Alif" se Awwal Nasab hai iska,
Isi liay naam Fatima (S.A) hai, Janab-e-Zehra (S.A) laqab hai in ka.


Makhlooq kay Sultan (S.A.W.W.A) ki taskeen hai Zehra (S.A),
Yaseen bhi kehti hai kay Yaseen hai Zehra (S.A);
Islam ne Zehra (S.A) ki fazeelat mein kaha hai,
Mein Deen-e-Muhammad (S.A.W.W.A) hun, mera deen hai Zehra (S.A).


 Jis ko Zehra (S.A) teri pehchan nahin hai,
Wo bashr saheb-e-eeman nahin hai;
Us ki bakhshish ka tau imkan nahin hai.
Izzat kare falak wo falak ehteshaam hai,
Ye wo hain jinki nasl mein gyarah Imaam hai.

Bas ye hai sadr e bazm e khawaateen e kaaenaat,
Parda hai misl e ramz e huroof e muqatteaat,
Hothon pe fakhr karti hai Aayaat o Bayyenaat,
Hai inke chaar simt hujoom e tajalliyaat,
Dekha jo duur se asar qalb e saaf ko,
Utra unhi ke ghar pe sitara tawaaf ko.

Allah re faiz e aamad e binte Rasool e deher,
Maadoom hoke reh gaya dukhtar-kushi ka zeher,
Utthi Arab mein shaan e adaalat ki ek leher,
Jaari har ek ghar mein huwi nematon ki neher,
Insaan pe ye bhi haq ke karam ka nuzool hai,
Zinda hai betiyaan to ye faiz e Batool hai.


Zahra wujood e Shara mein hai jaan ki tarah,
Dars e najaat deti hai Quraan ki tarah,
Zehnon ko fatha karti hai ehsaan ki tarah,
Qalb e Muhammadi mein hain imaan ki tarah,
Poochhe koi ye baat Khuda ke Habeeb se,
Milti hai kaaenaat mein dukhtar naseeb se.


Zahra (sa) Ke Katilo Pe Tabarrah Kiye Bagair,
Jannat Koi Na Jayega Aisa Kiye Bagair.
Deta Hai Bhik Aaj Bhi Zahra (sa) Ka Khandan,
Insaan Ke Zamir Ko Ruswa Kiye Bagair.
Mushkil Kusha Se Puchiye Zahra (sa) Ke Ikhtiyar,
Paltaa De Aftab Ishara Kiye Bagair.
Haq Maangna Bhi Hukm e Khuda Bhi Ke Fatema (sa),
Khamosh Kaise Rahti Taqaza Kiye Bagair.


                                                  اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

29 comments:

  1. please keep posting ashaar - thank you

    ReplyDelete
  2. Mashallah 💕 Allah bless u , keep posting ashaar on every imam a.s and bibi s.a

    ReplyDelete
  3. Mashaallah 👌 Jazakallah 🙏 Maula Salamat Rakhe.. Keep on posting

    ReplyDelete
  4. Thanks a lot...
    Bht achhe ashaar

    ReplyDelete
  5. Jazakallah, or qamyabi ata ho - writer de lekar sharing waale tk

    ReplyDelete
  6. Ye books chaiye humy plzzzz

    ReplyDelete
  7. MASHA ALLAH BAHOT ACHCHA COLLECTION HAI AAP KE PASS ASHAAR KA BAS EK GUZARISH HAI THODA GAPE DEKAR QATA ALAG HO MANQABAT ALAG HO SALAM ALAG HO MUSADDAS ALAG HO KOI BHI SHER YA 4 MISRON KA HO YA BADA HO USS KE KHATM HONE KE BAAD ----------------------------- AISA KIYA JAYE

    ReplyDelete
  8. MAULA AAP KO AUR AAP KI PURI TEAM KO SALAMAT RAKHE SHAAD O AABAD RAKHE HAR BALA O MUSIBAT SE BACHAYE DUSHMANO KE SHAR SE BACHAYE TARAQQI AUR KAMYABI ATAA FARMAYE

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mashallah, next level sir😍😍

      Delete
  9. Mashallah Bahut Khub

    ReplyDelete
  10. Hazrat fatima zehra kab aur kha pada huwa

    ReplyDelete
  11. Hazrat Fatima zehra kab aur kha pada huwi

    ReplyDelete
  12. سبحان اللہ

    ReplyDelete
  13. Wilatad e bibi Fatima

    ReplyDelete