Ashaar BiBi Zainab (sa)

                                              بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم       وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا






Tere  Bhai  Se Jise  Bhi Hai  Mohabbat Zainab (s)
Uske Kadmo Se Hai Lipti Huye Jannat Zainab (s)
Pehli Shabaan Ko Aai Hai Zamanay Main Magar
3 Shaban Ko Duniya Main Hansi Hai Zainab (s)



Har Ek Kam Se Afzal Hai Kam Zainab (s) Ka
Koiyee Hussain Se Pooche Maqam Zainab (s) Ka
Hey Arsho Farsh Se Uncha Makam Zainab (s) Ka
Kasida Padhte Hey 12 Imam Zainab (s) Kaa
Usse Batani Thee Kufe Me Baap Kee Zinnat
Ali (a) Ne Soch Ke Rakha Tha naam Zainab (s) Kaa


Bulandiyon se buland hai muqaam Zainab (S.A) ka,
Durood parhh kay lia kar tu naam Zainab (S.A) ka,
Yeh sar pay chaadarain ab bhi gawahi daiti hain,
Hai pardeh-daari ka saara nizaam Zainab (S.A) ka. 

Nusrat e Deen Kay Leye Khalq Hue Hai Zainab (s.a)
Dusri Fatima Zehra (s.a) Hai Ali (a.s) Hai Zainab (s.a)
14 Masoomoo Mai Shamil To Nahe Hai Laiken
Itni Tahir Hai Kay Ussi Saf Mai Khari Hai Zainab (s.a)


MADHE BINTE MURTAZA KAR KE KOI DEKHE ZARA
 TAHA YASINO MUZAMMIL KI SANA HO JAYEGI
 KIYA KHABAR THI KEH RAHA THA SHIMR AYE IBNE ZIYAAD
 BADE SHAH E DEIN ZAINAB MURTAZA HO JAYEGI


Milta naheen tha koi sahara Yazeed ko,
Bibi (S.A) nay iss tarah se ujaarha Yazeed ko,
Khatoon (S.A) jung kar naheen sakti theen, iss lye,
Khutbon ki Zulfiqaar se maara Yazeed ko.



Mazloom ki humdard hai, ek aas hai Zainab,

Har Panjetan e paak ka ehsaas hai Zainab,
Laheje ko, Sabr ko, kabhi tewar ko dekhiye,
Haider kabhi, Shabbir ya, Abbas hai Zainab.



Teri awaaz ki aahat hai jahan tak Zainab
Ek sannata sa chaya hai wahan tak Zainab
Talib-e-baiyat-e-fasiq kay faqat lab na siye
Kaat li hai teray khuthboan ne zabaan tak Zainab



Dekha Ali ke laal ka laasha jo reyt par,
Bint e Ali Husain ko royi tamaam umr,
Na jaane ek Shaam e Garibaan mein kya huwa,
Zainab kamar ke bal nahi soyi tamaam umr.


Bazaro May Karty'n hain jo Apni Numaish,

Ay Bibiyo kiya yad Tumhen Kufa Nahi hay,
Khutba bhi Diya tha tu Lehjay may Ali (A.S.) Ke,
Zianab (S.A.) ki tu Aawaz bhi Bay Parda Nahi hay.

 
Tanha Nabi K Ilm Ki Waris Batool Thi,
Parda'nasheen Na Hoti To Yeh Bhi Rasool Thi,
Beti Ali Ki, Fatima K Dil Ka Chain Thi,
Zainab Bazar-e-Shâam Me Bilkul Hussain Thi...


Bint-e-Ali ,Ali Ki Tarha Sarfaraz Hai
Zainab ,Khuda Ki Shan Muhammad Ka Naaz Hai
Zainab Raza-e-Sabr KiJaiy  Namaz Hai
Zainab Nabi Ke DEEN kI Ummr-eDaraz Hai.
  


Jhulaste dasht se Aabid ko jaake laayi hai,
Akeli baar e Imamat uthha ke laayi hai,
Ali ki beti ko jhuk kar salaam kar Islaam,
Ye ek Imam ko ghar tak bacha ke laayi hai.


Namaz e shukr ki aayat Janab e Zainab hain,
Husainiat ki shariyat Janab e Zainab hain.
Waqaar sabar e imamat Janab e Zainab hain,
Ali ki shan-e-jalalat Janab e Zainab hain.
Jawab Maryam o Sara hain Fatima Zahra,
Janabe Zahra ki seerat Janab e Zainab hain.
Bina e majlis Shabbir dalne waali,
Assas e gham pe imaarat Janab e Zainab hain.
Jahaan bhi bazm e Husaini sajey wahaan maujood,
Yahaan bhi mehw e samaat Janab e Zainab hain.
Zameen e Karbobala par adaa huwi jo Namaz,
Azaan Husain Iqaamat Janab e Zainab hain.
Tamaam Ahl e Haram ki Husain dhaadas the,
Dil e Husain ki taaqat Janab e Zainab hain.
Khila ke Nehje Balaga mein jo balaagat hai,
Balaagaton ki fasaahat Janab e Zainab hain.
Rehan fikr e shafaat ho kis liye mujh ko.
Meri daleel e shafaat Janab e Zainab hain.




Binte Ali Ali ki tarah sarfaraaz hai,
Zainab Khuda ki shaan Muhammad ka naaz hai,
Zainab raza o sabr ki jaa e namaaz hai,
Zainab Nabi ke deen ki umr e daraaz hai,
Zainab wafa ki ruuh, Shariyat ki jaan hai,
Be-saya deen e Haq ke liye saayebaan hai.


Zainab ke nana jaan Muhammad Rasool hain,
Nani Khadija, baap Ali, maa Batool hain,
Bhai Hasan, Husain jo ismat ke phool hain,
Sab Innama Yurid ki shaan e nuzool hain,
Zainab ke dada jaan ka Imraan naam hai,
Zainab ki dadi Fatima aali maqaam hai.



Zainab furoo e deen thi, deen ka usool thi,
Har ek qadam pe soorat e Bint e Rasool thi,
Sabr o razaa ki raah mein misl e Batool thi,
Gulzaar e Ahlebait ki khushboo thi phool thi,
Zainab kahin Husain, kahin par Hasan bani,
Kehne ko ek tan tha magar Panjetan bani.


Zainab chali to sabr ka sooraj palatt gaya,
Qadmon ki chaap sunke sitam darr ke hatt gaya,
Zaalim Ameer e Shaam ka takhta ulatt gaya,
Khutbon ke daayre mein zamana simatt gaya,
Kya kahiye kaisi kaifiyat se garb o sharq thi,
Yaani jabeen e Shaam pasine mein gar thi



Bint-e-Khatoon-e-Jinaan (S.A), Bint-e-Ali (A.S) hai Zainab (S.A),
Gulshan-e-Fatima Zehra (S.A) ki kali hai Zainab(S.A);
Kabhi Zehra (S.A), kabhi Hyder (A.S), kabhi Aghosh e Nabi (S),
Goya Quran ki godi mein pali hai Zainab (S.A),
Jab bhi ye naam liya tal gai har ik mushkil,
Ye tera naam hai ya Naad e Ali (A.S) hai Zainab (S.A).




Zainab umoore amr e Ilaahi ki jaut hai,
Zainab faseel e jabr mein bhi Haq ki saut hai,
Zainab Yazidiyyat ke iraadon ki maut hai,
Zainab na ho to maqsad e Shabbir faut hai,
Baiat ka zikr jisne kiya tha Imam se,
Zainab zubaan kaat ke laayi wo Shaam se.



Karbala ka kamaal hai Zainab, zaalimo ka zawaal hai Zainab 
Lafz jiske liye bane hi nahi, aisa naazuk khayaal hai Zainab.



Wo Yahudi tha, sar e Zehra (s.a) ki chaadar dekh k Muslim hua.

Ye Musalman they, sar e Zainab (s.a) ki chaadar le gaye,,,,...


Zikr e gham ki ibtedaa hi, tazkera Zainab ka hai,
Majlis o Maatam sikhaya, shukriya Zainab ka hai.
Saat sau kursi nashin hai, takht par Ibn e Sitam,
Is bhare darbar mein bhi, dabdaba Zainab ka hai.
Baarhaa sar Gaazi ka aata hai jaanib farsh ki,
Kaise sar naize pe rehta, sar khula Zainab ka hai.
Quwwat e baazu e Shabbir, hai Sakina ka chacha,
Ye Ali ka mojiza hai, hausla Zainab ka hai.
Karbala, bazaar e Kufa, Shaam ka darbar, qaid,
Sakhtiyaan itni, kaleja phool sa Zainab ka hai.
Ek zaeefa mein numaaya hai bahattar ka wajood,
Baad e Asr e Gham Haram ko, aasra Zainab ka hai.
Har Imam e Waqt ne taazim ki jis Bibi ki,
Ye Khuda hi jaanta kya martaba Zainab ka hai.
Nauha kya ek sher bhi tu likh nahin sakta Salim,
Kya teri auqaat ye to, mojiza Zainab ka hai. 



Gulshan mein bahar jaisay laut ayi hai,
Abhi Mukhtaar (R.A) ne khabar kuch aisi sunai hai,
Khilkhilao ke aaj eid hai tumhari Hussainio,
Bint-e-Zehra (S.A) bhi aaj phir se muskurai hai.




اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

10 comments: