Ashaar Maula Abbas (as)

                                  بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم      وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا



  Ashaar on Hazrat Abbas A.S.                                                               


السَّلامُ عَلَيْكَ ياأَبا الفَضْل العَبَّاس (ع)


Jalaal e Murtuza ka hu-ba-hu akkaas banne ko,
Alamdaar e wafa aur Panjetan ki aas banne ko,
Ali ka hi pisar hona faqat kaafi nahi Shaukat,
Zaruri hai dua e Fatima Abbas banne ko.


Mayoos To Pal Bharko Bhi Rehna Nahi Padhta
Be Aas Kabhi Aas Ka Kehna Nahi Padhta
Iss Ghar Ke Sabhi Loghi Mushkil Me Kusha Hai
Par Lutff Hai Abbas (as) Ko Kehna Nahi Padhta. 



Mustafa Shabbir hai,Or Murtaza Abbas Hai
Manzil-e-Haq Hai Hussain Or Rasta Abbas Hai
Mashk-o-Alam,Josh-e-Wafa,Hokm-e-Imam
Ab Agar Dekho to Puri Karbala Abbas Hai.


 Sari Duniya darti hai Surma Abbas (as) se,
Hausle bhi maangte hai Hausala Abbas (as) se,
Fauje batil ko rula rula ke kehraha tha be'zuban,
Muskarana maine sikha hai chacha Abbas (as) se.


Chun li khayaal ne jo azal mein Ali ki ain (ع),
Bay (ب) Bizat e Rasool ki ismat ka zaib o zain,
Al-Hamd ke alif(ا) ka sarapa dilo’n ka chayn,
Wannaas ki ye Seen (س) ye Nutq- e dil e Husain,
Har harf kaenaat ka akkas ban gaya,
Dekha jo gaur kar ke to Abbas ban gaya.


Naam e Ali se "Ain" liya aur likh liya,
Dekha jo Bu Turaab ko to "Be" is se mil gaya,
Aaya nazar Asad to qalam ne "Alif" liya,
Or "Seen" badh ke Saaqi e Kausar ne de diya,
Har ek hurf zeenat e qirtaas ban gaya,
Yak-ja kiya jo sab ko to Abbas ban gaya.


Hain jo Alam Mein hurf suno unka ab bayaan,
Abbas ka hai "Ain" isi "Ain" se ayaan,
Hai "Laam" La-Fataah Ke qaseede ka tarjumaan,
Aur "Meem" se muraad maseeha e do jahaan,
Seedhi si hai ye baat koi pheyr nahi hai,
Abbas aur Alam mein kahin zeyr nahi hai.


Dono Aalam Me Nahi Noor e Nazar Abbas Sa,
Murtuza Ko Zeyb deta Hai Pisar abbas Sa,
Saari Dunya Ki Zarurat Hi Nahi bas ek Ho,
Ek Hi Kaafi Hai Bhaai Ho Agar Abbas Sa.


Lafz likhte hun toh ehsaas likha jata hai....
Moaj likhte hun toh piyas likha jata hai....
Mere jazbat se waqif hai qalam bhi meri...
Mai wafa likhte hun toh ABBAS likha jata hai...


Abbas Ki Mahfil Me Haider Ki Sadarat Hai,
Is Waqt Nizamat Ko Meesam Ki Zarurat Hai.
Dariya Ke Barabar Hi, Ek Khoon Ka Dariya Ho,
Shabbir Agar Kehde Abbas Izajat Hai.



Lo Tamanna e Ali Ko Aaj Paikar Mil Gaya
Jauhari Ko Aaj Ek Nayaab Gauhar Mil Gaya
Misle Fitrus Main Ne Bhi Abbas Se Maangi Dua
Aur Qalam Ki Shakl Me Mujhko Bhi Shahpar Mil Gaya



Abbas (a.s), tera saani duniya mein kahan mumkin?
Duniya ko jo daita hai, us nay tujhay maanga hai.



Abbas e Naamdaar Ke Baazu Juda Huye,
Ya Yun Kahoo'n Husain Ka Baazu Hua Shaheed


Qalb-e-Haider se uthi aur arsh-e-azam per gai
Surkhru ho ker jo palti wo dua Abbas hai.
Ye haqikat hai ki hai Shabbir dil Islam ka
Aur us dil ki dharkan ki sada Abbas hai.


Inse muraad maangne waalon ko dekhiye, 
Har dharm se hain, fiqr se, har eteqaad se,
Maulaai ho, Isaai ho, ya Sikh o butparast,
Haider se maangte hain ya Babul Muraad se.


Suraj hai sawa naize pe saya bhi nahi hai,
Abbas (as) ke mathe pe pasina bhi nahi hai,
Patto'n ki tarah kaap rahi hai sipahe Sham,
Abbas (as) ka ladhne ka irada bhi nahi hai.


Abbas (as) ki nigah me kya fauje Sham hai,
Abbas (as) Murtaza ki tamanna ka naam hai,
12 Imam Mazhabe Islam ke huwe,
Ye Mazhabe Wafa ka Akela Imam hai.


Ho nahi sakta kabhi bhi zikr kam Abbas (as) ka,
Aaj bhi aabad hai sineme gam Abbas (as) ka,
Katne walo'n ne 2 (Do) hath kate the magar,
Anginit uth ta hai hatho'n me Alam Abbas (as) ka.
Roz e Mehshar kho gaya main Ambiya ki bheed mein,
Chahta tha choomna main bhi Alam Abbas ka.


Wo sheyr karo nazr tamanna e Ali ko,
Taskeen mohaiyya ho dil e Binte Nabi ko,
Zahra ne kahaa Hazrat e Abbas ko beta,
Ya yun kahun poora kiya Mohsin ki kami ko.


Aalam mein har sakhi nay sawali k wastey
hatoon say dar khud apney khazanoo k wah keay
Abbas wo sakhi hei k dunya mein deen ko
hatoon sameet bheek mien bazoo aata kiye.


Kasam Khuda ki ye sadqae Mashke Sakina hai,
Koi Majlis se uth kar apne ghar pyasa nahi jata,
Mai jab ghar se nikalta hu farishte saath chalte hai,
Kabhi mai Majlise Shabbir me tanha nahi jaata,
Aur - Ali (as) ke sher ke hamle se sahma hua hai lashkar,
Purane bhagne walo se bhi bhaga nahi jaata.


Aks Abbas (as) ka jab badhne laga pani me,
Lutf aine ko bhi aane laga hairani me,
Chand, Suraj ki Madine ko zarurat hi na thi,
Is kadar Nur tha Abbas (as) ki peshani me.
Isliye Shah Ne Abbas Se Leli Talwaar,
Hashr Tak Farq Rahe Jung Me Qurbani Me.


Maangne waalo’n ko ye dil se yaqeen hai Abbas,
Nahi kehna tera dastoor nahin hai Abbas.
Aayegi oos dar o deewar se khusbu e wafa,
Jahaan pe zikre Ali hoga wahin hai Abbas.
Jang karne ke liye naiza o Shamsheer to kya,
Apne haathon ka bhi mohtaaj nahin hai Abbas.


Ajab Gumaan Hai Logo Ka Jo Khuda Samjhe !
Ali (as) Ki Hadd e Fazilat Ko Koi Kya Samjhe ?
Khade Hai Hazrate Abbas (as) Yu Ali (as) Ke Saath,
Hai Kashmakash Me Nusairi Kise Khuda Samjhe ?


Fauje Ke Takabbur Ka Mahal Dhaa Gaye Abbas,
Darya Pe Alam Pyaas Ka Lehragaye Abbas
Gar Jaan Hai Pyaari to Ye Khatt Paar Na Karna
Dushman Ko Bade Pyaar Se Samjha Gaye Abbas
Be teg Ladayi Ka hunar khub hai lekin
Be Haath Bhi do lakh se takragaye Abbas.
Tarikhi Bhagode Se Ye Bola Malakul Maut.
Bhaago Ke Kidhar Tum Jo Idhar Aaagaye Abbas.


Hum Ne Abbas Ke Parcham Ke Tale Pairon Se,
Rondd Daala Hai Jahannum Ko Jinah Paayi Hai
Mujh Ko Nabeena Banadeti Ye Dunya Ki Chamak,
Sirf Ashko Ki Badaulat Meri Beenayi Hai.


Na zarurat Talwar ki na kisi hatyaar ki
Aik dua thi Karbala mai Hazrat e Abbas ki
Koi Dilaa do ijaazat Aqa Hussain se
Yaad dilaa dunga jang Haider e Karrar ki


Parchame Abbas Uthaye rakhna
Shor e Maatam se Zamane ko jagaye rakhna
Gham e Hussain ibadat hay koi rasm nahi
Apni Naslon ko azadaar banaye rakhna


Maango to talab kar ke Shahenshah e Wafa se,
Mayoos koi hota nahi unki ataa se,
Hota hai apna ilaaj na dua se na dawa se,
Chalti hain ye saansein tere parcham ki hawa se.


Mehki huwi Jannat ki hawaa khoob hai lekin,
Abbas ke Roze ki fizaa sab se alag hai,
Laao to ataa karne mein Abbas ka saani,
Bin hathon se dene ki adaa sab se alag hai.


Tohfe ata kiye the jo parwardigaar ne
Wo waar kar Hussain pe saugaat main diye
Haatau se yun tau karte hai khairaat sab sakhi
Abbas ne to haath bhi khairaat main diye


Zauhar e Simt Se Hassa Se Darr lagta Tha,
Jung Me Bikhri Huwi Pyaas Se Darr lagta Tha,
Shaam Se Karbobala Isliye Aaaya Na Yazid,
Usko Zainab (sa) Tere Abbas (as) Se Darr Lagta Tha.


Sirat me Ali (as) hai, to Shuja'at me Ali (as) hai,
Surat me Ali (as) hai, to Sakhavat me Ali (as) hai,
Raftar me guftar me, Kirdar me Aksar,
Abbas (as) ko dekha to hakikat me Ali (as) hai.


Har daur ka Yazeed jo darta hai aaj tak
Darya pe ek sher ka pehra hai aaj tak
Bush ka, Yazeed ka, na huwa Blair ka kabhi
Abbas ka Furaat pe kabza hai aaj tak


Tera kirdaar jo Masoom na hota Abbas
Fatema Zehra na kehti Mera Beta Abbas
Jinka jhula, jhulaane ko malak aate the
Un Imamo ne jhulaya tera jhulaya Abbas.


Fursat na kabhi payega wo ranjo Alam se,
masrufe aza jo bhi bashar ho nahi sakta,
Abbase dilawer ka uthaate hai jo parcham,
Un haatho pe faalij ka asar ho nahi sakta.


Paas Jaata ju toh Jannat ki khushbu aati hai,
Dil dhadakta hai to Matam ki sada aati hai,
Kabr me Farishto'n ne pucha kya tu Alam uthata tha?
Tere Hato'n se to Wafa ki khushbu aati hai.


Lab Pe Jo Kabhi Aajata Hai Naam-e-Abbas(a.s),
Dair Tak Hontoon Se Khushbu-e-Wafa Aati Hai.


Naame Abbas (as) se Khushbu-e-Wafa aati hai,
Unke Rauze se Al-atash ki sada aati hai,
Jab bhi hum baithe hai Abbas (as) ke parcham ke tale,
Aaisa lagta hai ke Jannat se hawa aati hai.


Nazr ke waste daulat kabhi Parcham ke liye,
Hum Kamate hai fakat Mahe Muharram ke liye,
Alam jab Hazrate Abbas (as) ka aata hai nazar,
Hath uthjate hai bachcho ke bhi Matam ke liye.


Abbas ki chaahat ka ye aalam hai jahaan mein,
Har saans pe lagta hai ke naize ki ani hai,
Dariya mein ubharti huwi maujon ko zara dekh,
Yeh matam-e-Abbass mein zanjir-zani hai.


Jis ghar mein bhi Shabbir ki majlis ho Farishto,
Gham koi na ho usme wo raahat ka nagar ho,
Aasoodgi, sukh, chayn, karam baant jo jaakar,
Abbas ke parcham ke taley jiska bhi ghar ho.


Husno Kamal Deta Hai Abbas Ka Alam,
Gham Se Nikal Deta Hai Abbas Ka Alam,
Mushkil Khusha Ali Hai Rasoolon Ke Waste,
Apni Mushkil Tal Deta Hai Abbas Ka Alam.


Daagh e Matam jo seenay se laga rakkha hai
Dil ko Mola ka aza khana bana rakkha hai
Mushkilo soch k aana mere ghar ki jaanib
Meine Ghazi(AS) ka alam ghar pe laga rakkha hai


 Farsh par rehke farishto ke barabar hona
Meri Qismat mein tha Abbas ka Naukar hona
Bas yahi sochkar hum ghar pe sajate hai Alam
Ha Zaruri hai ek haath ka sar par hona


Abbas taajdaar e wafa arjumand hain,
Aise Khuda pasand, khudi ko pasand hain,
Panje alam pe nasb hain, duniya ye dekh le,
Gaazi ke haath kat ke bhi kitne baland hain.


Alam Abbas Ka Jis Din Se Rakha Hai Ghar Mein,
Khud Hi Karbala Hoke Hawa Aati Hai,
Na Mumkin Hai Mujhe Choole Koi Bimari,
Mere Ghar Lleke Hawa Khakhe Shifa Aati Hai.


Huwa karam to kaabe ke gird ghumenge,
Madina jaake dare mohtaram ko chumenge,
Jo muflisi se karbobala pahoch na sake,
Imam bade me jaker Alam ko chumenge.


Bheja nahi tha Sher ko Jung ke Khayal se,
Lag jati warna aag neher mein Jalaal se,
Kat Kat ke gire zulm ke Parcham Zamin per,
Tera Alam Jawan hay 14 so Saal se.


Tujse milaye aakh kisiki nahi majal,
Andaz tera misle shahe Zulfikar hai,
Darya pe kabza karke bhi pani nahi piya,
Abbas (as) tu Wafa'on ka parvardigar hai.


Sunle aai Mehfile Mubahela sajane wale,
Gum tere tujse bahut dur hai jaane wale,
Hukme Khalik hai udhar koi na jaane paye,
Aagaye chadare Tathir me Aane wale,
Aapne dushman ko bhi seyrab kiya karte hai,
Aaise hote hai Mohammed (saws) ke gharane wale,
Kehdo Rizwan se hatjaye dare Jannat se,
Aagaye Parchame H. Abbas (as) uthanewale.


Har simt nazar aayega Abbas ka parcham,
Har ghar me nazar ayega Abbas ka parcham,
Allah ne chaha to wo din door nahi hai,
Kaabe pe bhi lehrayega Abbas ka parcham.


Jab bhi Abbas ke parcham ko uthaaya maine,
Do ghadi ke liye haato ko naa paya maine,
Jab talak karbobala se na ijaazat leli,
Kabhi kaabe ki taraf sir na jhukaya maine.


Baad me puchiye Abbas (as) ki haibat kya hai,
Pehle malum karo jaake Qayamat kya hai,
Ruk gaya jiski nigahon pe Yazidi Lashkar,
Usko talwar uthane ki zarurat kya hai.


Shabbir ke rutbe ka shanasaaz na mila
Ashiq koi Ahle Wafa sa na mila
Abbas ne duniya ki badal di tarikh
Dariya ke kinaare hame koi pyasa na mila


Darpe tumhaare aaya hoon himmat ko haar ke
Abbas binti karta hoon daman pasar ke
Itna hi karam kijiye maula hakir par
De dijiye sakina ka sadqa utar ke


Mere kashkol main anmol nagena rakh do,
la ke Abbas ki zulfo ka pasena rakh do,
sayae hzrte Abbas rahega us pr,
apni beti ka agr nam sakina rakh do


Abbas (as) ke parcham se shafa manga karo,
Shabbir ke sadke me sada manga karo,
Agar chahte ho Gazi raazi rahe tumse,
Sakina ke waseelay se Dua manga karo.


Abbas oos jalaal ke tewar ka naam hai,
Jo dhoop ke badan se bhi saaya nikaal de,
Ab tak kisi Yazeed ki himmat nahi huwi,
Parcham se badhke mashk e Sakina nikaal de.


WAFA jiska padhe "KALMA" use "ABBAS" kahte hain,
jise "SAJDA" kare sajda use "ABBAS" kahte hain,
jo hai "SHABBIR" ki taqat "ALI" ko naaz hai jis par,
jise"ZAHRA" kahe "BETA" use "ABBAS" kahte hain.


Wafa ko Naaz Hai Jiss Per Ussay Abbas Kehtay Hai,
Lagay jo Sani e Haider ussay Abbas kehtay Hai,
Alam Pather pay jo garhay ussay kehtay hai sab Haider,
Alam Garay jo Pani per Ussay Abbas kehtay hai.


jis nam say himmat ko jawani ka hei Ehsas
bujh jati hei jis nam ki lazzat say meri pyas
jis nam ki azmat say wafa pati hei mairaj
wo nam to ABBAS hai ABBAS hai ABBAS.


 Sakka-e-karbala ka huwa zikr is kadar....
mozue zindagi meri pyaas ban gaee....
moulaye kayenaat ki ek dil ki aarzoo.,,.
kaamil huie to hazrate 'Abbaas"ban gaee....


Allah re Abbas ki haibat lab e dariya,
Is waqt to Haider ki dua naaz karegi,
2 lakh ke lashkar pe sukoot aisa hai taari,
Ek suii bhi gir jaaye to aawaaz karegi.


Khazaane ki zeenat ko almaas kehte he ,
Lage talab paani ki to use pyaas kehte he ,
Darya to mita deta he sab ki pyaas ,
Jo darya ki pyaas bujaae use ABBAS kehte he !


Jo Mushkil Talta Hai Usay Ali (as) Kehtay Hain,
Jo Qismat Banaaiy Usay Batool (sa) Kehtay Hain
Muhammad(saww) Se Le Kar Hassan (as) Tak
Sabhi Ne Hussain (as) Ko Chaha,
Lekin Jisay Hussain Ne Chaha Usay Abbas (as) Kehtay Hain.


Lab e Abbas e Jari choom na paaya paani,
Tashna-lab kaun raha tashnalabi ya paani,
Ab bhi phirta hai nashebon mein chipaye chehra,
Aisa Abbas ne paani ka utaara paani.


Saja rakhi thi dariya par ajab baraat pani ki
Bahut kerte the Ashrare yezidi baat pani ki
Magar sahil pe pahonche thokare mari chale aye
Bata di Hazrat-e-Abbas ne Auqaat pani ki



Parda e ghaib se jis waqt imam aaenge
hai kahan dushman e Shabbir ye farmaenge
shaik ji apni karo fikr hamara kya hai
hum to Abbas k parcham se lipat jaaenge


4 SHABAN AMAD HAY SHAH-E-WAFA KI,
DUA PURI HOI AAJ MUSHKIL KUSHA(a.s) KI,
YAHAN QAMAR BANI HASHIM KA CHAMKA,
WAHAN TAQDIR CHAMKI KARBALA KI.


UMMUL BANEEN NE BETE KO BEDAAR KAR DIYA,
HAR JUNG FATHA KARNE KO TAIYYAR KAR DIYA,
ABBAS KO LAGAA KAR KALEGE SE BAR BAR,
ITNI DUA DE K ALAMDAR KAR DIYA

Haider ne usko paikar e ehsaas kar diya,
Fatima ke pyaar ne almaas kar diya,
Phir uske baad sabr o itaat ki goad mein,
Zainab ne paal kar usay Abbas kar diya.


Gazi ki shuja'at ka ye Unwaan bi Hoga,
Mashkize me Darya Hy to tufan bi Hoga,
ABBAS k parcham ki taraf gaur se Dekho,
Panja Hy to Bai'at ka Gireban bi Hoga


Sewaye matame shah subho shaam kya karte .
Ghareeb qaid me nazre Imam kya karte.
Rukhe Husain jo dekha to ro diye Abbas.
Kate the hath jo dono salaam kya karte..


 Fauj-e-Umar-e-Saad Khabardaar Khabardaar,
Aata hai Ibn-e-Haider-e-Karraar Khabardaar,
Yeh Fauj-e-Husaini ka hai Saalaar Khabardaar,
Pyaasi hai aaj tegh-e-Alamdaar Khabardaar,


Haider se Shuja'at ise virse meiñ mili hai,
Kyuñ kar na mile yeh bhi to HumShakl-e-Ali hai!"


Kata Ke Haath Jo Islaam Ko Sahara De,
Wafa Paraston Ka Aisa Imaam Hai Abbas
Jo Doosron Ki Tamannaaen Poori Karta Ho,
Khud Uske Dil Ki Tamanna Ka Naam Hai Abbas…


Jo nathiq e Qura'an ne diya nok e sina se
paigham wo dunya se mitay ga na mita hai
qanoon e Hussain ibne Ali(a.s) bar sir e sehra
Abbas(a.s) ne haatho ko qalam ker k likha hai


kalam chali yakbayak lafz mere paas aagaye,
khushgawar mouqe par lafz bhi kuch khaas aagaye,
dee maine bhi mubarak baad zoro shoro se,
ho mubarak duniya me Abbas aagaye.


Be-aas hoke jab mere ehsaas aa gaye,
Kuchh aashna se naam mujhe raas aa gaye,
Maangi madad jo deke Sakina ka waasta,
Pehle Ali sey Hazrat e Abbas aa gaye


Khuda ke ghar mein rehkar bhi khudaayi jisko aati hai,
Ab tak wafadaaro ki rehnumaayi jisko aati hai,
Khuda jaane uske haath hote toh woh kya karta,
Katey haatho se bhi mushkil kushaayi jisko aati hai..


Abbas(as) Hussain Ibn-e-Ali ka Ghulam hai,
Abbas(as) Wafaon ke Samandar ka naam hai,
Abbas(as) sidq-o-Wafa ki kitab hai,
Quran is kitab ka Zarreen kalam hai.


Dekha Haider ne jo Shabbir ka Abbas se pyaar,
Muskuraa kar kaha bete tum pe jaan nisaar,
Chhote bhai ka koi naam bhi rakha hai tum ne?
Ki Hussain ibne Ali khush ho kar bole,
Hifz e tauheed ka aqqas kahenge isko,
Baba hum aaj se Abbas kahenge isko..


Kis Sher ki Amad hai ki Ran kaap Raha hai.
Rustam ka Jigar Zere Kafan Kaap raha hai.
Har Qasre Salateen-e-Zaman Kaap raha hai.
Sab ek Taraf Charkhe Logan Kaap raha hai.
Shamsheer Bakaf Dekh ke Haider ke pesar ko.
Jibreel Larazte hai Samete huye Par ko.


Jab se Abbas ke rauze ki ziyarat ki hay
Koi manzar meri nazron may samata hi nahi
Naame e Abbas ka taaweez hay baazu pa mere
May Yazido se kabhi haat milaata hi nahi


Ek dard ki kuch aisi dawaa maangne lagey,
Haq se woh jalaal e karbobala maangne lagey,
Apni dua woh pesh e khuda maangne lagey,
Ali, dusre Ali ki dua maangne lagey,
Jab ho gayi qubool dua ba'wafaa mila,
Tareekh ko ek aur bhi Mushkil kushaa mila..


NAQABE TIRGHI KHUD HI UTARNE WALA HAI
CHARAGE MIDHATE ABBAS JALNE WALA HAI 
ISI KE WASTE MANGI DUWAYEN HAIDAR NE
JO CHAND ARSHE BARI SE UTARNE WALA HAI
ISI SE CHAND SITARE BHI ROSHINI LENGE
JO CHAND GHAR ME ALI KE CHAMAKNE WALA HAI
ANDHERE MOONH NA CHIPAYEN TO KYA KAREN AKHIR
FALAQ PE HASHMI SURAJ NIKALNE WALA HAI...


Ye kaun aaya hai aaj ghar mein Ali bhi khud muskura rahe hain,
Zaroor is ko Alam milega abhi se tewar bata rahe hain,
Husain jhoole mein jab bhi hote malak jhulate the aake jhoola,
Ye kaun aaram kar raha hai Husain jhoola jhula rahe hain.


Tera Kirdaar Jo Masum Naa Hota Abbas, 
Fatema Zahra Na Kehti Mera Beta Abbas,
Jin Imam o Ko Jhulaa Jhulane Aate The Malak,
Un Imam o Ne Tera Jhula Jhulaya Abbas.


Ali ka Sher le jata agar Talwar Dariya par
Woh karta Ek ko Do aur Do ko Chaar Dariya par 
Jo dekha ghaiz me Ghazi ko bhag'dad mach gai har su
Bhagode dhundhte phirte the koi gh'aar Dariya par
Kaha Dariya ne Ghazi se mujhe bulwa liya hota
Main sharminda hu aaye aap kyun Sarkar Dariya par
Agar Shabbir kah dete toh kul aada ko pairo'n se
Kuchal deta mere Abbas ka Rahwar dariya par


Jab Wafao ki kabhi baat chali hai Abbas.
Tere hi naam ki Tasbeeh padi hai Abbas.
Jo bhi aaya tere Darbaar se khali na gaya.
Is liye dar pe tere bheed lagi hai Abbas.


Likh kalam noor ki ziya hai Abbas,
Khol lab bol wafaa'o ka khuda hai Abbas,
Aa'kh utha dekh imamat ki asaa hai Abbas,
Sar jhukaa Binte Mohammed ki dua hai Abbas,
Rab ne Zehra ki duaa'o se banaaya hai tujhe,
Sabko mitti se wafaa'o se banaaya hai tujhe..


 Nabzein laraz rahi hai zameer e hayaat ki,
Saasein ukhadd rahi hai dil e kaaenaat ki,
Abbas ke gazab ka asar hai ke aaj tak,
Saahil se duur duur hai maujein Furaat ki.


Haalaat se thak jaate hain jab haunsle apne,
Taskeen ka ehsaas nikal jaata hai munh se,
Jab lafz e wafa kehne ka karta hoon irada,
Be-saakhta Abbas nikal jaata hai munh se.


Gaazi ke iraade mein ulat pheyr nahi hai,
Abbas ke aane mein abhi deyr nahi hai,
Hain Sher e Ali sab pe zabardast rahenge,
Abbas ke to naam mein bhi zeyr nahi hai.


Gaazi ki shuja'at ka ye unwaan bhi hoga,
Mashkize mein darya hai to tufaan bhi hoga,
Abbas ke parcham ki taraf gaur se dekho,
Panja hai to Bai'at ka girebaan bhi hoga. 


Lashkar e Shah ka salaar nazar aata hai,
Hu ba hu Haider e Karrar nazar aata hai,
Isliye chum ta hoon parcham e Abbas ko main,
Mujko panje mein Alamdaar nazar aata hai.


Aisi basi Alam mein Alamdaar ki mehak,
Kaabe mein jaise Haider e Karraar ki mehak,
Aakar meri lahed mein Farishton ne ye kaha,
Sabse juda hai Sheh ke Azadaar ki Mehak.


Bheja nahi tha sher ko jung ke khayaal se,
Lag jaati warna aag neher mein jalaal se,
Kat kat ke girey zulm ke parcham zameen par,
Tera Alam jawaan hai chauda sau saal se.


Wafa ka zikr kare zikre ba-wafa na kare,
Kisi mein itni ho jurat kabhi Khuda na kare,
Hum oos faqeer ko khairaat bhi nahi dete,
Jo Panjetan ke waseele se ilteja na kare,
Ibaadaton pe wo khud apni Fatiha padh lein,
Jo Shah e Deen ki kabhi Majlis e Aza na kare,
Koi jo maange Sakina ka waasta de kar,
To kaise hoga ke Abbas wo ataa na kare.


Qalb e Haider se uthi aur Arsh e Azam pe gayi,
Surkh-ru ho ke jo palti wo dua Abbas hai,
Ye haqeeqat hai ke hai Shabbir dil Islam ka,
Aur oos dil ki dhadkan ki sada Abbas hai.


Gham ko sukoon pyaas ko araam aa gaya,
Abbas ka zubaan pe jab naam aa gaya.
Godi mein leke bhai ko Sheh sochne lage,
Godi mein poora mazhab e Islam aa gaya.


Mein kar raha hoon pyaas ki azmat ka tazkera,
Paani ke doob marne ka hangaam aa gaya.
Tujh tak jo pyasa ayaa tha pyasa palat gaya,
Nehre Furaat tujh pe bhi ilzaam aa gaya.


Pyasa dariya se jo Abbas e dilaawar nikla,
Jhoom kar boli vafa mera Payambar nikla,
Dafn ho jayegi dariya ki taraayee mein vafa,
Socha Abbas ne gar honthh mera tar nikla.


Chaaraagar dekh ke zakmon ko dawa dete hain,
Jab dawa kaam na aaye to dua dete hain,
Kitne deen-daar zamaane mein hain maatam-wale,
Dil ke zakhmon ko farerey ki hawa deta hain.
              
                  
Mola Hussain Ne Mola Abbass Ki Shan Me
Maidan-e-Karbala Me Farmaya
Paiman-e-Anwar-e-Jali Bhej Raha Hun
Main Khud Hun Wali Or Wali Bhej Raha Hun
Tum Ne Mujhe Is Dor Ka Samjha Hay Muhammad(saww)
Main Apny Zamanay Ka Ali Bhej Raha Hun


Qalb-e-Haider se uthi aur arsh-e-azam per gai
Surkhru ho ker jo palti wo dua Abbas hai.
Ye haqikat hai ki hai Shabbir dil Islam ka
Aur us dil ki dharkan ki sada Abbas hai.


Azaa-e-Gham Mien Sabr Ki Talwar ban Kay Jee.
Abbas Ki Wafa Ka Talbgar Ban Kay Jee.
Is Dor-e-Zolm-o-Jor Ko Dena Hai Gar Shikast.
Mazlom-e-Karbala Ka Azadar ban Kay Jee....


Tera chullu tha ke tha koi tamancha Abbas,
Aaj tak nehar ka rukhsaar hai neela Abbas.
Laakh karta raha dariya tera peechha Abbas,
Tu ne thukra ke palat kar bhi na dekha Abbas.


Hain tere naam ke duniya mein hazaaron bachche,
Tu bhi zinda hai tera naam bhi zinda Abbas.
Likh ke rakkha tha jahaan lafz e wafa raat gaye,
Subh ko uthh ke jo dekha to likha tha Abbas.
Koi milta hai wafadaar to aata hai khayaal,
Gir gaya hoga kahin tera paseena Abbas.


Is Jabee'n Ko Baab e Abbas e Dilaawar Mil Gaya
Ya Ye Kah Doon Jannatul Firdos Ka Dar Mil Gaya
Chullu Me Paani Liya Hai Jis Ghadi Abbas NeM
Haq Shanaason Ko Jawaab e Baab e Khaibar Mil Gaya


MERAY MOLA QABAR MERI US JAGA TAMIR HO,
HAZRAT-E-ABBAS GHAZI(A.S) KI JAHAN JAGEER HO,
AARZOO MERI HAY K DAR-E-SHABEER (A.S) PE,
HAZRAT-E-HURR KI TARHAN ROSHAN MERI TAQDEER HO.


Abbas Panjetan ki itaaat ka naam hai,
Ye meer e kaarwaan e shujaaat ka naam hai,
Har daur ke Imam ko Gaazi pe naaz tha,
Abbas etemaad e Imaamat ka naam hai.






                                         اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

9 comments:

  1. Salam ya baawafa Abbas Ali a.s

    ReplyDelete
  2. wah wah subhan Allah mola koi gham na day siwa Gham e Hussain ke

    ReplyDelete
  3. Me likhu aap ka nam wafa se pele ya likhu wafa k bad ya Abbas alamdar

    ReplyDelete
  4. Mohammad Shahbaz

    ReplyDelete
  5. Mohammad Shahbaz

    ReplyDelete