Ashaar Imam Ali (as)

                        
   بسمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم  وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ 
   (عج) اَدْرِكْنَا


Wilayate of Imam Ali a.s. is Fort, Who ever enter it is save from chastisement".         





Hai Abbhi Waqt Karle Wilaye Ali (as) Kabool,
Shayad Ye Teri Saans Kahi Aakhri Naho.


Ashaar Maula e Qainat Ali Ibne Abutalib (as)...


"ALI Ne Chun Liya Kaa'be Ko Aamad K Liye"

"Warna" !

"Zamana HAJJ Ke Mausam Me ABU TALIB Ke Ghar Jata.



Himmat hai gar kisi mein to Mohsin se chheen le,

Yeh ishq e Bu-Turab hai Baag-e-Fadak nahi..

 

Jise bhi karna ho mujhse Ali ki baat kare,

Yahi mijaaz hai aapna isi ka aadi hoon,

Bayane haqq e Ali hai agar fasaad ki jadd,

To main shaher ka sabse bada fasaadi ho


Ye Ghabrahat Ye Maayoosi Ki Baaten,

Ali Walo Ye Tum Ko Kya Huwa Hai.

NajafKe Simt Rukh Kar Ke Bataao,

Badi Mushkil Hai Ya Mushkil Kusha Hai.



MUQASSIRO KO ME YU BHI SAZAAE DETAA HUN.

GHALI GHALI ME ALI KI  SADAAE DETA HUN

ALI KE NAAM SE JAB JAB  KHUSHI MILE MUJKO

ME APNI MAA KO  HAZAARO DUAAE DETA HUN


Ay Logoan Meray Janazay K Saath Chaltay Huay.

Meray Badan Ko Lehed K Supurd Kertay Huay.

Hai Ilteja Meri Her Jaa Ali (a.s) Ali (a.s) Kerna.

Hai Ambiya (a.s) Ka Wazeefa Ali (a.s) Ali (a.s) Kerna


IS KADAR KYU HO PARESHAN ALI ( A.S) WARIS HAI,

MUSHKILEN HONGI AASAN ALI (A.S) WARIS HAI,

MOHAMMAD(SAW) NE PARHI NAAD-E-ALI KHABIR MAIN,

HO GAYA SAAF YEH ELAAN ALI (A.S) WARIS HAI 



Woh toh halka sa ishaara tha joh khaibar utha,

Yeh fazilat mokhtasar hai quwwate haider ke saath,

Ungliyon ki saari taaqat bhi Ali ne rokh di,

Warna deewaare bhi khaich aati dare khaibar ke saath.


 


 

Padhta hai jo Quraan ko Tanzeel se pehle,

Is daher mein wo Qaari e Quraan Ali hai,

Mat pehla Musalmaan kaho mere Ali ko,

Pehla nahi pehle se Musalmaan Ali hai.



Zikr e Haider hi ibaadat ka mazaa deta hai,

Naam leta hoon, tilaawat ka mazaa deta hai,

Jab nusairi mere Maula ko Khuda kehte hain,

Jhoot to hai, par haqeeqat ka mazaa deta hai.



Aapas mein humko bar-sare paikaar mat bana,

Fikr e bashar ko zulm ki talwaar mat bana,

Hum log Haideri hai humein be-sabab na chhedd,

Salmaan rehne de humein Mukhtaar mat bana.


 

Tashreef Ali laate hain momin ki lahed mein,

Kya aur bhala chaahiye hub-daar e Ali ko?

Jeene ka mazaa aata hai oos waqt hi Shaukat,

Jab maut pe mar jaate hain deedar e Ali ko.


 

Sahib e fikr o nazar Haq ka Wali kehte hain,

Kaashif e kanz o habeeb e azali kehte hain,

Jisko duba huwa suraj bhi palat kar dekhe,

Hum usay apne aqeede mein Ali kehte hain.


 

Sau baar le gayi sar e bazaar muflisi,

Har baar main ne apna aqeeda bacha liya,

Main ne padhi thi apni hifaazat ke waastey,

Naad e Ali ne saara ilaaqa bacha liya.


 

Jo tum ko padh le usay Haq ki maarefat ho jaaye,

Tumhara chehra Khuda ki kitaab hai Maula,

Zameen pasaar de daaman magar samaa na sakey,

Tumhare jashn ka itna sawaab hai Maula.


 


Wo peechhe reh gaye jo log darr ke bhaage the,

Jo haadesaat se takra gaye wo aage the,

Humein kisi ko bachana tha ek shab so kar,

Tamaam umr yahi soch kar to jaage the.



Do jahaan par hai ikhtiyaar usay,

Zeyb deti hai Zulfiqaar usay,

Marzi-e-Rab khareed li oos ne,

Neend aayi thi ek baar usay.


 


 


Nafs nafs jo aqeedat mein dhhal gaya hoga,

Tumhara khauf sukoon mein badal gaya hoga,

Kuwein se bach ke nikalna muhaal tha Yusuf,

Ali ka naam zubaan se nikal gaya hoga.


 

Wird ye subh o shaam achcha hai,

Bas Ali hi ka naam achcha hai,

Saare duniya ke badshahon se,

Ek Ali ka gulaam achcha hai.


 

Fazeelaton mein Ali ki koi kalaam nahi,

Sahar ye aisi hai jiski kaheen bhi shaam nahi,

Tamaam ho gaya Quraan Qul ke surey par,

Kitaab e azmat e Haider ka ikhtetaam nahi.


 


 


Quraan padh ke dekh le Hijrat ki raat ko,


Rab ne rizaaein bech di apne Wali ke haath,


Raazi Khuda ko karna hai, raazi Ali ko kar,


Kaunain ki najaat hai Maula Ali ke haath.


 


 


Sharaab banti hai sirka Ali ke Rauze par,


Ye dekh mere Ali kya kamaal karte hain,


Ali ke dar pe tu aaja hai ab bhi waqt e najaat,


Ali haraam ko ab bhi halaal karte hain.


 


 


Samajh ke kaar e Risaalat Rasool shaam o sahar,


Jhula rahe hain janaabe Ameer ka jhula,


Misaal iski zamane mein mil nahi sakti,


Ke badshah jhulaye wazeer ka jhula.


 


 


Sabhi ne samjha Ali ko Nabi shab e hijrat,


Wo be-panaah shariat nahi to phir kya hai,


Sawaal hai ye shariat se ehteraam ke saath,


Wo ek shab ki Nabuwwat nahi to phir kya hai.


Ali wali sa nahi koi hai Nabi ke siwa,


 


 


Yehi aqeeda haqeeqat mein ek saaadat hai,


Tumhare paas ibaadat-guzaar honge magar,


Ali wo hai ke jise dekhna ibaadat hai.


Jinhe khabar na ho Ashraf hai bas Ali ka shaher,


Wo Baab e Ilm se lene sharaf nahi jaate,


 


 


Tere amal se aye nadaan ye aashkaar huwa,


Koi bhi daur ho kutte Najaf nahi jaate.


Dhoop ne oos jagah par na rakkhe qadam,


Jis jagah saaya e Bu-Turaab aa gaya,


 


 


Teg e Haider se wo khaar bhi bach gaye,


Jin ki shaakhon mein koi gulaab aa gaya.


 


 


Dast e Nabi o Sher e Khuda, Ya Ali Madad,


Insaaniyat ke uqda-kusha, Ya Ali Madad,


Hum ne kaha to maurid e ilzaam ho gaye,


Khaibar mein khud Nabi ne kaha, Ya Ali Madad.


 


 


Dil mein agar Iblees ki moorat hi na hoti,


Zehnon mein kabhi Haq ki kadoorat hi na hoti,


Karte sabhi insaan agar pyaar Ali se,


Dozakh ko banana ki zaroorat hi na hoti.


 


 


Ali samajhta hai Rehman ke iraadon ko,


Ali ka kaam nibhana Nabi ke waadon ko,


Ali ka pyaar nahi har bashar ki qismat mein,


Mili ye nemat e uzma halaal-zaadon ko.


 


 


Har qalb, har zubaan ne kaha, Ya Ali Madad,


Har peer, har jawaan ne kaha, Ya Ali Madad,


Girta huwa zameen pe bachcha sambhal gaya,


Be saakhta jo maa ne kaha, Ya Ali Madad.


 


 


 


 


 


 


Jhalak rahi hai riyaazat Ali ke chehre par,


Rasool ki si sharaafat Ali ke chehre par,


Jo sochiye to fazeelat ki aakhri meraaj,


Nigaah karna ibaadat Ali ke chehre par.


 


 


Kabhi chhutega na Quraan o Ahlebait ka saath,


Rahe bagair muallim kitaab na-mumkin,


Khula to sab ke liye hai Nabi ke ilm ka dar,


Magar bagair dar-e-Bu Turaab na-mumkin.


 


 


 


 


Na bhool kar bhi kabhi tum kisi ki baat karo,


Khuda ka zikr karo ya Ali ki baat karo,


Meri lahed mein andhera ye gair mumkin hai,


Jahaan Ali hai wahaan raushni ki baat karo.


 


 


Baad e Rasool waaris e Quraan kaun hai,


Aakhir Khuda ke deen ka nigehban kaun hai,


Duniya mein yun to haafiz e Quraan hain bahut,


Ye dekhiye muhaafiz e Quraan kaun hai.


 


 


Khaaliq e Nahj e Balagha hai muhaafiz iska,


Ghair mumkin hai ke Quraan ki balaagat soye,


Maal bik jaane pe so jaata hai taajir jaise,


Yun hi jaan bech ke Haider shab e hijrat soye.


 


 


Hikmat ki bheek ke liye phailaaye dono haath,


Main oos Nabi ke paas gaya jis ki dhoom hai,


Lekin sawaal e ilm pe irshaad ye huwa,


Haider ke dar pe jao ke wo Baab e ilm hai.


 


 


Nikla Ali ka naam jo meri zubaan se,


Barsaat rehmaton ki huwi aasmaan se,


Saaton tabaq ko kaat ke rakh degi Zulfiqaar,


Hatt jaayein Jibraeel agar darmiyaan se.


 


 


Manzil e raah e rawaan duur bhi dushwaar bhi hai,


Koi is qaafile mein qaafila salaar bhi hai,


Badh ke Khaibar se hai ye maareka e deen o watan,


Is zamaane mein koi Haider e Karraar bhi hai.


 




Jaan-ne ki hadd jahaan tak thi usay jaana gaya,

Kaun kehta hai ke ooske haq ko pehchana gaya,

Hum Ali ko is liye kehte hain abd e laa sharik,

Ek hi banda to hai jisko Khuda maana gaya.


 


 


Midhat e Haider e Karrar jidhar hoti hai,


Baarish e Rehmat e Mabood udhar hoti hai,


Mehve deedar e Ali rehte hain waqt e aakhir,


Dum nikalne ki yahaan kisko khabar hoti hai.


 


 


Dhoondne apne liye aur sharaf jaata hai,


Apne tauqeer ke markaz ki taraf jaata hai,


Log jab Hajj ke liye jaate hain Kaabe ki taraf,


Kaaba oos roz wuzu karke Najaf jaata hai.


 


 


Kuchh to Haider, kuchh Ali, kuchh Murtuza kehne lage,


Kuchh shab e hijrat Muhammad Mustafa kehne lage,


Darte darte hum ne to Allah ki qudrat kaha,


Tauba tauba ye nusairi to Khuda kehne lage.


 


 


Ya Ali keh ke qadam hum jo uthha dete hain,


Raaste khud humein manzil ka pataa dete hain,


Hum ko milti hi nahi tere fazaail ki hudein,


Log kehte hain ke hum hud se badha dete hain.


 


 


Jab bhi deta hai mujhe Rabbe Jali deta hai,


Khud kabhi aur wasile se kabhi deta hai,


Maan leta hoon ke yeh ataa hai Khaaliq se magar,


Mujh ko duniya mein mera rizk Ali deta hai.


 


 


Baghair hubb-e-Ali mud'dua nahi milta,


Ibadaton ka bhi hargiz sila nahi milta,


Khuda ke bandon suno gaur se Khuda ki qasam,


Jise Ali nahi milte usay Khuda nahi milta.


 


 


Qabr e Momin me sajaa hoga Wilaa ka gulshan,


Gul wilaayat ke khilenge to mazaa aayega,


Hum bhi Momin hain Farishte bhi Maulaai Shaukat,


Ya Ali keh ke milenge to mazaa aayega.


 


 


Ali waalon zara jaldi karo Pull se guzarne mein,


Adu ke waastey main kuchh zyada zard ho jaoon,


Tumhare dil ke andar hai Ali ke pyar ki thhandak,


Kahin aisa na ho main ehteraaman sard ho jaoon.


 


 


Jo jaanta hi nahin ishq e Murtuza kya hai,


Phir aise shakhs ke jeene se faida kya hai,


Jise Nabi ne pukara tha apni mushkil mein,


Usay jo hum bhi pukaare to phir bura kya hai.


Zubaan e Meesam e Tammar hi bataye gi,


Sharaab e midhat e Haider ka zaaiqa kya hai,


Kaha Khuda ne namazon ki baat jab aayee,


Baghair ishq e Ali ho to faida kya hai,


 


 


Meri lahad pe Ali se kaha farishton ne,


Ye aap ka hai to phir is se poochna kya hai.


Yeh jood o sakha Haatim e Taai mein nahin,


Misl in ke koi uqda-kushai mein nahin,


Maabood ke hain abd, Nusairi ke hain Khuda,


Banda koi Haider sa Khudai mein nahin.


 


 


Naad e Ali ka wird jo karti chalee gayee,


Umr e rawaan sukoon se guzarti chalee gayee.


Jisne dar e Husain pe sar ko jhuka diya,


Woh shakhsiyat jahaan mein ubharti chalee gayee.


 


 


Maidaan mein teg, dasht mein teg e Ali na poochh,


Sar se chali badan mein utarti chalee gayee,


Fouj e udu pe daal ke ek sar-sari nigaah,


Sar ko udaati sar se guzarti chalee gayee.


Deewana waar log bhi marte chale gaye,


Teg e Ali jidhar se guzarti chalee gayee.


 


 


Duniya me zikr e Aal e Muhammad na ruk saka,


Duniya yeh aarzoo liye marti chalee gayee.


Maut aa rahi thi dekha jo lab par Ali ka naam,


Mujh se miley baghair guzarti chalee gayee,


Marhab hawaa mein uchhla jo kha kar Ali ki zarb,


Hathon se teg pairon se dharti chalee gayee.


Gauhar lahed mein pahuncha jo ashk e aza liye,


Ek raushni lahed mein utarti chalee gayee.


 


 


Jis ko bhi Ahlebait e Muhammad se pyaar hai,


Allah ki nazar mein bada ba-wiqaar hai,


Pahunchenge jab to khuld se aayegi ye sada,


Aa jaa bahut dinon se tera intezaar hai.


 


 


Hum azadaar shahadat ke tamannayi hain,


Hum ne Maula ki ziyarat ka mazaa lena hai,


Ye waseela hai mulaqaat e Ali ka Shaukat,


Warna is maut ne deewanon se kya lena hai.


 


Ali ki bazm ka kuchh aise ehtemaan karein,


Farishte aake zameen par humein salaam karein,


Ye aarzoo hai ke yun zindagi tamaam karein,


Najaf mein subha karein Karbala mein shaam karein.


 


Ali Ali nazar aaye jidhar jidhar dekha,


Ali ka noor har ek shai mein jalwa-gar dekha,


Ali ko haq ne utaara ain Kaabe mein,


Khuli jo aankh to pehle Khuda ka ghar dekha.


 


 


Fatima binte Asad aayi hai Kaabe ke qareeb,


Maryam e Asr ke bibi pe gumaan hote hain,


Chaap qadmon ki suni aur banaya rasta,


Sach hi kehte hain ke deewaron ke kaan hote hain.


 


 


Jis din kisi ko maarefat e Haq ataa huwi,


Taarikh e maah o saal mein hota hai nek din,


Guzre jo Murtuza ki mohabbat mein dosto,


Bhaari hai saal bhar ki ibaadat pe ek din.


 


 


Kya khaak wo darenge lahed ke azaab se,


Mansoob hai jo khaak e dar e Bu-Turaab se.


Mushkil-Kusha hain paas farishton adab karo,


Mushkil mein daal dunga sawaal o jawaab se.


 


 


Khaibar mein dekhna, yeh hai Jibreel ya ajal,


ipta huwa hai kaun Ali ki rikaab se.


Jo Ya Ali Madad ko gunaah keh ke chidhh gaye,


Wo be-khabar hai mere gunaah ke sawaab se.


Pehle ye zidd thi khwaab mein dekhenge Khuld ko,


Ab zidd hai ke Khuld mein jaagenge khwaab se,


 


 


Mohsin behisht Maula Ali ki wilaa se hai,


Main ne yehi padha hai Khuda ki kitaab mein.


Ye sochna hi abas hai kahaan kahaan hai Ali,


Jahaan jahaan hai haqeeqat wahaan wahaan hai Ali,


Idhar hai zaat e Khuda, udhar hai zaat e Muhammad,


Inhee lateef hijaabon ke darmiyaan hai Ali.


 


 


Uroose azm ki zeenat sana e Haider hai,


Bayaan ka husn e lataafat sana e Haider hai,


Gul e riaz fasaahat sana e Haider hai,


Khuda ki ain ibaadat sana e Haider hai,


 


 


Jo haq shanaas hain un ko sana ye bhaati hai,


Yehi sana to bahisht e bareen dikhaati hai.


 


 


Tatheer keh rahi hai taharat Ali ki hai,


Afzal kahein jise,wo ibaadat Ali ki hai,


Insaaf ki sadaa hai,adaalat Ali ki hai,


Arz o samaa Ali ke hain, Jannat Ali ki hai,


Kaabe mein khaas jaaye wilaadat Ali ki hai,


Masjid mein jo huwi wo shahaadat Ali ki hai.


 


 


Wo aftaab e fazeelat jise zawaal nahin,


Karoon jo wasf to itni meri majaal nahin,


Tamam aalam e insaaniyat mein baad e Rasool,


Khuda gawaah, Ali ki koi misaal nahin.


 


 


Yon gham-e-Shah ne fitrat pe hukumat ki hai,


Mere hothon ne tabassum se bagaawat ki hai,


Lab hilaate hain wahi log khilaaf e Maula,


Jinki Maaon ne amaanat me khayaanat ki hai.


 


 


Jo bhi darakht e Bughz e Ali mein atak gaya,


Wo shakhs raah e Deen e Khuda se bhatak gaya,


Kausar ki simt shaikh jee lapkey to the magar,


Saaqi Ali hai dekh ke chehra latak gaya.


 


 


Zameen e haq pe hasad se shigaaf mat kijiye,


Amal ko hukme Khudha ke khilaaf mat kijiye,


Ali ka bugz agar hai milaa viraasat mein,


To Kaaba ghar hai Ali ka Tawaaf mat kijiye.


 


 


Patthar pe Alam deen ka gadaa hota,Lalkar ke Marhab ko pachhaada hota,


Wahaan ek nahi do nahi, teeno the maujood,


Baab-e-Khaibar na shi, kuchh to ukhaada hota.


 


 


Khaibar ka tootna ho ke rajat ho shams ki,


Do ungliyon ka khel nazar ka kamaal hai,


Har baat ka jawaab zamane ko mil gaya,


Lekin Ali ki zaat abhi tak sawaal hai.


 


 


Zulm ko haq ki himayat nahi milne wali,


Sar to mil jayenge baiyat nahi milne wali,


Aye sitaare dar e Haider pe utar aa tu bhi,


Aasmaanon mein ye rif'at nahi milne wali.


 


 


Aayenge Panjetan e Paak hi bas zere Kisaa,


Koi zauja ho ijaazat nahi milne wali.


Kalma goyon ki ghalat fehmi ka kya kije ilaaj,


Chund sajdon pe to Jannat nahi milne wali.


Kahaan badnaam e Saqifa kahaan mai-khaar e Ghadeer,


Kabhi donon ki tabiyat nahi milne wali.


Ya Nabi aaj hi kar dijiye ailaan e Ghadeer,


Aaj ke baad ye ulfat nahi milne wali.


Zulm se chhiin to sakte ho Nabi ki masnad,


Izzat e dosh-e-Nabuwat nahi milne wali.


Ye to makhsoos fazeelat hai Bani Hashim ki,


Har gharaane mein shuja'at nahi milne wali,


Ye haqeeqat hai ke ae dushman-e-Haider tujhko,


Maa ke qadmon mein bhi Jannat nahi milne wali.


Waris e Aal e Mohammad ko to aa jaane do,


Saans lene ki bhi mohlat nahi milne wali.


 


 


Na chhedd mujhko isi mein teri bhalaayi hai,


Dam e hayaat Ali tak meri rasaayi hai.


Pukaar lena Ali ko har ek mushkil mein,


Ye baat Naad e Ali ne humein sikhaayi hai.


 


 


Faraz e dar hai, Meesum hai aur sana-e-Ali,


Chalo chalo wahaan mehfil sajee sajaayi hai.


Muqabila koi kaise kare Muhammad ka,


Kisi ka Haider e karrar jaisa bhai hai?


Chhupa ke rakho nigaahon se dushmanon ki Wafa,


Ali ke ishq ki daulat jo tumne paayi hai.


 


 


Mohsin meri lahed mein wo manzar ajeeb tha,


Jab maine khud Ali se kahaa Ya Ali Madad.


 


 


Baithha hai kyon mushkilaat ke raste pe haar ke,


O bad-naseeb dekh Ali ko pukaar ke,


Hai bistar e Rasool pe Haider ye tab khula,


Angdaayi jab ke lee shab e hijrat guzaar ke.


Marhab ka qatl bhi koi Khaibar mein qatl tha,


Phainka tha Zulfikar ka sadqa utaar ke.


Khaibar ka dar huwa tha ye ek-ek se keh ke bund,


Tum se bohat se mar gaye sar maar maar ke.


Khaibar ke dar ne khul ke ishara ye kar diya,


Mazher yehi hai quwwat e Parwardigaar ke.


 


 


Ya Ali keh ke qadam hum do uthha dete hain,


Raaste khud humein manzil ka pataa dete hain,


Hum ko milti hi nahi tere fazaail ki hudein,


Log kehte hain ke hum hud se badha dete hain.


 


 


Bugz e Ali mein jo bhi Saqifa, Shura kare,


Dozakh bhi aise log se bachne dua kare.


Sab kuchh sunaai deta hai 'Man Kunto' ke siwaa?


Tum sa na behra aur kisi ko Khuda kare.


 


 


Aata isi bahaane hai lab par Ali ka naam,


Allah har qadam mujhe thhokar laga kare.


Aisi shadiid dhoop mein paigaam talkh hai,


Jalte hain paaon saath mein dil bhi jalaa kare.


 


 


Sajde ko uske dekh ke hota hai itminaan,


Banda hai wo warna sajda kyon Khuda kare.


Naam e Ali pe karta hai Allah sab qabool,


Chaahe azaab ke liye Haaris Dua kare.


Jisko Ali ke baap ke kalme ki fikr hai,


Pehle wo apne baap ka jaakar pata kare.


Kehtein hain wo ke maani hai Maula ke dosti,


Ailaan e dosti ka hukm kyon Khuda kare?


Aur aise dost pe to meri jaan nisaar ho,


Tableegh e Risaalat ko jo kaamil shuda kare.


Hai shab ye Wilaayat ki lagaa Haideri naara,


Aisi ibaadaton ko bhala kyon qazaa kare.


Duniya o aakherat mein hai Mushkil Kusha yahi,


Kyon phir Salim doosron se iltija kare.


 


 


Ali ke ishq mein aisa kamaal kar dunga,


Kharab ho jo tabiyat ba-haal kar dunga,


Lagaa ke naraa e Haider har ek basti mein,


Munafiqeen ka jeena muhaal kar dunga.


 


 


Mujhe Ali ki zaroorat hai har qadam Ya Rab,


Mujhe Ali ke siwa koi aasra hi nahi,


Bataayein kis tarah Jannat mein aap jayenge,


Dar e Ali ke siwa koi raasta hi nahi.


 


 


Ali ka ishq hai rooh o badan ka ujla-pan,


Teri samajh mein samaaye bhala ye raaz kahaan,


Tujhe Ali se muhabbat nahi na kar sajde,


Tera badan hi najis hai teri namaaz kahaan.


 


 


Chauda hi khaas bande hain Parwardigaar ke,


Inka waseela deta hai qismat sanwaar ke,


Tum jinko maante ho agar hai yaqeen to,


Unko kabhi to galti se dekho pukaar ke.


 


 


Ali sha’oor ki sarhad mein aa sakaa bhi nahi,


Ye inteha e Ali hai ke intehaa bhi nahi,


Tamam mushkilein hul ho gayi hai lamho mein,


Abhi main soch raha tha pukaraa bhi nahi.


 


 


Jin jin ka humse kehte ho karne ko ehteraam,


Afsos oon mein koi bhi haqdaar na mila,


Ismat ki maanzilein to badi duur hai,


hatta, Salmaan sa, Fizza sa bhi kirdaar na mila.


 


 


Kab tak Ali ki zaat se daaman bachaaoge,


Mar bhi gaye to kabr mein unko hi paaoge,


Mizaan pe, Siraat pe, hai har jagah Ali,


Bachke jo niklo seedhe Jahannum mein jaooge.


 


 


Inse muraad maangne waalon ko dekhiye,


Har dharm se hain, fiqr se, har eteqaad se,


Maulaai ho, Isaai ho, ya Sikh o butparast,


Haider se maangte hain ya Babul Muraad se.


 


Saaya sadaa shiyon pe rahe Zulfiqaar ka,


Tu khauf kar Nausairi magar iske waar ka,


Kufr e Azeem chhod tu, apne Khuda ko dekh,


Karta hai sajda ye mere Parwardigaar ka.


 


 


Rab ne Ghadeer mein jise Maula bana diya,


Ummat ne baad mein usay chautha bana diya,


Anmol silaa deta hai hubbe Ali ka Rab,


Haider ke zacha-khaane ko Qibla bana diya.


 


 


Tu chhod ke darwaza, jisko bulaaye dar se,


Jo kaamyaabi samjhe, jab khoon bahe sar se,


Ya Rab wo tera kitna, mehboob banda hoga,


Aaya jo tere ghar mein hai, jaata hai tere ghar se.


 


 


Log kehte the Khuda, wo raha banda ban kar,


Ab Wilaayat ko sharaf bakhshega Maula ban kar,


Yaa Ali tum ne khilaafat pe bhi ehsaan kiya,


Kaabil e Zikr banaaya hai Khalifa ban kar.


 


 


Waabasta lahed mein ho meri zaat Ali se,


Mumkin ho ke ho jaaye kabhi baat Ali se,


Shaukat mujhe marna hai basad shauq gawara,


Hoti hai agar marke mulaqaat Ali se.


 


 


Kat jaata hai neki ka badan bugze Ali se,


Samjho to aamaal ki gardan pe chhura hai,


Inkaar e Wilaayat bhi ajab marz hai Shaukat,


Mar ke bhi nahi chhodta Dengue se bura hai.


 


 


Bandagi yun hi huwa karti hai Haider ke bagair,


Jaise Quraan padha jaaye tahaarat ke bagair,


Padhke Ahmed ne kiya Naade Ali se saabit,


Bach nahi sakti Nabuwwat bhi Imaamat ke bagair.


 


 


Takhleeq abhi goom thi hijaabat e adam mein,


Us waqt musauvvir ki nigaahon mein Ali tha,


Jab kon-o-makaan Kun ke iraadon mein nihaan the,


Oos waqt bhi Khaaliq ke gawaahon mein Ali tha.


 


 


Nusairi aur hum, dono Ali se ishq karte hain,


Ali kya hai, pataa dono ko Wallah nahin lagta,


Ali insaan aur Yazdaan ke maa-bain hi kuchh hai,


Usay banda nahin lagta, mujhe Allah nahin lagta.


 


 


Mere honton pe saji rehti hai bus Naad-e-Ali,


Is se achhi to munaajaat nahin ho sakti,


Naara-e-Haideri maidan mein lagaate hain jo,


Aise logon ko kabhi maat nahin ho sakti.


 


 


Zikr e Ali se dilon ko suroor milta hai,


Nigah e fikr ko taaza shaoor milta hai,


Naseeb kaisa bhi ho, Ya Ali Madad keh kar,


Khuda se kuchh bhi maango, zaroor milta hai.


 


 


Maine kaha ke aap sahaabi Nabi ke the,


Phir aap ne Nabi ko qalam kyon nahi diya?


Bole ke ye to badla tha Khaibar ki jung ka,


Puchho Nabi se mujh ko Alam kyon nahi diya?


 


 


Haasil ye zamane mein faqat hum ko sharaf hai,


Dil ban ke Ali waalon ke seene mein Najaf hai,


Jeene ka isi baat pe lutf hai logon,


Duniya meri dushman hai Ali meri taraf hai.


 


 


Sadqe mein Ahlebait e Muhmmad ke aye Khuda,


Gardaab e gham se mera safina nikaal de,


Ye ilteja hai momino ki Aye Rabbe Kaenaat,


Khairaat e Panjetan meri jholi mein daal de.


 


 


 


 


Hubb e Haider mein agar Haq ki qazaa paoge,


Hashr mein Ahmed-e-Mursal se jazaa paoge.


Haq ke paigham ko seeno'n mein sajaaye rakkho,


Khud ko tum Karbala waalo'n se juraa paoge.


Hath seene pe padey kufr ki gardan pe laga,


Aisa maatam ho to Qaim Ki razaa paoge.


Hum ko maaronge jahaan jurm e azadari mein,


Tum wahaan ek Aza-Khana sajaa paoge.


Farsh e Majlis mein behte hain jo ye askh e aza,


Qabr mein inse charaaghon ko jalaa paoge.


 


 


Muhammad se Ali ki zaat ka irfaan lete the,


Aur ek lamhe mein wo saari haqeeqat jaan lete the,


Risaalat ke zamane mein sahaba ki ye aadat thi,


Munafiq ko Ali ke bugz se pehchaan lete the.


 


 


Gardish ko kya khabar main kis ki dua mein hoon,


Bachpan se hi hisaar e Hadees-e-Kisaa mein hai,


Baarah Imam meri sifaarish karenge kal,


Main aaj se hi Khuld ki aab o hawa mein hoon,


Sargoshi kar raha hai qalam mujhse baar baar,


Zikr e Ali liye dar e Sayyada mein hoon,


Mehsoos ho rahi hai Khurasaan ki mehak,


Mimber pe hoon ke shehar e Imam e Raza mein hoon,


Kaise fishaar e qabr kare mera saamna,


Lipti huwe sana e Ali ki rida mein hoon.


 


 


Munkir ke dil pe zarb e Khuda Ya Ali Madad,

Momin ko kibriya ki ataa Ya Ali Madad,

Bismillah jis ne jab bhi kaha aur jahaan kaha,

Dar asl oos bashar ne kaha Ya Ali Madad.


 


Hadise hukme Risaalat ki tarjuma thhehri,


Sabab Ali se mohbbat ka meri Maa thhehri,


Ali Wali ke adu apni maa se puuchh zara,


Kahaan kahaan se wo guzri kahaan kahaan thhehri.


 


 


Aapas mein humko bar-sare paikaar mat bana,


Fikr e bashar ko zulm ki talwaar mat bana,


Hum log Haideri hai humein be-sabab na chhedd,


Salmaan rehne de humein Mukhtaar mat bana.


 


 


Tashreef Ali laate hain momin ki lahed mein,


Kya aur bhala chaahiye hub-daar e Ali ko?


Jeene ka mazaa aata hai oos waqt hi Shaukat,


Jab maut pe mar jaate hain deedar e Ali ko.


 


 


Sahib e fikr o nazar Haq ka Wali kehte hain,


Kaashif e kanz o habeeb e azali kehte hain,


Jisko duba huwa suraj bhi palat kar dekhe,


Hum usay apne aqeede mein Ali kehte hain.


 


 


Ye Nateeja Hum Ne Paya Daaman e Taareekh Se


Juz Khuda Har Ek Shai Se Murtuza Hain Be Niyaaz


Mustafa Kyunkar Na Kahte Usko Apna Jaanasheen


Jaanta Ho Jo Zameen o Aasmaa'n Ke Saare Raaz


 


 


 


 

 


Jinhe Ali Ki Ghulaami Naseeb Hai Zamin


Wo Apne Qabza e Qudrat Me Kya Nahi Rakhte


Unhi Ke Dil Me Buton Ka Qayaam Hota Hai


Jo Apne Dil Me Ali Ki Wela Nahi Rakhte


 


 


Aadam Ne Baad e Khilqat Dekha Tha Noor Aisa

Jisko Khuda Samajh Kar Imaan Apna Khote

Haider Agar Na Karte Tasbeeh Kibriya Ki

Zamin Jahan Me Aadam Pahle Nusairi Hote


 


Tauheed Ka Nishaan Wilaayat Ali Ki Hai

Is Jazba e Wela Ko Dabaane Chale Ho Tum

Kaabe Ka Ek Nishaan To Tum Se Na Mit Saka

Tauheed Ka Nishaan Mitaane Chale Ho Tum


 


Agar Kaa'be me Aa Jana faqat ik haadsa hota.

Nishaañ baaqi hai jo Ab tak, woh kab ka Mitt Chuka hota.

Main Aksar Sochta hooñ Suw-e-Kaa'ba dekh kar "Mohsin".

Jahaañ Aane pe Sajde hain !! Wahaañ Rehte to kya hota


 


Mujhe Ali Ki Zarorat Hai Her Kadam Ya Rab

Mujhe Ali K Sewa Koi Aasraa He Nahi

Bataiye Kis Tarha Jannat Main Aap Jain Gain

Dar-e-Ali K Sewa Koi Raasta He Nahi


 


 


ALI A.S k Ishq ma aisa kalaam kar donga,


Jo kharab ho tabiyat bahal kar donga,


laga k NARA-E-HAIDER A.S har ek basti ma,


Munafiqo ka Jeena Haram kar donga.


 


 


Aaj Bhi Silsila-e-Karb o Bala Jari Hai


Ishq-e-Shabbir Ka Izhar Azadari Hai


Yeh Hai Faisla Meezan-e-Azal Ka


Har Ibadat Pey Hubb,e Ali (as) Bhari Hai.


 


Kuhram q Barpa Hy Zameen-o-Aasman Me

Lagta Hai Koi Zulm Hua Hy Jahan Me

Paida Hua tha Khana-e-Kaba Me Jo Ali(as)

Maara Gaya Hy Aaj Khuda K Makaan Me.




Wo JIs Ne Maut Ko Bhi Apni Maut Maar Diya,

Ju Zindagi K Lye Zindagi Ka Baap Hua,

yeh Baat Taii Hai K"AADAM" Se le K Khaatim Tak,

Faqat ALI(A.S) N kaha k Main Kamyaab Hoaa.


 


Zanjeer-e-Dar Ye Kehti thi Mola Na Jaiye

Murghabiyon Ki thi Sada  K Aaqa Na Jaiye

Tha Aasmaan py Shor K Mola Na Jaiye

Bachay Pukartay they Baba Na Jaiye


Q Aasman Surkh Hy Ye Kesa Raaz Hai

Dunya Me Aaj Ali(as) Ki Ye Aakhri Namaz Hai




HAWALA YAD NAHIN KITAB SOCHNAY DO,

KAHAN SE POCH RAHAY HO NISAB SOCHNAY DO,

ALI(A.S) KI ZINDAGI MAIN KOI AESA SAWAL TO LAO,

K JAB ALI(A.S) NAY KAHA JAWAB SOCHNAY DO




Zehno say apnay duur ye teergi karlo

 Naad-e-Ali say Diloon main rooshni karlo

 jee rahay ho baghair Hub-e-Ali

 is say to behtar hai k tum khudkushi karlo


MERAY MOLA (A.S) KO HAQ KA WALI KEHTAY HAIN,

 KUCH AAQA KUCH SHER-E-JALI KEHTAY HAIN,,,

TUM JIS KO ALLAH KI MADAD KEHTAY HO,,,,

HUM APNAY MAFHOOM MAIN USKO YA ALI(A.S) KEHTAY HAIN



KEHTA HOON YA ALI MADAD MAIN PEHLE SALAM SE

Q K YE AK HADEES HAY KHAIR_UL_ANAAM SE

SUN K ALI KA NAAM JO CHEHRA BIGAAR LE

KRNA NAHI KALAM US NSL_E HARAM SE...



Ya RAB ye iltimaas hai teri janab mai

Mujh ko mila day KHAK-E-DAR-E-BOOTRAAB mai

Baad-e-namaaz daikhtay hain yun idher udher

gardan phansi ho jaisay KHUDA ke azaab main.




                                    اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

5 comments:

  1. Very nice4
    Maula ajar de
    Jazak ALlah

    ReplyDelete
  2. salamat rahiye.bahot ache ashaar.maine kch moti chun liye hain. aj eid e ghadeer hai.wahan padhungi..inshallah

    ReplyDelete
  3. Mashallah ruh khush hogyi ❤😍

    ReplyDelete
  4. Masha allah maula salamat rakhe aapki naukri qubool kare ilahiameen

    ReplyDelete