Ashaar Imam Mahdi (atfs)

    ASHAAR IMAM E ZAMANA (ATFS)


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم   وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ ال عصر (عج) اَدْرِكْنَا



Ashaar Related To Imam e Zamana (afts)

1) Best Qataat 2) General Ashaar 3) Areeza 4) Intezar 5) Manqabat.

 Best Qat'aat Imam Mahdi (afts)


Dilo Nazar Pe Tera Ehoteram Wajib Hai,

Mai Mustahab Nahi Kehta Ye Kaam Wajib Hai,u

Salam Isliye Karta Hu Aap Ko Maula (as),

Mai Jaanta Hu Jawabe Salam Wajib Hai.

Mir Taqllum


Pehle Zamzam Se Zabaan Apni Dhula Karti Hai,

Imame Asr (as) Ka Tab Naam Liya Karti Hai,

Madhe Maula Kalam Jabbhi Uthata Hai Hasan,

Mushkile Khud Ba Khud Aasan Huwa Karti Hai.



Hawa Ki Dosh Pe Masum Khusbuwo Ka Safar,

Bataa Raha Hai Ke Aamad Kisi Imam (afts) Ki Hai.

Mai Jaa Raha Hu Imam e Zaman (as) Ki Chaukhat Pe,

Waha Suna Hai Zarurat Kisi Ghulaam Ki Hai.



Zamana Aajbhi Islam Ka Mukhalif Hai,

Isi Liye To Abhi Inteqam Baki Hai,

Khabar Bhi Hai Tujhe Ay Dushman e Aza e Husain,

Abhi Bhi Ghaib Me Apna Imam Baki Hai.



Hoaayi Nazar Tur Se Taa Wadi e Khizra,

Jalwa Wo Khudadaad Khuda Jaane Kidhar Hai,

Ay Bade Saba Jaake Bas Deunko Salaami,

Kya Kya Dile Muztar Me Hai Sab Unko Khabar Hai. 



Khola Ye Raaz Ghaibate Qaem (as) Ne Dosto,

Kyu Kar Zamin Se Arsh Pe Aayi Thi Rotiya,

Mahdi Tere Liye Teri Dadi Ke Haath Ki,

Jibreel Se Khuda Ne Mangaayi Thi Rotiya.

Mir Taqallum


Tumhari Deed Ko Yu Kuch Taras Gayi Aankhen,

Na Jaane Kaun Si Basti Me Basgayi Aankhen.

Abb Isse Badh Ke Aqidat Ki Kya Gawahi Ho,

Tumhari Yaad Jo Aayi Baras Gayi Aankhen.



Maula tumhari ek nazar ka Samar mile

Jis tarha ek lamhe mai Fitrus ko Par mile 

Sahab (a.s) ka intezar hai is aarzoo ke sath

Aise ki Hur (a.s) ne pai thi waisi Sehar mile.



Jo Imam-e-Zamaañ se Ghaafil hai.

Woh Khuda ki Nazar Me Jaahil hai.

Kar Sake Jo Na Nusrat-e-Maula.

Woh Bahadur Nahin hai, Buzdil hai.

 



Jo peshe nazar unka chehra nahi hy,

In akho me jaise ujaala nahi hy,

Arize pe aakh bana di hy apni,

Mujhe likna padna to aata nahi hai,

Kahi zindagi ke diye bhujna jaaye,

Hawaao ka koi bharosa nahi,

Tum aaoge iska bharosa hai lekin,

Yaha zindagi ka bharosa nahi hy.



Uthe ga jis ghadi pardey se barwa rahebar.

To chand tare bhi apna mu chupa lenge.

Kati the yusuf ke husn pe eak din ungliya.

Aapa aajayiye ham apne galey kata denge.



Jab khuda ke hukm se parda hataya jaaye ga.

Sab se pehle aashiko ko aazmaya jaaye ga.

Karbala waale the jaise waise parwaane bano.

Sun raha hu phir charago ko bhujhaya jaaye ga.



Saari Duniya Me Hukumat Ghaib Me Darbar Hai,

Aaj Bhi Qayam Mere Sarkar Ki Sarkar Hai.

Padhte Rahiye Intezare Shahe Hujjat Ki Namaaz,

Ye Ibadat Har Ibadat Ke Gale Ka Haar Hai.



Ibtedaye Roz o Shab Ki Inteha Parde Me Hai,

Moazije Hai Saamne Mojiznuma Parde Me Hai.

Nooh Bhi Apni Jagah Ye Soch Kar Hai Mutmaeen,

Kashtiye Deen e Khuda Ka Nakhuda Parde Me Hai.



Us Shaksh Ko Mai Kaise Musalman Maan Lu,

Jisko Kadar Nahi Hai Khuda Ke Payaam Ka.

Shaitaan Ki Hayat Me Yakeen Hai Magar,

Inkaar Karraha Hai Hayate Imam (afts) Ka.

 


Wo aaftab e tabbarra abhi hai ghaibat me

Wo jab aayga to tabarrai jagmagaenge

Na ittehad chalega na koi rawadari

Imam e asar (atfs) to zinda umar jalayenge.



Hoti Hai Karbala Me Makhsoos Isliye,

Jo Hai Khuda Ke Deen Ka Sahara Wo Aagaya,

Sab Aake Kahrahe Hai Mubarak Ho Ay Hussain (as),

Jo Lega Intekaam Tumhara Wo Aagaya.



Tarrq Karti Jaa Rahi Hai Qaum Parde Ka Chalan,

Maslehat Ke Bhesme Imaan O Deen Rahjayenge,

Der Kardi Wadi e Khizra Se Aane Me Agar,

Ek Akele Aap Hi Parda Nasheen Rahjayenge.



AL-AJAL TO ZABANO PE HAI MAGAR,

KUCH INTEZAM B HAI KE BUS INTEZAAR HAI..?

NIKLA NA 10 KA NOTE GHARIBO KE NAAM PAR,

KEHTE HAI UNKE NAAM PE SABKUCH NISAAR HAI.



Khuda Ke Izn Se Ek Roz Aayenge Mahdi,

Zamane Bhar Se Zulm Ko Mitaayenge Mahdi,

Jo Karbala Me Ruki Aur Aaj Tak Na Chali,

Uss Zulfeqar Ko Aaker Chalyenge Mahdi.



Bichegi Farshe Aza Mecca Or Madine Me,

Har Ek Gham Majlis Karayenge Mahdi,

Dilo Zuban Se Labbaik Ya Husain Kaho,

Yakin Rakho Hame Bhi Bulayenge Mahdi.



Taqi Naqab ulat kar imam ayege

Imam ayege or zulfekar layege

Yazeed jitne h sab unke sar kalam hoge

Wohi Makham bachege jaha Alam honge.



Shahzadi e Jannat as ka karam dekh rahe hain

Khwaboon me bhi ghazi as ka alam dekh rahe hain

Ghaebat se sada aati hai khatroon ko kuchal do

Dil khol ke matam kro hum dekh rahe hain.



Pardaye gaib se tege Ali (a.s.) jab aayegi

Mufti ye biddat ki nani marjayegi

Dadhi pakadke marejaenge mulla

Baqre ki maa kabtak khair manayegi.



Ay Mahdiye darain bacha ranjo alam se,

Mushkil me tera naam har ek tan ki ziyaa hai,

Haa apne gulamo ko muwaddat ka sila de,

Ye roze 15 shabaan to teri saal girah hai.



Mujh say mera imam (a.j.f) buhat door, door hai,

A'amaal hain buray meray, mera qusoor hai,

Taqwa nahin hai hum mein, haqeeqat hai doston,

Kaisay milay wo hum say? Wo allah ka noor hai!.



Abi tu haq o batil ka match hona hai

Fidak ke ghasiboon ko abi catch hona hai

Hy intazar ke kab aaen ge mere maula (as)

Humari team ko un sy attach hona hai

Woh aayenge to power play start hoga

Munafiqon tumko to bas usi din khatm hona hai.



Ke jab bhi koi bhi zikre janabe mukhtaar karta hai,

Baghawat ke liye hamko lahu tayyar karta hai,

Husain ibne ali ka ek aur mukhtaar baaki hai,

Wo ghaibat me bhi apni saif ko rozz dhaar karta hai.



Isiliye To Abhi Zulfiqar Baaki Hai,

Munafiqo Ka Muqammal Shikar Baaki Hai,

Abhi To Karz Chukana Hai Khoone Sheh Ka Tujhe,

Ye Khaas Kaam Tera Zulfiqar Baaki Hai.



Kaha mojo ne nakshey paye mola ham bhi dekhe ge.,

Rawa darya ke sene par musala ham bhi dekhe ge...

Hamari bekarari ko tamasha keh chuki dunya...

Chalye aao ke dunya ka tamasha ham bhi dekhe ge



Kya Qasida Kehdiya Hai Ay Mere Parwar Digar,

LaFatah Illa Ali La Saif Illa Zulfiqar.

Bas Imame Asr Ki Surat Dikhade Ek Baar,

Phir Meri Ankhon Ko Chahe Cheen Le Parwar Digar.



Phir zarurat hai koi haq ka nigehbaan aa jaye

Ronak e Khana e haq, jaane gulistaan aa jaye

Log Quran ki khamoshi ko banaye hai mazaak

Kaash aise me koi bolta Quran aa jaye



Hum aqidat ki na jaane kaun si manzil me hai,

Har ghadi lagta hai ke maula hamare dilme hai.

Ab khuda ke waaste farmayiye jaldi zahoor,

Aap ke Shia mere maula badi mushkil me hai.

Wo nazar aate nahi per dil ko hai kitna yakin,

Ho na ho maula hamare saath is mehfil me hai.

Tune Talibe Bayat Ka Sar Kaata hai Is andaz Se,

Haq O Batil aaj tak apni Hade fasil Me hai.

Karbala ke zikr pe hai kis liye paabandiya,

kya razi allah bhi koi safe katil me hai.

Kaash Hum Bhi Hazrat e Hujjat (as) Ke ansaro me Ho,

Ha Hasan Ki ye Tamannah Iss Bhari Mehfil Me hai.



Nizam e jabr ka qissa tamaam ho jaye....

Guroor zado'n ka jeena haraam ho jaye....

Zamana dekh ley fir zulfiqaar ke johar....

Dua hai jald zahoor e imam (atf) ho jaye....



Ye baat maan lijiye takraar ke bagair

Mehshar na hoga 12ve sardar ke bagair

Qaim (a.s) sajayenge yaha abbas (a.s) ka alam

Kaaba bana hai isiliye minaar ke bagair.



Maula Ye Mera Kaam Hai Pahela Karde,

Taqdir Ke Chehre Ke Bhi Pahela Karde,

Waade Ke Mutabik Unhe Aana Hi Padhe,

Iss Dil Ko Mere Masjid Sahela Karde.



Ay meri 12Wi sarkaar ye kya parda hai

Aankh dekhe bhi nahi , Qalb se jaate bhi nahi

Sab ke nazro me nahi , Sab pe nazar rakhte ho

Saaf chupte bhi nahi  , Saamne aate bhi nahi



Ahle dunya ne ajab shor macha rakhkha hai,

Bidato kufr ko Islam bana rakhkha hai,

Gar tauheed tujhko bachaana hai mere khuda,

Bhej usko jise parde me chupaa rakhkha hai.



Gyara sau (1100) saal beet chuke hai mere imam..!!

Ab kijiye zahoor naa marr jaye yeh ghulaam..!!

Darvaish dil me rakhhe hai hasrat ye subh o shaam..!!

Kab lenge woh hussain ke qaatil se inteqaam..!!

Teg e ali ka funn woh jahaan ko dekhaega..!!!

Dunya se ahlebait ke dushman mitaega..!!! Al ajal ya imam



Ya Ali kehke jahan jisne kadam rakhkhaa hai,

Mere maula ne waha us ka Bharam rakhkhaa hai,

Raat bhar jiske liye neend na aayi tumko,

Aaj bhi ghar me hamare wo Alam rakhkhaa hai,

Hum bulaate hai unhe jabbhi Azaakhaano me,

Ay se darte hai ke jaise yaha BAM rakhkhaa ha.



Muntazir hum hi nahin hain, muntazir hain Fatima (S.A),

Ab bhi Bait-ul-Huzn mein ro rahi hain Syeda (S.A)

Roknay Bibi (S.A) kay aansoo, aa bhi jaao jald, Imam (A.S),

Qatil-e-Mohsin (A.S) ko apnay haath say denay saza.



Turaab se jo musalsal anaaj ugta hai,

Bashar bashar usay har subh o shaam khaata hai,

Jo muntazir nahi ‘Shaukat’ zahoor e Mehdi ka,

Qasam Khuda ki wo rizq e haraam khaata hai.



Maang Le Zamin Dua, Allah Rakkhe Kaamiyaab,

Jab Imam e Waqt Tera Imtehaan Lene Lage,

Dil Zara Tu Hi Bata Aise Ko Ab Kya Naam Doon,

 Aal Pe Football Ko Tarjeeh Jo Dene Lage.



Bhala main oon ke bulaane se ki tarah aaoon,

Jo apne ho ke mujhe ashk-baar karte hain,

Inhe Namaaz ki fursat nahi tajjub hai,

Azaan ke waqt bhi ye karobaar karte hain.




Iss Falsafe Ghaibat Ko Kyu Rab Ne Badhaya Hai

Shabbir (as) Ke Lashkar Me Kya Hurr Nahi Aaya Hai

Wo Dekhiye Kaabe Ki Chat Per Hai Khade Mahdi (atfs)

Dada Jaha Utraa Tha Potaa Wahi Aaya Hai. 





Kaha maujo ne naqashe paaye maula ham bhi dekhe ge,

Rawaan darya ke seene per musalla ham bhi dekhen ge,

Hamari beqraari ko tamasha keh chuki dunya,

Chale aao ke dunya ka tamasha ham bhi dekhe ge.



Nabi ki Aal se tujh ko gila ye kitna hai,

Tu Kalma-go hai magar na-muraad kitna hai,

Jihadiyo’n, zara Mehdi a.s. ko aa to lene do,

Pata chalega ke shauq e Jihad kitna hai.



Wila ke ghar ko sajaa le to aabhi sakte hai,

Dilo ko paak banale to aa bhi sakte hai,

Abhi to sirf zubaan se hai iltejaaye zahur,

Hum unko dilse bulaa le wo aa bhi sakte hai.



Galey milo’n sab Durood padh kar,

Hasad ki deewar todd dalo,

Dilo’n mein bugz o hasad raha to,

Husain ka gham kahaa’n rahega,

Labo’n pe geebat, dilo’n mein nafrat,

Farebi aankhein, makaan gazbi,

Bulaa rahe ho jise bataao,

Wo aa gaya to kahaa’n rahega.



Waada Ye Deed Per Aghyar Se Hujjat Hogi,

Dil Ye Kehta Hai Harifo Ko Nidamat Hogi,

Daaw Per Hum Ne Lagaya Hai Bharam Ulfat Ka,

Abbhi Sarkaar Naa Aaye To Qayamat Hogi.



Waaz Kehte Ho Jo Ye Dilko Hilaane Waale,

Waizo Hum Nahi Is Pheyr Me Aane  Waale,

Hum Ko Malum Hai Ek Din Wo Uthayenge Naqab,

Tum Bade Aaye Qayamat Se Daraane Waale.




Hum Kaha Aur Hazrate Musa Sa Paighamber Kaha,

Ye Karam Maula Ka Hai Hum Pe Inayat Hogayi,

Aagaye Wo Jab Naqab e Rukh Ulat Kar Saamne,

Aagaya Musa Ko Gash Hum Ko Ziyarat Hogayi.




Titliya Udne Lagi Jis Dum Areeze Hijr Ki,

To Ye Jumle Khud Bakhud Uski Zabaan Tak Aagaye,

Ay Saher Ke Dubbte Tare Tujhe Teri Kasam,

Itna Batlade Mere Maula Kaha Tak Aagaye.




Hai Qaaf Aur Nun Ke Mabain Teri Zaate Khafif,

Jabhi To Malike Kauno Makan Hai Mahdi (atfs)

Yaha Pe Sher Hiran Paani Saath Peete Hai,

Ye Mulk Wo Hai Jahan Hukmuran Hai Mahdi (atfs).




Ay Mere Pardaye Ghaibat Me Sawarne Waale,

Hum Pe Allah Ki Rahmat Hai Tumhara Parda,

Parda Uththega To Khuljaayenge Aamal Apne,

Isi Parde Ne To Rakhkha Hai Hamara Parda.




Mahdi (as) Ka Naam Likha Hai Jabse Wujood Per,

Kaisa Khumaar Dekhiye Kagaz Pe Chadgaya,

Lad Lad Ke Leraha Hai Wo Lehro Se Raasta,

Jaise Ke Woh Nuh Ki Kashti Se Badhgaya.




Jin Logon Ne Jalaya Hai Darwaza e Batool,

Kaategi Unke Haathon Ko Shamsheer Dekhna,

Jis Roz Ibn e Fatima Parde Se Aayega,

Tabbat Yadaa" Ki Asl Me Tafseer Dekhna.




Anwaar ki Maalaao'n me Peetal ko Jadhenge.

Uljhenge to phir Maut ke Paao bhi Padhenge.

Bad-Bakht Qabeeley pe hansee aati hai "Shaukat".

Mukhtar ke Sehmey hue, Qaem se Ladhenge ?




Pehlu me tegh haidere karrar ki tarah

Kaandhe pe alam jafare tayyar ki tarah

Jab inteqaam loge husaine shaheed ka

Hum bhi chalege saath me mukhtar ki tarah.




Zulm ki Tarikiyo'n me Ab Ujala kijiye,

Ranj o Gham se choor Shiyat ka Madawa kijiye,

Inteqaam e Karbala ke waaste Meer e Zama'n,

Parda e Ghaibat se Aane ka Ishara kijiye.




Zamaane waalo Mujhe Intezaar Hai Uska,

Ameer e Dahr, Shah e Mashreqain Baaqi Hai.

Yazidiyat Ki Jadon Ko Ukhaadne Ke Liye,

Pase Hijaab Abhi Ek Husain Baaqi Hai.




Ay Mahdi e darain (as) bachaa ranj o alam se,

Mushkil me teraa naam har ek tan ki ziyaa hai.

Haa apne mohibbo ko mawaddat ka silaa de,

Ye 15pandrawi shaabaan Jo Teri saal girah hai.




Parde Se Usko Bhej De Ay Rabbe Zul Jalaal,

Ham Ko To Intezaar Hai Zehra (SA) Ke Laal Ka...

AaJaye Woh Agar To Sawar Jaye Zindagi,

 Guzre Ibadaton Me Ek Ek Lamha Saal Ka




Sawal e ajr e risalat maab hona hai,

Munafiqat ko abhi beynaqab hona hai,

Ali a.s ka beta zamanay main aanay wala hai,

Abhi tou bag e fidak ka hisaab hona hai




Deene haq se ye saara nizam Qayam hai,

kisi ke faiz se ye Intezam Qayam hai,

Wo aur honge yatimane mazhabo millat,

Hamare ser pe hamare Imam Qayam hai.




Parda ruq e shamsheer se hatana bhi qayamat..

Deewano ko jalwa na dikhana bhi qayamat..

Jab tak na wo aayenge na aayegi qayamat..

Ana bhi qayamat hain.. Na ana bhi qayamat




Ek Arse Se Meri Sachchi Zabaan Parde Me Hai,

Yu Samajhlo Dard Ki Ek Daasta Parde Me Hai,

Kaun Kahta Hai Imame Do Jahaan Parde Me Hai,

Apni Aankhon Me Hai Parda Wo Kaha Parde Me Hai.




Unki raaho main yahan tak ke bichi hai aankhe

Jinke sadke main zamane ko mili hai aankhe

Mere maula ko batao ke kahin dekha hai

Sabki aankho se yahi pooch rahi hai aankhe.




Maston Ke Muqaddar Ko Jagane Ke Liye AAA

Makhluq Se Khaliq Ko Milaane Ke Liye AAA

Haafiz To Hazaaro Hai Muhafiz Nahi Koi

Bikhraa Huwa Quraan Bachane Ke Liye AAA

Sadiyon Se Tarasti Hai Wo Munkir Ke Lahu Ko

Karrar Ki Talwar Chalane Ke Liye AAA

✍🏻 Shaukat Raza Shaukat




Maine Kaha Khuda Se Ke Maula عج Ko Bhej De

Karde Tamaam Ahle Zamana Ka Intezar

Bolaa Khuda Ke Teri Duaaye Kabool Hai

Baki Magar Hai Sahibe Zahra (س) Ka Intezar

Wo Aaye Kis Tarah Ke Abhi Ek Bhi Nahi

Hai Muntazar عج Ko (313) teen Sau terah Ka Intezar. 




Sunle wo jinke liye zikre Ali baar hai

Aaj bhi parde main aik Haider-e-Karrar hai

Unko hai sabki khabar, rakhte hai sab par nazar

Kaun hai gaddar aur kaun wafadar hai

Munkir e Ashk e aza, Soch le itna zara

Gaib main bhaita hai jo, Wo bhi Azadar hai




Zulm sahte sahte thak gaye karar chahiye..

Ab zulm ke sarpar teri talvar chahiye

Is khauf ke mahol se tang aa chuke ham

Ay warise haider teri sarkar chahiye.




Ibadaton ko meri intizaam ho jaey,

aqidaton ka bhi kuch ehtamam ho jaey,

bhatak rahay ho andheron main roshni k liye,

Dua karo k zahoor e imam ho jaey.




Baad e Aqida Kahdo Ye Ahle Jahaan Ko,

Dekh Le Sarpar Mere Ye Ilzaam Baand Kar,

Hoga Zahoor Mahdiye Dauraan Ka Jab Kabhi,

Tere Haram Me Jaunga Ehraan Baand Kar.




Meri koi bhi Ibadat na Mukammal hogi,                                                                    Ho na Jab tak terey Dushman pe Tabarra Zahra                                             

Tab kahi'n jaa ke Suku'n Faiz e Hazee'n Paayega,                                                      Gaib se Aayega jab Aap ka Beta Zahra.




Ek Roz Hamari Zindagi Me Aisa Aaye,

Kaano Me Imam (as) Ke Zahoor Ki Nida Aaye,

Yeh Dua Hai Uss Ghadi Ham Tayyar Rahe,

Halmin Nasiro Yansurna Ki Jab Sada Aaye.




Parwardigar Hujjate (atfs) Ko Bhej De,

Hum Log Jeena Chahate Hai Amn o Amaan Ke Saath,

Aal e Nabi Ke Sadqe Me Eidi Ataa Ye Ho,

Juzre Hamari Eid Imam e Zamaan (atfs) Ke Saath.




Muntazir Kyun Na hoñ Aankhein Tere Deewane ki.

Baat Nikli hai Zamane Mein Tere Aane ki.

Ishq-e-Sarkar ka Daava to Sabhi karte hain.

Baat hai 313 Mein Jagah Paane ki.





Itni si bus hikayat e ehd e zamana hai

Hujjaat khuda ki asal hai baqi fasana hai

Ghairoon ne jo imam banaye thay chal basay

Zinda faqat hamara imam e zamana(a.s) hai




Abhi To Hijr Ki Sakhti Uthaa Raha Hu Mai,

Wafa Ko Apni Abhi Aazma Raha Hu Mai

Tera Jamal Tasawwur Me Laake Ay Maula,

Nazar Ko Deed Ke Kabil Bana Raha Hu Mai.




Baaqi Hai Koi Noor Hidayat Pase Parda,

Jabhi To Zamane Se Ujaala Nahi Jaata,



Wo karbala ki kahani palat ke aaye gi

Habeeb jaisee sunani palat ke aaye gi

Imam e asr ki nusrat ka gar irada hai

Qasam khuda ki jawani palat ke aaye gi

 



Mai isliye saath me rakhta hu camera,

Waqt ayega to apna bhi jauhar dihkaunga,

Hoga zahur hujjate aakhir ka jis ghadi,

Kadmo ko unke chum ke photo khichaunga.




Aabhi jaa pardaye gahibat se zamane ke imam,

Tujhse ham teri jadd ki kahani sunle,

Hum azaadaro ki bas aakhri hasrat hai yahi,

Nauha shabbir ka ek teri zabani sunle.



Abhi tou zulm ka qissa tamaam hona hay.

Hussainiat ko abhi gaam gaam hona hay.

Jo ho raha hay sitam uski shaam hona hay.

Karo na fikr zahoor e imam (a.t.f.s) hona hay




Ghadeeri jashn manana bahot jaruri hai,

Ghadeer kya hai batana bahot jaruri hai,

Jawan ho gaye marhab ki nasl ke bachche,

Imam e asr ka aana bahot jaruri hai.




  B) General Ashaar Imam Mahdi (atfs)


Ye chauda hai to elahi nizaam zinda hai,

Inhi ke waaste khaliq ka naam zinda hai,

Manaake jhashn zamane ko ye bataate hai,

Hami wo logg hai jinka Imam (atfs) zinda hai.



Khaaliq mujhe Tu apne Wali ka shaoor de,

Be-noor hone waali nigaahon ko noor de,

Ya Rab hai zulm o jaur se duniya bhari huwi,

Ab Fatima ke laal ko izn e zahoor de.



Maey e baqaa ke musalsal wo jaam peete hain,

Aur apne daaman e khwaahish ke chaak seete hain,

Padhe Namaaz kabhi iqtedaa mein Mehdi ki,

Janaab e Isa isi aarzu mein jeete hain



Jashne wali-e-asr manane ke waaste,

Hum ne wuzu kiya hai wilayat ke jaam se.

Apne amal se dijiye is baat ka saboot,

Ulfat humein hai khoob hamare Imam se.



Abuturab Ka Qayam Makaam Zinda Hai,

Isiliye To Khuda Ka Payam Zinda Hai,

Ye Intekaame Mashiyat Nahi To Aur Kya Hai,

Khalifa Margaye Mera Imam (as) Zinda Hai.



Fakhre aftaab aayega, Rashk e Mehtaab aayega

Honge gul falak ke sab diye, jab wo be naqaab aayega

Zulfeqar aasmaan ki aur Rasool ka Alam liye

Aik Buturaab aa chukka hai, aik Buturaab aayega.




Is aasre pe dile bekarar zinda hai,

Koi to ashko ka ummid war zinda hai,

Ghame husain (a) ko bid'aat zara sambhal ke kaho,

Abhi husain a.s. Ka ek sogwaar zinda hai.




Rahe amal se hatane ki baat mat karna

K dil me agg lagane ki baat mat karna

Abhi hy pardae gaibat mein barwe a.s rehbar

Game hussain ki mitane ki baat mat karna.



Awwal ke Muhammad ko Nabuwwat de di,

Ausat ke Muhammad ko Imaamat de di,

Aakhir ke Muhammad ko Khuda kya deta,

Kuchh din ke liye Apni si ghaibat de di.




Aankhon Ke Chirago Me Ujale Na Rahenge,

Aajaao Ke Phir Dekhne Wale Na Rahenge

Kiska Khayal Rooh Kashe Fasle Bahar Hai,

Har Barghe Dil Ke Sine Me Dil Beqarar Hai.

Asadullah Mirza Ghalib 🖋




Dunya Me Aaj Sahibe Imaan Aagaya,

Waris Ali Ka Deen Ka Sultan Aagaya,

Lagte Hai Aaj Goad Me Nargis Ke Yu Imam,

Ismat Ki Jaise Rahle Pe Quraan Aagaya.




Jo Mujhpe Saya Fegan Unka Haath Hojaye,

Mere Kadam Ke Tale Qainaat Hojaaye,

Bujhe Huwe Hai Mere Zindagi Ke Sare Chiraag,

Imaam Aayeto Raushan Hayat Hojaaye.




Askari Ke Laadle Ka Roohe Anwar Dekhna,

Ay Khuda Humko Mayassar Ho Ye Manzar Dekhna.

Noor Hi Anjam Desakta Hai Bass Iskaam Ko,

Ghaib Me Rahte Huwe Parde Se Bahar Dekhna.




Na Zindagi Ki Hawas Thi Na Maut Ka Khatka,

Azal Me Kab Koi Ye Bare Gam Uthaata Tha,

Huzoor Deed Ki Ummede Khich Laayi Hai,

Nahi To Jeene Ko Dunya Me Kaun Aata Tha.




Shayad-e-Aalam K Dil kA Chain Zinda Hai

Haidar-e-Karrar K Dil Ka Chain Zinda Hai

Kehdo Ye Zamane K Yazeedo Se

Parda-e-Ghaib Main Abhi Ek Imaam Zinda Hai




Hai ambiya me aur iss 12we me farq bahut

Isike dum se hi saaraa nizam Qaem hai

Nabi ko huqm huwa hai namaz Qaem ker

Ye wo namaz hai khud jiska naam Qaem hai.




Jo Imam-e-Zamaañ se Ghaafil hai.

Woh Khuda ki Nazar Me Jaahil hai.

Kar Sake Jo Na Nusrat-e-Maula.

Woh Bahadur Nahin hai, Buzdil hai.




Baad e Aqida Kahdo Ye Ahle Jahaan Ko,

Dekh Le Sarpar Mere Ye Ilzaam Baand Kar,

Hoga Zahoor Mahdiye Dauraan Ka Jab Kabhi,

Tere Haram Me Jaunga Ehraan Baand Kar.




Meri koi bhi Ibadat na Mukammal hogi,  Hona Jab tak terey Dushman pe Tabarra Zahra,                                                        Tab kahi'n jaa ke Suku'n Faiz e Hazee'n Paayega,                                                      Ghib se Aayega jab Aap ka Beta Zahra.



Ek Roz Hamari Zindagi Me Aisa Aaye,

Kaano Me Imam (as) Ke Zahoor Ki Nida Aaye,

Yeh Dua Hai Uss Ghadi Ham Tayyar Rahe,

Halmin Nasiro Yansurna Ki Jab Sada Aaye.




Parwardigar Hujjate (atfs) Ko Bhej De,u

Hum Log Jeena Chahate Hai Amn o Amaan Ke Saath,

Aaal e Nabi Ke Sadqe Me Eidi Ataa Ye Ho,

Guzre Hamari Eid Imam e Zamaan (atfs) Ke Saath.




Muntazir Kyun Na hoñ Aankhein Tere Deewane ki.

Baat Nikli hai Zamane Mein Tere Aane ki.

Ishq-e-Sarkar ka Daava to Sabhi karte hain.

Baat hai 313 Mein Jagah Paane ki.





Wojoode haq se yeh saara nizam qayem hai.

Kisi ke faiz se ye intezam qayem hai.

Woh aur ho ge yateemane mazhabo millat

Hamare sar pe hamare imam qayem hai




Lo Aaj Ke Unwaan Ka Ek Naam Hai Qayam,

Qayam Ke Wasile Se Hi Quraan Hai Qayam,

Is Daur Me Tauheed Ki Pehchan Hai Qayam,

Insaan Ke Paiker Me Yazdan Hai Qayam,

Ye Sach Ke Tumne Abhi Tak Nahi Jise Maana,

Qayam Ke Sarape Hi Dunya Hai Ye Qayam.




Wali-e-Asr sa hum hukmaraan rakhte hain.

Hum ik jahaan me, Saara jahaan rakhte hain.

Woh jab bhi aayein, hamare hi paas aayenge.

Ke hum Gharo'n pe Alam ka nishaan rakhte hain.




Inteqame shahe abrar abhi baaki hai ,

Ek machalti huwi talwar abhi baki hai,

Marhabe asr ko ye malum nahi shayed,

Aakhri Haidar e Karrar abhi baaki hai.



Sayad-e-Aalam K Dil kA Chain Zinda Hai

Haidar-e-Karrar K Dil Ka Chain Zinda Hai

Kehdo Ye Zamane K Yazeedo Se

Parda-e-Ghaib Main Abhi Ek Imaam Zinda Hai.




Imame waqt Ka Jisko Ehteraam Na Ho,

Khuda Kare Mera Ussey Dua Salaam Na Ho.

Agar Imam e Zamana ka Faiz Aam Na Ho,

Kahi pe Subho Na Ho Aur Kahi pe Shaam Na Ho.




Daste Khuda Wahi Hai Wahi Zulfeqar Hai,

Maula (atfs) Ko Huqme Rab Ka Faqat Intezar Hai,

Khul Jaye Raaz Dushman e Zahra (sa) Ke Sab Ke Sab,

Shayad Yahi Mashiyate Parwar Digar Hai.




Inkaar Karna Chod 2 Ghaibat Ko Maanlo,

Rakkho Badan Pe Sar Ko Tum Apna Sambhalke,

Uss Chasme Zulfeqar Se Koi Chipe Ga Kya,

Naslo Ka Jisne Rakhdiya Shajra Khangaal Ke.




Jashn iss tarha se Mahdi ka manaya jaaye

Aasmano ko zamino pe bichaya jaaye

Dil yeh kahta hai ke aate hi kahenge Maula

Hai kahan dushmane Zahra (sa), unhe laaya jaaye.




Baad e Aqida Kahdo Ye Ahle Jahaan Ko,

Dekh Le Sarpar Mere Ye Ilzaam Baand Kar,

Hoga Zahoor Mahdiye Dauraan Ka Jab Kabhi,

Tere Haram Me Jaunga Ehraan Baand Kar.




Teri koi bhi Ibadat na Mukammal hogi,    Hona Jab tak terey Dushman pe Tabarra Zahra (s)                                                  

Tab kahi'n jaa ke Suku'n Faiz e Hazee'n Paayega,                                                

Ghaib se Aayega jab Aap ka Beta Zahra. (s)




Rotiya'n de ke kaha hoga yeh Zahra (sa) ne ke bas

Rizq  Mahdi ko yeh Gaibat me khilaya jaaye

Jhasne Me Tazkeraye Hazrate Hujjat Hojaye,

Chauda Quraano Ki Ek Saath Tilawat Hojaaye.

Dil wahi Dil Jise Aapse Ulfat Hojaaye,

Jaan Wo Jaan Hai Jo Sar Pe Mohabbat Hojaye,

Do Kadam Aage Nabuwat Se Imamat Hojaye,

Aap Aajaye To Pani Pe Jamaat Hojaye.

Muflisi Aap Ke Darr Tak Nahi Jaane Deti,

Khwaab Me Hi Sahi Aap Ki Ziyarat Hojaaye.




Imam Ghaib Se Tashrif Laane Wale Hai,

Yazidiyon Ko Thikane Lagane Wale Hai,

Husaine Waqt Ko Ghaibat Se Aato Jaane Do,

Khushi Manayenge Jo Gham Manane Wale Hai.

Ye Khanjaro Ki Jagah Bam Chupake Laaye Hai,

Naye Yazid Hai Hamle Purane Wale Hai.


Shumaar Unka Bhi Darasl Beshumar Me Hai,

Jo Naame Qatile Mohsin Chupane Waale Hai.

Hayat Maut Me Tabdil Hone Wali Hai,

Ali (as) Namaze Janaza Padhane Waale Hai.

Azaaye Sheh Me Lutaate Hai Saal Bhar Wobhi,

Jo Apne Ghar Me Akele Kamaane Waale Hai

Tum Apni Aankhon Ko Darya Pe Chod Do Nayyer,

Yahi Kahi Pe Musalla Bichane Waale Hai.




Uthaa Do Pardaye Ghaibat Kisi Bahane Se,

Zamana Badlega Maula Tumhare Aane Se.

Likha Hai Maine Bas Areeze Me Sirf Itna,

Ke Intezaar Zamane Ko Hai Zamane Se.

Suna Hai Lega Bass Usi Se Inteqame Husain (as),

Jo Tegg Aayi Hai Kudrat Ke Karkhane Se.

Agar Hai Dum To Musibat Mere Karib Aaye,

Mai Hoke Aaya Hu Ghazi Ke Aastaane Se.

Huwe Hai Layeke Lanat Sitam Ke Karinde,

Janab e Fatema Zahra  (sa) Ka Ghar Jalaane Se.

Ay Hurmula Tere Haato Me Teer Hai Lekin,

Tu Bachna Paayega Beshir Ke Nishane Se.

Ameere Shaam Ki Faujo Me Koi Dum Hi Nahi,

Ye Raaz Khulgaya Asger (as) Ke Muskurane Se.




Seher khareeb andheron ko dor hona hi hai,

Zaleel dushman e deen ko zarur hona hai,

Baata rahi hai ye tabdilian zamane ki,

Kisi wali ka yaqinan zahur hona hai.




Abhi Toa Zulam Ka Qisa Tamam Hona Hai

Hussainiyat (A.S) Ko Abhi Gaam Gaam Hona Hai

Jo Ho Raha Hai Sitam Us Ki Sham Hona Hai

Karo Na Fikar Zahoor e Imam (A.S) Hona Hai.




Sawaal ajr e Risaalat Ma’aab hona hai,                                                                      Munafiqat ko abhi be-naqaab hona hai,

Ali ka pota zamane mein aane wala hai,

Abhi to baagh e Fadak ka hisaab hona hai.




Hasnain (as) Ki Maa Shauqate Alfaaz Bana De

Iss kaum Ki Roti Hui Aankho Ko Hasa De

Allah (swt) Ki Awaaz Me Bete (atfs) Ko Sada De

Qayam Teri Shaahi Rahe Qayam (atfs) Ko Bula De.

Parde Me Hi Parde Se Bula Apne Wali Ko,

Ham Bhi Toh Kahe Hamne Bhi Dekha Hai Ali (as) Ko.




Kalam Uthaa Hai Abhi Zulfeqar Baaki Hai,

Huwi Hai Sulho Abhi Karzar Baaki Hai,

Muaviya Ko Hasan Ne Shikast Sulho Se Di,

Yazid Ke Liye Qasid Ke Waar Baaki Hai.

Nimeshaban Ki Muqaddas Raat Abhi Baaqi Hai,

Imam e Waqt Ka Har Ek Kaam Baaki Hai

Abhi Husain Ka Ek Wirsadaar Baaki Hai,

Jahan Me Hujjate Parwardigar Baaki Hai,

Yazid Walo Shayad Pata Nahi Sahil,

Abhi Bhi Parde Me Ek Zulfiqar Baaki Hai



Abhi jahame Mohammed (s) ka naam baki hai,

Wo haq ka noor wo mahe tamam baki hai,

Ek inqilabe khumaini se hogaye hairan,

Arey abhi to zahur e Imam (afts) baki hai.

Qalb e Abbas ke armaan kaha nikle the,

Abhi Abbas (a) ke hisse ki Jung baaki hai.



Ghaib me kitni machalti hai wo sar katneko

Dushman e sheh ki talabgar abhi baaki hai

Goonji jibreel ki aawaz ye har maidan me,

Lafatha saif Ali illaa Zulfeqar abhi baaki hai.




Ali (a.s) kay Laal (a.j.f) say Haq ka nishaan baqi hai,

Imam (a.j.f) hain tau yeh sara jahan baqi hai,

Na apnay zor pay itna uchhal aye munkir,

Ali (a.s) kay ghar ka abhi ek Imam (a.j.f) baqi hai.



Bade Hasan (as) Wo Badshahe Mashraqain Hai,

Nana Ki Tarha Fatah e Badr o Hunain Hai,

Haider (as) Ki Arzu Dile Zahra (sa) Ka Chain Hai,

Iss Daur Ka Ali Hai Hasan Aur Husain (ams) Hai,




Parde Me Jaate Ashraf o Amjad Hai Aaj Bhi,

Baaqi Jahan Me Ek Mohammad (s) Hai Aaj Bhi.

Zinda Hai Aaj Bhi Wo Dile Jane Fatema (sa),

Wo Hasile Bahar e Gulistan e Fatema(sa).


Puraa Karega Aake Jo Armaan e Fatema (sa),

Baitha Huwa Hai Sher e Nistaan e Fatema (sa).

Uthaana Aaj Tak Wo Tufan Dil Me Hai,

Abbas (as) Ke Jehad Ka Armaan Dil Me Hai.





Darega Maut Se Wohi Jo Maanta Hi Nahi,

Hum Apne Saheb e Qayam (as)  Ke Intezar Me Hai.

Najane Kab Ka Mitaa Deti Ye Dunya Humko,

Dua e Fatema Zahra (sa)  Ke Hum Hisaar Me Hai.




Ye Dunya Aaj Corona  Ke Jo Shikaar Me Hai,

Bachega Kaun Ye Hujjat (afts) Ke Ikhteyar Me Hai.

Tera Wujood Bacha Hai Hasan Bas Unke Tufayl,

Bachenge Sab Wo Jo Shahe Zaman (as) Ke Pyaar Me Hai.




Durud zinda hai apna salam zinda hai

Khuda ke baad Mohammed ka naam zinda hai

Tumhare paas tau murda bhi ab nahi koi

Hame hai fakhr hamara Imam zinda hai.




Khuda Ke Fazl Se Apna Imam Zinda Hai

Qayamat Unki Hai Jinka Koi Imam Nahi

Manaa ke jashn batate hy hum zamane ko,

Ham hi wo log hain jin ka Imam (atfs) zinda hai.




Isiliye To Abhi Zulfiqar Baki Hai,

Munafiqo Ka Mukammal Shikaar Baki Hai,

Azal Ke Roz Jo Pee Thi Sharab Be Hubbe Ali,

Usi Sharab Ka Abb Tak Khumar Baaki Hai,

Abhi To Karz Chukana Hai Khoone Sheh Ka Tujhe,

Ye Khaas Kaam Abhi Zulfiqar Baki Hai.

Munafeqin E Zamana Ko Ye Khabar Hi Nahi,

Abhi Bhi Tegg e Ali Ka Udhaar Baki Hai.

Husain Teri Badolat Hamare Zahno Me,

Abhi Tasawwure  Parwardigar Baaki Hai.




Hai wo ghaibat me Yusuf e zehra (s) Ab Tak,

Jinhe Imam Zamana (atfs) hum to kehte hai.



Sab Sorahe Hai Chain Se Bahon Me Neend Ki,

Wo Jaagte Hai Jinko Tera Intezaar Hai.




Haider Ke Kamaalaat Liye Ayega Haider,

Bazu Bhi Wahi Haath wahi Waar Wahi Hai,

Sun Marhabo Antar Ki Zaban Bolne Waale,

Iss Sher Ke Bhi Haath Me Talwar Wahi Hai.




Josh Me Aaya Jo Dariya Ashq Ke Afkaar Ka,

Dubta Aane Laga Beda Nazar Aghyar Ka,

Haidari Talwar Ka Dekhegi Dunya Jab Hunar,

Rang Udjaaye Uske Atomic Hatyaar Ka.




Ho Aayi Nazar Tur Se Taa Wadiye Khizra,

Jalwa Wo Khuda daad  Khuda Jaane Kidhar Hai,

Ay Bade Saba Jake Unhe Bas Dede Salaami,

Kya Kya Dil e Muztar Me Hai Unhe Uski Ki Khabar Hai.




Itni khushbu thi wafaao ka asar paani me,

Phool Sahil pe khile aur shajar paani me,

Machliya paani ki padhne lagi tehriro ko,

Jis jagah mere Arize ka safar paani me.




Zara sa maujiza tumbhi dikhaao paani me,

Chalo aur chalke musalla bichaao paani me,

Firr apne namaziyo ko bulaao paani me,

Imam banke namaz e padhaao paani me,

Kasam khuda ki isi aab ki rawani me,                                                                      Pataa chalega ke hai kaun kitne paani me.




Qaim ki hukumat qaim hey daryaon kay behtay paani per

Woh Hazir hey woh Zinda hey perda hey hamari aankhon per

Ubhray ga Imamat ka sooraj jab Hukm-e-Khuda ho jaye ga

Jis qom ka Rehbar zinda ho us qom ko kon mitaye ga .




Kab hoga Teri gaybat-e-kubra ka ikhtetam.

Kab tak likhen areezon mein Maula tumhein Salam,

Ab gardish-e-zamana satanay laga humein,

Waqt-e-madad hey aaiye faryad Ya Imam,

Khud dekh ln kay Aap per kitna yaqeen hey

Letay hain uthtay bethtay hum Aap hi ka naam,

Nazren talash kerti hain naqsh-e-qadam Tera,

Hey Al-Ajal ka wird zubano per subah-o-sham.




Jawab e Mahe Narjis Mahe Kanaa Ho Nahi Sakta,

To Samarreh Se Badkar Yusufistan Ho Nahi Sakta,

Yakeen Hai Unke Aane Ka To Hum Mahfil Sajate Hai,

Koi Saaze Shikasta Par Ghazalkhan Ho Nahi Sakta.




Sada Maslub Hoti Jaa Rahi Hai

Dua Mayub Hoti Jaa Rahi Hai,

Tumhare Hijr Me Zahra Ke Yusuf,

Nazar Yakub Hoti Jaa Rahi Hai.




Hojaye Jo Karam Ka Ishaar Maula,

Puri Ho Dil Ki Tamanna Maula.

Taa Umr Saher Hona Tere Jhasn Ki Raat,

Padhta Hi Rahu Tera Qasida Maula.




Roz Ye Soch Ke Sota Hu Shabe Furqat Me,

Raat Guzre Gi To Firr Waqt e Sahar Aayega.

Usse Milna Hai To Baithe Raho Kabe Ke Qareeb,

Ghar Se Niklaa Hai To Phir Laaut Ke Ghar Aayega




Ay Maahe Shabe Ghaibat Ay Jalwaye Jaana Na,

Ek Baar Chale Aao Phir Aake Chale Jaana.

Bas Aakhri Haider Se Ye Aakhri Khwahish Hai,

Jab Jaan Labo Par Ho Tum Saamne Aajana.




Andheri Qabr Me Jisdum Sirahne  Buturab Aaye,

Sawaal Aane Se Pahle Mere Honto Par Jawab Aaye.

Fakat Khat Hi Nahi Padhte Hai Kul Ahwal Se Waaqif,

Yakeen To Hai Magar Khat Milgaya Lekin Jawab Aaye.

Abhi Socha Hi Tha Maula Tere Midhat Ke Baare Me,

Amal Karne Se Pahle Mere Hisse Me Sawaab Aaye.

Ali Ke Dushmano Ka Hashr To Dikhlaa Chukaa Maalik,

Abutalib Ke Dushman Par Bhi Haaris Sa Azaab Aaye.




Wo Aayenge Unhe Ek Din Zarur Aana Hai,

Iss Intezaar Me Muddat Se Ye Zamana Hai.

Hame Yakin Hai Iska Jawab Aayega,

Areeza Khidmate Maula Me Jo Rawana Hai.

Mere Makaan Me Janabe Ameer Aate Hai,

Mai Kaise Kehdu Mera Ghar Garib Khana Hai.

Chale Bhi Aao Imam e Zaman (as) Khuda Ke Liye,

Phir Ek Baar Hame Khulke Muskurana Hai.




Unki Aamad Agar Isi Mahfil Me Hojaati,

Ek Hi Shab Me Kai Baar Saher Hojaati.

Zikre Maula Hi Me Maut Aati To Achcha Hota,

Maut Sheerin Nahi Hoti Hai Magar Hojaati.

Zeyre Shamsheer E Ali (as) Aate Na Jibreel Ke Par,

Ye Zamin Aadhi Idhar Aadhi Udhar Hojaati.




Duniya, na maal-o-zarr, na wazaarat kay waastay,

Hum ji rahay hain teri ziaarat kay waastay.

Aa jaaiye gareeb ki aahoN ka waastah

Ahl.e azaa ke dil ki doaaoN ka wastah

Abbas.e bawafaa ki wafaaoN ka wastah

Khemon me al Atash ki sadaaon ka wastah.




Likh de meri taqdir me mola (a.s.) Ki ghulami,

Hasil mujhe ho jay ye ezaz e dwami,

Har khawhish e dunya ko mere dil se mita de,

Maula (a.s.) Mujhe lashkar e mehdi (ajtf) se mila de.




Hai waqt katheen waarise ummul kitaab aaja                                                            Baatil ke har sawwal ka tu hai jawaab aaja                                                            Har ek azadaar hai sajde main muntazir  Aye mola ab utaar de waqte naqaab aaja.




Salam karne shariyat ka kul nizam aaya,

khuda ke deen ke liye shukr ka maqam aaya ,

nahin ab kisi hadi ki zaroorat deen ko,

mubarak ho aaj mera 12wan imam (ajtf) aaya

 



Khuda key izen sey ik roz aayein gey mehdi a.s

zamanay bhar sey sitam ko mitaain gey mehdi a.s

jo karbala mein ruki or aaj tak naa chali

woh zulfiqar dobara chalaain gey mehdi a.s

bichey gi farssheazza makkah or madina mein

her aik shehr mein majlis karain gey mehdi a.s

dilozaban sey labaik ya hussain a.s kaho

yaqeen rakho key hamyein bhi bulaain gey mehdi a.s

bata do waqt key sab zalimon ko tum azhar

har aik qasre yazeedi ko giraain gey mehdi a.s.




Taoheed ki qurbat mai maseeh seekh raha hai,

garcha wo namazi hai abhi seekh raha hai,

mehdi (ajtf) ki etaat me parhi jay gi kaise,

 esa (as) kayi sadyon se yahi seekh raha hai.



Zulm hota hai mere aashiana e dil par

mere ansu meri fariyad bane baithe hain

ab aabhi jaiye aye mere maula mahdi[as]

apne hi hum par ziyad bane baithe hain

gunahon ke daldal se nikal dijiye humko

apke ishq mein miqdad bane baithe hain

zulfiqar se aake sila dijiye unko zia

jo jhoote hakime bedaad bane baithe hain.




Parde mein rehne waale zara saamne to aa,

Hum chup na honge aaj shikaayat kiye bagair,

Sadiyaa’n guzar gayi hai tere intezaar mein,

Kya laut jaayein teri ziyaarat kiye bagair!




Shaqlo Surat me Mustufa (s) ki tarah ,

Shujaat me Ali e Murtuza (a) ki tarah,

Kahi nusairiyo ko ye khabar nahojaye,

Ke wo ghaaib bhi hai khuda ki tarha.




Sataa rahi hai teri yaad baar baar mujhe,

Teri judaai bhi karti hai ashk-baar mujhe,

Main jee raha hoon teri diid ke liye warna,

Ye kaaenaat to lagti hai na-gawaar mujhe




SALAM KRNAY SHARIYT KA KUL NIZAM AAYA,

KHUDA K DEEN K LIYE SHUKR KA MAQAM AAYA ,

NAHIN AB KSI HADI KI ZARORT DEEN KO,

MUBARAK AAJ MERA 12WAN IMAM (AJ.FR) AAYA.




Zikre shabbir as ko dhamako se dabane wale,

kitne nadan hai shiyo ko darane wale,

Arsh se aaj bhi aati hai sadae mahdi as,

tum azadari karo hum hai bachane wale



Wo jo aayenge to badlega mijaaze Aalam,

Wo hai insaan ko insaan banane waale,

Mere ashaar pe kehte hai zamane ke Imam a.s.

Gum tere tujh se bahut dur hai jaane waale.

Jahilo ko bhi wo Aql ataa karte hai,

Ayse hote hai Mohammed ke gharane waale.

15 shabaan ko Qaim a.s. ki wiladat hai suno,

Hum azaadar hi hai jashn manane waale.




Kyu is ki simt padhte hai ham apni har namaz,

Bola khuda sharaf hai oose dekhte raho,

Parda utha ke aayen ge jis simt se imam,

Allah chaheta hai udhar dekhte raho.




Gham Sehte Sehte thak gaye Qarar chahiye,

Ab zulm ki gardan pe tera waar chahiye,

Iss khauf ke mahol se tang Aa chuke hai ham,

Aye waris e Haider teri sarkar chahiye.




Muntazir kab talak mai rahu aye imam,

Meri saansen kaheen ho na jaaye tamam,

Maula mehdi Aa jaiye.

Faryad aur isteghaase huzur.

Sarkar sunte to hon ge zaroor.

Bechain khud bhi hain ghaibat me aap.

Kab ho ga maula bata den zahoor

Ham ko na ab aur rulwaaiye.

Maula mehdi Aa jaiye.




Jis Din Imam Parde Se Tashreef Laaenge

Duniya Ko Deen e Haq Ki Haqiqat Bataaenge

Jhooti Khilaafaton Ko Jahan Se Mitaaenge

Aur Jhoote Rahbaron Ko Bhi Joote Lagaaenge

Shere Khuda Ki Tegg Jo Maula (as) Uthayege,

Kul Dushmane Husain (as) Jahannum Me Jayenge,

Paani Pe Aake Apna Musalla Bichayenge,

Padhne Namaz Arsh Se Isaa Bhi Aayenge.

Lekar Alam Husain Ka Abbas Ki Tarah,

Haidar (as) Ki Tarha Zulm Jahan Se Mittayenge,

Jab Tak Ye Dil Na Hoga Sadaqat Ka Aina,

Maula Ko Laakh Milke Bulaao Na Aayenge.

Imaan Ko Apne Pehle Wilaa Se Sawariye,

Phir Aagaye To Umr Bhar Wapas Najaayenge.



Mahfil Saji Huwi Hai Sadarat Ko Ayenge,

Maula Ko Aaj Midhate Maula Sunayenge.

Madhe Imam Karte Raho Tum Hasan Sada,

Rauze Pe Tuhko Firr Ali Maula (as) Bulayenge.



Tewar Imam e Waqt Ke Dekhenge Jis Ghadi

Ye Ittehaad Waale Tabarra Sunaaenge

Hoga Yazeed e Waqt Ki Mayyat Pe Ek Jashn

Marge Yazeed Saare Husaini Manaaenge

Mufti Hume Na Chhed Hum Apna Ek Ek Amal

Jo Zaamin e Bahisht Hai Usko Dikhaaenge.




Wo Bhi Din Aaega Ki Jab Zamin,

Sue Kaba Mera Safar Hoga

Haq To Ye Hai, Zahoor Ki Khaatir,

Muntazir Khud Hi Muntazar Hoga.




Hai Jo Zere Zamin Markar Bhi Muntazir,

Apni Thokar Se Unko Jilaa Dijiye,

Tashnaye Deed Na Rahe Maula Koi

Apne Jalwo Ka Darya Bahadijiye.




Yah khuda rehmat hui hai is qadar mujh pe teri,

Ke khoye rehte hai khyalon me tere.

Deed ki talab hai mujhko mere maseeh ki,

Ankhen laga ke baithe hai rahon me tere.




khuda e paak se ghaibat bhi aap ne paai,

nabuwato ki si azmat bhi aap ne paai,

imamato(n) ki fazilat bhi aap ne  paai,

khuda bhi aap ka aur aap ki khudai bhi ,




Har raat Ibn-e Haidar-o-Zehra (A.S) ki yaad ho,

Har din Zahoor-e-Wali-o-Aqa (A.S) ki aas ho.

Ik aur eid aa gai, Mola (A.S) nahin aaye,

Bus yeh khayal-e-dard-o-alam saath saath ho.



Mein ye nahin kehta ke mujhay pyar nahin hai,

Faryaad tumhari koi baikar nahin hai,

Sunta hun, tarhapta hun, par majboor hun mein bhi,

Aaney se agarchay mujhay inkaar nahin hai,

Mein aaj hi aajaun, mujhay aar nahin hai,

Lekin mera lashker abhi tayyar nahin hai.

Yun chahne walon pe sitam dha nahi sakta,

Aisa nahi k tum pe tars kha nahi sakta,

Sunta hun sada chahne walo ki main lekin,

Paband e hukm e haq hu abhi aa nahi sakta.




Sunsako baat to shaitaan ka hai jurm yahi

Usne aamaal ki taaqat pe hi israar kiyaa

12wa kayse dikhae ga imamat ka jalwa tumhe

Tum ne pahele hi ke wilayat ka Jo inkaar kiya.




Hukumat aapki hogi  Wilayat aap ki hogi

Sunaa hai muntazir saari qayamat aap ki hogi

Ali se Askari (ams) tak sab ke sab masum hai lekin

Ye saare muqtadi honge Imamat aap ki hogi.




Chup chup ke Jo sarwer ki adawat pe tulaa hai,

Ye jaan le parde se koi dekh raha hai.

Jab se suna aur badi deed ki hasrat,

Tu muntaqim e khoon e shahe karbobala hai.

Ay bugz me Haider (a) ke zabaan kholne waale,

Ye tunahi ye teraa Lahu bol raha hai.




kash ye raaze nehan hum pe bhi zaahir hi jae,

Aur ye sabr talab waqt bhi aakhir ho jae,

Aa karun zikr koi aisa teri bzm me aaj,

Misle firdause barin bzm ye tahir ho jae,

Aa hi jaega nazar hum ko qamar jald bhale,

Abr posheedgie mahr me mahir ho jae,

Hum zahoore rukhe raushan ke sawali thehre,

Jald az jld zahoore shahe aakhir ho jae.





Unke daman me hain ghaibat ki hasin tabiren,

Khawb palko me giraftar nahi ho sakte

Ek din Mahdi e dauran Tumhe aana hoga,

Fasle rah me diwar nahi ho sakte.




Pur Jhan Gulistan Hoga

Jab Mehdi Ka Zahoor Hoga

Har Undheera Dour Hoga

Jab Mehdi Ka Zahoor Hoga

Qouley Mustafa Hai Jo

 Fa Haza Ali Un Ka

Fir Say Vo Urooj Hoga

Jab Mehdi Ka Zahoor Hoga

Kiye Jatey Jo Hai Hum Pe Zulm

Kiye Jattey Ko Hai Hum Pe Sitam

Ye Tabbi Tou Dour Hoga

Jab Mehdi Ka Zahoor Hoga

Gaibatey Kubra Mai Vo

Na Mannine Valou Ye Sunno

Naz Tumhara Choor Hoga

Jab Mehdi Ka Zahoor Hoga

Davva Ye Karrar Hussain Ka

Davva Hai Jo Porey Haq Valun Ka

Bas Shai-Et Ka Narah Hoga

Jab Mehdi Ka Zahoor Hoga

Hukm Dega Agar Rahman To Hum Aayenge,

Jab Pukarega Hame Quraan To Hum Aayenge,

313 Musalman To Miljayenge,

313 Ho Salman To Hum Aayenge.





Tehrike-Zulmo-Zor Gawara Nahi Karte

Hum daulate-dunia Pe sahara nahi karte

Hume 12 IMAMO pe Aqida Hai Logo

Mar jate hai, Gairo ko pukara nahi Karte.




Aayenge Jab Imam Aayenge Jab Imam

Izne Zahur Payenge Jis Dam Imam E Deen

Rukh Se Naqab Uthayenge Jis Dam Imam e Deen

Halmin Sada Lagayenge Jis Dam Imam e Deen

Kabe Ko Firr Sajayenge Jis Dam Imam E Deen

Hogi Sada Ke Nargis e Aali Laal Hai

Jiska Wo Sab Jalaal Hai Wo Zuljalaa Hai  Ayenge Jab Imam ....

Ayegi Jab Imam Ki Aawaz Zi Hasham

Kabe Ke Taraf Uthne Lage Ga Har Ek Kadam

Sino Pe Haath Hoga Nigaahe Sabhi ki Nam

Gadenge Sahne Kaaba Me Abbas (as) Ka Alam

Farshe Azaa Bichega Shahe Mashraqain Ka

Barpa Karenge Kaabe Me Matam Hussain (as) Ka  Ayenge Jab Imam...




Nazro Ko Jab Milayenge Deedagaro Ke Saath

Ahan Ko Ye Jalaayenge Ahangaro Ke Saath

Dafnayenge Ye Naam Bhi Naamagaro Ke Saath

Katenge Bugz Ke Ye Amma e Saro Ke saath.




Ye sach hai Kaabe ka kibla zamin pe utra hai

Masih ka bhi Mashiha zamin pe utra hai

Ujale baatne aayi hai pandarvi Shaban

Khuda ka nor sarapa zamin pe utra hai




Khushiyo se jhoom jhoom ke kaheti hai kainat

rahemat jaha'n ko baat raha hai khuda ka hath

is waste falak pe patakho ki hai dhamak

amad khuda k noor ki hai or shabe baraat.



Naam unka zaban per saher o shaam rahega.....

Acha hi meri zeest ka anjam rahega.....

Qayam ke karam se meri nisbat huvi qayam.....

Phir kyun na ghulamoun mein mera naam rahega.




Ay askari ke laal tera intezaar hai,

aaja ke ab zamana bahut bekarar hai,

Narjis ke laal me hai sifaat har imam ki,

14 haseen phulo ka ka wo ek haar hai.




Qaim hai jiski dil pe hukumat tum hi to ho

Moula khuda ki akhri hujjat tum hi to ho

Tere siwa wo kon hai ay baarway ( 12 ) ali a.s

Jis k liye ruki hoi hai qayamat tum hi to ho……….



Ay askari a.s k chaand mohammad s.a.w.w ki arzoo

Qaim hai jis k dum say imamat tum hi to ho.

Qadi Se Qadi Zanjeer Se Zanjeer Milti Hai,

Ye Wo Darr Hai Jahan Se Quraan Ki Tafsir Milti Hai.

Mohammad Mustafa (saw) Se Ta Qayamat Mahdi e Deen Tak,

Mila Kar Dekhiye Taswir Se Taswir Milti Hai.

Ye Karkhanaye Aalam Mitaa Nahi Sakti,

Kadam Imam Se Aage Bada Nahi Sakti,

Mere Imam E Zamana Ka Ikhteyar To Dekh,

Ke Inse pahle Qayamat Bhi Aaa Nahi Sakti.




Kyu Iske Simt Padhte Hai Har Ek Namaz Hum,

Bolaa Khuda Sabab hai Sharar Dekhte Raho.

Kabe Ki Taraf Padhte Raho Apni Har Namaz,

Chup Chaap Bandagi Ka Hunar Dekhte Raho.

Parda Ulat Ke Aayenge Jiss Simt Se Imam,

Allah Chahta Hai Udhar Dekhte Raho.




Meri aankhen hai Na Abb Unme Asar Zinda Hai,

Tere Didaar ke Khatir Ye Nazar Zinda Hai,

Intezaar Isliye Abb Karti Hai Har Ek Saans Meri,

Mere Dil Me tere aane Ki Khabar Zinda hai.




Nargis Ka Chand Daher Me Yu Jagmagaye Ga,

Suraj Bhi Jaluthega Gar Aankhen Milaayega,

Shaikar Apna Itna Musawwir Ko Hai Pasand,

Jee Bhar Ke Pahle Dekhega Wo Phir Dikhayega. 



Aashinaye dil e ahsaas bhi likh deta hoon.....

Tu samandar hai to main pyaas bhi likh deta hoon....

Apni auqaat kisi tarha na bhoolen mouje....

Khat per is waaste abbas a.s bhi likh deta hoon.




Goud main narjis ki koi mehtab ane ko hai

askari (a.s) ka ghar naya ek aftab ane ko hai 

khandan e fatimi main 12wan ghuncha khila

gulshan e ahmed (s.a) pe phir taza shabab ane ko hai

Hajatein bar ayen dil ki momino mangoo dua

aaj har momin ki arzii ka jawab ane ko hai   




Jannat mein nooriyon ka muhalla udaas hai.

Pusht e nabi pe tera musalla udaas hai.

Tujh bin wo karbala e mualla udaas hai.

Teri qasam terey liyey allah udaas hia.

Tu hai to phir hayat e bashar ko dawaam hai.

Aaja terey baghair yeh jeena haram hai.

 


Dunya Se Teergi Ko Mitaao Isi Baras,

Nargis ke Laal Jalwa Dikhao Isi Baras,

Dhadkan Khamosh Hone Lagi Intezar Ki,

Khud Aao Ya to Hum Ko Bulaao Isi Baras.

Aaayi Sada Ummid Isi Saal Aaunga,

Kirdar Pahle Aysa Banaao Isi Baras.




Parde Wala Parde Se Jab Aayega,

Rauza E Zahra Phir Se Banaya Jaayega,

Shorat Pe Na Akad Ay Aale Saud,

Tujh Ko Mitaane Warise Haider Aayega,

Mujhse Puchenge Na Farishte Koi Sawaal,

Turbat Me Jo Khake Shifa Lejaayega.




Shad bad aey ahl e dil aali maqam aany ko hy

zinda bad aey muntazar tera imam aany ko hy

apny sir islam kaisy ghair ka ehsan ly ... ?

Deen ka nazim baraey intazam aany ko hy

ahl e mehfil ba adab ho kr jhukaen apna sir

mery lab pe hazrat e hujjat (ajf) ka naam aany ko hy

 



Fiza mahekti hai koi gulaab bhi hoga,

andhera hai to koi aftaab bhi hoga,

daleele hujjate qaim a.s. Hai khud zamin ka wujud,

Turaab hai to koi buturaab bhi hoga.



Jo Dard E Dil Hai To Phir Dil Ka Chain Bhi Hoga.

YAZID Lakho Hai Koi HUSSAIN Bhi Hoga

Zamin mehek ne lagi, Aasmaan Mehek ne laga

Ye kaun aaya hai ke saara Jahan mehekne laga.




Sadiyon se inteqam ki daulat liye hue,

aashur jaisi dil pe qayamat liye hue,

har be kafan shaheed ki mayyat liye hue,

bikhri hui batool(s.a) ki daulat liye hue,

roodaad apne gham ki sunaati hai karbala,

aye aakhri hussain(a.s) bulaati hai karbala



Nabi ki Aal se tujh ko gila ye kitna hai,

Tu Kalma-go hai magar na-muraad kitna hai,

Jihadiyon, zara Mehdi a.s. ko aa to lene do,

Pata chalega ke shauq e Jihad kitna hai




Hamne to koi mojeza aisa nahi dekha

malum nahi aapne dekha nahi dekha

sailaab me hojata hai darya taho bala

sahil pe magar koi areeza nahi dekha




Aye khuda fir se zarurat hai kisi ghazi ki,

zulm karta hai jahan haq ke tarafdar ke sath,

gar abhi aaya nahi waqt e zahoor e  mehdi [atfs],

bhej de hazrat e abbas [a.s] ko talwar ke sath




Ke jab bhi koi bhi zikre janabe mukhtaar karta hai,

baghawat ke liye hamko lahu tayyar karta hai,

husain ibne ali ka ek aur mukhtaar baaki hai,

wo ghaibat me bhi apni saif ko rozz dhaar karta hai.




Roohe raushan jo dikhaao to maza aajaaye,

Apna jalwa jo dikhaao to maza aajaaye,

Ab to matam pe bhi uthne lage fatwe to bahut,

Apni talwaar se sar unkaa udaao to maza aajaaye.




Dehr me aysa koi hajat rawa milta nahi,

De raha hai denewale ka pata milta nahi,

Hai kasam tujhko shabe gham ki ulat de ye naqab,

parde parde me mohabbat ka mazaa milta nahi.

 



Ali ki teg hai phir be miyaan bhaag chalo,

jahag azal me nahi suwe shaam bhaag chalo,

ke jab bhaag naa hi hai apna kaam ,  to fir bhaag chalo.

Utthe Ga Shor Safe KarZar Se Bhago.

Baras Rahi Hai Ajal Zulfeqar Se Bhago.

Koi Kahe Ga Nabi Ke Dayar Se Bhago.

Sada Kisi Ki Nikal Kar Mazar Se Bhago.

Ab Aya Zulm O Tashadut Ko Phadhne Wala.

Phir Aagaya Dar E Khaibar Ukhadne Wala.

Gamme Hayat Ke Mare Huwe Kahan Jaye.

Andheri Rat Ke Mare Huwe Kahan Jaye.

Ye Hadesat Ke Mare Huwe Kahan Jaye.

Khud Apni Zaat Ke Mare Huwe Kahan Jaye.



Hai Band Munhim O Gous O Wali Ka Darwaza.

Hayat Dhundh Rahi Hai ALI Ka Darwaza.

Bata Rahi Hai Ye Aqlo Khirat Ki Hairani.

Jawab Deti Hai Insan Ki Pareshani.

Sukut Iska Hai Zulmo Sitam Ki Tug Yani.

Barasne Wala Hai Ab Zulfeqar Ka Pani.

Udu Ki Mout Ka Sailab Anne Wala Hai.

Safina Dhundh Lo Toofan Aane Wala Hai.




Khudaya Muqadadar mera yun jagade

Imame zamana ka aashik banade

Meri maa ki koshish ka usko sila de

Imame zamana ka aaashiq banade.



Karun zikr zehra ka tahir banun me

imaame zamana ka nasir banun me

meri maa ki koshish ka usko sila de

imame zamana ka aashiq banade.


Har ek dilko azme hussaini aata ho

har ek jaa ko jooshe khuaini aata ho

gutan ki fazao me taza hawa de

imame zamana ka aashiq banade.


Zamane ki !haalo se ghabra gaya hun

gunaaho ki duniya se tang aagaya hun

gunaaho ki zindaa se mujhko chudade

imame zamana ka aashiq banade.


ata kar jawano ko akber ki himmat

mille mere ba!ho ko asger ki himmat

khudaya unhe muskurana sikhade

imame zamana ka aashiq banade.


Meri maa ki khwahish fidaye hussaini

he ghutti me meri aazaye hussaini

azadaro me jaa dun mujhe hausla de

imame zamana ka aashiq banade.


Amal se hi apni gawahi likhun me

imame zamaa ka sipahi banun me

shahadat k raste pe chalna sikhade

imame zamana ka aashiq banade.


Ho akhlaaq pyaara to meethi zaba hoon

kamar do jahano me yun shadmaan ho

dua dun me jisko mujhe wo dua de

imame zamana ka aashiq banade.



Ek Waris e Haider hai Jo ghaib say aayega

Is duar ki marhab ki aukat bataega

Shabbir(as) ki ek majlis kaab e may bapa hogi

Allah ke Ghar Mai bhi ye rasm Ada hogi


Khud farshe aza apne hathon say bichaega

Kaabe say alam lekar ishaan say niklega

Qura'an imamat ka juzdan say niklega

Tohid ke jalwo Mai Islam nahaega

Islam ke phoolo ki parcham Mai ladi hogi

Ek mashk phairere ke siney pa padi hogi

Pyaso ki shahadat ka ye qarz chukaega

 

Aajane do ghaibat say Waris ko shahedo ke

Od jaengy duniya Mai khud hosh yazeedo ke

Jub hath Mai Haider ki talwar othaega.


Her Dil Mai ziyarat ke Arman Badey hongy

Isa bhi jamaAt ke khahish Mai khadey hongy

Jub apna musalla ye Pani pa bichaega

Her ek buari say Dil saaf karega ye

Khalik ki adalat Mai insaf karega ye

Hai baaghe fidak kiska duniya ko bataega

Jo door hai unko bhi nazdeek bulalega

Haider ke mohibbo ko seene say laga lega

Munkir ko wilayat ke ye mooh na laegaga

kirdar ke jalwo ka Bazar alag hoga

Mehdi ki hukumat ka meyar alag hoga

Haq Charo taraf hoga batil mitjaega

Zalim ke lie Akhtar duniya Mai tabahi hai

Sub ahle aza Akbar Mola ke sipahi hai

Munkir hai Jo iska vo Jannat Mai na jaega

Likh day meri taqdeer main moala ki ghulami.



Hasil mujhay ho jaey yeh ezaz-e- dawami,

Her khwahish-e-duniya ko meray dil sey mita day,

Allah(j.j) mjhe lashkr-e-mehdi(a.t.f) say mila day.




Nargis ke pisar chehraye pur noor dikhaado,

Hum deed ke maaro ko na ab aur sazaado,

Aane me agar aap ke taakheer hai maula,

Hum khud hi chale aaye pata apna batado.



Khushgawar hai lamha ke jashne zahoore imam hai

hai khushnaseeb jo jashn me baithe tamam hai

manakar jashn e noor batate hai hum jahaan ko

hum yateemane millat nahi sarparast ali maqam hai.




Zarra zarra is zami ka aaj kyu zubar hai,

koun aya hai ye kis ke noor ki bauchar hai,

hai gule narjis ki khushbu se muattar qaenat,

samarah me gul khila sara jaha gulzar hai



Itni c bus hikayat-e-EHD-e-ZAMANA hai

HUJJAAT KHUDA ki asal hai baqi fasana hai

Ghairoon ne jo IMAM banaye thay chal basay

Zinda faqat hamara IMAM-E-ZAMANA(a.s) hai .




Muddat hui hai Aankh ka Roza rakhe hue

Aaja ke teri deed se aftaar kar lu main

Hai waqte nizaa dhoondhta hun aapko Imam

Hai aarzoo ke bas tera deedar kar lu main.




U Tere Husn Ka Mujhe Deedar Karade,

Ankhon Me Meri Noor ka Ambar laga de,

Sadiyon Se Zulfeqar Hai Roza Rakhe Huwe,

Inn Zalimon ke Khoon Se Use Iftaar Karade.




Qaim hai jiski dil pe hukumat tum hi to ho

moula khuda ki akhri hujjat tum hi to ho

tere siwa wo kon hai ay baarway ( 12 ) ali a.s

jis k liye ruki hoi hai qayamat tum hi to ho……….

Ay askari a.s k chaand mohammad s.a.w.w ki arzoo

qaim hai jis k dum say imamat tum hi to ho




Pardaye ghaib se jis waqt imam aayenge

hai kahan dushman e shabbir ye farmayenge

shaik ji apni karo fikr hamara kya hai

hum to abbas ke parcham se lipat jayenge




Na mahfil hai na meena hai na paimana

dilo,n me be basi bughzo adawat hai

nazrein bichaa rakhkhi hain raste me ghulamo ne

bata maula as teri aamad me kitna der baqi hai.




Hat jaaye agar imam e zamana (a.s) darmiyaan se

Laakhon balayen toot pade aasmaan se

Woh zulfiqar faqat hai himayat mera,

use pasand nahi hai gurur ki aawaz,

shamin aa gaya woh adle haq ka rakhwala ,

na ab dabegi kisi beqa.sur ki awaz

Khushiyo se jhoom jhoom ke kaheti hai kainat

Rahemat jaha'n ko baat raha hai khuda ka hath

is waste falak pe patakho ki hai dhamak

amad khuda k noor ki hai or shabe baraat.




Naam unka zaban per saher o shaam rahega.....

Acha hi meri zeest ka anjam rahega.....

Qayam ke karam se meri nisbat huvi qayam.....

Phir kyun na ghulamoun mein mera naam rahega.




Hum Azadarane Husain Ibne Ali (a) hai shio,

Khauf kis baat ka ke laakh aaye darane wale,

Ghaib se aati hai ab bhi Ye sadaaye Qaim (a),

Maatame sheh na Ruke Hum hai bachaane waale.




Muftiye bida’at ab zara fatwa laga ker dekh ab ,

Kaat daalenge zabaan teri jawanane ghadeer,

Ghasibo thehro zara wo aane waala hai abhi,

Pardaye ghaibat me hai ab bhi pasbane ghadeer.




Deen ki taz’een aey sarkaar’e Hujjat keejiye

pardaey ghaibat ulat deeje imaamat keejiye

jal rahi hai saari duniya zulm o istebdaad se

Aaiye aur aa’ke iss dozakh ko jannat keejiye.




Kaun kehtaa hai ke Islaam hai jaane waala,

Khud bachaalega ise isko bachaane waala,

Waqt pe pardaye ghaibat se nikal Aayegaa,

Zinda hai abh bhi mohammed ka gharane waala.

To dushmane waqt bhala bach ke kaha jaayegaa,

Pardaye ghaib se hai ek aur Ali aane waala.




Masjido Tummey Andhera Nahi Chane Waala,

Abhi Zinda Hai Mohammad Ka Gharane Waala,

Wo Bhi Bechain Hai Aane Ke Liye Parde Se,

Tum Me Lehja Hi Nahi Usko Bulane Waala




zamaana ho gaya raushan, shah’e anaam aaey#

zameeN ki qadr baRhi, aasmaaN maqaam aaey

zahoor’e qaaem’e aal’e aba, mubarak baad

Janaab’e Mahdiye deeN, barhweiN imaam aaey

Gyara sau (1100) saal beet chuke hai mere imam..!!

Ab kijiye zahoor naa marr jaye yeh ghulaam..!!

Darvaish dil me rakhhe hai hasrat ye subh o shaam..!!

Kab lenge woh hussain ke qaatil se inteqaam..!!

Teg e ali ka funn woh jahaan ko dekhaega..!!!

Dunya se ahlebait ke dushman mitaega..!!! Al ajal ya imam





Deen ki taz’een aey sarkaar’e Hujjat keejiye

pardaey ghaibat ulat deeje imaamat keejiye

kuch hi din ab rahgaye hai mujtaba a.s. ke jhasn me

aaiye aur aa’ke iss mauke ko jannat keejiye

pandrawi shabaan ko wo or pandrawi ramzan ko ye ,

Mujtaba ke jhasn me Mahdi ki madhhaa keejiye




Dua karo ke zahure imam hojaye,

ye roz roz ka kissa Tamam hojaaye,

chale bhi aao sakina ka waasta tumko,

Yazid waalo ka kissa tamam hojaye,




Kya khabar zindagi ki shaam kaha hojaye,

Ek inayat ki nazar jaan jaha hojaaye,

Palta yusuf ke liye sirf zulekha ka shabaab,

Tu jo aajaye to duniyaa hi jawan hojaye.

Chaale bhi aao sakina s.a. ka wasta tumko,

Yazid walo ki dunyaa me shaam hojaaye.




Gayi Zindagi Yu Sawar Dhire Dhire,

Ke Jaise Hoti Hai Saher Dhire Dhire

Koi Aane Wala Hai Parde Se Ek Din,

Ye Uddne Lagi Hai Khabar Dhire Dhire.

Sabhi To Hai Maujud Dunya Me Lekin,

Kise Dhund Ti Hai Nazar Dhire Dhire.




Wali e Asr jo Zaahir me Aane waale hai'n,

Wo phirse Rawza e Zahra Banaane waale hai'n,

Ab Imteha'n ka Zamana Guzar gaya logo'n,

Imam saath Zulfiqar laane waale hai'n,

Ab Inteqam e Husaini ki baat hi hogi,

Wo Zulfiqar ke Jauhar Dikhane Waale hai'n,

Jo ittehad ke Qayel hai'n Ahle Batil se,

Imam e Asr se wo Maar khaane waale hai'n,

Wo jisne fatma zahra ka dar jalaya tha

Usay to zinda hi maula jalanewale hai

Dua ye mangi thi maine ke karbala dekhoo'n

Neda ye aaee ki jaldi bulane wale hai'n

Jinho'n ne  Fatema Zehra ka ghar jalaya tha

Unhin ko aa ke wo suli chadhane wale hain.

Zahoor karte hi ja kar Baqee' me Maula

Mazaar e Fatema Zahra (sa) banane wale hain.

 Dine Mursale Aazam Jo Bachane Wala Hai,

Aake Dono Aalam Ko Jagmagane Wala Hai,

Uski Aaj Dunya Me Kya Sana Kare Koi,

Jab Sana Kalame Haq Khud Sunane Wala Hai.

Shadman Ye Dil Rakhna Isliye Jahan Wale,

Chand Aaj Me Jiska Muskurane Wala Hai

Hum Kisi Bhi Dushman Se Issliye Nahi Darte,

Barwah Jo Haider Hai Wo Bachane Wala Hai.




Padhunga har subhe jumaa duaae Nudbah mai,

Ibaadato ka mere intezaam hojaaye,

Ali ki teg se badlaa lo khune karbal kaa,

Dua hai hum bhi tumhaare gulaam hojaye.




Ruki nahi hai abhi jung e karabala,ay

Aur aa rahi hai roz e abbas se sada,

Rokega na mujko tab na nawasa rasul ka,

Mehdi(a.s) ke sath main lunga badla batul ka.





Jin Logon Ne Jalaya Hai Darwaza e Batool,

Kaategi Unke Haathon Ko Shamsheer Dekhna,

Jis Roz Ibn e Fatima Parde Se Aayega,

Tabbat Yadaa" Ki Asl Me Tafseer Dekhna.



Ya rab Waliye Asr a.s. ko izne Zahur de,

Apne aqidato ka yu inaa'm dekhle,

hum chahate hai subhe Qayamat se peshtar,

hum dushmane batul s.a. ka anjaam dekhle.



Ham Intizar Faraj Main Qarar Dondtay Hain

Zameen Pay Hujjat Parwardigar Dhondtay Hain.

Mila Hussain (as) Kay Sadqay Yea Rizq Hay Ham Ko

Ali (as) Say Piar Shahadat Say Ishq Hay Ham Ko

Ham Apnay Dour Kay Mesum Hain Dar Dondtay Hain.




Baaroz Arfa Kahin Hajion Kay Majmay Main

Na Tujh Say Milnay Ki Surat Banay Jo Kabay Main

TuJakay Karbobala Bar Bar Dondtay Hain

Faraj Ki Rah Main Zindan Ho Chukay Aabad

Chalay Hain Sham Talak Jin Pay Touq Main Sajjad (as)

Hamaray Zakhmi Qadam Ab Wo Khar Dondtay Hain

Hayat Jeet Jay Aor Mar Kay Ajal Jain

Tere Hazoor Bareeda Saron Kay Bal Jain

Ham Apni Mout Ko Lail O Nahar Dondtay Hain

Abhi Bhi Masjid Kofa Ki Sooni Mehrabain

Wo Ambiya Kay Musallay Taweel RatoonMain

Ali (as) Kay Jesa Koi Shab Guzar Dondtay Hain

Hussain Mola (as) Ki Kabay Pay Hay Nazar Daikho

Sinan Pay Uthay 72 Bareeda Sar Daikho

Tujhay Hajoom Main Neza Sawar Dondtay Hain

Kahan Kahan Gul Nargis Teri Talash Main Ham

Bhatak Rahay Hain Hamain Noor Askari (AJTF) Ki Qasam

Khizan Raseeda Chaman Main Bahar Dondtay Hain.




Baqi hai tere dam se ye dunya ye zamana , AY MEHDIYE DORAAN

Zimman hai tera dono jahaano ko chalana , ay mehdiye Doraan

Har cheez ko bas tera sahara hai mayassar

Tu naho tou ye asman girjaye zameen par

Bas tuhi  haqeeqat hai ye dunya hai fasana

Ay mehdiye doraan.




Ye shamso qamar aur ye badal ye sitare

Teri hi hidayat pe safar karte hain saare

Har dour ka haadi hai tera saara gharana

Tu raahe hidayat hai yaqeen hai mera kamil

Jo teri taraf aya use milgayi manzil

Dar dar hai tujhe jisne bhi haadi nahi maana

Armaa hai ke ikh 13 Rajab esi bhi aye

Ham log sune aur qasida tu sunaye

Kaabe mai tere saath hai ab jashn manana

Ay mehdiye doran. 

Ab pardaye ghaibat ye hatade mere mola

Ibrat ka nishaan unko banade mere mola

Jo log banatein hain majalis ko nishana

Ye phool ye abshaar ye darya ye samandar

Jannat ho malailk hon wo zamzam ho ya kausar

Hai tere liye dono jahano ka khazana

Ay mahdiye doran

Bechain hai dil dhondh rahi hain tujhe ankhe

Bin dekhein hi rukjaye na mola meri sanse

Banjaye mulaqaat ka koyi tou bahama

Ay mehdiye doran

Ay baarwein sarkaar ye dilme hai tamanna

Taamir ho jab malkaye konain ka roza

Mazduuri mai zishan ko moshi ko bulana

Ay Mehdiye Doran.




Meri koi bhi Ibadat na Mukammal hogi,

Ho na Jab tak terey Dushman pe Tabarra Zahra

Tab kahi'n jaa ke Suku'n Faiz e Hazee'n Paayega,

Gaib se Aayega jab Aap ka Beta Zahra.




Tutna Hai Ghuroor Zulmat Ka,

Raushni Ka Payam Aayega

Jaise Aata Hai Subho Ko Suraj,

Waise Mera Imam Aayega.




Is ghar ki khadmao ki qismat to dekhiye.

Fizza bicha rahi hai mosalla botool ka.

Bag e fidak zarur milega  botool ko.

Aaega jab wo gaib se beta botool ka.




Leke haq ka nizaam aayega

Mera qaem (a.s) imam aayega

Dar, fidak aur katle mohsin ka

Lene ko intekaam aayega



Roshni lene ko har zarra simat kar aayega ,

Askari a.s. Ka chand jab jalwa numa ho jayega .

Roze khilte hain chamn me phool is ummeed me,

askari a.s. Ka shahzada sair karne aayega. 




Kab kahan kis ki duaon ke sabab aoo gay.

Kis ghari aey meri umeed ke rab aao gay.

Kuch to beenai parhey chashm e tamana ki hazur.

Yeh bataney hi chaley aao ke kab aao gay.




 Ay baagh e askari (a.s) kay muqaddas tareen phool,

ay ka'abaa e farogh e nazar, qiblaa e usool,

aa, hum say kar khiraaj e dil o jaan kabhi wusool,

teray baghair hum ko tau jannat nahin qabool;

duniya, na maal o zarr, na wazaarat kay waastay,

Hum ji rahay hain teri ziaarat kay waastay.




Qayem Jo Tere Jhasn Me Shirkat Nahi Karte,

Bache Wo Waledain Ki Izzat Nahi Karte,

Dil Paak Lahu Paak Jigar Paak Hai Jinka,

Wo Log Ghame Sheh Me Siyasat Nahi Karte.

Aasun Hai Meri Aakhka Zahra(sa) Ki Amaanat,

Hum Log Amanat Me Khayanat Nahi Karte,

Basti Me Yazido Ke Bhi Karta Hu Mai Matam,

Mai Kaise Kahu Maula Hifazat Nahi Karte.




Zulm Ka Namo Nishaan Mitjayega,

Ghaib Se Jab Ayenge Mere Imam.

Naam Bas Islam Ka Rahjayega,

Ghaib Se Jab Ayenge Mere Imam.


Khatm Hoga Muddaton Ka Intezar,

Beqarari Ko Milaga Yu Karaar.

Ye Zamana Geet Unke Gayega,

Ghaib Se Jab Ayenge Mere Imam.


Har Taraf Zulmo Sitam Par Hai Shabaab,

Abb Zarurat Hai Uthe Ek Inqilaab.

Daure Batil Khaak Me Miljaayega,

Ghaib Se Ayenge Jab Mere Imam.



Wo Waqt Aaye Kash Hamari Hayat Me,

Tera Rajab Ho Kaba Ho Qayam Ho Saath Me,

Parde Se Zara Aatojaye Barwa Ali (as)

Angushtari Milegi Mujhe Bhi Zakaat Me.




Mahdi (afts) Ko Rakha Pardaye Ghaibat Me Yu Rabb Ne,

Maghlub The Sab Koi Bhi Ghalib Hi Nahi Tha,

Allah Kise Saupta Hujjat (afts) Ki Hifazat,

Usdaur Me Koi Abutalib (as) Hi Nahi Tha.



Usse kehte ho kaafir..Payambar ka jo chacha hai,

Aey farziiiii baap ke beto.. Who (allah)sab kuch dekh raha hai.

Hai ab bhi ghaib me baitha abu talib ka beta.




Imaan Ki Ye Dayemi Pehchaan Bahut Hai,

Quraan Ke Liye Bolta Quraan Bahut Hai,

Jo Munkire Mahdi (afts) Hai Zamane Me Usey Khud,

Shaitaan Bhi Kahta Hai Tu Shaitaan Bahut Hai.




Jab Se Suney Hai Aamade Mahdi (afts) Ke Tazkere ,

Hatt Ti Hi Nahi Aankh Haram Ke Nishaan Se,

Maula Tere Zahoor Ki Kab Aayegi Khabar,

Ye Intezaar Kam To Nahi Imtehaan Se.

Diware Kaba Phir Se Hasegi Ye Dekhna,

Aayega Aakhri Ali (as) Pahle Ki Shaan Se.

Shiddat Se Intezaar Hai Uss Waqt Ka Hame,

Nikle Gi Zulfiqar Ali Jab Meyaan Se.

Hai Munkirane Hujjat e Aakhir Jo Daher Me,

Kategi Unhe Tegg e Ali Darmiyaan Se.

Dono Ki Ek Nasl Hai Or Ek Soch Hai,

Mat Kar Yazidiyon Ko Juda Taliban Se. 




Aabhi Jaao Imam e Zamana

Sare Raste Sajaa e Huwe Hai,

Hum To Aankhen Bichaaye  Huwe Hai.

Al Ajal Al Ajal Ki Sadaaye,

Gunjti Hai Zamane Me Maula,

Bujhnajaye Kahi Meri Aankhein,

Deyr Karna Na Aane Me Maula,

Tujhko Dekhe Bina Marnajaaye,

Chand Saanse Bachaaye Huwe Hai.

Kab Nigaaho Fir Deed Hoga,

Duriya Meri Sari Mitaado,

Waasta Hai Ali , Sayyada Ka,

Apne Chehre Se Parda Hataado.



Midhhat Imam  e Asr (as) Ki Labb Par Liye Huwe,

Katra Hai Aaj Zarfe Samandar Liye Huwe,

Mera Ariza Janibe Kausar Liye Huwe,

Mauje Chali Hai Mera Muqaddar Liye Huwe,

Itni Subuk Hai Haath Me Middhat Ki Ye Bayaz,

Haider (as) The Jaise Haatme Khaibar Liye Huwe.

Jin Logo Ne Jalaya Tha Bister Imam Ka,

Wo Dar Badar Hai Kandho Pe Bister Liye Huwe.




Chedta Hu Wafa Ka Tarana,

Aa Bhi Jaao Imam e Zamana,

Taab Aaye Aankhon Ko Jaha Tak,

Rukh Se Parda Wahi Tak Hatana.

 


Dunya Bhatak Rahi Hai Kyu Jannat Ki Khoj Me,

Daman Ali (as) Ka Thaam Ke Rahte Hai Mauj Me,

Deti Hai Mujh Ko Maa Meri Yahi Duwa,

Beta Ho Mera Shamil Mahdi (afts) Ki Fauj Me.




Mein ye nahin kehta ke mujhay piyar nahin hai,

Faryaad tumhari koi baikar nahin hai;

Sunta hun, tarhapta hun, par majboor hun mein bhi,

Aaney se agarchay mujhay inkaar nahin hai;

Mein aaj hi aajaun, mujhay aar nahin hai,

Lekin mera lashker abhi tayyar nahin hai




MUHAMMAD KA HUM'NAM, HAIDER SIFAT

JAHAN ME BASAD EHTARAM AYENGE

QIYAMAT TO JAB AYEGEI AYEGI,

QIYAMAT SAY PHEHLE IMAM (atfs) AYENGE

AAEGI IMAM (A.S) KI AWAZ ZI HASHAM,

KABAY KI SIMT UTHNE LAGEGA HAR EK KADAM,

SEENO PE HATH HONGAY NIGAHON MAIN SB KI NUM,

GARENGAY SEHNAY KABA MAIN ABBAS (A.S) KA ALAM,

FARSH-E-AZA BICHAYGA SHAH-E-MASHRAQUAIN(A.S) KA,

BARPA KERAINGAY... KABAY MAIN MATAM HUSSAIN(A.S) KA.




Uthega Parda Dikhega Jalwa, Ke Jab Zahoor e Imam Hoga,

Ali Ke Shiyon Ki Eid Hogi Sitam Ka Kissa Tamam Hoga,

Wo Jisne Zahra Ka Darr Jalaaya Usey Jalane Ki Dhoom Hogi,

Imam e Zade Khushi Se Jhume Zaleel Ibne Gulaam Hoga.

Husain Wale Juloos Lekar Khuda Ke Ghar Tak Pahuch Chuke Hai,

Kasam Khuda Ki Husainiyat Ka Yaha Pe Har  Intezaam Hoga,




Hamari Kabr Me Jisdam Sarahne Buturab Aaye,

Sawaal Aane Se Pehle Mere Hoto Par Jawab Aaye,

Jidhar Dekho Zamane Par Ajab Saazo Aftari Hai,

Wo Aayeto Zulekha E Jahan Par Phir Shabaab Aaye,

Alam Gazi Ka Lekar Jo Aaye Shabbir Ka Waris,

Yazido Ki Udeg Gardan Naya Ek Inqilab Aaye

Fakat Khat Hi Nahi Padhte Hai Kul Ahwal Se Waqif,

Yakeen To Magar Khat Milgaya Ye To Jawab Aaye,

Mere Maula Dua o Me Kabhi Ye Bhi Asar Dede,

Ziyarat Aap ki Hojab In Aankho Me Khwab Aaye.




EK AUR BARAS BEET GAYA OMR_E_RAWA KA

KUCH DAIR HISAB AAO KAREN SOOD_O_ZIYAN KA

SAB MIL K DUA MANGO NAEY SAL ME HAM KO

DEEDAR KARA DE KHUDA HADI-E-ZAMAN AS KA.




Ya Rab Hame Imam Ki Khidmat Nasib Ho,

Pehchan Le Unhe Wo Basirat Nasib Ho,

Dunya Ke Saath Deen Ki Izzat Nasib Ho,

Har Saal Karbala Ki Ziyarat Nasib Ho, 

Ya Rab Hamare Lab Pe Durud O Salam Ho,

Pahoche Waha Jahan Pe Hamara Imam (as) Ho.




Kibriya Chahera Ho Jiska Mustafa Jiska Badan,

Noor Ke Uss Markazi Kirdaar Ko Dhunda Karo.

Hajra Ne Jis Tarah Paani Talaasha Tha Kabhi,

Uss Tarah Se Barwi Sarkaar Ko Dhunda Karo.




Ajab Nahi Ke Hum Se Imam (as) Puchte Ho,

Mere Shio Ye Bataao Ke Muntazar Kyu Ho ?

Duaa e karte Ho Mere Zahoor Ki Lekin,

Amal Se Dur Ho Dunya Se Pyaar Karte Ho,

Kyu Apne Waqt Ke Zalim Se Ho Nahi Bezaar ??

Kyu Zulm Sahne Ko Bhi Hogaye Ho Tum Tayyar ??

Jo Tum Zara Si Bhi Rakhte Ho Marefat Meri,

To Honi Chahiye Iss Baat Ki Sanad Puri,

Yazidiyat Ko Mitaao, Ise Balaa Samjho,

Khuda Ke Waaste Mafhoom e Karbala Samjho.




Ajeeb Noor Ki Barish Hai Farshe Mahfil Par,

Kisi Ki Zarra Nawajish Hai Farshe Mahfil Par,

Uthake Ghaib Se Abb Tum Naqab Aajaao,

Tumhare Deed Ki Khwahish Hai Farshe Mahfil Par.




Ghabrate Hai Kyu Log Corona Ke Naam Se,

Abb Bhi Zamin Pe Hujjate Parwar Digaar Hai.

Shaban Ka Mahina To Bada Pur Bahar Hai,

Maula Ko Mere Mujh Pe Bada Aitbaar Hai.

Elyas Bhi Maseeh Bhi Kahte Hai Khizr Bhi,

Ay Jane Intezar Tera Intezaar Hai.

Abb Nasl Dekh Ke Na Chalegi Ye Zulfiqar,

Jiske Bhi Dil Bugz e Ali (as) Ka Bukhaar Hai.

Jo Karte Hai Aayesha Se Banam e Ittehad,

Unke Liye Faqat Ye Jahannum Ka Naar Hai.

Ye Sab Ukhade Jayenge Jo Hai Idhar Udhar,

Sadiyon Beqarar Nabi Ka Mazaar Hai.

Jo Dushmano Pe Shere Khuda Chalayi Thi,

Mahdi (atfs) Ke Haat Me Bhi Wahi Zulfiqaar Hai.

Waise To Dushmano Ki Hai Tadaad Beshumar,

Lekin Adu e Fatema (sa) Pe BeshUmar Hai.

Hasan Mere Liye To Hai Aasan Mushkile,

Iss Shairi Me Nade Ali Ka Hisar Hai.




Zikre mahdi (a) se jo sulagte hai,              Aaj wo dil jalaye jaayenge,

Sab munafiq rahenge dozhak me,         hum jinah me maze uthayenge,

jinke shajre hi namukammal hai,              ya wo namo nasab batayenge,

jinse khud apni izzate na bachi,                deen wo log kya bachayenge,

bijliya gir padhegi baatil pe,                      jo naam fal pe hum bataayenge,

jo naa roye husain (a) ke gam me,            kal wohi log gidgidaayenge ,

Sath rakhna kafan me ashke AZA,          banke gauhar wo jagmagayenge.   

Hum kis ko apne gam ka fasanah sunayeNge

Gar aaj bhi nah aaye tou Maula kab aayenge.




Suraj ko saare raste batata hai khud imam (a.j.f.)

Mashriq hai yeh yahaa'n se nikalna hai tera kaam

thak jaye gar safar mei to phir bhi hai ik maqam

maghrib hai mere qadmo'n mei karna yehi qayaam.

kehde jahaa'n se waan se nikalta hai aftaab

mehdi (a.j.f.) Se puchh puchh ke chalta hai aftaab

kaho ya mehdi (a.j.f.) Kaho ya mehdi (a.j.f.)


Raaz e muqatiyaat ka humraaz aayega

qur'aan ali (a.s.) Ka likha huwa saath layega

shaan e nazool aayato'n ki khud batayega

Makki se makki madni se madni milayega

far far sahifa bolega uski janaab mei

woh jaan daal dega khudda ki kitaab mein

kaho ya mehdi (a.j.f.) Kaho ya mehdi (a.j.f.)



Ek rang hai, ek roop hai, jo zain nazar hai

Pheli hui ek raat k daman mai sehar hai

Kehta hai mere dil se andheron ka ujala

Shayad k yehi pardon k sultaan ka ghr hai.



Har shb mai ye phela huwa purnoor sawera

Bus mehdi e doraan k chehray ka asr hai                                                                      

Aflaak ka seena hai teri sair ka markaz

Badal tu bata mera sultaan kidhar hai??

Ye mehdi e doraan k danton ki chamak hai

Duniya ye samjhti hai k shayad ye qamar hai.



MUFTI v/s MAULAYI CONVERSATION (3/3)

Ye sunte hi mar-mar gaya, woh bughz ka maara,.,

Baaz aaya nahi phir bhi woh shaitan ka pyaara....

Ek baar kiya phir usey zillat ne ishaara,.,

Ye kehke mukhaatib hua woh Mujhse dobaara....

Is waqt bata mujhko Tera Mahdi kahan hai ???

Maine kaha : Allaah Jahaan hai, Woh bhi Wahaan hai..




Ashaar About Areeza Imam Mahdi (atfs)

Misle Zulfe Shabe Ummed Bikhar Kar Dekhu,

Ishq Ki Aakhri Sarhad Se Guzar Kar Dekhu,

Sochta Hu Ye Bhala Rasme Areeza Kab Tak,

Iss Baras Khud Hi Mai Darya Me Utar Kar Dekhu.




Ji ye karta hai karu Waadi e Khizra ka safar

Apni aakhon teri sarkaar ka Manzar dekhu

Sochta hu ke Arize ka Takalluf kaisa

Khud hi is baar main Darya me Utar kar dekhu.




Paani me rakha mai ne ariza fax ki manind,

Pahocha imam e waqt ko ye baat ko haqiqat dekhu.

Sochtaa hu iss baar arize ki zarurat hi nahi

Kyu na mai khud hi paani me utar ker dekhu. 




Ye Soch ke pani me bahaate hain areeza,

Pani to hai jaageer shahenshahe wafa ki,

Pohonchayega manzil pe Sakina ki dua se,

Paani ko Qasam di hai Sakina ke chacha ki.




Hasrat  Se Dekh Te hai Areezo Ko Yu Imam (as)

Shayad Kisi Areezo me Likhha Ho Ye kahe,

Khwahish Nahi Aur Kisi Chiz Ki Hamey,

Sab Kuch Hamare Paas Hai Bas Aap Hi Nahi.




Likh Kar Areeza Khidmate Maula Me Bhej Kar,

Ummeed Ke ChiRaag Jalane Ki Raat Hai.

Narjis K Dar Pe Kyon Na Ho Khushiyon Ka Ek Hujoom,

Aakhir Imam-E-Waqt K Aane Ki Raat Hai.





Fazaa e Zulm o Sitam Me Ghira Hoon Main 'Zamin',

Rah e Nijaat Areeze Me Likh Ke Aaya Hoon,

Mujhe Bhi Apni Duaaon Me Yaad Rakhiyega,

Bas Itni Baat Areeze Me Likh Ke Aaya Hoon..!




Mujhe Bhi Apni Dua o Me Yaad Rakhlena,

Ye Likh Ke Aaya Hu Maine Faqat Areeze Me,

Aap (afts) Ki Ziyarat Ka Bas Ek Yahi Tariqa Hai,

Mai Nikaal K Rakhdu Putliya Areeze Me.





Har Mauj  Ko Sine Se lagata hai Areeza

Bigari Hoi Taqdeer Banata Hai Aareeza.

Majboor Hoon Main Taqat-e-Parwaz Nahi Hai.

Ja Kar Meri Faryad Sunata Hai Aareeza.

Jo Kuch Bhi Tamanein Mere Dill Mein Nihaan Hain.

Ik Aik Meri Baat Batata Hai Aareeza.

Youn Tu Hai Faqt Mehdi-e-Doraan Ki Ghulami.

Pehchan Meri Sab Se Karata Hai Aareeza.

Jo Kuch Bhi Mere Dil Mein Hai Mula KO Khabar Hai.

Phir Bhi Meri Har Baat Nibhata Hai Aareeza.




Jo Dil Ka Haal Tha Ek Harf Bhi Nahi Likkha,

Zabani Kehne Ko Sab Kuch Bachaa Liya Maine,

Mere Imam Mubarak Ho Tumko Saal Girah,

Bas Itna Likhe Areeza Baha Diya Maine.




Maine Quraan Se Seekha Hai Qasida Likhna,

Warna Dushwar Tha Maujo Ko Musalla Likhna,

Jism Kaap Uthta Hai Or Rooh Laraz Jaati Hai,

Log Aasaan Samjhte Hai Areeza Likhna.




Jab Likha Khidmate Maula Me Areeza Maine,

Unko Aane Ke Liye Likkhu Ye Socha Maine,

Dil Se Jaata Raha Maula Ko Bulaane Ka Sawaal,

Jhaank Ke Apne Girenbaan Me Jo Dekha Maine. 




Isme bhi nazar aane laga shirk ya bidat

arzee jo likhi main ne mohabbat ki zubaan men

likhte tou miyan tum bhi baharhaal areeza

waaris koii hota jo tumhara bhi jahan men.




Ankhon Me Liye Hasrate Deedar Areeza,

Khazra Ko Pahochne Me Hai Tayyar Areeza.

Ye Shauke Ziyarat Me Bahut Aage Hai Mujhse,

Iss Paar Agar Maihu To Uspaar Areeza.

Badhta Hi Chala Jaata Hai Jazbaat Ki Rauh Me,

Maujo Se Siwa Rakhta Hai Raftar Areeza.

Har Haal Me Manzil Pe Pahuch Karhi Rukega,

Hai Moatiqade Abid e Beemar Areeza.

Ek Bund Bhi Pita Nahi Darya O Ka Paani,

Pyaaso Ke Kabilo Ka Wafadaar Areeza.

Ye Soch Ke Dubaa Hu Areeze Ke Bajaaye,

Sine Se Lagaa Lete Hai Sarkar Areeza.





Iztiraabe qalb jo bhi hai wahi likha karo!

Chasham k awaan ki halat sabhi likha karo!

Apna kya likhna hai wo kis baat se hain bekhabar?

Aap kaise hain?kab ayenge ? Yahi likha karo!




Warise haidar e qarrar ko khat likha hy

sheh k gmkhwar ko khat likha hy

din k qanun me kuch log kar rahe the dakhal

Is liye waqt ki sarkaar ko khat likha hy. 





Jazbaye Ulfate Sarkaar Me Khat Likhaa Hai,

Ek Shahenshaan Ko Nadaar Ne Khat Likhaa Hai.

Iss Liye Ashko Se Likkha Hai Ke Zahir Hojaye,

Shahe Waala Ke Azadaar Ne Khat Likkha Hai.

Apne Ajdad Ke Parcham Ko Sambhalo Aaker,

Kate Haato Se Alamdar Ne Khat Likhaa Hai.




Aabe Rawa Pe Tehra Musalla Tere Liye,

Rakkha Hai Haq Ne Khaas Ye Tohfa Tere Liye,

Mumkin Nahi Qayam Kisi Ghair Ka Yaha,

Makhsus Hai Ye Dil Madina Tere Liye.

Kagaz Tasawurat Ka Rakim Hai Chashme Nam,

Likhkha Hai Khoone Dil Se Areeza Tere Liye.

Jazbat Khulke Bolenge Tere Zahoor Par,

Sine Dafn Hai Ye Safina Tere Liye.





Hai Zamane Sitam Ka Bol Bala Har Taraf,

Aayenge Maula To Badle Phir Naksha Har Taraf.

Bolte Quran Ko Jusdaan Se Aane To Do,

Gunj Uthega Lahja e Nahjebalagha Har Taraf.

Karbala Ke Baad Karlete Yakinan Khudkushi,

Bas Areezo Ke Liye Zinda Hai Darya Har Taraf.

Warise Elyas Ke Waris Se Milne Ke Liye,

Bedhadak Jaata Hai Paani Me Areeza Har Taraf.




AREEZA dekh ke khush hoke ye kahenge IMAM atfj...

Chahne walo ne Kya Khoob DUA maangi hai,

Maanga har ek ne KARBAL ki ziyarat lekin,

Na kisi ek ne bhi JANNAT me jagah maangi hai.




Bun Kar Hussain Aie Ya Sahibuzzaman

Abh Tu Niqab Uthaie Ya Sahibuzzaman





Jo Sahi Hai Ghalat Ko Sada Ghalat Likkho,

Kalam Uthaao  Kabhi Saaf Karke Tabb Likhkho,

Hamare Areeza Likhne Pe Kyu Khafa Ho Bhala,

Tumhara Gar Koi Zinda Ho Usko Khat Likhkho.




Yusufe Aale Mohammad (saw) Jalwa Dikhlaye Magar,

Jazbaye Ishke  Zulekha Kab Dil e Ummat Me Hai,

Likhte Hai Rasman Areeza Warna Unko Hai Khabar,

Unka Shaida kisjagah Hai Aur Kiss Halat Me Hai.




Dare Shahe Najaf Se Fiqr Or Alfaaz Laaya Hu

Qasida Likh Raha Hu Aaj Mai Sarkar e Hujjat (atfs) Ka.

Meri Aukat Se Zyada Hamesha Mujh Ko Baksha Hai,

Karu Mai Haq Adaa Kaise Mere Maula Ki Midhat Ka.

Areeza Likh Ke Maujo Ke Hawale Kardiya Maine,

Bharam Rakhna Hai Qayam Aap Ko Meri Mohabbat Ka.





Jab Qasida Me Hoto Par Tumhara Aayega,

Madh me Jo Ayega Wo Lafz Zinda Aayega.

Hum Pe Ek Rukh Se Areeza Ka Ye Ehsan Bhi,

Likh Te Likte Likhne Padhne Ka Salika Aayega.




Junoon e Ishq Me Dunya Me Kya Nahi Milta,

Labe Khuloos Pe Lekin Gilaa Nahi Milta.

Mere Areeza Bhi Kis Shaan Ka Ariza Hai,

Yahi Wo Khat Hai Ke Jisper Pata Nahi Milta.




Ek muddat se dil muztarab hai,

Aankh bhi ab dab dabaane lagi,

Ye Arize me likhkha hai maine ,

Aap ki yaad abb sataane lagi.




Ay chand zara parde se nikal khamosh sitaare baithe hai,

Didaar ki hasrat dil me liye taqdir ke maare baithe hai,

Ghaibat ke ajab diwaane hai haato me Ariza apna liye,

Maula ki ziyarat karne ko daryaa ke kinaare baithe hai.




Na roshni na range hina se likhuga,

anokhi shan anokhi adase likhunga,

imame asr (a.s) kaise na dekhe,dekhna ye hai,

Ariza abki me khake shifa se likhunga.




Qaim e aal e mohammad (sawa) ko qasida likhain

Aaiye 12wain haider (ajtf) ko areeza likhain

kaghazi na'o areezay ko bana kar bhejain

Ashk ki mohar lifafay pe laga kar Likhain.




Ruho badan choda watan choda hai lekin,

Maula tere aaneka bharosa nahi chodaa.

Ehsaas ki shiddat se jhulas jayengi mauje,

Ye soch ke dariya ne ariza nahi chodaa.

Tu khush tha bahut raaho me kaato ko bichaa ker ,

Sajjad (a) ne lekin tera pichaa nahi chodaa.




Aankho Ke Nagino Ka Ujaala Hai Areeza,

Muflis Hu Magar Mera Sahara Hai Areeza,

Jab Mai Ne Diya Name Sakina Ka Hawaala,

Abbas Ne Khud Aake Sambhala Hai Areeza.




Zamane Bhar Ek Inqilab Aayega,

Ulat Ke Chahere Se Jab Wo Nakaab Aayega.

Areeza Daal Do Sab Apni Hajate Likh Kar,

Mera Yakin Hai Unka Jawab Aayega.




Khuda ka Deen aur Quraan intezaar mein hai,

Tera zahoor Mashiyyat ke ikhtiyaar mein hai,

Ariza ashkon se likha hai maine aye Maula,

Tamaam haal e mufassal is ikhtesaar mein hai.




Likh Kar Areeza Khidmate Maula Me Bhej Kar,

Ummeed Ke ChiRaag Jalane Ki Raat Hai.

Narjis Ke Dar Pe Kyon Na Ho Khushiyon Ka Ek Hujoom,

Akhri Imam-E-Waqt Ke Aane Ki Raat Hai




Dekhi Jo Satha Darya Pa Jo Noor Ki Kiran,

Wo Muskura Rahe Hai Mujhe Ye Ghuman Huwa.

Maujo Me Isterab Nahi Hai Khuda Gawah.

Maujo Ki Paalki Me Areeza Rawa Huwa.




Hum Tamannaao'n se Din-Raat Laday Hy Maula

Ashq Palko'n Pe Meri Aa Ke Aday Hy Maula

Hum To Is Paar Hy Haatho'n Pe Areeza Le Kar

Aisa Lagta Hy Ki Us Paar Khaday Hy Maula.




Rooho Ne Badan Chode Watan Chode Hai Lekin,

Maula Tere Aane Ka Bharosa Nahi Choda.

Aisas Ki Shiddat  Me Jhulas  Jaaye Na Mauje,                                                          Ye Soch Ke Darya Me Areeza Nahi Choda.




Ek Noor Ke Paikar Dekha Gaya Pani Me,

Daala Hai Areeze Ko Darya Ki Rawani Me.

Saj Dhaj Mere Maula Aayeho Labe Darya,

Kya Aag Lagado Ge Bahte Huwe Paani Me.

Ya Rab Meri Aankhon Ko uss Waqt Khuli Rakhna,

Sunte Hai Wo Ayenge Bharpur Jawani Me.




Qaim e aal e mohammad (sawa) ko qasida likhain

aaiye 12wain haider (ajtf) ko areeza likhain

kaghazi na'o areezay ko bana kar bhejain

ashk ki mohar lifafay pe laga kar bhejain

Iztiraab Qalb Jo Bhi Hai Wahi Likha Kro!

Chasham K Awaan Ki Halat Sabhi Likha Kro!




Apna Kya Likhna Hai Wo Kis Baat Se Hain Baikhabar!

App Kaise Hain? Kabh Ayen Gai ?Yahi Likha Kro!




Usi Ke Chahere Ke Upar Nikhaar Hota Hai,

Jise Imam e Zamana Se Pyaar Hota Hai,

Ye Intezaar Tera Jisspe Baar Hota Hai

Wahi Mukhalife Parwar Digar Hota Hai.

Hamare Saath Ye Isaa Bhi Derahe Hai Sada,

Mere Imam Tera Intezaar Hota Hai.

Ye Intezar Nahi Hai Pule Sirat Hai Ye,

Hai Jiska Achcha Nasab Bas Wo Paar Hota Hai.

Isiliye To Dubara Nahi Hase Asger,

Ke Mojiza To Fakat Ek Baar Hota Hai.



 Ashaar About Intezar Imam Mahdi (atfs)


Jo Log Majliso Matam Pe Waar Karte Hai,

Yazidiyo Me Hum Unka Shumaar Karte Hai.

Hum Apni Aankh Se Anjaam Unka Dekhto Le,

Isiliye To Tera Intezaar Karte Hai.



Ye Kaun Kehta Hai Parda Sitam Nahi Hota,

Ye Dekhna Hai Kab Tak Karam Nahi Hota.

Agar Hai Shart Qayamat Ki To Abb Aajaao,

Ke Intezaar Qayamat Se Kam Nahi Hota.



Har Ek Shaqsh Ka Jeena Haram Hai Shiyo,

Jise Imame Zamana Ka Intezar Nahi,

Hai shaq Khuda ki sari khudayi per

Jise Ali Ki Wilayat pe Aitbaar Hai. 




Ghaibat Me Zulfekar Badi Beqaraar Hai,

Maula Tumhara Humko Bada Intezaar Hai,

Pahla Wahi Se Aaya Tha Aakhir Bhi Aayega,

Iss Waste Jidaar Me Abb Tak Daraar Hai.




Gar Ho Meri Hayat Mere Ikhtiyar Me,

Sadiyan Guzar Dunga Tere Intezaar Me,

Maula Abb Aap Pardaye Ghaibat Uthayiye,

Do Din Guzar Lu Mai Fasle Bahar Me.




Yazeedi Waqt Ki Naslo Pe Waar Karte Raho,

Munafiqo Ki Kaba Taar Taar Karte Raho,

Yazidi Waqt Se Ladna Hai Nusrate Mahdi (as),

Yahi Nahi Ke Fakat Intezar Karte Raho,

Zaroor Hoga Zahoor e Imam Haq Ek Roz,

Tum Apne Dil Ko Yu Beqaraar Karte Raho.




Parde Se Aane Wala Hai KAABE Ka Paasban,

Hai KARBALA Bhi Aaj Isi Intezaar Me,

Kehdo Ye Baghion Se Zara Hosh Me Rahe,

Baitha Hai Ek SHER Talaash e Shikaar Me.




Kitna Ajab He Saahib E Ghaibat Ka Intezaar...

Do Din Ki Zinadagi Me Qayamat Ka Intezaar...

Tere Qadam Ka, Teri Imamat Ka Intezaar...

Issa (a.s) Ko He Namaz E Jamaa'at Ka Intezaar

Dil Aaina Bane Huve Sadiyaa Guzar Gayi...

Kab Tak Nazar Kare Teri Surat Ka Intezaar...

Tu Hukam De Agar To Thahar Jaaye Kayenat...

Hai Waqt Ko Bhi Teri Ijaazat Ka Intezaar.





Sirate Gham Ka Safar Ikhtiyar Karte Rahe,

Teri Khushi Thi Jo Askqo Se Pyaar Karte Rahe,

Ye Gham nahi ke Andhero ne Zindagi Leli,

Khushi ye hai Ke tera intezaar karte Rahe.




Anwaar jis ke parde se hote hain aash-kaar,

Har ik mohib oosi ki hai furqat mein be-qaraar,

Kal muntazir Rasul the awwal Imam ke,

Hum aakhri Imam ka karte hain intezaar.



Ishqe ali ka tu dawedar kaisa,

Agr h benamazi to azadar kaisa,

Imame zamana se yeh tera pyar kaisa,

Ho kar be namazi phir yeh intezar kaisa.

Parde Me Rahne Waale Zara Saamne To Aa,

Hum Chup Na Honge Aaj Shikayat Kiye Baghair,

Muddat Guzar Gayi Hai Tere Intezaar Me,

Kya Uhi Laaut Jaaye Ziyarat Kiye Baghair,

Ay Warise Husain Tere Intezaar Me,

Humhi Nahi Hai Balke Safey Ambiya Bhi Hai.




Ham tumhe itna pyaar karte hai,

Apni jaan tak nisaar karte hai,

Ab to aa jaaiye mere maula,

Muntazir Intezar karte hai.



Mustafa ne tha kiya pehle ka , pehla intezar

Aakhri Hum kar rahe hain ,  Aakhri ka intezar

Jab kisi ka kijiye, khalta hai oos ka intezar

Aap ka Maula mujhe lagta hai achha intezar

Jo  gham-e-Shabbir  me ro  ro k tahir ho gayin

Bas oon hi aankhon ko rehta hai tumhara intezar

Maut to aayi magar , aankhen khuli hee reh gayin

Baad marne k bhi aankhon me hai zinda intezar.

Qaayam namaazein hain abhi aur masjidein aabad

Khauf e Khuda dilo'n mein, or Qayam ka intezaar

Iska nateeja ek hai, matlab bhi ek hai

Husain zindabaad hai , Yazeed murdabad !!!.




Sirate Gham Ka Safar Ikhteyar Karte Rahe,

Teri Khushi Thi Jo Ashkon Se Pyaar Karte Rahe.

Dayare Ishq Ajab Hai Jaha Pe Ahle Khirad,

Fareb Khate Rahe Eitbaar Karte Rahe.

Likha Huwa Tha Tera Naam Jin Safino Par,

Wo Apne Aap Samandar Ko Paar Karte Rahe.

Sajaai Zakham o Ki Kaliyan Kabhi Lahu Ke Gulaab,

Isi Tarah Se Khiza Ko Bahar Karte Rahe

Ye Gham Nahi Ke Andhero Me Zindagi Leli,

Khushi Ye Hai Ke Tera Intezaar Karte Rahe.

Gar ho meri hayat meray ikhtiyar mein,




Sadiyan guzaar doon ga teray intizaar mein,

Maula (ajf) ab ap parda-e-ghebat uthayye,

Do (2) din tau zindagi kay guzaroon bahar mein.



Sadiyan bhari hain yun tau meri aankh mein, magar,

Chubhta hai aik lamha bhi ab intezar ka,

Har baar chaand dekh kay maangi hai yeh dua,

Yeh maah akhri ho teray intezar ka.




Ek Matmi Shah Ke Gumkhar ka Khat Hai,

Ye Khat Ghame Sarwar Me Giraftar Ka Khat Hai.

Ghazi Ka Alam Khat Le Lifafe Pe Bana Ho,

Pahle Se Khabar Ho Ke Wafadar Ka Khat Hai.

Mai Rauza e Shabbir Areeze me Banaau,

Wo Jaan Le Ye Khat Kisi Zawwar Ka Khat Hai.

Hai Jee Me Zuban Bhejdu Iss Baar Mai Khat me,

Wo Bole Ke Ye Misame Tammar Ka Khat Hai.

Kyu Isko Na Zanjeer Ke Zakhmo Se Sajja uu,

Wo Jaan Le Ye Waqt Ke Mukhtar Ka Khat Hai.

Iss Baar Areeze Me Naa Kyu Bheju Mai Aankhen,

Wo Jaan Le Ye Talibe Didar Ka Khat hai.




Sirate Gham Ka Safar Ikhtiyar Karte Rahe,

Teri Khushi Thi Jo Askqo Se Pyaar Karte Rahe,

Dayaar e Gham Ajab hai Jahaan Pe Ahle Khirad,

Fareb Khate Rahe Etbaar Karte Rahe.

Sajjai Zakhmo Ki Kaliya Kabhi Lahoo Ke Gulaab,

Isi Tarah Se khizaa ko bahar karte rahe.

Ye Gham nahi ke Andhero ne Zindagi Leli,

Khushi ye hai Ke tera intezaar karte Rahe.




Deedar ki hai aas dil e sogwaar mein,

Deedar par nahin hai mere ikhtiyaar mein,

Maula main raah dekhunga marne ke baad bhi,

Aankhein khuli rahegi tere intezaar mein.

Sehta hoon intezaar ki shiddat ye soch kar,

Isa bhi jee rahe hain isi intezaar mein,

Aaahatt bhi unke paao’n ki sun le agar ye dil,

Lag jaaye chaar chaand mere aitbaar mein.




Kuch Itna Khogaya Hu Tere Intezaar Me,

Khud Ko Hi Dhunta Hu Mai Khudke Dayaar Me.

Jisne Nahi Kiya Tere Aane Ka Intezar,

Uska Shumaar Hogaya Sattar Hazar Me.




Khuda ka Deen aur Quraan intezaar mein hai,

Tera zahoor Mashiyyat ke ikhtiyaar mein hai,

Ariza ashko’n se likha hai maine aye Maula,

Tamaam haal e mufassal is ikhtesaar mein hai.

Aankhein beechhi huwi hai yameen o yasaar mein,

Armaan machal rahe hain dil e beqaraar mein,

Ek main hi muntazir nahin, aye Muntazar Imam,                                                                  

Mehshar ruka huwa hai tere intezaar mein.




Rafta rafta ho raha hy jaan lewa intezar,..

Ye bata dijiye kare ab aur kitna intezar.

Yeh ibadat bachpane se hi kia karte hy hm..

Zikre hayder, matam e sarwar, tabarrah, intezar.




Khushiyon Ke Saath Eid Ka Aana Hai Fitratan,

Lekin Ye Kya, Ki Qalbe Hazee'n Beqaraar Hai,

Hai Aasmaa'n Ke Chaand Ka Duniya Ko Intezaar,

 Zahra Ke Chaand Hum Ko Tera Intezaar Hai.



Muntaqim Khoon e Shah Ka Aayega,

Shaikh Ji Yun Na Hum Pe Waar Karo..

Hum Ko Hai Intezaar 'Mahdi' Ka,

Tum Qayaamat Ka Intezaar Karo..




Momin ki har sada ko tera intezar hai,

iman ki baqa ko tera intezar hai,

phir sajdae hussain ki hajat hai deen ko,

aaja k la elah ko tera intezar hai,

parda utha k dekh mere daur k hussain,

haan ab bhi karbala ko tera intezar hai,

tu hi suna sakega sahi maqtale hussain,

har majlise aza ko tera intezar hai,

bechain zulfikar hai betab murtajiz,

abbase bawafa ko tera intezar hai.

Aaja ke ahle dil ko tera intezar hai.




Jo log majliso matam pe vaar karte hai,

yazidiyo me hum unka shumar karte hai,

hum apni ankho se anjam unka dekh to le,

isi liye to imam e  mehdi (a.s) aapka intezar karte hai




Kitna ajab he saahib e ghaibat ka intezaar...

Do din ki zinadagi me qayamat ka intezaar...

Tere qadam ka, teri imamat ka intezaar...

Issa (as) ko he namaz e jamaa'at ka intezaar...

Dil aaina bane huve sadiyaa guzar gayi...

Kab tak nazar kare teri surat ka intezaar...

Tu hukam de agar to thahar jaaye kayenat...

Hai waqt ko bhi teri ijaazat ka intezaar..




Usi ke intezar e deed me bas,

ye sach hai aaj se kal ho rahi hai,

ali a.s ka laal aaye bhi tou kaise,

abhi talwar saykal ho rahi hai.



Jo aansuo ne gundha wo haar zinda hai,

Masham e jama e khushbu bahar zinda hai,

Daleel hai pase murdan khuli hui ankhe,

Mai mar gaya hu magar intezar zinda hai.   




Ye intezar bas aaj hi tamam ho jaye,

Khuda kare zahur e imam ho jaye,

Ho charon simt imamat ki surkhiyan,

Ya rab yeh kainat hi mehdi(a.s) ka naam ho jaye. 




Bashar ko farishton ko hai teri aas mola (a.s)

Aajaye to hum bhi ho aapke hisaar main

Aaye hamari madad ko ya sahebuz zamaan (a.s)

Baithein hai anbiya bhi tere intezaar main.




Tu ibteda se ghaib me hai rabbe zuljalaal,

Tera wujood daure Imamat ka hai kamaal,

Hum ko hai yakin isliye karte hai Intezaar,

Sab se bade Rasul (s) ki sunnat hai Intezaar,

Jisko yakin nahi tere intezaar me,

Shaq kar raha hai kudrate par war digaar me.




Dil Aaina Bane Huve Sadiyaa GuzarGayi...

Kab Tak Nazar Kare Teri Surat Ka Intezaar...

Tu Hukam De Agar To Thahar Jaaye Kayenat...

Hai Waqt Ko Bhi Teri Ijaazat Ka Intezaar

Aaen nikal ke parda e ghaibat se Zulfiqar

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar.



Bas ek bar deen e khuda ko bachaiye

bas ek bar amn o aman saath laiye

bas ek baar parda e gaibath uthaiye

dadi ka roza karta hai fariyaad aaiye

phir jannat ul baqi mei aajegi bahar                                                                      

Hojayega khatm fatima zehra(sa) ka intezar

Jo log majliso matam pe waar karte hai,

Yazidiyo me hum unka shumaar karte hai,                                                                hum apni aankh se anjam unka dekh to le,                                                                Isi liye to tera intezaar karte hai.




Mai Ye Kahta Hu Ke Aakhir Aur Kitna Intezar,

Khatm Hoga Bhi Kabhi Ye Jaan Lewa Intezar,

Wo Ye Kehte Hai Ke Pahle Deed Ke Kabil To Ban,

Chahata Hai Quwwat e Tabe Nazara Intezar.

Mai Ye Kehta Hu Ke Jab Dil Me Hai Jalwe Aapke,

Zahiri Aankhon Ko Kyu Deta Hai  Eizaan Intezar,

Wo Ye Kehte Hai Ke Hai Kuch Farq Qurb o Deed Me,

Qurb Ulfat Ka Sila Haq Ka Takaza Intezar.

Daal Kar Jaame Yakine Dil Me Isko Pee Ke Dekh,

Baksh De Wo Qaif e Dayib Hai Wo Sahib ka Intezar.

Ittehadi Bahema Tumme Nazar Aata Nahi,

Kyu Na Badhta Jaye Fir Ye Lamha Lamha Intezar.

Kahte Ho Ajjil Zaban Se Kab Sadaye Dil Hai Wo,

Hoti Gar Dil Ki Sada Karna Na Padhta Intezar.

Ek Tu Kya Muntazir Hai Meri Sari Qainaat,

Karraha Hai Zarra Zarra Katra Katra Intezar.

Muntazir Me Fakat To Aam Se Insaan Nahi,

Karrahe Hai Khizro Elyas o Maseeha Intezar.

Jaanta Hai Ekdin Ke Humko Aana Hai Zarur,

Itna Kyu Betab Hai Kar  Aur Thoda Intezar.

Tu Agar Bechain Hai Kya Muztarib Humbhi Nahi,

Tujh Ko Mera Aur Mujhko Apne Rabb Ka Intezar.

Kya Khabar Kabho Tuluw e Subh e Ghaibat Kaabe Se,

Din Chade Tak Sone Walo Hai Ye Kaisa Intezar.

Ek Nazar Aamal Pe Daal Aur Ganimat Jaanle,

Tauba Karlene Ka Jo Deta Hai Waqfa Intezar.

Apni Qad Fahmi Se Tu Zahmat Samajhta Hai Isey,

Ek Neymat Hai Paye Ahle Tawalla Intezar.

Hosh Me Aa Ay Shoor e Be Shaoor,

Ye Sharaf Kya Kam Hai Tu Karta Hai Mera Intezar.




Chaman Wohi Hai Jaha Phool Ek Kataar Me Hai,

Khuda Ke Noor Ka Jalwa Gule Bahar Me Hai,

Zara Bhi Deyr Nahi Muntazar Ke Aane Me,

Khuda Ke Hukm Ke Wallah Intezar Me Hai,

Musalla Paani Pe Tahera To Itni Hairat Kya,

Ye Mere Hazrate Hujjat Ke Ikhteyaar Me Hai.

Ye Rizq Harkaso Nakas Jahan Se Paate Hai,

Khuda Ka Noor e Mojassum Usi Dayaar Me Hai.

Uhad Me Jisne Ke Kaate The Mushreqin Ke Sar,

Abhi Bhi Dhaar Wohi Baaki Ke Zulfeqar Me Hai.

Lahed Me Bole Malak Kya Ho Matami Se Sawaal,

Dua e Fatema Zahra (sa) Ke Ye Hisaar Me Hai.

Pase Imam Ke Isaa  Padhenge  Aake Namaz,

Ye Waqt Bakhuda Momin Ki Yaadgar Me Hai.

Najaane Kab Ka Mitaadeti Ye Mujhko Dunya,

Mera Wujood Bacha Sirf Unke Pyaar Me Hai.

Ye Kaun Aaya Ke Dunya To Lagti Hai Jannat,

Shabe Baraat Farishto Ki Ye Pukaar Me Hai.

Ay Ashq Mai Areeze Me Likh Ke Bhej Diya,

Zamana Warise Kaaba Ke Intezar Me Hai.



MANQABAT & NAZM OF IMAM MAHDI (ATFS)

1­) Imam e Asr [a.t.f.s] Ki Midhat Se Jin ko 'TENSION' Hai,

Zaroor Unka Abujahal Se 'CONNECTION' Hai.

Hamari Rooh Ko Milti Hai Taazgi Is Say,

Ye Intezaar Nahi Hai. . YE OXYGEN Hai.

Imam e Asr [a.t.f.s] Bhi Abbas [a.s] Jaise Lagte Hain,

Ye Sun Kay Kalb e Munafiq Main Vibration Hai.

Mare Jo Munkir E Ghaybat To Ye Malaq Bolay,

Chalo Tumhara Jahannam Main 'ADMISSION' Hai.

Janab e Sheikh Tumhe Khuld Mil Nahi Sakti,

Tumhare Naam Pe Zahra [s.a] Ko 'OBJECTION' Hai.

ALI [a.s] Se Bugz Hai Tum ko To Call Mat Karna,

Tumhara Phone MUHAMMAD [s.a.w.w] Se 'DISCONNECTION' Hai.

Baha Ke Khoon Gham e Shah Main Hum Batate Hain,

Hamara Karbobala Se 'BLOOD RELATION' Hai

Khuda Hi Jaane Kahan Pe Jayegi Ye Bugz Ki Rail,

Patri Ek Hai Par Teen Teen 'ENGINE' Hai.

Bulao Jang e Ohad Se Farrar Logon Ko,

Bhaagne Ka Olampic Main 'COMPETITION' Hai.


2) Baheriya Re Tanik Saath Liye Ja More Man Ka Sandeshwa,

Tarsat Hai Darshan Ko Kabse Hamri Pyaasi Najariya...

Darshan Tum Apna Karaao Ge Kab Tak,

Mukhda Tum Apna Dikhaao He Kab Tak,

Ankhiyo Ko Humri Rolaao He Kab Tak,

Talwaar Apni Uthaao He Kab Tak,

Dikhwa Do Jalwa Iss Tarha Aake,

Jaise Ali Ne Khaiber Me Jaake,

Dushman Ki Ulti Nagariyan Re.   Baheriya Rey....


Sewa Me Aaka Ki Karna Niwedan,

Kathin Sewako ka Tumhara Hai Jeevan

Mukhda Jo Dekhe To Mann Howe Parasann,

Aasha Ki Mahko Se Phool Uthe Upwan,

Jee Ko Santosh Mile Khoya Huwa Josh Mile,

Dushman Ki Todey Kamariyan Re.    Baheriya Re...


Andhkaar firlo Nabi Ke Sudhakar,

1400 Saalo Ka Badlo Lo Aakar,

Sare Yazido Ko Rakhdo Mitaa Kar,

Ban Kar Jo Firoun Le Tum Se Takkar,

Aysa Ek Waar Karo, Sab ko Finnar Karo,

Haadi Ki Lekar Talwariya Re.  Baheriya Re...


Darshan Ko Kab Se Taraste Hai Naina,

Sukhgaya Gaya Neend Gayi Aawe Na Chaina,

Jaake Huzur Ke Samit Yahi Kehna,

Sahebji Aane Me Deyr Nahi Karna,

Jee Ka Ye Haal Huwa Jeena Muhaal Huwa,

Kab Loge Hamri Khabariya Re.  Baheriya Re...


Itna Zarur Kaho Swami Sejaakar,

Hai Patrr Sewak Tumhari Daya Ke,

Shriddha Se Rakhhe Hai Hirday Sajaake,

Aao To Bhet Kare Charno Me Laake,

Raho Ko Tumhri Aisa Sajaade,

Laala Ke Apni Akhiyan Sajaa De,

Tumko Lage Hamri Umariya Re. Baheriya Re...


Hum Raah Dekhe Kaha Tak Tumhari,

Abb To Dukhan Laage Akhiyan Hamari,

Jaldi Mangaao Abb Aaka Sawari,

Tera Ameer Teri Deed Ka Bhikaari,

Abb Na Niraash Karo, Deed Ko Bardasht Karo,

Roz Ghate Hamri Umariya Re.  Baheriya Re...



3) Yakin Hai Mere Maula Tere Zahoor Ke Baad,

Zhuke Gi Kadmon Me Dunya Tere Zahoor Ke Baad.

Furaat Cheeni Thi Gazi Ne Jiske Saaye Me,

Khulega Phir Wo Phareyra Tere Zahoor Ke Baad.

Jo Us Phareyre Ke Saaye Me Aayega Maula,

Bachega Bas Wo Kabila Tere Zahoor Ke Baad.

Har Ek Firqe Ka Daawa Hai Jannati Hum Hai,

Taamam Hoga Ye Jhagda Tere Zahoor Ke Baad.

Ye Faisla Hai Wohi Firqa Jannati Hoga,

Jo Tere Saath Rahega Tere Zahoor Ke Baad.

Munafeqin Bhi Kuch Momino Ke Bhes Me Hai,

Uthega Chehro Se Parda Tere Zahoor Ke Baad.

Dukan Khul Nahi Sakti Kisi Bhi Mufti Ki,

Tere Hi Hukm Chalega Tere Zahoor Ke Baad.

Buland Hota Tha Jo Mimbare  Saluni Se,

Sunenge Hum Bhi Wo Lahja Tere Zahoor Ke Baad.

Dilo Ke Haal Zabani Sunayenge Sablog,

Likhega Kaun Areeza Tere Zahoor Ke Baad

Lahad Me Soaye Huwe He Jo Gasibane Fidak,

Unhe Bhi Uthna Padega Tere Zahur Ke Baad..



4) Mai Huwa Sajda Huwa Masjid Huwi Kaaba Huwa,

Har Koi Hai Aapke Deedar Ko Tarsa Huwa.

Dekhta Rahta Hu Haato Ki Lakire Raat Din,

Aap Ka Deedar Ho Shayad Kahi Likhaa Huwa.

Aayiye Or Kum Be Izni Kahke Zinda Kijiye,

Muntazir Hu Zindagi Ki Qabr Me Soya Huwa.

Sunraha Hu Aayenge Abbas Bhi Saath Aapke,

Kabse Hai Mera Tasawwur Bas Yahi Tehra Huwa.

Ba E Bismillah Ke Nuqte Ki Ye Ghaibat Ke Sabab,

Aaj Tak Quraan Hai Tafseer Se Bhichda Huwa.

Mera To Qaayil Hai Lekin Qayile Ghaibat Nahi,

Dang Khud Shaitan Hai Ye Molvi Ko Kya Huwa.

Dekhna Baghe Fedak Ke Har Shajar Par Ek Din,

Ghasibe Haqqe Janabe Sayyada (sa) Likhaa Huwa.

Roz Kahta Hai Munafiq Din Guzar Jaane Ke Baad,

Aaj Bhi Shamsheer Se Mai Bachgaya Achcha Huwa.



5) Chalega Adl Ka Sikka Zahoor Hone Do,

Zara Imam E Zamaan (afts) Ka Zahoor Hone Do.

Sajega Hazrate Abbas (as) Ka Jo Chat Pe Alam,

Khushi Se Jhumega Kaaba Imam e Haq Ki Kasam,

Karega Shukr Ka Sajda .. Zahoor Hone Do..

Ladenge Jis Me Alamdaar Saath Mahdi (afts) Ke,

To Zulfiqar Bahaye Gi Khoon Ki Dhaare,

Zarur Hoga Wo Hamla .. Zahoor Hone Do.

Bichega Khanaye Kaaba Me Farsh Matam Ka,

To Shore Matame Sheh Sunke Fhat Hijaayega,

Muqassiro Ka Kaleja.. Zahoor Hone Do..

Wilaa Ke Jo Bhi Hai Munkir Saza Wo Payenge,

Ali (as) Ke Bugz Me Dozakh Me Phenke Jaayenge,

Koi Bhi Bachna Sakega.. Zahoor Hone Do..

Sukoon Hai Ye Eram Or Ye Khushi Humko,

Na Rok Payegi Aale Saud Bhi Hamko,

Banega Rauza e Zahra (sa) ... Zahoor Hone Do..



6) Kashkol Me Beshaq Mere Koi Bhi Sikka Nahi,

Muntazir Aankhon Ka Lekin Hausla Tuta Nahi.

Roz Hi Guzraa Kal Puchta Hai Aaj Se,

Aaj Bhi Tune Imam E Asr (as) Ko Dekha Nahi.

Aankh Binaayi Nazar Ye Sab Ke Sab Bekar Hai,

Zindagi Me Aap Ka Chehra Agar Dekha Nahi.

Rizq e Dunya, Rizq e Fann, Rizq e Shifa'at, Rizq e Lab,

Ghair Ka Mere Dahen Me Ek Bhi Lukma Nahi.

Bas Yahi Kaafi Hai Mujhko Tere Hone Ki Daleel,

Mai Abhi Tak Is Jahaan Me Toot Ke Bikhra Nahi.

Yeh Jagah To Wakf Hai Bas Mere Aaka Ke Liye,

Isliye To Aajtak Mimber Pe Mai Baitha Nahi.



7) Uthega Shor Ke Karzar Se Bhago,

Baras Rahi Hai Ajab Zulfiqar Se Bhago,

Sada Kisi Ki Nabi Ke Dayar Se Bhaago,

Koi Kahega Nikalkar Mazar Se Bhago,

Kab Aaye Zulm Tashaddud Ko Phadne Waala,

Ke Aajaya Dare Khaibar Ukahdne Waala.

Ali Ki Tegg Hai Phir Be Neyam Bhaag Chalo,

Jagah Haram Me Nahi Suwe Shaam Bhaag Chalo,

Ajal Ko Yaad Hai Hum Sabke Naam Bhaag Chalo,

Ke Bhaagna Hi To Hai Apna Kaam Bhaag Chalo,

Amaa Nahi Hai Kahi Karzar Hasti Me,

Dayar Chodke Sher Aagaya Hai Basti Me.



8) Phir Aaj Bazme Mohabbat Sajaa Raha Hu Mai,

Chalebhi Aayiye Kabse Bulaa Raha Hu Mai,

Ghame Husain Ke Ashkon Se Dhoke Subho Masah,

Ye Aankhe Deed Ke Kabil Bana Raha hu Mai,

Mudhakhelat Na Karo Dilki Dhadkano Tahro,

Ke Haale Dil Unhe Apna Suna Raha Hu Mai,

Aajeeb Waqt Hai Baithe Hai Wo Sare Bale,

Ajal Se Kehdo Zara Tehre Aaraha Hu Mai.

Meri Wafa o Pe Kya Abbhi Eitbaar Nahi,

Ke Dage Sajda o Matam Bataa Raha Hu Mai.

Kahi Se Aaye Yakeenan Yaha Pe Tahrenge,

Dare Batul Pe Aankhen Bichaa Raha Hu Mai.



9) Ay Inteqame Shah Ke Haqdar Aabhi Jaa,

Aawaaz De Rahe Hai Azaadaar Aabhi Jaa

Le Inteqame Khoone Shahida Yazid Se,

Lashkar Bhi Tera Hogaya Tayyar Aabhi Jaa.

Akdi Huwi Guroor Ki Gardan Utaar Ne,

Lekar Ali Ke Haath Ki Talwar Aabhi Jaa.

Kya Hai Ye Ek Pardaye Ghaibat Tere Liye,

Parda Hataa Ke Parde Ke Ispaar Aabhi Jaa.

Dono Jahan Me Apni Wirasat Sambhalne,

Ay Wirsa dare Haidar e Karrar Aabhi Jaa.

Baghe Fidak Ke Choro Ka Badhne Laga Hai Zulm,

Ay Wirsadaar E Haidar e Karrar Aabhi Jaa.



10) Maine Pucha Aapke Aane Me Kyu Takhir Hai,

Bole Hai Marzi Khuda Ki Paao Me Zanjeer Hai,

Maine Pucha Kis Taraf Se Or Kaha Se Aaoge,

Bole Kaaba Baap Dada Ki Meri Jagir Hai,

Maine Pucha Karbala Or Kaabe Me Hai Farq Kya,

Bole Kaaba Khwab Hai Aur Karbala Taabir Hai,

Pucha Jab Aane Se Kya Hogi Imamat Ki Daleel,

Bole Mere Sar Pe Taj e Ayate Tatheer Hai,

Maine Pucha Kyu Jalale Haidari Aata Nahi,

Bole Sabre Fatema (sa) Har Waqt Daman Gir Hai.



11) Parde Hi Parde Agar Unka Nazara Hojaaye,

Dard e Betabi Ye Furkat Ka Mudawah Hojaaye,

Talibe Deed Ko Halkisi Bhi Jalwe Ki Jhalak,

Dubne Waale Ko Tinke Ka Sahara Hojaaye,

Sunte Hai Hashr Pe Deedar Uthaa Rakhkha Hai,

Dil yahi Kahta Hai Hashrr Aaj Hi Barpa Hojaaye.

Ghairate Ishq Ko Ye Bhi To Nahi Hai Manzur,

Dam Nikaljaaye To Sharminda Maseeha Hojaye.

Iss Liye Waar Du Unper Ye Bachi Saanso Ko,

Ek Pal Hi Magar Armaan To Pura Hojaaye.

Ye Wo Mey Hai Jise Insaan Ba Khuluse Niyyat,

Dil Ke Paimaane Se Peele To Farishta Hojaaye.

Dilme Armaan Hai Qisa se Ghame Zahra Hojaaye,

Aap Aajaaye To Takmile Tamanna Hojaye.

Hum Ne Dekha Hi Nahi Rahbaro Ko Apne,

Aap Aajaaye To Deedar Sabhi Ka Hojaaye.

Dekh Kar Aap Ke Chehre Pe Jaamale Haidar,

Phir Nusairi Ki Nigaaho Ko Na Dhoka Hojaaye.

Halat e Ummate Marhuma Hai Tarikh Bahut

Abb To Aaka Shabe Ghaibat Ka Sawera Hojaaye.



12) Moajiza Humko Bhi Ek Baar Dikhado Maula,

Bahte Paani Pe Musalle Ko Bichaado Maula,

Raat Din Aapki Yadon Me Guzarti Hai Hayat,

Jaane Nargis Rukhe Anwar Ko Dikhaado Maula.

Hum To Har Saal Areeze Me Yahi Likte Hai,

Kab Talak Aaoge Ghaibat Se Bataado Maula.

Luttne Wale Bhi Abb Baithrahe Hai Isspar,

Hurmate Mimbare Mursal Ko Bachado Maula.

Khoon Pite Hai Jo Mazlum Ka Bejurm o Khataa,

Tegg Haidare Ka Unhe Paani Pilaado Maula.

Abb Daleelo Se Bhi Akhbari Nahi Maante Hai,

Azmate Marjaye Taqleed Bataa Do Maula.

Jinka Bikjaaye Aqeeda Wo Husaini Hi Nahi

Karbala Kya Hai Unhe Aake Bataado Maula.

Wadi e Khizr Me Meraaj Ko Ziyarat Ke Liye,

Abb Nahi Aate To Phirr Isko Bulaalo Maula.



13) Zulm Ka Namo Nishan Mittjayega Ghaib Se Jab Aayenge Mere Imam,

Har Yazidi Maut Se Tharrayega Ghaib Se Aayenge Jab Mere Imam.

Dosh Par Kamli Rasulallah Ki Aur Zabane Haq Lesanullah Ki,

Ye Zamana Geet Unke Gayega.  Ghaib ....

Jab Musalla Pani Pe Bichjayega Bahta Darya Khud Ba Khud Rukjayega,

Dekhkar Hairaan Jahan Hojayega,  Ghaib....

Kabe Ki Chat Se Karenge Wo Zahoor,

Har Taraf Chajaayega Dunya Me Noor,

Sabko Noore Mustafa Yaad Aayega,  Ghaib....

Dushmane Deen Sab Muhki Khayenge,

Sare Jhande Khaak Me Miljayenge,

Bas Alam Abbas Ka Lehrayega,  Ghaib..

Marhaba Ek Roz Aysa Aayega,

Puri Hogi Har Hussaini Ki Duwa,

Rauza e Zahra (sa) Banayajayega,  Ghaib....

Pura Bar Amir Ka Ye Armaan Ho,

Mahdi e Jaan Par Nisawar Jaan Ho,

Mere Bhi Dilko Karaar Aajayega, Ghaib Se Jab Aayenge Mere Imam (afts).



14) Ghame Furkat Ke Aalam Me Ye Jeena Bhi Ye Jeena Kya,

Chale Aao Ya Firr Itna Batado Hai Iraada Kya.

Ye Manzar Kya Ye Raunak Kya Ye Aankhe Kya Nazara Kya,

Tujhe Dekhaa Nahi Jisne Firr Iss Dunya Me Dekha Kya.

Teri Furqat Me Hum Bandagi Beqaif Lagti Hai,

Ye Masjid Kya Namaze Kya Ye Mimbar Kya Ye Sajda Kya.

Mai Wo Bimaar Hu Jiska Ke Bas Wohi Masiha Hai,

Elaje Darde Dil Kar Paayega Aur Koi Masiha Kya.

Muqaddar Se Ghulame Mahdi e Deen Me Hu Mai Shamil,

Koi Kya Chinke Lejaayega Mera Naseeba Kya.

Hami Wo Hai Ke Jiska Wali o Waris Hai Parde Me,

Samajh Rakhkha Hai Iss Dunya Ne Humko Besahara Kya.

Nabi Ka Aakhri Nayeb Jo Aayega Ali Bankar,

Samajh Me Aayega Dunya Ko Dunya Me Hai Achcha Kya.

Imam e Waqt Apne Saath Ye Manzar Bhi Laayega,

Kabhi Bichte Huwe Dekha Hai Paani Pe Musalla Kya.

Ye Aakhir Kya Huwa Maujo Se Kyu Uthne Lage Shole,

Kisi Ne Haal e Dil Likhke Bahaya Hai Areeza Kya.

Nekab e Rukh Ulatdije Yaha Sab Ne Sada Dihai

Yaha Pe Sab Hi Apne Hai Ke Abb Apno Se Parda Kya.

Sawaal  Apno Se Hai Amaal Pe Apne Nazar Daale,

Agar Wo Aayenge Hum Kya Dikhapayenge Chahera Kya.




15) Ek Yahudi Ek Saudi Dono Deen Ke Dushman Hai,

Jab Tak Ye Dono Baaki Hai Deen Me Jhagda Baki Hai.

Lekar Alam Abbas Ka Koi Ghaib Se Aana Waala Hai,

Yane Jung e Karbobala Ka Aakhri Humla Baaki Hai.

Sare Darya Sukh Hi Jaate Tashna Labi Ke Sholo Se,

Sirf Areezo Ka Sadqa Hai Aaj Jo Darya Baki Hai.

Lehrata Hai Surkh Pharayra Tashnadahan Ke Rauze Per,

Surkh Pharayre Ka Matlab Hai Abb Tak Badla Baaki Hai.

Ayat Ayat Zinda Hai Or Nukta Nukta Baki Hai,

NasleAbutalib Ka JabTak Ek Bhi Bachcha Baki Hai.

Harne Wale Iss Parcham Ke Paas Kabhi Aate Hi Nahi,

Ye Wo Alam Hai Jispe Husaini Fataha Ka Sahera Baki Hai.

Baiyat Ko Jo Haath Uthete Uski Nishaani Koi Nahi,

Parcham Me Abbas Ke Lekin Aaj Bhi Panja Baki Hai.



16) Teri Aawari Ka Mausam Bada Khush Gawar Hoga,

Koi Phool phool Hoga Koi Khaar Khaar Hoga.

Jo Hatega Rukh Se Parda To Wo Noor Baarhoga,

To Zamin Ka Zarra Zarra Falak Iftekhar Hoga.

Nahi Ghaib Par Hai Emaan To Samajhle Ay Musalman,

Jo Huwa Hai Syria Me Wahi Baar Baar Hoga.

Ye Fareb Ke Pujari Ye Khums Ke Karobari,

Jo Ho Wasile Jahannum To Zahoor Yaar Hoga.

Meri Umre Shab Nawayi Kare Laakh Bewafai,

Teri Gustuju Rahegi Tera Intezaar Hoga.

Garr Uss Ali Ne Chaha To Pase Zahoor e Shaha,

Yahi Mahfile Sajegi Yahi Ishtehar Hoga.

Jo Chalega Adl Unka To Ye Dekhlegi Dunya,

Kisiki Basegi Basti Koi Bedayar Hoga.

Hai Sitam Ke Jinke Saaye Hai Labo Pe Jinke Haaye,

Jo Bujhe Hai Jinke Chahere Unhi Par Nikhaar Hoga.

Na Husain Se Ulajhna Ay Faqire Shaam Warna,

Na Lahed Kahi Milegi Na Kahi Mazaar Hoga.

Dare Murtuza Ka Sayel Mai Hu Ibne Ashq Mayel,

Mere Fikro Fan Ka Suraj Yuhi Jalwabar Hoga.




17) Rab Ne Mahdi (afts) Ko Kiya Nazil Mahe Shaban Me,

Yu Bhi Roze Shukr Ke Rakhta Hu Mai Ramdhan Me.

Kehrahi Hai Surah E WalAsr Ye Quraan Me,

Jo Nahi Muntazir Mahdi (afts) Ka Hai Nuksaan Me.

Wo Zahoor e Mahdi (as) e Deen Ko Na Manega Kabhi,

Tol Ta Hai Jo Ali (as) Ko Aql Ki Meezan Me.

Munkire Mahdi (afts) Sudhar Ja Dekh Abbhi Waqt Hai,

Tere Jaisi Thi Aqal Haris Bine Noman Me.

Rokle Shabbir(as) ke Matam Se Matamdar Ko,

Dam Nahi Itna Kisi Dunya Ke Turram Khan Me.

Wo Sadaye Midhat e Mahdi (afta) Bhala Kaise Sune,

Jo Aazan Dete Huwe Rakhte Hai Ungli Kaan Me.

Nasb Gazi Ka Alam Kaabe Me Karna Hai Hame,

Kaash Aajaaye Mere Maula Isi Shabaan Me.

Ummati Hote Huwe Aale Mohammed Hogaya,

Kya Izaafa Hoga Abb Salman Ke Irfan Me.

Ched Mat Waiz ise Ye hai Gulame Panjatan,

Dafn Kardega Tujhe Zillat Ke Kabristan Me

Shiakh Ko Allah Ke Ghar Me Bhi Hiadar Naa Mila,

Milgaya Kafir Ko Haidar Hazrate Bhagwan Me.

Aap Aane wale Hai Iss Aas Par Mai Rooh Ko,

Qaid Kar Ke Jee Raha Hu Jism Ke Zindaan Me.




18) Aap Aajaaye Jo Maula (afts) Ham Ye Manzar Dekhle,

Ke Halka e Matam Bana Kaabe Ke Andar Dekhle.

Intekaam e Karbala Ke De Ali Akbar (as) Azaan,

Murtuza (as) Ki Teg Se Udte Huwe Sar Dekhle.

Aap ke Zakir Ki Hai Meraj Mimbar Aap Ka,

Aap Mimbar Parho Hum Meraaj e Mimbar Dekh Le.

Hum Isi Lalach Me Peete Hai Mahe Hubbe Ali (as),

Aabe Kausar Aap Ke Chullu Me Peekar Dekh Le.

Daye Abuzar Baaye Qambar Saamne Salman Ho,

Ek Naamaz Aysi Bhi Ham Kaabe Me Padhkar Dekh Le.

Wo To Hai Gaazi Hai Agar Mai Ban Gaya tera Gulaam,

Meri Thokar Me Jahaan Wale Samandar Dekh Le.

Munkire Eylaan e Khum par Jistarah Kankar Gira,

Munkire Matam Pe Bhi Girte Patthar Dekh Le.




19) Yazidi Nasl Ka Sara Khazana Dubb Jayega,

Chalega Tab Na Koi Bhi Bahana  Dubb Jayega,

Fedak Ke Ghasibo Pe Istarah Sailaab Aayega,

Ke Jisme Kufr Ka Har Ek Gharana Dubb Jaayega,

Ba Hukme Rabb Nikalke Ayega Ghaibat Se Jis Din Wo,

Gule Narjis Ki Khusbu Me Zamana Dubb Jayega,

Yakin Ke Saath likkho Unko Bhejo To Padhenge Wo,

Ye Mat Samjho Ke Kagaz Ka Areeza Dubb Jaayega.

Chalegi Zulfiqar e Haidari Mahdi (afts) Jab Aayenge,

Lahu Me Har Saqifayi Ka Chera Dubb Jayega.

Alam Abbas Ka Lekar Jab Aayenge Mere Maula,

Azadari Ki Kasrat Se Mecca Dubb Jaayega.

Kamano Teer leke Hurmula Asger Se Matt Takraa,

Tabassum Ki Laher Me Harr Nishana Dubb Jayega.

Phirayega Zuban Apni Jo Sukhe Hoto Pe Asger,

Sipaahe Shaam Ka Zillat Se Chehra Dubb Jayega.

Kumail Aayenge Aise Aise Aalim Dekho Mimbar Par,

Suno Ge Gar Ho Unko To Aqida Dubb Jayega.




20) Suraj ko saare raste batata hai khud imam (a.j.f.)

Mashriq hai yeh yahaa'n se nikalna hai tera kaam

thak jaye gar safar mei to phir bhi hai ik maqaam

maghrib hai mere qadmo'n mei karna yehi qayaam

kehde jahaa'n se waan se nikalta hai aftaab

mehdi (a.j.f.) Se puchh puchh ke chalta hai aftaab

kaho ya mehdi (a.j.f.) Kaho ya mehdi (a.j.f.)

Raaz e muqatiyaat ka humraaz aayega

qur'aan ali (a.s.) Ka likha huwa saath layega

shaan e nazool aayato'n ki khud batayega

makki se makki madni se madni milayega

far far sahifa bolega uski janaab mei

woh jaan daal dega khudda ki kitaab mein

kaho ya mehdi (a.j.f.) Kaho ya mehdi (a.j.f.)




21) Makeen e hijaab e wahdat

ek rang hai, ek roop hai, jo zain nazar hai

pheli hui ek raat k daman mai sehar hai

kehta hai mere dil se andheron ka ujala

shayad k yehi pardon k sultaan ka ghr hai

har shb mai ye phela huwa purnoor sawera

bus mehdi e doraan k chehray ka asr hai

ye chand ki aaghosh mai liptay huwe taaray

zehra k haseen chand ka purnoor nagar hai

aflaak ka seena hai teri sair ka markaz

badal tu bata mera sultaan kidhar hai??

Ye mehdi e doraan k danton ki chamak hai

duniya ye samjhti hai k shayad ye qamar hai

hum khak hain humen khak nazar aynge mola

ankhon mai ho gr noor to aata wo nazar hai

ye looh o qalam, arsh o adan, sidrah o kursi

wallah sabhi kuch mere mola ka hunar hai




22) Al'ajal ya waris e dastar e rasool ajtf

hujjat se ye duniya qayaam hai qayaam se zamana qayaam hai

dil hijr mai jal kar khaak hua par dil ki tamana qayam hai

kis pardah nasheen ny duniya mai khud pardah uthatya hai apna

kotaahi dast e showq hi tak mashooq ka pardah qayaam hai

ankhon mai wahi hai dil mai wahi rastey mai mehfil mai wahi

khilwat mai wahi mehfil mai wahi phir parde ka parde qayaam hai

ghaflat se musalmano chownko kuch ghour karo socho samjho

duniya se shah e laulaak gaye kis k liye duniya qayaam hai

quran nahi etrat asws se juda farma gaye hen mahboob e khuda

jo toote na roze mahsar tak who dono mai rishta qayaam hai

tum pardah utha do gey jis din duniya ka barhaam khul jay ga

haq ye hai tumharay pardeh se ik ik pardah qayam hai

inkar jinhen hai ghabeit se ae qais who imam kho bethay

hum ghaib pe imaan rahkte haan imaan hamare qayaam hai.




23) Moujizaa ek ye bhi hogaa Aap ke aane ke baad,

Dhup ban jaaye gi saayaa Aap ke aane ke baad,

Apne saaye se darenge aaj ke shimro yazid,

Aysa badle ga nazara AAP k........

Khud hi hojaaunga haazir Aap ke dar baar me,

mai na lunga istekhaara AAP k...

muskuraya tha fakat tera rajab ko aur phir,

Muskuraa uththega kaaba AAP K......

wo jo kehte hai tamasha matame shabbir ko,

khud banenge wo tamasha AAP k......

Husn per yusuf ke jab wo aaj tak hairaan hai,

Marhi jaaye gi zulekhaa AAP k....

Kaun rokega bhala taamir karne se hame,

Fatema Zehra (s) ka rouza AAP k......

Jo gade murde hai wo kabr se ukhade jaayenge,

Faisla hogaa Fidak ka AAP k.......

kar raha hu mai tabarra me takayya aaj kal,

Chod dunga mai takayya AAP K.......

Aap ke aane se pehle Maut thi ye zindagi,

Zindagi khud hogi zinda AAP K......




24) Khuda Ka Noor Khudayi Ki Shaan Hai Mahdi,

Ye Qainat Jasad Hai To Jaan Hai Mahdi,

Zamana Dekhega Kudrat Ki Aan Hai Mahdi,

Guzar Gayi Kayi Sadya Jawan Hai Mahdi.

Udhar Wujud Idhar Mumqenat Ki Hadd Hai,

Ye Baat Yaad Rahe Darmiyan Hai Mahdi.

Bashr Ki Fiqr Kaha Raaze Kibriyayi Kaha,

Na Sochiye Ke Bayide Guman Hai Mahdi.

Hai Qaaf Or Nun Ke Mabain Teri Zaate Khafeef,

Jabhi To Malike Kauno Makan Hai Mahdi.

Yaha Pe Sher Hiran Paani Saath Peete Hai,

Ye Mulk Wo Hai Jahan Hukmuran Hai Mahdi.

Yaha Pe Aap Ko Hai Kitni Baar Dekha Gaya,

Mere Bhi Dil Me Ek Jamkaran Hai Mahdi.

Suna Hai Ayenge Abbas Bhi Saath Tere,

Alam Husain Ka Tera Nishan Hai Mahdi.

Khud Aasman Hi Karde Wujud E Arsh Fanah,

Khuda Ka Shukr Karo Dariyaan Hai Mahdi.

Ye Kashti Adl Ki Paayegi Bilyaki Sahil,

Hai Ye Yakin Hame Baghban Hai Mahdi.

Jo Chahiye Areeze Me Likh Ke Bhejo Unhe,

Nizame Khalq Ki Thame Enaan Hai Mahdi.

Use Nasib Ho Deedar Aapka Maula,

Ye Amber Aap Ka Ek Madha Khwan Hai Mahdi.




25) Nazar gum hai nazaaro ko badi taklif hoti hai,

Bagaair unke baharo ko badi taklif hoti hai,

Ilaahi bhejde parde se dawaye saluni ko,

ke Quraan ke paro ko badi taklif hoti hai,

Sitaro ki trah hai kul ke kul ashaabe paygamber,

Ye sun sun ke sitaaro ko badi taklif hoti hai ,

Nabi kehte the ye akser ke akser zikre Haider se,

Mere kuch jaa nisaaro ko badi taklif hoti hai,

Tabarra bhej te hai hum jabbhi Aale umayya pe,

To unke rishte daaro ko badi taklif hoti hai.




26) Khuda ka fazl, bashar par tamam baaqi hai

Naam Islaam ka, parcham, Imaam baaqi hai

Wo royenge jo muharram me khoob hastey hain

k shah ke (a) khoo(n) ka abhi Inteqaam baaqi hai

Abhi to Zaalimo ka qatl-e-aam baaqi hai

Jaha Ali huwey paida, makaan baaqi hai

Imam-e-Asr karengey zuhoor kaabey me

Bidat k khaatmey ka ab bhi kaam baaqi hai

Har ek nabi ka, Mohammad ka naam baaqi

shariyato ka zara ehteraam baaqi hai

chhupaya lakh garaqadr itrato ko magar

Abhi bhi bolta aakhir Quraan baaqi hai

Namaz, Roza bhi baaqi Azaan baaqi hai

tufail-e-Panjetan, saara jahaan baaqi hai

Zuhoor hoga kab unka, jo merey haadi hai

is intezaar me hi subh-o-shaam baaqi hai

Bhaagney waley Bhagoro ka naam baaqi hai

Ali hi sab ke hain maula kalaam baaqi hai

Ham intezaar me uskey hain Jissey duniya me

Khuda ka adl bharaa intezaam baaqi hai




27) Dedaar Kara do Ay Yousof-e-Zahra(A.S)

Mujhye Dedaar Kara do !

Tarpaon na Pardah-e-Gaibat Ko Utha do !

Forqat Main Kare Wqt Guzarte Hain Abh A Jao!

Har Roz Nay Fitne Ubharte Hain abh A Jao!

Ankhon main hain jo khowab bikharte hain abh a jao!

hum Tashna-e-Dedar hain Jalwa tu Dekha do !

Tarpao na Pardah-e-Gaibat ko Utha Do!




28) Aey badshah e aalam e ghaibat nazar bhi aa

Ghulam karain teri nyabat nazar bhi aa

hai intehaey karb o musibat nazar bhi aa

har momin e dil soz ki chahat nazar bhi aa

kam aqli o tang nazri hai had say barh gai

har deed ko ata kar wusa't nazar bhi aa

karbal kay shaheedon ka lenay ko inteqam

aey pakar e josh e shujaat nazar bhi aa

kehtay thay rahiyan e muhabbat shab e ashur

aey aftab e roz e shahadat nazar bhi aa

rukh wo hai k khud husn bhi nazan hua karay

jis ki k zyarat hai ibadat nazar bhi aa

ehl e zameer ehl e jor say hain quwwat azma

ab toa baraey wusa'at e jurrat nazar bhi aa

ma'shuq k deedar ki chahat main hain zinda

hai had nazar bhi kisi sa'at nazar bhi aa

tabeer jis ki qom ko yaksar karay tabdeel

aey wo khwab e tark e ma'asiat nazar bhi aa

sar par hamesha saaiban e yaar hai mojood

phir bhi dil e tanha ki hai hasrat nazar bhi aa



29) Hata ker Ghaib ka purdah meray Maula chale aao,

Yeh aankhein muntazir hai abb Khudara tum chalay aao.

Ik muddat ho gayii tum chupke bethay purday ke peechay,

Ziyarat abb tau kerwa do meray Maula chalay aao.

Mein wasta deiti huN tujh ko Shaheed e Kerbala ka aaj,

Imam e tum Zamana ho chalay aao chalay aao,

Najane kab khatam hogi tumhari ghaib kii muddat,

Khatam hoti hai muddat tum Khudara abb chalaye aao.

Nahii kuch bharosa iss dil e nashad ka Maula,

Sahara hum ko deiney ko meray Maula chalay aao.



30) Aey Imam e Zaman aap ka muntazir hai yeh jahan

Aey waqt ke Hussain ab ajao ek baar

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Jalwa karain jahan main Imam e Falak Wiqar

Chamke ufaq pa phool ke phir noor e kirdigar

Hojae poora teen sou tera (313) ka ab shumar

Sadyon ke baad khatm ho Maula ka intezar

Aaen nikal ke parda e ghaibat se Zulfiqar

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Ghaibat ka parda unke uthane ke baad bhi

Ilm o amal se khud ko sajane ke baad bhi

Maula ka saath dena hai aane ke baad bhi

Jaana nahi charagh bujhane ke baad bhi

Naasir hai kaun kaun ye hona hai phir shumar

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Hai maqsad e hayat yahi khaas o aam ka

Atka hua hai seene mai dam es ghulam ka

Poora ho khwaab nusrat e shah e anaam ka

Bas ek bar dekh loon chehra Imam ka

Sadyon se hai Imam e Zamana ka intezar

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Bas ek bar Deen e Khuda ko bachaiye

Bas ek baar amn o aman sath laaiye

Bas ek baar pardae ghaibat uthaiye

Daadi ka roza karta hai faryaad aaiye

Phir Jannatul Baqi mai aajaegi bahaar

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Baba ab apne zakhm ko dhoti nahi hoon main

Noke mizhan pe ashq piroti nahi hoon main

Durron se khauf aata hai roti nahi hoon main

Raaton ko neend aati hai soti nahi hoon main

Zindaan se Sakina ko lejao ek baar

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Bazar e Shaam mai hai masaeb ki inteha

Phupiyon ke sar khule hain tou Aabid ka sar jhuka

Hojaen tai ye saathwe dar ka bhi marhala

Namoose Mustafa ko jo mil jae ek rida

Reh jae Maan ki chadar e tatheer ka wafa

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar

Deen par amal, tameez halal o haram ho

Jazba jihad e haq ka zamane mai aam ho

Eesar ka hai shauq tou phir aisa kaam ho

Bas ek bar Lashkar e Mehdi mai naam ho

Phir eske baad mushkilain aaen ????

Hojae khatm Fatima Zahra ka intezar




31) YE KISKI AAMAD PE AAJ KHUSHIYAAN MANAA RAHEY HAIN ZAMAANE WAALEY

YEHI TO HAIN DEEN-E-HAQ KA BIGRHA HUWA MUQADDAR BANAANE WAALEY

SUNO SUNO GHAUR SE SUNO TO, SADA YE KAABE SE AA RAHI HAI

IMAM-E-MAHDI HAIN AANE WALE, IMAM MEHDI HAIN AANE WAALEY

HAR IK SITAM KA JAWAAB HOGA, FIDAQ KA SAARA HISAB HOGA

KE SAAHIB-E-ZULFIQAR AB HAI NAQAAB-E-GHAYBAT UTHANE WAALEY

DIYE JALAAO SAJAAO RAASTE, KHUSHI KE GUN GUN GUNAAO LOGON

KE AA RAHEY HAIN JAHAAN MEIN KAABE KO PHIR SE KAABA BANAANE WAALEY

NA KOI RANJ INKE PAAS AAYE, HAR EK KHUSHI INKO RAAS AAYE

MERI DUA HAI RAHEY SALAAMAT YE JASHN-E-QAIM MANAANE WAALEY

HUSAIN IBNE ALI NE RANN MEIN, JAWAAB AISA DIYA HAI UNKO

UTHA NA PAAYE SARON KO AB TAK SAWAALE BAYYAT UTHAANE WAALEY

FALAK SE BARSAAT-E-SARD HOGI, ZAMEEN BHI UNPE TANG HOGI

KE CHHUP NA PAAYENGE AB KAHIN BHI BATUL KA DIL DUKHANE WAALEY

RASUL BHI MUNTAZIR TERE BATUL BHI TERI MUNTAZIR HAI

MAIN MARTABA TERA KYA BATAAUN, WILA KE MEHFIL MEIN AANE WAALEY

CHALE YE KEHTE HUWE FARISHTE BAANI-E-MEHFIL KE GHAR KE JAANIB

RAHEY SALAAMAT HAMESHA YA RAB HUMEIN ZAMEEN PAR BULAANE WAALEY

USTAAD SIBT E JAFAR




32) Haal e gham sunaenge jab Imam aayenge

zakhm Dil dikhaenge Jab Imam Ayenge.

Mehfil e jamaaenge Jab Imam Ayenge

 Bamodar sajaenge Jab Imam Ayenge

Jashn Hum manaenge Jab Imam Ayenge.

Zakhm hai abhi taaza maqqa aur madeena ke

Sham o kufa karbobala hum bhula nahi sakte

Az sakheefa taai dam ghair se nahi pohche

Jitne dukh uthae hai humne kalma goyo se

 Ek ek chukaenge Jab Imam Ayenge.

Shaq hai jinko allah ke adl aur adaalat par

Mansab e nubuwat par saiyada ki ismat par

Murtuza ki ahmed se mukhtasir niyabat par

Jinko shaq hai bara par baarwey ki ghaibat par

Sab hi maar khaenge Jab Imam Ayenge.

Naam par sahaba ke kaam kafiro jaise

Naam par sahaba ke kaam fasiqo jaise

Naam par sahaba ke kaam munkiro jaise

Naam par sahaba ke kaam mushriqo jaise

 Sab hi muh churaenge Jab Imam Ayenge.

Dawa e mohabbat jo subho shaam karte hai

Unke dushman o se bhi raao rasm rakhte hai

Khums bhi nahi dete gheebatei bhi karte hai

Momino se bhi dil me bughz o keena rakhte hai

Kistarah nibhaenge Jab Imam Ayenge.

Jhut bolne ko hum mashwala samajhte hai

Baat baat par bejaa'n maslehat barakhte hai

Aur munafiqat ko bhi maslehat hi kehte hai

Lahmo laab ka saamaa'n hum gharo me rakhte hai

Kistarah chhupaenge Jab Imam Ayenge.

Nemate shariyat ko bojh hi samajhte hai

Lahmo laab hi ko hum zindagi samajte hai

Saahobaan e zar ko bada aadmi samajhte hai

Tang dast momin ko bas yuhi samajhte hai

Kya maqaam paenge Jab Imam Ayenge.

Ye hamare mukro riya shatirana aiyari

Kya hamare saamo salaat aur ye h azadari

Kitna ghaik mohsin me kis kadar riyakari

Kya imaam ki khatir hum ne ki hai taiyari

 Kaise muh dikhaenge. Jab Imam Ayenge.

Al ajal jo kehte hai agae to kya hoga

 Kya hai apni taiyari pesh hum karenge kya

Sibt e jafar' apna to kul yahi hai sarmaya

Humd o naat o soz o salaam aur manqabat nauha

Ham yahi sunaenge Jab Imam Ayenge.




33) Zindagi Qayam Ki Middhat Me Basar Hone To Do,

Jannatul Firdaous Me Mere Bhi Ghar Hone To Do.

Ek Naya Darr Phir Se Kabe Me Banega Dekhna,

Aamade Qayam Ka Kabe Pe Asar Hone To Do.

Ibne Maryam Hukme Rabb Se Padhne Aayenge Namaz,

Bas Unhe Mahdi Ke Aane Ki Khabar Hone To Do.

Meri Qismat Jagmagaye Gi Sitaaron Ki Tarah,

Kham Zamine Karbala Pe Mera Sar Hone To Do.

Aayega Tum Ko Nazar Be Noor Kohe Noor Bhi,

Mere Inn Ashqe Azaa To Tum Gohar Hone To Do.

Milhi Jaayega Mujhe Mere Areeze Ka Jawab,

Aaj Darya Me Areeze Ka Safar Hone To Do.

Karbala Jaaye Ga Phir Khusnud Usko Hai Yakin,

Hazrat e Abbas Ki Uspar Nazar Hone To Do.

Hashr Me Daman Ibadat Se Bhara Hoga Mera,

Qatile Zahra Pe Lanat Umr Bhar Hone To Do.




34) Sitara Uske Muqaddar Ka Jagmagata Hai,

Imam e Asr Se Jo Shaqsh Lauwh  Lagata Hai.

Areeza Iss Liye Likhte Hai Tum Ko Ay Maula,

Ke Rabeta Bade Logo Se Rakhakha Jata Hai.

Imam e Asr Ki Tayid Jisko Haasil Hai,

Zamin e Madhha Par Khaime Wahi Lagata Hai.

Hijaab e Ghaib Me Wo 12 Wa Mohammad Hai,

Gamo Ki Rukn Me Masarrat Ke Ghul Khilaata Hai.

Saher Ke Waqt Suna Hai Ke Aap Aayenge,

Ye Intezaar Hame Raat Bhar Jagata Hai.

Bahati Rahti Hai Aansun Firak Me Shamme,

Ye Intezaar Meri Zindagi Badhata Hai.

Imam e Asr Se Ulfat Usee Ko Hai Arif,

Jo Apni Palko Pe Ashqe Azaa Sajata Hai.





35) Khudaya Muqaddar Hamara Bana De,

Imam e Zamana (as) Ka Aashik Bana De.

Karu Zikr Zahra (sa) Ka Tahir Banu Mai,

Imam e Zamana Ka Nasir Banu Mai.

Meri Maa Ki Koshis Ka Usko Sila De,

Imam e Zamana Ka Aashik Bana De.

Ataa Kar Jawano Ko Akbar (as) Ki Himmat,

Mile Mere Bachcho Ko Asger (as) Ki Himmat,

Khudaya Unhe Muskurana Sikha De,

Imam e Zamana...

Har Ek Dilko Amze Husaini Ataa Ho,

Har Ek Jaan Ko Joshe Khumaini Ataa Ho.

Ghutan Ke Fiza Me Taaza Hawa De,

Imam e Zamana..

Zamane Ki Chaalo Se Ghabraa Gaya Hu,

Gunaho Ki Dunya Se Tangg Aagaya Hu,

Gunaho Ke Zinda Se Mujh Ko Chudaa De,

Imam e Zamana..

Meri Maa Ki Khwahish Khudaye Husaini,

Hai Ghutti Me Meri Azaaye Husaini,

Azaa Par Mai Jaan Du Mujhe Hausal De,

Imam e Zamana..

Amal Se Hi Apne Gawahi Likhu Mai,

Imam e Zamaan Ka Sipaahi Banu Mai,

Shahadat E Raste Pe Chalna Sikhade,

Imam e Zamana..





36) CHAWDA SADYAA BEET GAYI, SHABBIR KA CHARCHA BAAKI HAI

QURAN AB TAK BOK RAHAA HAI KHAANAE KAABA BAAKI HAI

KARBOBALAA KA PAAKE SAHARA GUMBADE KHIZRA BAAKI HAI

SAARAY JANDAY TOOT CHUKE HAI SABZ PHARAIRAA BAAKI HAI

IN CHAWDA SADIYON KE ANDER, CHAWDA SO TOOFAAN UTHE

UMAWI HAR KAARAIN DORE HAI, ABBASI SULTAAN UTHE

LAAKHON HOBUL SINO ME CHUPAAYE, HAATHON PAR QURAN UTHE

JIN KI BUNYAADON ME LAHU THA, QASR WO AALISHAAN UTHE

SAB DEEWAARE BAITH GAYI, MAZLOOM KA ROZA BAAQI HAI

TEGH-O-TABAR NE RASTAA ROKA, FOJON KI YALGHAAR HUWI

LAAL-O-GOHAR NE DAAM LAGAAYI, SIKKON KI JHANKAAR HUWI

LAMBI KABAAON WAALE UTHE, FATWON KI BHARMAAR HUWI

 DEEDA-E-IBRAT TU HI BATAA, YE JEET HUWI YA HAAR HUWI

SAJDE ME SAR KAAT LIYA THA, LEKIN SAJDAA BAAKI HAI

KYA JAANE KIN KIN QOMO NE, DERAI DAALE DARYA PAR

AAI AA KAR LOT GAYE, SAB GORE KAALE DARYA PAR

AB BHI MILENGE TOOTE HUWE, KUCH KHANJAR BHAALE DARYA PAR

QABZA KAREN AAYE THE SAB TAAQAT WAALE DARYA PAR

SAB KA QABZA KHATM HUWA ABBAS KA QABZA BAQI HAI

PYAASO KE INKAAR KA KHANJAR, GARDAN PAR KUCH AISA CHALAA

LAAKHON FITNE UTHE LEKIN, PHIR SAR BAYYAT UTH NA SAKAA

JAB BHI KISI KE DIL ME TAMANNAA, BAYAT KI UTH TI HE ZARAA

TO KEHTA HAI ABBAS KA PARCHAM, FIKR-E-YAZEEDI HOSH ME AA

JISNE TUJE MAARA THA TAMAACHA, AB BHI WO PANJAA BAAKI HAI

DEENE NABI KI KHOON KI HARAARAT SEENA-E-AALAM KI DHARKAN

AARZOO-E-ZEHRA AUR PAYAMBAR JAANE ALI AUR ROOHE HASAN

BAITHAA HUWA HAI PARDE ME TALWAAR LIYE IK QALLAA SHIKAN

TAAKAT PAR ITRAANA KAISA DEENE ILAAHI KE DUSHMAN                                 

BADR-O-OHAD SE BHAAGNE WAALO, AAKHRI HAMLAA BAAKI HAI




37) MOJIZA EK YE BHI HOGA, AAP KE AANE KE BAAD

MOJIZA EK YE BHI HOGA, AAP KE AANE KE BAAD

DHUP BANJAYEGI SAAYA, AAP KE AANE KE BAAD

APNE SAAYE SE DARENGE AAJ KE SHIMRO YAZID

AISA BADLEGA NAZAARA, AAPKE KE AANE KE BAAD

KHUD HI HOJAAUNGA HAAZIR AAP KE DARBAAR ME

ME NA LUNGA ISTIKHAARA AAPKE AANE KE BAAD

WO NAMAAZI, WO NUSAIRI OR WO HAI MAATAMI

KHATM HOGA BAS YE JAGRA AAPKE AANE KE BAAD

MUSKURA YA THA FAKAT TERA RAJAB KO AUR PHIR

MUSKURA UTHEGA KAABAH AAPKE AANE KE BAAD

WO JO KEHTE HAI TAMAASHA, MAATAME SHABBIR KO

KHUD BANENGE WO TAMASHA AAPKE AANE KE BAAD

HUSN PAR YUSUF KE JAB WO, AAJ TAK HERAN HAY

MARHI JAAYEGI ZULEKHA AAPKE AANE KE BAAD

AAP KE AANE SE PEHLE, MOT HAI YE ZINDAGI

ZINDAGI KHUD HOGI ZINDA AAPKE AANE KE BAAD

SOCHTA HU LUTF KITNA AAYEGA KAABE NE JAB

MAATAME SHABBIR HOGA AAPKE AANE KE BAAD

KON ROKEGA BHALA, TAAMIR KARNE SE HAME

FATEMA ZAHRA KA ROZA AAPKE AANE KE BAAD

KARRAHU ME TABARRE ME TAQAYYA AAJ KAL

CHORDUNGA ME TAQAYYA AAPKE AANE KE BAAD

KITNI BATEIN MADHE HAIDER KI ABHI SEENE ME HAI

MAI JINHE ZAHIR KARUNGA AAPKE AANE KE BAAD

HUM TO KYA HAI AAPKE DUSHMAN SE KHUD LEGI ZAMEEN

AAPKE JAANE KA BADLA AAPKE AANE KE BAAD





38) DUA KARO KE ZUHOORE IMAM HOJAYE

    YEH ROZ ROZ KA QISSA TAMAAM HOJAYE

ALI KI TEGH KE JOHAR KHULE ZAMANE PER

TAMAAM DUNYA HO  EK TEGH KE NISHANE PER

HO SAARI KHALQE KHUDA MOWT KE DAHAANE PER

JO GHAYB ME HAI WHO ZAAHIR IMAM HOJAYE 

SINA KI NOWK PA UTHEGA KALAYE KHAYBAR

KAFAN HAWA KA MILEGA NA KHAAK KA BISTAR

AJAL CHABATI PHIRE LAASHE MARHABO ANTAR

JO ZULFIQAARE ALI BE NIYAAM HOJAYE 

WO JIN KE DAM SE HAI QAYEM IMAME DEEN E MUBEEN

WHO JIN KE ROZE SE ROSHAN HAI SAMARA KI ZAMEEN

AB UNKE ROZE KI JAANIB BARHA HAI DUSHMANE DEEN

IS ABARAHA KA BHI JEENA HARAM HOJAYE 

KAREGI MOWJE HAWA ZULM KO RASAN BASTA

ZAMEEN BAND KAREGI FARAAR KA RASTA

WOH BARSE AAG JO DARBARION KO HO SAKTA

AGAR ZABAN FIDAK HUM KALAAM HOJAYE 

HAQEEQI SOORATE ISLAAM BHI AYAAN HOGI

NIGAHE ADL ZAMANE KI PASBAAN HOGI

PHIR EK KALMA YAHAAN EK HI AZAAN HOGI

 PAYE NAMAZ JO HAZIR IMAM HOJAYE

RAHE JO PYAASE LABE JOO UNHE ABAD KA SALAM

QALAM JO HOGAYE BAZU UNHE ABAD KA SALAM

JO UNKE GHAM ME HAI AANSU UNHE ABAD KA SALAM

KHUDA KARE KE SHUROO INTEKAAM HOJAYE





39) MADAD KIJIYE YA IMAME ZAMANA

HATADIJE GHAIBAT KAA PARDAA KHUDARAA PARDA KHUDARA

MADAD KIJIYE YA IMAME ZAMANA 

BARI AAFATEN HEIN ZAMANE PE MAULA

PARESHAAN SHIA KAHAAN JAAYEN MAULA

PUKARAA TUMHE JAB HUWAA DIL JO MUZTAR

BALAAON NE GERA NAHI KOI SAATHI

ANDHERAA HAY HAR SU UDHAASI HAY CHAAYI

TUMHAARE QADAM SE HO DUNYAA MUNAWAR

BHAWAR MEN HAY KASHTI

BACHAANE KO AAWO GHAME ZINDAGI SE

CHURAANE KO AAWO MOHAMMED KI JAAN

HO SAAFINE KE LANGAR

GUNEHGAAR HEIN AUR SHARMINDA MAULA

MAGAR AAP PER HI HAY HUMKO BAROSAA

KARO REHBARI AB BARAAYE MUHAMMED

TAMANNA YE DIL ME BOHOT KUCH HAI MERI

HAI UMMID HOGI BOHOT JALD PURI

MERE HAQ ME KARDIJE JO KUCH HO BEHTAR

HAME ILM OR MA’RIFAT AB ATAA HO

SADAAQAT BASIRAT HIDAAYAT ATAA HO

BACHAALENA SARWAR HAME ROZE MEHSHAR 

HAME KERBALA MEIN HO JAANAA MAYASSAR

MADAD KIJO MAULAA HAI DIL ME YE HASRAT

ZARIHE MUQADDAS SE HAY AANKHEN LAGAANAA




40) ALLAH MUJHE LASHKAR E MEHDI SE MILADE

AISA NA HO AAKA MERA HALMIN KI SADA DE

NAZRON KO MERI LAIK-E-DEEDAR BANA DE

PARDA JO PARA HAI MERI ANKHON SE UTHA DE

HADI YE ZAMAA KAA RUKHE PURNOOR DIKADHE

HAR AIK NISHA KUFR ZALALAT KA MITA DU

HAR RAAH MAIN AIK DEEP SADAKAT KA JALA DU

IS KHAIR E AMAL KI MUJHE TOUFEEK KHUDA DE

LIKH DE MERI TAKDEER MAIN MOLA KI GHULAMI

HAASIL MUJHE HOJAYE YEH EZAZ E DAWAMI

HAR KWAHISHE E DUNIYA KO MERE DIL SE MITA DE

SHAMIL RAHE LEHJE MAIN SADA HARFE SADAKAT

SHAMSHEER TALAY MAIN BHI KARU KOI IBADAT A

Y KASH MUJHE FATIMA ZAHRA BHI DUA DE

SHABBIR KE ANSAR MAIN SHAMIL HO MERA NAAM

JO HURR KA HO MEHSHAR MAIN WOHI HO

MERA ANJAAM KHAKE KADAME HAZRATE SHABBIR BANADE

DEKHU NA AGAR UTHTE HUWE PARDA E GHAIBATH

AYE JO MERE BAAD YAHAN HAZRAT E HUJAT

TURBAT MAIN ABAD KOI MERA SHANA HILA DE

ALLAH MUJHE LASHKAR E MEHDI SE MILADE

AISA NA HO AAKA MERA HALMIN KI SADA DE

NAZRON KO MERI LAIK-E-DEEDAR BANA DE

PARDA JO PARA HAI MERI ANKHON SE UTHA DE

HADI YE ZAMAA KAA RUKHE PURNOOR DIKADHE




41) Kash me mehdi e dora'n ka zamana dekhun...

Barhwein hyder e karar ka chehra dekhun...

Phir azan e ali akbar se ho aghaz e sehar..

Pichay mehdi kay me issa a.s ka musalah dekhun.

Parcham e hazrat e abbas ko lehratay hue.

Mere malik, mere khaliq, sar e kabah dekhun.

Sehan e kabah se nikalta hai juloos e ashoor

Apnay is khuwab ko tabeer me dhalta dekhun...

Samne maula kay jaa kar kahun dil ki hajat,

Kab talak darya me behta yeh areeza dekhun...

Arsalan azmi, karta hai karim ek dua,

Turbat e fatima zahra pe me roza dekhun...




42) YA IMAME ZAMAANA KARAM KIJIYE

NOOR ANKHON KA MERI BARHA DIJIYE

GHAIR KE DAR PE KYU JAAYE FARYAD KO

AAP SARPAR SALAMAT HAI IMDAAD KO

MAANGE KA SALIKA BATA DIJIYE

JIS GHARI AAP KI DEED HO JAAYEGI,

DAR HAQEEQAT MERI EIID HOJAYEGI

ZINDAGI MEIN WOH DIN BHI DIKHADIJIYE

SAR UTHAYA SIPAHE YAZIDI NE PHIR

HUM HAI EHLE WILA AAP KE MUNTAZIR

AAKE NASLE YAZIDI MITADIJIYE

AAP KI MADHA KAISE KAREIN YAA IMAM,

YEH HAI NABIYON KA SHEWA KHUDA KA HAI NAAAM

HUM KO AAADABE MIDHAT SIKHADIJIYE

HUR GHARI AAP YUN TO MERE DIL ME HAI,

AUR YAQEEN HAI KE MAWJUD MEHFIL MEIN HAI

SUB KI NAZRON SE PARDA HATA DIJIYE





43) SHIDDATE DARD KO YAKSAR NAHI REHNE DETAA

SHIDDATE DARD KO YAKSAR NAHI REHNE DETAA

MERA MAWLA MUJE MUZTAR NAHI REHNE DETAA

MAIN BHI ZINDAAN HUN ARIZA BHI MERA ZINDAAN HAI

MURDA CHEEZO KO SAMANDAR NAHI REHNE DETAA

KITNE MAASOOMO KO AANE KI KHABAR LAAYA HAI

MAAHE SHABAAN MUJE GHAR PAR NAHI REHNE DETAA

AA BHI JAAO AY GHULE NARJISE KHATOON KE AB

HIJR SAANSOO KO BARAABAR NAHI REHNE DETA

DEHR NE NAARA-E-HAIDAR WO KSAUTI HAI KE

JO BAD NASAB KO KABHI CCHUP KAR NAHI REHNE DETA.





44) Marhab hai phir se jaaga, kahaan waqt ka Ali hai,

Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.

Zaair pe, namazi pe, taari hai khauf Maula,

Rozon pe, masjidon pe, hota hai roz hamla,

Ab jald aao Maula, mushkil ki ye ghadi hai,

Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.

Shiyyat pe, aur Shiyon pe, har su se musibat hai,

Khaamosh Musalmaan hai, isme bhi maslehat hai,

Taaqat ki numaaish hai, paise ki bandagi hai,

Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.

Hoti hai sazaa hum ko, jab ke khataa nahin hai,

Sau Zakhm hai dilon par, koi dawaa nahin hai,

Har Zakhm ki dawaa to, Maula bas aap hi hai,

Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.

Hai Sheh ki azaadari, baatil ke nishaane par,

Fatwon ki aandhiyaan hai, Zehra ke gharaane par,

Mazloom e Karbala ki, mazloomi aur badhi hai,

Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.

Taakhir aane mein ho, aisa Khuda kare na,

Mumkin hai meri saansein, tab tak wafa kare na,

Kya maut ka bharosa, jo saamne khadi hai,

Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.

Gar maut mujhko aaye, ehsaan itna karna,

Aye fakhr e Masih mujhko, do pal ko zinda karna,

Ziyarat Salim kar le, ummeed aakhri hai,

Ab bhej de Khudaara, har simt be-kali hai.





45) AL AJAL YA IMAM AL AJAL

AL AJAL YA IMAM AL AJAL

YA SAHIB UZ ZAMAAN AL AMAN

AL AMAAN AL AMAAN ALMAAN

HARAM PY NAZREIN JAMAYE RAKHNA

HARAM PY NAZREIN JAMAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

YAQEE KI SHAMA JALAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

HARAM PY NAZREIN JAMAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

KABHI NAHI MASLIHAT PASANDI ALI WALI KI WILA PY KARNA

BINA ALI KY NAHI HAI KUCH BHI ALI PY JEENA ALI PY MARNA

AQEEDA APNA BACHAYE RAKHNA - AQEEDA APNA BACHAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

HARAM PY NAZREIN JAMAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

MUHABATEIN MURTAZA KI QEEMAT HAI KAM SY KAM

JAN SY GUZARNA HAI JAN KY BADLY UNKA MILNA

TOH ZINDAGI KYUN TAWEEL KARNA

HATHELI PY SIR UTHAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

HARAM PY NAZREIN JAMAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

KISI TARUF KI KIYA ZAROORAT HO KON TUM JANLEGA TUMKO

HAMARE SAHIB KA HAR SIPAHI ISHI SY PEHCHAN LYGA TUMKO

ALAM GHARO PY SAJAYE RAKHNA ~ ALAM GHARO PY SAJAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

HARAM PY NAZREIN JAMAYE RAKHNA

CHALO CHALO MATAMI SAFO MEIN

WOH HUMSY MILNY KO ARAHY HAIN

KAHIN NAHI BUS YAHIN MILUGA PATA WOH APNA BATA RAHY HAIN

AZA KI MASNAD BICHAYE RAKHNA ~ AZA KI MASNAD BICHAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

HARAM PY NAZREIN JAMAYE RAKHNA

HAMARA DIL BUT GHADA NAHI HAI KYUN HAR KISI KO YAHAN BASAYE

YE HAI KHAZINA MARIFAT KA CHALO RAZA HAM ISEY BACHAYE

UNHI KI YAADEIN BASAYE RAKHNA

WOH AYENGY DIL LAGAYE RAKHNA

HARAM PY NAZREIN JAMAYE RAKHNA.





46) Ali (as) Ka Laal Zamaane Mein Aane Wala Hai

Naseeb dono jahaan ka jagaane waala hai

Ali ka laal zamaane mein aane waala hai

Khud apni aql se fatwe lagane waalo ko

Ghadeer e khum ki tarha bhool jaane waalo ko

Sabaq wilaa e ali ka parhane waala hai

Ali ka laal zamaane mein aane waala hai

Hamein jo yusuf e zahra ki deed hojae

Qasam khuda ki malango ki eid hojae

Suna hai woh rukh e roshan dikhaane waala hai

Ali ka laal zamaane mein aane waala hai

Jo kibriya ki hai mojiz numaai ka shahkar

Woh hoke aaega jis waqt baadalon pe sawaar

Musalla paani pe apna bichaane waala hai

Ali ka laal zamaane mein aane waala hai

Isi janaab ko kehte hai yaadgaar e ali

Woh leke sath mein aaega zulfiqar e ali

Hunain khaibar o khandak dikhaane waala hai

Ali ka laal zamaane mein aane waala hai

Khuda ke ghar mein bichaenge sheh ka farshe gham

Bapa karenge wahan pe hussain ka matam

Alam woh kaabe ki chat pe lagaane waala hai

Ali ka laal zamaane mein aane waala hai

Yeh sab hunar jo meri rooh mein samaaya hai

Hamare sarr pe kisi meherbaan ka saya hai

”Raza” koi to hamein bhi sikhaane waala hai

Ali ka laal zamaane mein aane waala hai.





47) Ya imam-e-zaman,Ya imam-e-zaman

Qabr-e-Zehra sada de rahi hai tumhain

Mere bete zarurat hai teri hamain

Hoga tameer kab qabar per saiban

Muntazir ik zamana hai sarkar ka

Kab sharaf ap bakhshe ge deedar ka

Ab to ajaiye shahe kon-o-makan

Adl-o-insaf ka khoon hone laga

Deen kay naam per ab hai zulm-o-jafa

Aiye ap kabaay Main Dainay Azaan

Ab Alam lekay Ghazi ka ajaiye

Chat pe kaabe ki parcham yeh lehraiye

Amn-o-insaf ka phir ho darya rawan

Hum azadar hai khadman-e-Ali

Nazre shabbir hai har ghari dil lagi

Farsh-e-majlis hamare liye asmaan

Amir-e-khusnawa ayr rehan bhi

Likh chuke ap ko hain arize kahin

Kitni sadiyon hai muntazir madha khuwan.




48) Jo mushkilein hai to mushkil khusha bhi hai koi

Hazar gham hain to gham ki dawa bhi hai koi

Jo qaflay mai rawan,rehnuma bhi hai koi

Khuda agar hai to phir na khuda bhi hai koi

Hai dard-e-dil to koi dil ka chain bhi hoga

Yazeed lakhon mai koi Hussain bhi hoga

Abhi to khoon kay darya bahaye jainge

Abhi to zulm kay dhabe mitaye jainge

Sitam garon ka parakche uthai jainge

Abhi to qabar se murde uthai jainge

Sawal kar chuke Zehra jawab lena hai

Fidak ka Mehdi nay akar hisab lena hai.

Abhi bhi ishq tarapta hai qatal ghahon mai

Abhi hayat hai qaidi ajal ki bahon mai

Abhi andhera hai insan ki nigahon mai

Abhi to qafla zindagi hai rahon mai

Ali ka sher abhi sabar ki kachar mai hai

Zamana apnay Mohammad kay intezar mai hai

Yeh keh rahi hai gham-o-ranj ki farawani

Khabar ye deti hai aql-o-kurd ki herani

Bata rahi hai yeh zulm-o-sitam ki tugyani

Barasne wala hai ab zulfiqar ka paani

Sitam ki moat ka saaman anay wala hai

Safina dhoond lo toofan anay wala hai

Manadi hogi kay adl-e-khuda mubarak ho

Jida rikhana-e-haq Murtaza mubarak ho

Madine walon naya Mustafa mubarak ho

Mera zahoor aye kherun nisa mubarak ho

Tha dil pe karb-o-bala jo baar khatam hua

Aye meri dadi tera intezar khatam hua

Hai zaat-e-haq jo pase mojizat meri hai

Shareeq qar nabuwat bhi zaat meri hai

Har ik imam ki har ik baat meri hai

Faqat fidak hee nahi kainat meri hai

Har ik shehar yeh tehreer likhta jaonga

Yeh sab hai Zehra ki jageer likhta jaonga.





49) Her zamana muntazir hai jiska who ajayay ga

Aik Zamana ayay ga!

Raaz k her Raaz sa parda hataya jayay ga

Aik Zamana ayay ga!

Ba abad Eesa (as) nabi ho jayaingay saf main kharay

Jab Imam e Asar (as) ayaingay imamat kay liya

Anbiya say hain Ali Afzal bataya jayay ga

Aik zamana ayay ga!

 

Zindagi baqi bhi hogi to qaza aajayay gi

Ghiaz main aker ussay khud yeh zameen kha jayay gi

Fatima (sa) kay laal ka jasper ishara jayay ga

Aik zamana ayay ga!

Thar tharaye gi zameen who kaam hoga dekhna

Dushman e Zahra(sa) ko jo anjam hoga dekhna

Ghasiboob kay jism ko zinda jalaya jayay ga

Aik zamana ayay ga!

Hukum per Mola(as) kay sab mojood haungay matami

Pehlay tamer e baqaiya khud keraingay matami

Phir wahan per matami halqa lagaya jayay ga

Aik zamana ayay ga!

Door hoga khane kaba bure halat sa

Jab lagaingay Alam Abbas(as) apnay hath say

Phir Ali (as) ka jashn kaabay main manaya jayay ga

Aik zamana ayay ga!

Jab Wila k bhugs ko dunia say who kerdaga saaf

Anbiya ajayaingay kernay Mehdi(as) ka tawaaf

Yun Ali (as) kay laal ka sadqa utara jayay ga

Aik zamana ayay ga!

Koi ghali ho gaya koi muqassir dekhiya

Kya yeh member reh gayay apas main larnay k liya

Faisla donoon ka duniya ko sunaya jayay ga

Aik zamana ayay ga!

Joan aur Zeeshan unka martaba hai kya haseen

Intezar e muntazir main jinki saansain ruk gayeen

Jab Imam ayaingay unko phir uthaya jayay ga.






50) Wafa e jhoom ke kehti hain

Teri khushiyon par aye shaban

hazaro eide ho qurbaan...

Ata E Haq Se mila abbas ali ka pura huwa armaan

hazaro eid e ho qurbaan..........

Wafa ki roshan hai qandil madina Noor me hai tabdil

Ke wajib hukm ki hai taamil chalo ustaad ke ghar jibreel

Zamee par ayese ho parwaz paron tak ki bhi na ho awaaz

Ali ke ghar hai naya mehman

hazaro eide ho qurbaan........

Ali ne paya noor e ain dile zehra ko mila hai chain

Musalsal o wajd me hai kaunain khushi se jhoom te hain Hussain

Mubarak baadi ka hai shor zamane bhar me charo our

Ali ke lab par hai muskaan

hazaro eide ho qurbaan.........

Kaha,n hain sadqa le mohtaaj Bohat khush dil hai ali ka aaj

Wafa ke sar ko mila hai taaj dua ko hogayi hai meraaj

Nazar chehere se hate kaise ali ki goad me hai aise

Ke jaise rehal pe ho quran

hazaro eide ho qurbaan........

Ali ka Raaj dulara hai sabhi ko jaan se pyara hai

Yade qudrat ne sawara hai zameen par chand utara hai

Ali ke Noor ke jalwe hain ke kohe toor ke jalwe hain

Nazar hai moosa ki Hairaan

hazaro eide ho qurbaan.........

Ali ke khuwab ki hai taabeer hai rukh pa robe khaiber geer

Balaye,n lete hain shabbir hain bilkul baba ki tasveer

Salam us zaate graami ko alam jhukta hai salami ko

Wafa ke lafz me pad gayi jaan

hazaro eide ho khurbaan.........

Ali ke ghar hai khushi ki dhoom charagha karte hai masoom

Abhi poshida hai mafhum mile ga kis ko kiya malum

Mubarak badi dene ko jari ka sadqa lene ko

Khade hain jinn o malak insaan

hazaro eide ho qurbaan........

Sabhi hain aamir O akhtar khush farishte khush hain payambar khush

Hain arsho farsh ke manzar khush bahut hain fatahe khaibar khush

Har ek chehre pe tajjali hai dile Zainab ko tassalli hai

Wafa ka aaya hai sultaan

hazaro eide ho qurbaan...





51) Eido ka mahina hai ye shaban ke din hai

Masoom. O ki Aamad hai badi Shan ke di hai

Paidaishe shabbir hai fitrus ko bata do

Mil jaengy par shah ke jhuley say laga doe

Allah ke Mujrim Pa Bhi Ehsan Ke din hai.

Hai teesri Shaban shahe karbobala ki

Or chowthi hai tarikh wafaoN ke Khuda ki

Suro ka Mahina Hai Ye Quran ke din hai.

Hasnain ke kapde abhi laya hai falak say

Hota hai guma fakhr ka chehre ki chamak say

Lagta hai badle hue Rizwan ke din hai.

Kyon karte hoe tum majliso mehfil say kanara

Bakhshish ka nhi iske siva koi sahara

Kashti Mai chaley aao ke tufaan ke din hai .

Kyon chowda na hoe fakhr say Islam ka Sina

Duniya mai imamo ke hai aane ka mahina

Khud din ye kehta hai ke imaan ke din hai.

Ye vo hai jo bhar dete hai taqdeer say badhkar

Jo mangna hoe maglo shabbir say badhkar

Raatei'n hai tamnanna o ki armaan ke din hai .

Badli hui is waqt zamane ki hai tasweer

Lagta hai Humey ab toe yahi waris e shabbir

Ay aakhri Moula tere ailan ke din hai.

Badle hue manzar hai khuda karbobala ke

Sub ranjo Alam door hoe sadqe Mai reza ke

Ghamgin bohot shehr e khurasan ke din hai.

Moula ne ata kardia shero ko tabassum

Ye kehta hai akbar tere hothon ka Tarannum

Ye Noor ki mehfil hai sanakhan ke din hai.





52) Dunia main aaj pehla hua inteshar hai

halat keh rahay hain had e intezar hai

yeh humna kab kaha k humain jung sa pyar hai

is dour ka ilaaj faqat zulfiqar hai

parda utha k ghaib sa ayain bari hai aas

lein adal ki fiza main kabhi chain ki to saans

is zindagi ka mola kahan aitbaar hai

kerdein agar zahoor qayamat ki ho ghari

her dour k yazeed ko lag jayay kap kapi

pora ho hisaab jo abhi tak udhaar hai

pani pa aker mola musalla bhichaiya

eesa perhay namaz imamat keraiya

sahil sa mooj kehti yehi bar bar hai

jo baaniya sitam hai koi bhi na bach sakay

kis main hai dam ajar ka jo samna kernay

na charnay ab pahar na chupnay ko ghaar hai

Zahra ka laal ghaib sa ayay to dekhna

qabaroon sa nikal k woh kahaingay yeh dekhna

yeh to wohi hai hath wohi zulfiqar hai

likhker ariza yaad bhi kertay hain subah shaam

majlis ka manqabat ka bhi kertay hain aitmaam

zikar e zakat o khums hi zehnoon pa baar hai

kaisa hai ishq kaisa mera intezar hai 

sorish kahen fasaad kaheen fitna sazia

apnoon k darmayan yeh hoti laraiaan

tehzeeb ka yehi hai yehi kya showar hai

majlis main koi jayay ga masjid main koi aur

mataam koi keray ga to amaal koi aur

aaal e nabi na kya yeh kaha aik baar hai

Mola kisi tarhan sa humain aik kijiya

likha arizay pa hai yehi dekhlijiya

mola diloon ko jordh do sab ki pukar hai

Rizvi bus aik dard ka darya tha behgaya

ashkoon pa likh k Joan Arizay pa kehdiya

woh keh gayay jo hal e dil e beqarar hai

Is dour ka ilaaj faqar zulfiqar hai.






53) Utha Ke Parda dikha do Jalwa

Ay ibne Zehra (SA) Imam e Zamana (AS)

Haseen Manzar kab dikhega

Khuda ke ghar par Alam ka Saya

Namaz Padhwayeñe ge Jo Maula

To peechhe Saf Mein milenge Isa

Haram mein Majlis wafa karenge

padhenge Nauha Imam e Zamana

Utha Ke Parda dikha do Jalwa

Ay ibne Zehra (SA) Imam e Zamana (AS)

 

Bahut hi Chhota Sa Ghar Hai Mera

Per Ismein Hujra Hai Ek Tera.

Sharaf Ye Mujhko bahut bada hai

Tu Mujhse Karle Ye Ek Vada

Bus ek Shab Ko Tu Mere Ghar Mein

Qayam Karna Imame Zamana

Utha Ke Parda dikha do Jalwa

Ay ibne Zehra Imam e Zamana..

Misaal e Kaaba Yeh Dil Hai Mera

Hai isme Maula Tera Basera

Sada e Dhadkan Mera fareeza

Bhala Main kaghaz pe ab likhun kya

Tu dhadkano Ki Sada sunega

Tu Jaan lega Imame Zamana

Utha Ke Parda dikha do Jalwa

Ay ibne zehra Imam e Zamana..

Safar tha paidal jab Arbayiñ ka

Main har jagah Tujhko dhundhta tha

Tu Zaairoñ mein tu Aashiqon Mein

Aye Mere Maula kahin To Hoga

Yah Soch kar hi main sabke qadmon

ko chumta tha Imaam e Zamana

Utha Ke Parda dikha do Jalwa

Ay ibne zehra Imaam e Zamana..

Kitab e Haq se yeh Maine Jana

Ki Har EK Shay ko Fanaa Hai Maula

Laga hua hai Qaza Ka pehra

Nahin Hai saanson ka ab Bharosa

Jo band ho jaayeñ Meri Aañkheñ

Mujhe jagana Imaam e Zamana

Utha Ke Parda dikha do Jalwa

Ay ibne zehra Imam e Zamana

Tujhe tasavvur Mein Jab Bhi Dekha

Ali (AS) ke jaisa Tera Hasham tha

Hai tere qabze mein Teigh e Haider

Alam Hai kaañdhe Pe Ba-Wafa ka

Misaal e Duldul sawari, andaz fatehana! Imame Zamana

Utha Ke Parda dikha do Jalwa

Ay ibne Zehra (SA) Imame Zamana..

Dua Hai Mazher Ki Raat Din ab

Kahenge aameen Matmi sab

Ho Sehn e Kaaba Mein Jab Bhi Majlis

Baraye Zikr e Hussain o Zainab

Ba gharz e Nauha tum apne Farhan

ko bulana Imaam e Zamana

Utha Ke Parda dikha do Jalwa

Aye ibne Zehra Imaam e Zamana..

55) Imam e Zamana Imam e Zamana

Bada dukh bhara hai hamara fasana

Imam E Zamana Imam e Zamana

Mukhalif hua hai ya zalim zamana..

Imam E Zamana Imam e Zamana

hawas maal o zar ki na kal thi na abb hai

faqat ek nigah-e-karam ki talab hai

yahi hai jahaa’n main hamara khazana

Imam e Zamana Imam e Zamana..

Ali ke mohibbo Salamat raho tum

jahaa’n bhi raho ba hifazat raho tum

ataa khud karenge tumhe aab o dana

Imam e Zamana Imam e Zamana..

Luta dunga ashqo’n ke sab motio’n ko

chhupa rakha hai dil me apne ghamo’n ko

meri arzoo hai mere ghar bhi aana

Imam e Zamana Imam e Zamana…

Ziyarat ki khwahish ko dil me basa kar

mai hasrat se dhekunga nigahein uthakar

kahi’n par agar qafela ho rawana.

Imam e Zamana Imam e Zamana…

Mujhe to zamee’n par hi jannat mili hai

meri zindagi bandagi me dhali hai

tera astaana hai mera thikana

Imam e Zamana Imam e Zamana…

Madad kar Mohammad ke waaris hamari

mita de dil -e- zaar ki beqarari

sakhi hai zamane me tera gharana..

Imam e Zamana Imam e Zamana…

Hawao’n me roshan jo TAHIR diya hai

yahi dar haqiqat wo noor e Khuda hai

Fizao’n me gunje tera hi tarana

Imam e Zamana Imam e Zamana.





54) Ashk Bas Teri Judai Mein Baha Kartay Hain.

Lamha Lamha Tere Aane Ki Dua Kartay Hain.

Lehza Lehza Teri Furqat Ka Ginna Kartay Hain.

Tujh Ko Maloom Hai Kya Subha-o-Masa Kartay Hain.

Tere Dedar Ko Be Chain Hain Aankhein Maula.

Kab Se Kabay Pe Bicha Rakhi Hain Palkein Maula.

Apni Aawaz Suna Do Tu Koi Baat Banay.

Hum Ko Kabay Se Sada Do Tu Koi Baat Banay.

Apna Dedar Kara Do Tu Koi Baat Banay.

Pardah-e- Gaib Hata Do Tu Koi Baat Banay.

Zulm Our Joor Ki Bunyad Hila Do Maula.

Adal -o- Insaf Ka Paigham Suna Do Maula.

Kashti-e-Nooh Ko Tofaan Se Bachata Hai Khuda.

Nar-e-Namrood Ko Gulzar Banata Hai Khuda.

Our Yaqoob Ko Yousuf Se Milata Hai Khuda.

So Baras Baad Bhi Murday Ko Jalata Hai Khuda.

Jalwah-e-Qudrat Haq Kuch Tu Dikha Do Maula.

Tum Hi Tu Mazhar-e-Aousaf Khuda Ho Maula.

Johar-e-Haider-e-Karrar Dikhao Maula.

Parcham-e-Hazrat-e-Abbas Uthao Maula.

Kashti-e-Deen Bhanwar Mein Hai Bachao Maula.

Ab Tu Har Aik Ki Faryad Hai Aao Maula.

Aao Aye Saqi-e-Kausar Ke Dularay Mehdi.

Muntazir Chahney Walay Hain Tumhare Mehdi.

Loag Kehte Hain Keh Lashkar Abhi Teyar Nahi.

Naam Lewa Hain Magar Sahib-e-Kirdar Nahi.

Roney Walay Tu Hain Par Sheh Ka Azadar Nahi.

Inn Muhibbon Mein Koi Inn Ka Madadgar Nahi.

Main Samjhta Hoon Keh Pabandi-e-Hukam Rab Hai.

Hujjat-e-Waqt Ko Lashkar Ki Zarorat Kab Hai.

Ho Baho Woh Hai Shujat Mein Misal Haider.

Woh Dikhaye Ga Zamane Ko Ali Ke Johar.

Aik Hi Waar Se Kat Jaein Gaye Lakhon Ke Sar.

Phir Se Duhraye Gi Tareekh Mahaz-e-Khaybar.

Kufar Dekhey Ga Yeh Mahool Tu Ghabraye Ga.

Taig Ke Waar Se Pehle Hi Woh Mar Jaye Ga.






55) Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Charag-e-Ulfat Jalaye Rakhna.

Hai Inteqam-e-Hussain Baqi Woh Aane Wala Hisab Le Ga.

Aqeeda Apna Darust Rakhna Jo Unn Ki Nusrat Ki Hai Tamana.

Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Amal Ko Bhi Aazmaye Rakhna.

Na Neend Aaye Na Ongh Aaye Rakho Har Ik Par Nazar Jamaye.

Dil-o-Nazar Se Keh Samarra Se Na Jane Kis Rastay Se Aaye.

Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Har Aik Rasta Sajay Rakhna.

Na Hub-e-Dunya Se Kuch Ilaqa Na Ghair Se Rah-o-Rasam Rakhna.

Tumhari Dolat Hai Ilm-o-Taqwa Karey Ga Dajjal Oss Pe Hamla.

Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Tum Apni Ponji Bachaye Rakhna.

Yahin Kahin Aas Pas Hoga Woh Aane Wala Tha Aa Chuka Hai.

Hawari Esa Ke Sath Hoon Gay Mawali Maula Ke Sath Hoon Gay.

Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Mowaliyon Se Banaye Rakhna.

Siwaye Chand Aik Zahoor Ki Sab Alamatein Pori Ho Chuki Hain.

Baseerat-o-Marifat Tumhari Adoye Haq Ko Khatak Rahi Hain.

Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Dil-o-Nazar Ko Bachaye Rakhna.

Naye Naye Nagma Haye Midhat Jo Roz Keh Keh Ke La Rahe Ho.

Paye Ziyarat Jo :SIBT e JAFAR: Imam Ke Dar Pe Aa Paray Ho.

Zahoor Ka Waqt Aa Gaya Hai Tum Apna Bistar Lagaye Rakhna.





56) ALEEF SE YE TAK  MIR TAKALLUM

Haroof e Abjad Ka Hai Taqaza Alif Se Yeh Tak.

Likhon Main Dewan e Madah Tera Alif Se Yeh Tak.

Alif

Alif Se Pehli Radeef Aaqa Bana Ke Likhon.

Tumhara Socha Howa Sarapa Alif Se Yeh Tak.

Be

Banaon Be Se Radeef Rab Ki Teri Sana Mein.

Bataon Dunya Ko Rab Ke Mana Alif Se Yeh Tak.

Te

Radeef Te Ho Tu Lafz Ghaibat Ka Muntahib Ho.

Biyaan Hoon Ahwal-e-Ghaib e Kubra Alif Se Yeh Tak.

Se.

Hadees Rakhon Radeef Se Ki Jo Bari Aaye.

Hadoos Mein Ho Qidam Ka Jalwa Alif Se Yeh Tak.

Jim

Bara-e-Dewaan Radeef Panjum Kharoj Rakh Kar.

Dikhaon Teri Waga Ka Naqsha Alif Se Yeh Tak.

Hey

Radeef Tasbeeh Rakhon Hay Par Qalam Jo Pohanchay.

Haroof Ban Jaein Dana Dana Alif Se Yeh Tak.

Khe

Bara-e-Midhat Radeef Tareekh Ho Muqarar.

Sunaon Gayarah Sadi Ka Qissa Alif Se Yeh Tak.

Dal

Radeef Murshid Mein Harf Sare Mureed Ban Kar.

Warq Pe Chamkein Misal-e-Zohrah Alif Se Yeh Tak.

Ze

Radeef Taveez Mein Banaon Woh Naqsh Tere.

Kissi Pe Sifli Na Ho Dobarah Alif Se Yeh Tak.

Re

Safar Radeefon Ka Muntazar Se Ho Muntazir Tak.

Nizam Zair-o-Zabar Ho Aisa Alif Se Yeh Tak.

Zee

Radeef Humraz Ho Gi Behar-e-Sana-e-Qayam.

Sunein Gay Raaz-o-Niyaz-e-Maula Alif Se Yeh Tak.

Seen

Radeef Qismat Se Barhwein Ho Janab-e-Narjis.

Utarein Bibi Ka Mil Ke Sadqa Alif Se Yeh Tak.

Sheen

Radeef Atash Mein Jo Dekhein Mani Ka Behta Darya.

Utha Lein Hathoon Mein Apne Koza Alif Se Yeh Tak.

Suad

Qasas Ki Jab Radeef Ho Gi, Dikhai Dein Gay.

Sukhan Ke Maidan Mein Saf Aara Alif Se Yeh Tak.

Zuad

Radeef Ho Qarz, Ada-e-Ajar-e-Nabi Ki Khatir.

Udhar Utarein Sab Apna Apna Alif Se Yeh Tak.

Toe

Karam Se Zahra Ke Ho Woh Mazmoon Radeef Khat Ka.

Woh Pehle Mera Parhein Areeza Alif Se Yeh Tak.

Zoe

Ba Faiz e Nad-e-Ali Banaon Radeef Mehfooz.

Ali Ali Ka Ho Phir Wazeefa Alif Se Yeh Tak.

Ain

Talu Rakh Kar Radeef, Likhna Shorow Kar Doon.

Zahoor-e-Qayam Ka Har Nazara Alif Se Yeh Tak.

Gain

Charag Ki Ho Radeef Aisi, Charag Pa Hoon.

Adoye Qayam Adoye Zahra Alif Se Yeh Tak.

Fe

Radeef Chahe Sharf Ho Lekin Mujhe Khabar Hai.

Sharf Main Unn Ke Na Likh Sakoon Ga Alif Se Yeh Tak.

Qaaf

Radeef Sun Kar Firaq, Ho Ga Janoon Tari.

Girebaan Kar Lein Gay Para Para Alif Se Yeh Tak.

Kaaf

Radeef Bandhon Jhalak Tu Mairaj Ho Sukhan Ko.

Dikhai Dein Sab Badon e Parda Alif Se Yeh Tak.

Lam

Jalal Ki Ho Radeef Lekin Karam Se Unn Ke.

Girey Na Koi Bhi Harf Mera Alif Se Yeh Tak.

Mim

Radeef Imam Our Warq Musalla, Samaa Yeh Ho Ga.

Karein Gay Sare Haroof Sajdah Alif Se Yeh Tak.

Noon

Radeef Quran Mein Hoon Nazil Adab Ke Soray.

Bara-e-Hujjat Ho Har Spira Alif Se Yeh Tak.

Wao

Radeef Khushbo Se Mehkay Dewan Manqabat Ka.

Lagaein Itar e Sana-e-Maula Alif Se Yeh Tak.

Hey

Radeef Khaima, Zameen-e-Midhat Tu Hur Ki Sorat.

Karein Ghazal Se Sabhi Kinara Alif Se Yeh Tak.

Ye

Radeef Hadi Sukhan Ke Kabay Pe Aisay Utray.

Safon Mein Labbaik Ka Ho Narah Alif Se Yeh Tak.






57) Zamane Bhar me Hai Charcha Imam Mahdi (as) Ka

Hai Kainat Ka Pora Nizam Mehdi Ka.

Imam-e-Waqt Ki Onchi Hai Manzlat Sab Se.

Buland Martaba Aala Moqam Mehdi Ka.

Najoom Shams-o-Qamar Aasman Our Zameen.

Pukartay Hain Yeh Har Waqt Naam Mehdi Ka.

Tumhein Bachaye Ga Iss Door-e-Purfitan Mein Wohi.

Nijat Ke Liye Daman Lo Tham Mehdi Ka.

Khuda Ki Sari Ataein Inhi Ke Dam Se Hain.

Dua Ko Rab Se Milana Hai Kam Mehdi Ka.

Marey Imam Ki Ghaibat Pe Bhonkne Walo.

Tumhein Tu Kafi Hai Bas Ik Ghulam Mehdi Ka.

Jo Main Ne Madh-e-Imam-e-Zamaan Likhi HASNAIN,

Haqeeqatan Hai Yeh Mujh Par Inam Mehdi Ka.





58) Sun Le Wo Jinke Liye Zikr e Ali (as) Baar Hai

Aaj Bhi Parday Mein Ik Haider-e-Karrar Hai.

Oss Ko Hai Sab Ki Khabar Rakhta Hai Sab Par Nazar.

Kaun Hai Ghaddar Our Kaun Wafadar Hai.

Qayal-e-Shaitaan Tu Hai Qayal-e-Ghaibat Nahi.

Haye Musalman Bhi Kitna Samajhdar Hai.

Lagta Hai Taig-e-Ali Guzri Hai Yaan Se Abhi.

Ran Mein Jo Charon Taraf Lashon Ka Anbar Hai.

Lakh Dawaein Karein Theek Na Ga Kabhi.

Aal-e-Muhammad Ke Jo Bugz Mein Beemar Hai.

Munkir-e-Ashk-e-Azza Soch Le Itna Zarra.

Gaib Mein Betha Hai Jo Woh Bhi Azadar Hai.





59) Ek Areeza Jo Unhe Surate Middhat Likha

Aik Ik Harf Ko Az Roye Muhabbat Likha.

Shart Yeh Thi Keh Shariyat Ki Zabaan Mein Likhon.

Bas Yehi Soch Ke ALLAH Ki Hujjat Likha.

Jab Kabhi Aap Ki Aamad Ki Khabar Dil Ko Mili.

Hum Ne Oss Lamhey Ko Lamhat e Qayamat Likha.

Aap Aa Jaein Tu Badlay Yeh Nizam-e-Hasti.

Hum Ne Iss Baat Ko Har Saal Ba Shiddat Likha.

Kabhi Qayam Kabhi Mehdi Bhi Maula Aaqa.

Wasf Ko Inn Ke Sada Hasb-e-Zarorat Likha.





60) Apne Ansaron Me Karle Hum Ko Shamil Ya Imam (as)

Aap Ki Khak-e-Qadam Hai Apni Manzil Ya Imam.

Aap Kab Aaein Gaye Koi Tu Ishara Dijiye.

Ik Musayab Ka Samandur Hai Kinara Dijiye.

Dobne Wali Hai Yeh Kashti Sahra Dijiye.

Zindagi Tofan Hai Aap Sahil Ya Imam.

Parda-e-Ghaibat Ke Bare Mein Kahein Hum Our Kya.

Jo Shab-e-Mairaj Pardah Tha Sar-e-Arsh-e-Ula.

Our Jis Parde Se Dast-e-Kibriya Zahir Howa.

Hai Wohi Parda Yaqeenan Teri Mehmil Ya Imam.

Jab Nida Ho Gi Abu Talib Ka Pota Aa Giya.

Koi Parhta Ho Ga Unn Ko Dekh Kar Sal-e-Alla.

Aap Ko Haider Samaj Kar Koi Keh De Ga Khuda.

Koi Taha Bole Ga Koi Muzamil Ya Imam.

Aap Ke Humrah Sab Shia Azadari Karein.

Aap Khud Aa Kar Jalusoon Mein Alamdari Karein.

Our Yeh Mufti Na Bidat Ki Sanad Jari Karein.

Matami Ko Ho Teri Taeed Hasil Ya Imam.

Aap Ka Aana Hai Taroon Par Damak Ki Wapisi.

Chahne Walon Ke Chehroon Par Chamak Ki Wapisi.

Aap Ke Aane Hi Par Ho Gi Fidak Ki Wapisi.

Aap Kar Sakte Hain Har Ik Gham Ko Zayal Ya Imam.

Unn Ki Midhat Ka Sila :SAQLAIN: Hum Youn Paein Gaye.

Door-e-Mehdi Mein Jo Mailadoon Ke Moqay Aaein Gaye.

Jitne Madah-e-Ali Hain Sab Bulaye Jaein Gaye.

Aap Ki Mojodgi Mein Ho Gi Mehfil Ya Imam.






61) Fiza-e-Zamana Badalne Lagi Hai.

Khizaan Khilte Gunche Kuchalne Lagi Hai.

Hai Tofaan Ki Zad Par Mera Aashiyana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Ya Yawar Hai Koi Na Hai Yaar Koi.

Na Ab Maikadah Hai Na Maikhuwar Koi.

Yehin Khatam Hone Ko Hai Yeh Fasana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Humein Janatoon Ka Pata Koan De Ga.

Riazat Ka Hum Ko Sila Koan De Ga.

Hamara Nahi Hai Kahin Bhi Thikana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Utha Dijiye Ab Tu Ghaibat Ka Parda.

Nazar Aaye Hum Ko Sadaqat Ka Rasta.

Yehi Iltija Hai Meri Aajizana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Dua Kar Rahe Hain Azzdar Ro Kar.

Kare Jalwa Dunya Mein Phir Taig-e-Haider.

Sune Dunya Phir Se Rijz Fatehana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Tum Hi Janshen-e-Ali Ho Ali Ho.

Zamane Mein Tum Hi Khuda Ke Wali Ho.

Dikha Kar Jahan Ko Zamana Purana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Sitam Intehaon Ki Had Par Hain Mula.

Azza Khane Sholon Ki Zad Par Hai Mula.

Humein Apne Daman Mein Aa Kar Chupana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Dua Kar Rahe Hain :WAJHI: Our :AKHTAR.

Sanwar Jaye Mula Hamara Muqadar.

Soye Samrah Inka Ho Jaye Jana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.






62) Fiza-e-Zamana Badalne Lagi Hai.

Khizaan Khilte Gunche Kuchalne Lagi Hai.

Hai Tofaan Ki Zad Par Mera Aashiyana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Ya Yawar Hai Koi Na Hai Yaar Koi.

Na Ab Maikadah Hai Na Maikhuwar Koi.

Yehin Khatam Hone Ko Hai Yeh Fasana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Humein Janatoon Ka Pata Koan De Ga.

Riazat Ka Hum Ko Sila Koan De Ga.

Hamara Nahi Hai Kahin Bhi Thikana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Utha Dijiye Ab Tu Ghaibat Ka Parda.

Nazar Aaye Hum Ko Sadaqat Ka Rasta.

Yehi Iltija Hai Meri Aajizana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Dua Kar Rahe Hain Azzdar Ro Kar.

Kare Jalwa Dunya Mein Phir Taig-e-Haider.

Sune Dunya Phir Se Rijz Fatehana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Tum Hi Janshen-e-Ali Ho Ali Ho.

Zamane Mein Tum Hi Khuda Ke Wali Ho.

Dikha Kar Jahan Ko Zamana Purana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.

Sitam Intehaon Ki Had Par Hain Mula.

Azza Khane Sholon Ki Zad Par Hai Mula.

Humein Apne Daman Mein Aa Kar Chupana.

Karam Kijiye Ya Imam e Zamana.





63) Muntazir Kab Talak Main Rahon Aye Imam.

Meri Sansein Kahin Ho Na Jaein Tamam.

Mola Mehdi Aa Jaiye

Deedar Ki Aakhri Aas Mein.

Khat Likh Raha Hai Yeh Khadam Tumhein.

Mola Mehdi Aa Jaiye.

Kijiye Qabool Aaqa Mera Salam.

Bas Ik Azadar Hai Mera Naam.

Qabil Nahi Janta Hoon Magar.

Kehta Hoon Khud Ko Tumhara Ghulam.

Kya Hoon Mujhe Khud Yeh Batlaiye.

Faryadein Our Istegase Hazoor.

Sarkar Sunte Tu Hoon Gaye Zaror.

Be-Chain Khud Bhi Hain Ghaibat Mein Aap.

Kab Ho Ga Mula Bata Dein Zahoor.

Hum Ko Na Ab Our Tarpaiye.

Be-Noor Kab Se Mere Nain Hain.

Tanha Azadar-e-Behrain Hain.

Kaba Ho Ya Ke Ho Karb-o-Bala.

Sab Aap Ke Gham Mein Be-Chain Hain.

Sarkar Tashreef Le Aaiye.

Lafzon Se Pardah Hatati Nahi.

Apna Taruf Karati Nahi.

Jab Se Gaye Aap Khamosh Hai.

Aayat Maani Batati Nahi.

Raz-e-Alif Lam Samjahiye.

Ustad Sibte jafar





64) Kaho Ya Mahdi (atfs)

Yeh Sari Kainat Hai Qayam Imam Se.

Baqi Khuda Ka Naam Hai Mehdi Ke Naam Se.

Ik Pal Ko Sochiye Na Agar Hoon Sheh-e-Zamaan.

Badil Rahein Na Abar Na Barsat Ka Nishaan.

Piss Jaye Kainat Paharon Ke Darmiyaan.

Dharti Ke Sar Pe Aan Girey Pal Mein Aasmaan.

Inn Sare Hadsat-e-Zamana Ke Samne.

Dewar Khainch Rakhi Hai Mere Imam Ne.

Soraj Ko Sare Rastay Batata Hai Khud Imam.

Mashriq Hai Yeh Yahan Se Nikalna Hai Tera Kam.

Thak Jaye Gar Safar Mein Tu Phir Bhi Hai Ik Maqam.

Magrib Hai Mere Qadmo Mein Karna Yehi Qiyam.

Keh Dein Jahan Se Waan Se Nikalta Hai Aaftab.

Mehdi Se Poch Poch Ke Chalta Hai Aaftab.

Woh Hai Tu Kainat Hai Woh Hai Tu Zindagi.

Woh Hai Tu Yeh Namaz Hai Woh Hai Tu Bandagi.

Woh Hai Tu Aa Rahi Hai Sada Ya Hussain Ki.

Woh Hai Tu Ho Raha Hai Jahan Mein Ali Ali.

Ab Jo Khilaf-e-Zikar-e-Ali Lab Hilaye Ga.

Dunya Se Be Hisab Jahanum Mein Jaye Ga.

Aane Se Oss Ke Ho Gi Sitam Ki Kitab Band.

Ho Ga Har Aik Mufti-e-Shar Ka Nisab Band.

Ghaibat Ka Dar Khula Tu Khulein Gay Hisab Band.

Maula Kahin Gay Ho Gaya Toba Ka Baab Band.

Apne Paron Se Pehle Muhibbon Ko Aar Do.

Jibreel Phir Zameen Ko Dozakh Mein Jhar Do.





65) Daur e Mahdi Me Battau Tumhe Kya Kya Hoga

Hum Jise Keh Dein Gaye Wo Murda Bhi Zinda Ho Ga.

Bar Sar-e-Khum Jo Muhammad(SAWW) Ne Kaha Tha Ho Ga.

Aik Din Dahar Mein Bas Mula(AS) Hi Mula(AS) Ho Ga.

Sang Our Khasht Ka Ik Dhair Hai Ab Tak Wo Makaan.

Aap Ke Qadmo Se Mas Ho Ga Tu Kaba Ho Ga.

Jab Kabhi Un Ki Imamat Mein Adda Ho Gi Namaz.

Naam Ka Sajda Bhi Mafhoom Ka Sajda Ho Ga.

Syeda(SA) Aap Ke Faqoon Ka Qaseeda Ban Kar.

Sora-e-Dahar Ki Qeemat Mein Izafa Ho Ga.

Ikhteyar Itna Atta Ho Ga Keh Qismat Ki Jaga.

Mere Hatho Mein Mere Hath Ka Likha Ho Ga.

Qad Mein Jo Parcham-e-Ghazi Ke Barabar Aaye.

Koi Gunbad Koi Minar No Aisa Ho Ga.

Inteqam-e-Ali Akbar(AS) Ki Qasam Aye :AKBAR:.

Gunbad-e-Sabz Pe Bhi Surkh Pharaira Ho Ga.

Zikar-e-Mula(AS) Ka Ye Ijaz Haseen Hai :AKBAR:.

Hum Nahi Hoon Gaye Magar Naam Hamara Ho Ga.





66) Hassan Ke Lal Kuch To Hosla Do.

Khabar Aane Ki Hum Sab Ko Suna Do.

Utha Do Ab Tu Parda Apne Rukh Se.

Mere Mula Zara Darshan Kara Do.

Zamana Thak Giya Hai Rah Takte.

Isse Tum Aa Ke Thora Aasra Do.

Koi Sunta Nahi Faryad Aaqa.

Kidhar Jaein Humein Kuch Tu Bata Do.

Sakina Iss Liye Piyasi Khari Hai.

Keh Pehle Hurmala Ko Tum Saza Do.

Abhi Abid Ki Aankhein Khoon Mein Tar Hain.

Tum Iss Bemar Ko Ab Tu Dawa Do.

Abhi Syedanio Ke Sar Hain Zakhmi.

Tum Un Par Aa Ke Marham Hi Laga Do.

Sada Matam Ki Aati Hai Falak Se.

Hamari Bhi Sada Oss Mein Mila Do.

Humein Bhi Chadar-e-Zainab Ka Gham Hai.

Hamare Sar Pe Zahra Ki Rida Do.

Abhi Ghazi Ke Hain Maqroz Mula.

Alam Ghar Ghar Pe Ab Oss Ka Laga Do.

Bacha Lo Ghar Mera Kubra Ke Sadqay.

Meri Ujri Hoi Dunya Basa Do.

:BATOOL: Ab Thak Gayi Joor-o-Alam Se.

Isse Zahra Ke Sadqay Mein Dua Do.





67) Yeh Baat Maan Lijiye Taqraar Ke Bagair

Mehshar Na Ho Ga Barhwein Sarkar Ke Bagair.

Wo Dekho Ja Raha Hai Areeza Soye Imam.

Kagaz Ki Nao Chalti Hai Patwar Ke Bagair.

Qaim Wahan Sajaein Gay Abbas Ka Alam.

Kaba Bana Hai Iss Liye Minar Ke Bagair.

Aankhein Khuli Rahein Gi Tere Intezaar Mein.

Mar Bhi Giya Jo Main Tere Deedar Ke Bagair.

Maula Munafiqeen Ko Samjha Liya Bohat.

Yeh Loag Ab Na Mane Ge Talwar Ke Bagair.

Chahe Ali Ali Kar Chaho Parho Namaz.

Dono Adhore Lagte Hain Kirdar Ke Bagair.

Dill Kehta Hai Wo Aate Hi Pohanchein Gay Karbala.

Mehdi Nahi Larein Gay Alamdar Ke Bagair.

Baad-e-Zahoor MIR TAKALLUM Yaqeen Hai.

Mehfil Na Hoon Gi Meesum-e-Tammar Ke Bagair.

MIR Takallum





68) Ik Waris-e-Haider Hai Jo Ghaibat Se Aaye Ga.

Kya Sheh Hai Azadari Dunya Ko Bataye Ga.

Kaba Se Alam Le Kar Iss Shan Se Nikley Ga.

Quran Imamat Ka Juzdan Se Nikley Ga.

Tauheed Ke Jalway Mein Islam Nahaye Ga.

Shabeer Ki Ik Majlis Kaba Mein Bapa Hogi.

ALLAH Ke Ghar Mein Bhi Yeh Rasam Ada Hogi.

Khud Farsh-e-Azza Apne Hathoon Se Bichaye Ga.

Aa Janey Do Parday Se Waris Ko Shaheedon Ke.

Urr Jaein Gay Dunya Mein Khud Hosh Yazeedon Ke.

Jab Hath Mein Haider Ki Talwar Uthaye Ga.

Abbas Ke Parcham Mein Pholon Ki Lari Hogi.

Ik Mashk Phareray Ke Seene Pe Pari Hogi.

Yeh Qarz Shahadat Ka Pyason Ki Chukaye Ga.

Iss Shair Ki Aamad Ka Andaz Ajab Hoga.

Ghazi Ki Nigahon Mein Haider Ka Ghazab Hoga.

Bholay Se Koi But Phir Kaba Mein Na Aaye Ga.

Har Dil Mein Ziyarat Ke Arman Barey Hoonge.

Esa Bhi Jamat Ki Khuwaish Mein Kharey Hoonge.

Jab Apna Musalla Yeh Pani Pe Bichaye Ga.

Zalim Ke Liye AKHTAR Dunya Mein Tabahi Hain.

Hum Ahl-e-Azza Iss Ke Lashkar Ke Sipahi Hain.

Munkir Hai Jo Iss Ka Woh Janat Mein Na Jaye Ga.

By Akhtar Sirsivi





69)  Sahib Ul-Asr Se Juda Na Howa.

Youn Khasara Kabhi Mera Na Howa.

Unn Ko Mehsos Tu Kiya Main Ne.

Sirf Aankhon Ko Tajurba Na Howa.

Shab-e-Aagaz-e-Ghaibat-e-Kubra.

Chand Bhi Aaj Pur Zia Na Howa.

Jo Hain Tere Hazoor Se Mehroom.

Gaib Se Oss Ko Faida Na Howa.

Oss Ki Midhat Biyan Kya Ho Gi.

Jis Ke Namo Ka Tarjuma Na Howa.

Mustaqil Hain Nigahein Kabay Par.

Mera Tabdeel Zaviya Na Howa.

Main Utha Doon Ga Pardah-e-Mairaj.

Kya Karey Ga Agar Khuda Na Howa?.

Zindagi Bhar Likha :TAKALLUM: Ne.

Haq-e-Midhat Magar Ada Na Howa.

By Mir Takallum





70)  Aap Aa Jaein Jo Maula Hum Yeh Manzar Dekh Lein.

Halqa-e-Matam Bana Kabay Ke Andar Dekh Lein.

Inteqam-e-Karbala Ki De Ali Akbar Azaan.

Murtaza Ki Taig Se Urtay Hoye Sar Dekh Lein.

Daein Abuzar Baein Qanbar Samne Salman Hoon.

Ik Namaz Aisi Bhi Hum Kabay Mein Parh Kar Dekh Lein.

Aap Ke Zakir Ki Hai Mairaj Mimber Aap Ka.

Aap Mimber Par Hoon Hum Mairaj-e-Mimber Dekh Lein.

Munkir-e-Ayelan-e-Khum Par Jis Tarha Kankar Gira.

Munkir-e-Matam Pe Bhi Youn Girtay Kankar Dekh Lein.

Hum Issi Lalach Mein Peetey Hain May Hub-e-Ali.

Aab-e-Kausar Aap Ke Chulo Mein Pe Kar Dekh Lein.

Woh Tu Ghazi Hai Agar Main Ban Gaya Tera Ghulam.

Meri Thokar Mein Jahan Walay Samandar Dekh Lein.

Jab Akelay SIBT-E-JAFAR Zalimo Ki Maut Hai.

Kya Ho Gar Yeh Teen So Terah Ka Lashkar Dekh Lein.

Mar Ke Bhi Darwaish Ki Aankhein Karein Gi Intezar.

Pyar Se Maula Issay Nazrein Mila Kar Dekh Lein.

By Shahid Baltistani





71) Al Ajal Zeast Ka Ek Rakhte Safar Hai Maula

  Tere Bin Kaisay Jeein Tujh Ko Khabar Hai Maula.

Al-Ajal Kehte Hoye Soye Haram Taktay Hain.

Muntazir Tere Teri Rah Pe Nazar Rakhtay Hain.

Tere Kabay Ki Magar Tujh Pe Nazar Hai Maula.

Aisay Dhundlaye Ujalay Teri Ghaibat Ke Sabab.

Roshni Ke Na Mani Hain Na Mafhoom Hai Ab.

Koi Soraj Na Sitara Na Qamar Hai Maula.

Kayi Sadiyon Se Tilawat Hai Musalsal Jari.

Phir Bhi Har Raz-e-Elahi Pe Khamoshi Tari.

Aayaton Par Teri Ghaibat Ka Asar Hai Maula.

Hum Faqeeron Ka Tawangar Hai Kahan Pochtay Hain.

Pochne Walay Jo Ghaibat Ka Makaan Pochtay Hain.

Hum Yeh Kehte Hain Jidhar Rab Hai Udhar Hai Maula.

Dehar Pe Matam-e-Shabeer Se Inkari Hai.

Phir Bhi Barood Ki Khushbo Mein Azza Jari Hai.

Unn Azadaron Ko Kab Maut Ka Dar Hai Maula.

Al-Ajal Oss Ka Wazeefa Hai Kayi Sadiyon Se.

Aasmano Pe Tarapta Hai Woh Sajday Ke Liye.

Muntazir Aap Ka Mariyam Ka Pisar Hai Maula.

Qabar Mein Bhi Jo Sunein ALLAH Akbar AKBAR,

Khak Se Uthay Woh Labaik Ka Kalma Parh Kar.

Jaisay Salman Ko Bakhsha Yeh Hunar Hai Maula.

By Hasnain Akbar





72) MANAZERAH  YA MAHDI ADRIKNI  BY MIR TAQALLUM

Ik Mufti Mujhe Dosto Kal Raat Mila Tha.

Mehdi Ka Mukhalif Tha Yeh Chehray Pe Likha Tha.

Emaan Pe Mere Zarb Lagane Pe Tulla Tha.

Main Oss Ke Iraday Pe Bohat Dil Mein Hansa Tha.

Kehta Tha Yeh Ghaibat Mujhe Afsana Lagay Hai.

Main Ne Bhi Kaha Tu Mujhe Dewana Lagay Hai.

Har Cheez Nazar Aaye Zarori Nahi Mufti.

Janat Bhi Nahi Dekhi Hai Eman Hai Phir Bhi.

Ashab-e-Kahf Par Bhi Tujhe Shak Nahi Koi.

Phir Kyun Na Zahanat Bhi Hansay Aqal Pe Teri.

Tu Jis Ko Gumaan Maan Raha Hai Woh Yaqeen Hai.

Shetan Ka Qayal Tu Hai Mehdi Ka Nahi Hai.

Yeh Suntay Hi Marne Laga Woh Bugz Ka Mara.

Baaz Aaya Nahi Phir Bhi Woh Shetan Ka Pyara.

Ik Bar Kiya Phir Ossay Zillat Ne Ishara.

Our Hath Rakhay Dil Pe Woh Chalaya Bchara.

Iss Waqt Bata Mujh Ko Tera Mehdi Kahan Hai.

Main Ne Kaha ALLAH Jahan Hai Woh Wahan Hai.

Woh Kan Pakar Kar Yeh Pukara Aray Toba.

Mehdi Ko Tu ALLAH Ke Jaisa Hai Samjhta.

Main Ne Kaha Parh Likh Ke Bhi Jahil Hi Rahe Na.

ALLAH Nahi Hain Wali ALLAH Hain Maula.

Woh Parday Mein Reh Kar Yeh Sikhatay Hain Khuda Hai.

Mehdi Hi Zamane Ko Batatay Hain Khuda Hai.

ALLAH Ke Badan Ka Nahi Qayal Mera Firqa.

Zahir Mein Na Hath Oss Ke Na Aankhein Hain Na Chehra.

Lekin Yeh Khudai Jo Chalani Thi Aye Mulla.

Kam Oss Ne Yeh Kuch Hathoon Ko Kuch Aankhon Ko Sonpa.

ALLAH Ke Naib Hain Sajatay Hain Khudai.

Khaliq Ki Madad Se Woh Chalatay Hain Khudai.

Kehne Laga Acha Yeh Hai Asal Mein Chakar.

Main Ne Kaha Chakraney Lagay Sheikh Jee Sun Kar.

Kehne Laga Yeh Aqal Se Mantaq Se Hai Bahir.

Gayarah So Baras Se Ho Koi Zindah Zameen Par.

Main Ne Kaha Kyun Aqal Mein Teri Nahi Aate.

Esa Tu Samajh Aate Hain Mehdi Nahi Aatay?.

Woh Bola Ab Itna Bhi Galu Theek Nahi Hai.

Esa Tu Nabi Hain Yeh Guru Theek Nahi Hai.

Mehdi Hain Ali Par Yeh Aalu Theek Nahi Hai.

Main Ne Kaha Main Theek Hoon Tu Theek Nahi Hai.

Esa Ko Jo Mehdi Se Barhaon Tu Galu Hai.

Woh Sirf Paseena Yeh Muhammad Ka Lahu Hai.

Taseer-e-Lahu Sun Ke Hoye Lal Woh Hazrat.

Kehne Lagay Yeh Hath Mein Kya Hai Tere Bidat.

Main Ne Kaha Bidat Nahi Tehreer-e-Muhabbat.

Naam Iss Ka Areeza Yeh Hai Parwana-e-Qismat.

Woh Bola Keh Had Ho Gayi Aisa Bhi Kahin Hai.

Kyun Likhtay Ho Jab Khat Yeh Pohanchta Hi Nahi Hai.

Ik Lamhey Ko Khamosh Howa Main Bhi Yeh Sun Kar.

Woh Samjha Keh Lo Phans Gaya Aakhir Mein Yeh Kafir.

Main Ne Kaha Dil Mein Keh Madad Haider-e-Safdar.

Jari Yeh TAKALLUM Howa Phir Mere Labon Par.

Jis Tarha Pohanchti Hai Dua Rab-e-Olla Tak.

Jata Hai Areeza Bhi Younhi Dast-e-Khuda Tak.





73) Ap par durood aur salam aye mere imam as

Bas yahi sada hai subh o shaam aye mere imam as

Arahy hain ap chal rhi hai ye khabar

Khana e khuda pay hai tiki hui nazar

Saj rahy hain rastay tamam

Har nafas tujhay mera salam arz hai

Mei tou kia hun har nabi wali py farz hai

Dou jahan mei tera ehteraam

Dou jahan ki badshah teri zaat hai

Tu hai uska hath jou khuda ka hath hai

Teray hath bayaetein tamam

Is liye tumhara intezar hai shadeed

Sar uthaye phir rahy hain waqt kay yazeed

Aa kay un sy lijiye inteqam

khana e khuda ko qaid sy churaiye

Mola jald aiye ab aa bhi jaiye

Le kay zulfiqar be nayaam

Mangty hain aur yun zahoor ki dua

Dekhna hai hum ko inteqam e karbala

Chahy phr hou zindagi tamam

choomtay hain paon akay taray apkay

Chal rha hai dekh kay isharay apkay

Sari kainaat ka nizaam

wasf sab haseen hassan kay naam hogye

Takht o taaj mir kay ghulam hogye

Jab sy wou hua tera Ghulam





74)  Zahoor ka waqt aa gaya hai Imam se la’ou lagaaye rakhna.

Zahoor ka waqt aa gaya hai Haram pa nazrain jamaaye rakhna.

Zahoor ka waqt aa gaya hai charag-e-ulfat jalaaye rakhna.

Na neend aaye na oongh aaye, rakho har ik par nazar jamaaye.

Dil-o-nazar se ke saamrah se na jaane kis raaste se Aaye.

Zahoor ka waqt aagaya hai har aik rasta sajaaye rakhna.

Na hubb-e-dunya se kuch ilaaqa na ghair se raah-o-rasm rakhna.

Tumhari daulat hai ilm-o-taqwa, karega dajjaal is pe hamla.

Zahoor ka waqt aagaya hai tum apni poonji bachaaye rakhna.

Yahin kahin aas paas hoga, woh aaney waala tha aa chuka hai.

Hawaari Eissa ke saath honge, mawaali Maula ke saath honge.

Zahoor ka waqt aagaya hai, mawaaliyoan se banaaye rakhna.

Hai intiqaam-e-Hussain baaqi, wo aaney waala hisaab lega.

Aqeeda apna durust rakhna, jo unki nusrat ki hai tamanna.

Zahoor ka waqt aagaya hai, amal ko bhi Aazmaaye rakhna.

Siwaaye chand ik zahoor ki sab alaamatein poori ho chuki hain.

Baseerat-o-Ma’arifat tumhari adu-e-haq ko khatak rahi hain.

Zahoor ka waqt aagaya hai dil-o-nazar ko bachaaye rakhna.

Naye naye nagmaha-e-ulfat jo roz keh keh ke la rahe ho.

Pa-e-Ziyarat jo Sibt-e-Jafar Imam ke dar par aa paday ho.

Zahoor ka waqt aagaya hai tum apna bistar lagaaye rakhna.





75)  Wiqar e Imamat Imam e Zamana

Nishan-e-Nabowat Imam-e-Zamana.

Ho Chashm-e-Inayat Imam-e-Zamana.

Badal Do Yeh Qismat Imam-e-Zamana.

Areeza Mera Mauj Le Kar Chali Hai.

Ba Andaz-e-Midhat Imam-e-Zamana.

Basi Hai Marey Dil Mein Rooz-e-Azal Se.

Tumhari Muhabbat Imam-e-Zamana.

Qayamat Se Pehle Jo Mumkin Nahi Hai.

Tumhari Ziyarat Imam-e-Zamana.

Tu Phir Aaj Ki Shab Bapa Ho Jahan Mein.

Achanak Qayamat Imam-e-Zamana.

Madina Ho Kaba Ho Hum Hoon Keh Esa.

Hain Sab Ki Zarorat Imam-e-Zamana.

Humein Jeetay Jee Mar Dalay Gi Ab Tu.

Tumhari Yeh Furqat Imam-e-Zamana.

Bajuz Sharbat e Deed Tashna Labon Ko.

Nahi Koi Hajat Imam-e-Zamana.

Karey Gi Zamane Mein Insaf Qayam.

Tumhari Adalat Imam-e-Zamana.

Likhe Kaisay :REHAN: Midhat Tumhari.

Yeh Hogi Jasarat Imam-e-Zamana.

By Rehan Azmi




76) Diye Zulm Ke Kab Bujhaoge Maula

Hawa e Karam Kab Chalaoge Maula

Kab Apni Ziyarat Karaoge Maula

Ye Ghaybat Kahan Tak Barhaaoge Maula

Judai Mai Kab Tak Rulaaoge Mola, Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola

Kab Apni Ziyarat Karaoge Mola, Kab Aaoge Mola Kab Aaoge Mola

Hui Ek Muddat Sitam Sehte Sehte

 Hamay Kab Ghamon Se Churdhaoge Mola…Kab Aaoge Mola

  Zabaan Thak Chuki Al Ajal Kehte Kehte

 

Areezon Ko Kab Tak Waseela Banayen

 Tumhe Haal e Dil Saamne Ab Sunayen

  Kab Aapas Main Inko Milaaoge Mola… Kab Aaoge Mola

 Kab In Faaslon Ko Mitaaoge Mola… Kab Aaoge Maula

 Wilayat Ko Zakhmi Kiye Jaarahe Hain

 Sab Ek Doosre Se Laray Jaa Rahe Hain

 Zahoor Aap Ka Hoga Kis Roz Jaane

Galay Se Hamay Kab Lagaao Ge Mola… Kab Aaoge Mola

Dua e Faraj Hai Labon Par Hamare

 Asar Kab Duaon Mai Laaoge Mola… Kab Aaogay Mola

 Ye Dil Misle Hur Hai Pareeshaan Hamara

 Hussain Aap Ban Kar Batao Khudara

Dil e Fatima Ko Sukoon Kab Milega

Hai Halat Bhi Ab Misle Yaqoob Dekho

 Hamari Umeedon Ke Yusuf Tumhi Ho

  Taras Kab In Aankhon Pe Khaaoge Mola… Kab Aaoge Mola

Baqayya Mai Kab Tak Andhera Rahega

Hilal aur Mesum Bahate Hain Ansoo

 Diya Qabr Pe Kab Jalaaoge Mola… Kab Aaoge Mola

 Rahenge Yunhi Kab Talak Ashk Jaari

  Shab e Hijr Kab Khatm Hogi Hamari

 Chiraaghe Sahar Kab Jalaaoge Mola… Kab Aaoge Mola

   




77) Aapka Hai Intezaar Ya Mahdi

Dil Hain Sab Ke Beqaraar ,Al Ajal Ki Hai Pukaar

Hum Honge Aap Par Nisaar

Imam E Asr Ki Sarkar Hone Wali Hai 

Wila E Fatahe Badr O Hunain Ke Dushman 

Samajh Le Tere Liye Aye Hussain Ke Dushman 

Dobara Aamad E Mukhtaar Hone Wali Hai.........

Na De Sakega Aliyunn Baghair Koi Aza,N 

Khuda Ke Ghar Ke Moazzin Bahut Hi Jald Yaha,N

Azan E Akbar E Jarrar Hone Wali Hai.......

Zuhair E Qain Ne Hur Ne Habeeb O Akbar Ne 

Tujhe Haraya Tha Batil Kabhi Bahattar Ne 

Ab Ek Hi Se Teri Haar Hone Wali Hai......

Sada Farishto,N Ki Aane Lagi Hai Kano Mein 

Zabaan Kaatne Walo,N Ke Aashyano Mein  

Sana E Meesam E Tammar Hone Wali Hai.......

Yazeedyat Ke Tarafdaar Marne Wale Hain 

Bapa Hussain Ki Majlis Wo Karne Wale Hain

Har Ek Qoum Azadar Hone Wali Hai.....

Khuda Ne Arsh Se Bheji Thi Jo Wali Ke Liye 

Bani Hai Seb Ke Tukde Se Jo Ali Ke Liye

Wo Zulfeqaar Namoodar Hone Wali Hai....

Khuda Ke Deen Ke Ahkaam Bhoolne Walo

Gham E Hussain Ki Qeemat Wasoolne Walo 

Tumhare Halq Pe Talwaar Hone Wali Hai....

Niyaz Yaad Rahi Beniyaz Ko Bhoole 

Bichhaya Farsh E Aza Par Namaz Ko Bhoole 

Ibadat Unki Ye Bekaar Hone Wali Hai....

Hume Bhi Hashr Mein Yaqoob Aur Tejani 

Pul E Siraat Pe Chalne Mein Hogi Aasaani 

Hamari Kashti Wahan Paar Hone Wali Hai





78) Muntazir Kab Talak Main Rahun Aai Imam (A.t.f.s.)

Meri Sansen Kahin Ho Na Jaaie Tamam

 Maula Mehdi (A.t.f.s.) Aajaiye.....4

 

Deedar Ki Aakhri Aas Mein .....2

Khat Likh Raha Hai Yeh Khadim Tumhein

Maula Mehdi (A.t.f.s.) Aajaiye.....2

 

Kije Kabool Aqa (A.t.f.s.) Mera Salam

Bus Ek Azadar Hai Mera Naam

Kabil Nahi Jaanta Hun Magar

Kehta Hun Khud Ko Tumhara Gulam

Kya Hun Mujhe Khud Yeh Batliye

 

Fariyad E Aur Istegase Huzur

Sarkar (A.t.f.s.) Sunte To Honge Zaroor

Be Chain Khud Bhi Hai Gaibat Mein Aap

Kap Hoga Maula (A.t.f.s.) Batate Zuhoor

Hum Ko Na Ab Aur Tadpaiyea

 

Be Noor Kab Se Mere Nain Hai

Tanaha Azadare Bahrain Hai

Kaba Ho Ya Ke Ho Karbobala

Sub Aap Ke Gam Me Bechain Hai

Sarkar (A.t.f.s.) Tashreef Le Aaiyea

 

Lafzon Se Parda Hata Ti Nahi

Apna Taarruf Karati Nahi

Jub Se Gai Aap Khamosh Hai

Aayat Maani Batati Nahi

Raz E Alif Laam Samjhaiye

 

Tartib Marboot Ho Baat Se

Zahir Jalalat Ho Aayat Se

Kehta Hai Zauke Tilawat Mera

Likha Jo Maula (A.s.)Ne Khud Hath Se

Mujh Ko Woh Quran Padwaiye

 

Karni Hai Taskheer E Shaam Aap Ko

Lana Hai Haq Ka Nizam Aap Ko

Aai Warise Zulfeqar E Ali (A.s.)

Lena Hai Jub Intekam Aap Ko

Gazi (A.s.) Ko Bhi Sath Le Aaiye

 

Hum Jamkhara Aur Saila Gai

Ashkon Se Apne Arize Likhe

Girya Kiya Aur Namazen Padhi

Jo The Jatan Bus Me Sub Kar Liye

Har Jaa Guzarish Thi Aajaiye

 

Khat Apna Karta Hun Is Par Tamam

Hai Meer Bhi Aap Ka Ek Gulam

Hai Sibte Jafar Ka Bhi Ilteja

Kije Talab Ab Humein Ya Imam (A.t.f.s.)

Ya Aap Tashreef Le Aaiye 

Maula Mehdi (A.t.f.s.) Aajaiye.....





79) Sab thaat para reh jaye ga jab aane wala ayega

Ye dharti sona ugle gi, ye charkh gohar barsayega

Kaabe ki chat par Ghazi ka, ek roz alam lehrayega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Baghayr farman e Ibn e Zahra, nizaam e dunya nahi chalega

 Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Kahin guzarish nahi chale gi, kisi ki saazish nahi chalegi

Kare ga aa kar woh adl qayem, koi sifarish nahi chalegi

Chalayega woh Ali ka sikka, kisi ka sikka nahi chalega

 Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Alag na hoga koi kisi se, Namaz rozay bhi ek honge

Imam aayenge laut kar jab, har ek mu'azzin ba-ghaur sunle

Azaan ho gi Ghadeer waali, ye kam-ziyaada nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Anaa ke jazbon me behne waalon, hawa e mazhab me rehne waalo

Koi karega halaal tum ko, haraam maatam ko kehne waalo

Dunkaan fatwon ki band hongi, kisi ka fatwa nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Likha huwa he hadith me bhi, zameen nijasat se dur ho gi

Chalegi shamsheer Murtaza ki, zabaan o millat ki qayd kaysi

Ali ka munkir ho chaahe jo bhi, zameen pe zinda nahi chale ga

 Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Marenge sab maslehat ke aadi, kahaan pe jayenge ye fasaadi

Chhupayenge kis tarha se chehray, haram se hogi ye jab manadi

Meri hukumat me is zameen par, udu e Zahra nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

 

Fasaad saarey bharenge aahein, samaan ye dekhengi sab nigahein

Nizam tabdeel hoga sara, ye masjideiN ho ya bargahein

Woh khud chalayenge har idara, ye tera-mera nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Ye farsh e matam he yaad rakhna, kabhi siyaasat yaha na karna

Amanat e Sayyada hein aansu, yahan khayanat se khud hi bachna

Kahen na mahshar ke roz Zahra, tumhara pursa nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega

Khuda e Wahid ka faysala he, ke noor kaamil zaroor hoga

Hazaar fitne uthaye dunya, Wali ka lazim zahoor hoga

Baghayr Imam e zamana Akbar, kabhi zamana nahi chalega

Woh aa raha he ke jis ke aage kisi ka kehna nahi chalega.




80) BHI NA AANA !! ABHI NA AANA !!

Woh Humko Dekh Raha hai, Woh Jisne Aana hai.

Amal Baghair Faqat AL-AJAL Taraana hai.

Nifaaq Chhup Nahin Sakta, Magar Chhupaana hai.

Aye Muntazir !! Yun Tera Muntazir Zamana hai.

Alam Saja ke Gharoñ Par Yahi Bataana hai.

Bada Azeem Azadar Yeh Gharaana hai.

Abhi Na Aana !! Mere Ghar Mein Din hai Shadi ke.

Abhi Na Aana !! Mere Ghar Mein Naach-Gaana hai.

Abhi Na Aana !! Ke Makhloot Mehfiloñ ka hai Daur.

Jahaañ hai Mardoñ ka Khana, Wahin Zanaana hai.

Abhi Na Aana !! Ke Zikr-e-Husain kar kar ke.

Abhi toh Humne Bahot Maal bhi Kamaana hai.

Abhi Na Aana !! Ke Mash'hoor thoda hojaaun.

Abhi Na Aana !! Abhi Naam bhi Banaana hai.

Abhi Na Aana !! Nigaahoñ pe Ikhtiyaar Nahin.

Abhi Na Aana !! Bahot Be'Haya Zamana hai.

Abhi Na Aana !! Ke Aa kar Kahaañ Rahenge Huzoor.

Abhi Ladhaayi ki Zadd Par Mera Thikaana hai.

Abhi Na Aana !! Ke Jhagdhey hain Mimbaroñ pe Yahaañ.

Hamein bhi Moulvi Matlab ka hi Bithaana hai.

Abhi Na Aana !! Mahaafil bhi Aur Majaalis bhi.

Ta'alluqaat Banaane ka Ik Bahaana hai.

Samaaji Rabt ki Deewar par bhi Likh ke Janaab.

Areeza Bhej Diya hai, Jawaab Aana hai.

Hamein to Hukm-e-Azaañ hai, ke Hum toh Shayar hain.

Hamara Kaam Faqat Aayina Dikhaana hai.

Ke Tum bhi Apna Girebaan Jhaank Lo "Akhtar".I

mam-e-Asr ko Tumne bhi Munh Dikhaana hai.

By Akhtar Kaleem





81) Maula zahoor Kijiye Dil Bekarar hai

 sadiya guzar chuki hai bahot Intezar hai

 Mere Maula (4)

 andar ki Karbala me rasad chahiye hame

 ai warise Hussain madad Chahiye hame

 yah ruh ki Sada Hai Ye Dil Ki Pukar hai

jo aakhri Imam ke jitna Kareeb hai

usko zahur utna hi lagta  Kareeb lagta hai

Sahil woh  Saamne Hai  Safina yah Paar Hai

karni hai kaenat hai ab adl se wasi

Awaz de raha hai Tumhe jannatul Baqi

bus muntazir Imam ka Harek Mazaar hai

ilmo amal ke sath azadar chahiye

nusrat Ke wastey bhi toh kidhar chahiye

Apne Amal ka aadami khud zimmedar hai

duniya ki khwahisho se pare bhagte raho

nazik hai zuhur sahar jagte raho

nazdik Fatima ki Chaman ki bahaar hai

fathe mubi me legi anaao ki maat se

bahar nikal ke aaiye andar ki zaat se

aamal pe faqat hamare in hisaar hai

maula Ki Intezar Me Hai sari qaenat

hum muntazir imam ke fukr Ki hai Baat

jismei ke mujtahid hai yeh woh kataar hai

ojhal nazar se sher khuda ka woh sher hai

parda uthega aankh jhapakne ki der hai

bus thodi der aur qamar Intezar hai.



82) Dil Se Jab Bulayenge 

Wo Zaroor Aayenge

Sunle Munkire Ghaibat Zulm Ki Hawa Me Bhi, 

Intezar Ki Shamma Ham Sada Jalayenge.

Dil Se Jab Bulayenge...


Aasteen Ultega Jab Mohafize Ghulshan,

Zulfeqar e Haider (a) Ki Kaat Dekh Kar Dushman,

Bhaagna To Chahenge Parna Bhaag Payenge.

Dil Se Jab Bulayenge...


Doob Jayenge Zalim Khoon Itna Barsega,

Matmi Gharane Ka Sher Itna Garjega,

Jo Lahed Me Soye Hai Wo Bhi Jaag Jayenge.

Dil Se Jab Bulayenge...


Dushmane Azaa Akhir Kya Hame Samahjta Hai,

Meri Paak Aankhon Me Ashke Dam Ka Darya Hai,

Takht Taj Bidda't  Ke Isme Dubjayenge,

Dil Se Jab Bulayenge...


Har Taraf Zamane Me Hoga Hashr Ka Aalam,

Aakhir Mohammed Ka Waar Dekh Kar Meesam,

Jung e Khaibaro Khandak Log Bhuljayenge,

Dil Se Jab Bulayenge... 



Assalaam O Alaika Ya Sahebal Asre Wazzamaan.    Al Ajal Labbaik Maula (atfs).


اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وآلِ مُحَمَّدٍ وعَجِّلْ فَرَجَهُمْ

Please Recite Sure Fateha For Janabe Zahra s.a. on Her Tufayl

Also For  My Mother  Salma Binte Mohd Husain & All Marhoomeen.

Dua For Safety Of Imam e Zamana (atfs) :


COURTESY: ASHAAR AHLEBAIT A.S.


16 comments:

  1. JIYO JAZAKALLAH

    AL-AJAL TO ZABANO PE HAI MAGAR,
    KUCH INTEZAM BI HAI KE BUS INTEZAR HAI..?

    ReplyDelete
  2. jazakAllah o Khayran Kaseera

    ReplyDelete
  3. Masha Allah mola salamat rakhe

    ReplyDelete
  4. Ishq e Imam dil mai mere utra h iss tarah
    Har roz subh o sham bs mehdi(ع) ka zikr h
    Khushbu uss Noor e tajjalli ki yun phail rhi h
    Lgta h 313 me ab Kch hi Kami h
    Ab dil nhi bechain pursukun hu mola
    Saiha ko sunne k liye khamosh hu mola
    To kya hua Iss saal na daal paaye ariza
    Wo din b ab qareeb h jb Aaenge mola
    Ins Ab dar nhi parwaaz kr b jaye badan se
    Pohchegi tb hi yusuf e Zehra k wo Dar pe

    ReplyDelete
  5. Deedar mjhko bhi ho yusuf e Zehra ع ka kbhi
    Charagh bs issi aas se ghar ma jalaye bethi hu

    ReplyDelete
  6. Khwabeeda Sargoshiyo ki tadbeer yhi h
    Iss saal areeza mere ashqo se bahega

    ReplyDelete
  7. Masha'allah moula.a.s.jaza e khair ataa farmaye.aameen.

    ReplyDelete
    Replies
    1. مشا اللہ کیا شیر لکھا ہے آپ نے

      Delete
  8. Read Dua Ahad Online Imam Mehdi (as) Arabic Urdu English Translation with PDF

    ReplyDelete
  9. yah khuda rehmat hui hai is qadar mujh pe teri,ke khoye rehte hai khyalon me tere.
    deed ki talab hai mujhko mere maseeh ki, ankhen laga ke baithe hai rahon me tere

    ReplyDelete
  10. 💖💖🤍💖💖
    💖سبھی تاریک حربے آزما لو روشنی ہوگی
    💖افق پر سینکڑوں پہرے بٹھا لو روشنی ہوگی
    💖معین وقت پر مہر درخشاں کو نکلنا ہے
    💖ہزاروں گرد کے بادل اڑا لو روشنی ہوگی
    💟💟🤍💟💟

    ReplyDelete