Imam Ali Raza (as)

     اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا



الـــســـلام ليـك يـــا امـــام عـــلـــي ا الــرضــا عــلیـــہ الــســـلام


Jag Mein Tera Nizam-e-Sakhawat Ajeeb Hé

Dunya Ko Baant-ta Hé Magar Khud Ghareeb Hé



Khuda ney Rehmato'n nemat hamey ata ki hai...

Ajab khushi hai ke Amad Ali Raza(as) ki hai...

Zamana dekh ke kehta hai janasheen-e-Ali (as)..

Nazar me fikr me har soch Murtaza (as) ki hai..



Jurrat mein Ali naam Raza kaam Shifaat

Hum per bhi ho Sultan-e-Khurasan inayat 

Ab zeest kay lamhon mein hey kuch pal ki musafat

Ho jald muqaddar mein Mashad ki Ziyarat

Hasti meri gumnaam na ho jaey Maula Raza

Aur jald haazri ka payam aey Maula Raza



Aap ke dar ke liye, baat mashoor hai

Wo hai darbaare Raza, waha dastoor hai ye

Jaha bin mage huwe poori hooti hai duwa

Aye Moula Raza, Al madad Moula Raza 



Riza e AAL e MOHAMMAD Ka Jaam Zamin Hai,

Kalim Ka Ye Mujassam Kalam Zamin Hai,

Hamarey Naam Ka Siqqa Saja Lo Baazu Mein,

Phir Aaj Se Ye Tumhara IMAM Zamin Hai.



Gharibo Ka Rakhny Bharam, Gharib.ul.Ghuraba Aagaye,

Shehnshah.e.Arab.0.Ajam, Mola Raza (AS) Aagaye.



Jo Hai Khuda Ka Noor Wo Chehra RAZA (as) Ka Hai

Munkir Hai Jo RAZA (as) Ka Wo Munkir KHUDA Ka Hai

Dam Bhar Me Taal Dega Ye Hum Sab Ki Mushkilen

Beta Kasam Khuda Ka Ye MUSHKIL KUSHA (as) Ka Hai.



 Aamad Hai Jahan Me Maula Raza (AS)Ki...

Dhoom Hai Asmaan Me Maula Raza (AS) Ki...

Mo'utar Hai Fiza, Khila Hua Hai Har Chehra

Midhat Hai Her Zubaan Me Maula Raza(AS) KI...

Surat Tu Dekhiye Ismat Ke Shahzaday Ki..

Dhali Hai Paikar-e-Yazdaan me Maula Raza (AS)Ki...

In Ki Azmat Pe Kaissay Hon Lab Kusha Dosto

Likhi Hai Her Baat Quraan Me Maula Raza (AS) Ki...

Babar Khud Janat Ko Mehv et Tawaaf Dekho Gay

Dekho Tu Zaree Khurasaan Me Maula Raza (AS)Ki



Kisi bhi daur k firaoon se nahi darte.

Jo sar pe teri gulami ka taj rakhte hain.

Teri ata ka ye ejaaz hai raza e gareeb (as)

Tere faqeer bhi shahi mizaaj rakhte hain.



Hum ko milti Hai shifa aapke dar SE moula..

Hum garibo'n ka Hai faqat aasra moula Raza...

Bap dada ka lahoo shamil Hai jab aapme...

Panjetan pak SE kyu Kar ho juda moula Raza...

Mushkile'n aati Nahi tal jati Hai naam e imaam...

Ghar SE nikalte Dur hoti Hai Bala moula Raza..

Mango murade'n apni tum shahe khurasan SE...

Pal bhar me Kar Denge Puri Dua moula Raza...

Karbal ka zaaer jald banade mere waledain ko...

De Raha hu har Dua me vasta moula Raza...



Manzar bahot haseen fiza khushnuma hai aaj,

Lagta hai mere shaher me jashne REZA hai aaj,

Faili hui hai zikre REZA ki haseen dhup,

Nasli Adawto ka badan jal raha hai aaj,

Daftar khule hue hai sanae imam ke,

Batil ki darsgaah me taala pada hai aaj,

Masroof tha ziyarate jashne imam me,

Souraj ko dubne ka bahot dukh hua hai aaj...



Surat-e-Hyder-e-Karrar meray Maula Raza (as)

Sari duniya kay madadgar meray Maula Raza (as)

Aap ki midhat ki zaminon par ziyarat ker kay

Ban gaya mein bhi zamindar meray Maula Raza (as)


امنــــــــی میں جب مولآرضآ آجاتا میں

اپنا ہر مشـــــــــکل سفـــــر آسان پاتا ہوں میں

اں یہی گھـــــــــر بانٹـــــــتا آب و دانا دہر میں

اں،اسی سےہمیشہ مانگ کر کھاتا ہوں میں



ا لک چاند سعادت کی رات ھے

لوق جاگتی عبادت کی رات ھے

اعلان عام یہ غریبوں کی عید ھے

لا علی ا ولادت کی رات ھے





  اَللَّهُمَّ لِّ عَلى وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن 




JANNATUL BAQI

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا


ASHAAR ON JANABE ZAHRA (ص) About JANNATUL BAQI 

 اَللّٰهُمَّ الْعَنْ قٰاتِلِى فَاطِمَة الزَّهرَاء (ص)


Karte Ho Tum Rasool (ص) Ka Kis Darja Ehteraam
Zahra (ص) Ki Qabr Dhup Me Iski Daleel Hai


Fatema Zahra (ص) Ke Tazeem Ko Uthhte The Rasool (ص)
Mohtaram Betiyan Is Waaste Kahlati Hai


Sabz Gumbad Ke Karib Markaze Zahra (ص) Hai Magar
Baap Ne Beti Ki Turbat Pe Na Saaya Dekha


• Maine Qaunain Ke Sardar Ki Gurbat Dekhi
Dhoop Me Binte Payembar (ص) Ki Jo Turbat Dekhi


Jinke Ajdad Ne Dhaya Tha Sitam Zahra (ص) Par
Unki Aulaad Ne Mismaar Kiya Rauze Ko 


• Saudi Nasl Pe Lanat Ki Barish Ruk Bhi Sakti Hai

Agar Tameer Hojaye Mazar e Fatema Zahra (ص)



Nigraniye Imam Me Hona Hai Ek Kaam

Achcha Hai Waqt Khwab Ki Taabir Ke Liye

Mehshar Me Fatema (s) Tujhe Kardengi Surkhuru

Utth Jannatul Baqi Ki Tu Tameer Ke Liye.



Mana Murtad Hai Rushdie Or Tasleema Magar

Abb Kaho "Hizyan Pe Kya Raye Hona Chahiye

Ay Musalmano Babri Masjid Ke Gham Se Peshtar

Rauza e Baqi Ka Gham Tum Ko Manana Chahiye



Jinho'n ne Fatema Zehra ka ghar jalaya tha

Unhin ko aa ke wo suli chadhane wale hain

Zahoor karte hi ja kar Baqee' me Maula

Mazaar e Fatema Zahra (sa) banane wale hai



Abb Usko Bhejde Jisko Chupa Rakhkha Hai Parde Me

Dua Sunle Meri Parwardigar e Fatema Zahra (ص)

Jo Katil The Rasul Allah (saw) Ek Lauti Beti (ص) Ke

Unhi Sab Ne Ujada Hai Dayare Fatema Zahra (ص)



Hamare Haal Par Nazre Karam Sarkar (عج) Farmaye

Kahi Aisa Na Ho Dilme Tamanna Leke Marjaaye

Isi Umeed Par Thame Huwe Hai Aas Ki Dori

Baqi Tameer Ho Aur Uske Hum Mazdoor Kahlaye



Misro Mahalla Hisr Ke Makhmur Wasiyo

Naraaz Tumse Sara Hi Sidra Samaaj Hai

Rauza Banao Binte Risalat Mua'ab (sa) Ka

Bas Ek Yahi Wahid Corona Ka Elaaj Hai



Nauha Kuna Rasool (ص) Ka Rauza Hai Aaj Bhi

Veeran Qabre Fatema Zahra (ص) Hai Aaj Bhi

Uss Ghar Ka Dar Bhi Ahle Sitam Ne Jala Diya

Jis Ghar Pe Ehteraam Ka Sajdah Hai Aaj Bhi

Afsos Hai Ke Uska Bhi Rauza Giraa Diya

Wo Zaat Jo Ke Fakhre Madina Hai Aaj Bhi

Lenge Imam (عج) Khoon Ka Badla Husain (ع) Ka

Ek Hum Hi Muntazir Nahi Zahra (ص) Hai Aaj Bhi

لعنت بر دشمن زھراء (ص)


Some Pics About Jannatul Baqi




























اَللّٰهُمَّ الْعَنْ قٰاتِلِى فَاطِمَة الزَّهرَاء (ص)


اَللّٰهُمَّ الْعَنْ جبت و الطاغوت

 اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن


Ramdhan Special Quran & Hadith Gallery

بِسمِ اللّٰہِ الرحمٰن الرحیم

Salamun Alaikum.

Quran & Hadith Gallery Mahe Ramdhan Special.





























Imam e Zamana (atfs) Ashaar Gallery


بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم   وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج)  اَدْرِكْنَا