Ashaar Janabe Sakina (sa)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم         وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا





Abbas Ko Paani Ke liye Bhej Rahi Ho , 
Kya Naher Mangane Ka Iraada Hai Sakina (sa).


Rutba Haseen Dediya Taqdeer Ne Mujhe
Zahra (s) Samajh Ke Paala Hai Shabbir (as) Ne Mujhe.






Haay Shabbir ki beti ka muqaddar Shaukat,
Raahatein kam hain magar zehen mein darr zyada hai,
Makkah o Karbobala, Kufa o Shaam o Zindaan,
Zindagi kam hai Sakina ka safar zyada hai.
(Shaukat Raza Shaukat)



Jo mashk mein bhar sakta hai duniya ka samandar,
Kaunain mein bas ek tera Saqqa hai Sakina,
Abbas ki nazron se koi padh ke to dekhein,
Ehsaas ki ek Nahj e Balagha hai Sakina.



Sakina bibi (S.A), Chacha se keh do,
Sunain humari sab iltajayen,
Qabool sab ki hon sab duayen,
Humaray hajaat bhi ber ayen,
Sakina bibi (S.A), Chacha se keh do.
Aseer e Bemaar e Ghum (A.S) ka sadqa,
Tamaan Ahl e Harum (A>S) ka sadqa,
Humain do mashk o alam ka sadqa,
Sakina bibi (S.A), Chacha se keh do.


 Maut bachchi ko loari sunati rahi,
Maan Sakina (S.A) ka shaana hilati rahi,
Ab na kholegi aankhain yateema kabhi,
Jaanti thi Sakina (S.A) ko neend agaee,
Phir bhi taqdeer ko azmaati rahi,
Maan Sakina (S.A) ka shaana hilati rahi.



Baiti ka suna haal tau ronay lagay Hazrat,
Farmaya ke likhi thi ìsi umr mein furqat,
Afsos ye sin aur yateemi ki musibat,
Allah nigehban, hum ab hotay hain rukhsat.
Mushkil hai phir aana hamain taighon ke talay se,
Lay aao k ro lain usay lipta ke galay se.





                                            اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

2 comments: