بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا
Sharab e Husne Wilayat Ka Jaam Kahte Hai
Badhe Badhe Usey Apna Imam Kahte Hai
Kasam Khuda Ki Madine Ke Sab Razi Allah
Mere Hasan (ع) Ko Alaihis Salaam Kahte Hai
السَّلامُ عَلَيْكَ ياحَسَنِ بْنَ عَلِيٍّ (ع)
Hasan (as) Maula Hawadis Jab Ye Andaaze Digar Aaye
Teri Bakshish Ke Samaan Aankh Se Dil Me Utar Aaye
Talashe Rizq Ki Khatir Jo Suwe Aasmaan Dekha
Sitaare Tere Dastar Khwaan Ke Tukde Nazar Aaye
Bachpan Me Ek Shaikh Se Kahne Lage Hasan (as)
Aukat Ki Bisaat Ka Mehwar Talaash Kar
Niche Utar Ye Mimbare Nafse Rasool (Saw) Hai
Hai Baap Ka To Baap Ka Mimbar Talaash Kar
Noor Par Noor Ki Tanzeel Ka Manzar To Suno
Arsh Ki Goud Me Khud Arsh Utarta Bhi Raha
Maulvi Tum Hi Kaho Iss Ko Wiladat Likh Khu
Maa Ka Roza Bhi Raha Laal Ka Sajdah Bhi Raha
Fakhr Ki Baat Karu Naaz Karu Bhi Kissey
Aisa Koi Bhi Nahi Khud Ko Mai Tao'lu Jisse
Apni Azmat Ka Kiya Jitnaa Tafserah Tumne
Mere Ghode Ke Fazail Bhi Hai Zyada Isse
Qayam E Deen Ki Aamaj Gah Mubarak Ho
Eram Ki Saari Hukumat Ka Shah Mubarak Ho
Kaha Ye Aaj Ki Shab Sayyada (sa) Se Khaliq Ne
Fadaq Ki Jung Ka Pahla Gawah Mubarak Ho
Quran Ki Ayaat Ka Mafhum Raha Hai
Ye Aalam e Anwaar Me Makhdoom Raha Hai
Be Jism Bhi Iss Husn Ka Aashiq Hai Azal Se
Mere Hi Labo Se Wo Ise Chum Raha Hai
Hasan Wo Hai Ke Dunya Ne Jisse Deen Liya
Wo Jis Ke Naam Se Bakhshish Ka Bhi Yakeen Liya,
Ali (as) Ke Laadle Beta Ne Shaam Walo Se ,
Kalam Ki Nok Pe Lafze Ameer Cheen Liya.
Roza Daro Aaj Ka Roza Roz e Musarrat Laaya Hai
Jannat Ka Pahla Shehzada Ghar Me Ali (as) Ke Aaya Hai
Darti Hai Sufiyan Ki Nasle Aaj Bhi Teri Haibat Se
Jab Bhi Tera Naam Suna Moa'aviya Ko Pasina Aaya Hai
Qalam ka kaam qalam se liya hai Shabbar ne,
Ye adl kab tha ke har kaam Zulfiqar kare,
Hasan ne waqt diya aur Husain ne maanga,
Ye Sher ki apni marzi hai ke kab shikaar kare.
Deen Ki Taze'en Ay Sarkar e Hujjat (atfs) Kijiye
Pardaye Ghaibat Ulat Deejey Imamat Kijiye
Kuch Hi Din Abb Rahgaye Hai Mujtaba (as) Ke Jhasn Me
Aayiye Aur Aake Iss Mauke Ko Jannat Kijiye
Swalle Ala'a Ka Pandhrawa Ramdhan Aagaya
Ghar Fatema (sa) Ke Natiq e Quraan Aagaya
Rizq Aur Badhaa Mera Maula (as) Ke karam Se
Jab Bhi Mere Ghar Koi Mehmaan Aagaya
Itne Haseen Theyy Ke Yusuf (as) Nisaar Hai
Maula Hasan (as) Ke Husn Ka Meezan Aagaya
Khauf Itna Tha Hasan (as) Ka Ameer e Shaam Ko
Kahta Tha Darke Sahib e Emaan Aagaya
Wo Noor e Aina e Panjatan Mohammad (Saw) Tha
Ali Ka Laal Raees e Adan Mohammad (saw) Tha
Ye Tafserah Hai Mukammal Hasan (as) Ki Seerat Pe
Payambari Ke Elaawa Hasan (as) Mohammed (s) Tha.
Kiya Qasim (as) Ne Hamla Baad Me Pahle Ye Farmaya
Mai Wo Hu Jiske Baba Ka Qalam Talwar Jaisa Hai
Nikal Ta Hai To Har Dushman Ka Sina Chirr Jaata Hai
Mera Aansun Bhi To Mukhtar Ki Talwar Jaisa Hai
Jiss Bolte Quraan Ka Laqab Nuktaye Baa Hai
Aaj Usko Bhi Ek Bolta Quraan Milaa Hai
Haato Me Kalam Hoto Ye Kahlata Hai Shabbar (as)
Talwaar Uthaa Le To Yahi Sher e Khuda Hai
Sach Hai Ke Abhi Sulho Ko Tayyar Hai Shabbar (as)
Nazro Me Magar Markaye Karbobala Hai
Yu Jung Me Shabbir (as) Ke Shirkat Hai Hasan (as) Ki
Qasim (as) Tere Bazu Pe Jo Taweez Bandha Hai
Noke Qalam Ka Waar Jo Talwar Hogaya
Dushman Bhi Sulha Karne Ko Tayyar Hogaya
Alfaaz Ki Rasan Me Hasan (as) Ne Jakad Liya
Dushman Ali (as) Ka Aaj Giraftaar Hogaya
Dekho To Zara Gaur Se Tum Sulho Ki Tahreer
Tahreer Nahi Zulm Ki Gardan Pe Rasan Hai
Faakon Me Qana'at Hai Qana'at Me Sakhawat
Zahra (sa) Ke Gharane Ka Yahi Chaal Chalan Hai
Jhasne Wila Hai Sahibe Irfan Ke Liye,
Tohfa Hai Kirdegar Ka Ramdhan Ke Liye,
Utraa Hasan (as) Kitaab Se Pahle Zamin Par,
Kari Bhi Chahiye Tha Na Quran Ke Liye.
Aayaat Ki Tashkeel Me Surat Hai Hasan (as) Ki,
Shabbir Bina Kaun Hai Tamseel Hasan (as) Ki,
Jab Husn Ke Izhar Pe Tul Jaata Hai Rahman,
Firr Farsh Pe Hojati Hai Tanzeel Hasan (as) Ki .
Hasan (as) Ko Hisne Wilayat Ka Zain Kahte Hai,
Jo Dilruba Hai Wo Dil Ka Chain Kahte Hai,
Zamin Pe Itne Bade Jung Ju Ki Aamad Hai,
Ke Jiski Chup Ke Badan Ko Husain (as) Kahte Hai.
Ye Husne Takhliq Ka Hunar Hai,
Falak Pe Yu Kibriya Ne Chaha,
Kadam Risalat Muaab Ka Ho,
Magar Imamat Ki Chaap Dekhe.
Hasan (as) Se Imshab Kaha Khuda Ne,
Zamin Pe Tashrif Le Chalena,
Hamare Dil Ka Ye Dil Huwa Hai,
Ke Wo Zara Sa Aasman Dekhe.
Shikast milni hai Abbas phir khizaon ko
Yaqeen ho Gaya ab to Bahar jeetegi
Kaha Hasan ne qalam se ye muskurate huye
Bagair Jung kiye Zulfeqar jeetegi
Rawzat e Bebadan Ka Badan Likh Raha
Hu Mai ,
Yusuf
Kaha Ho Husne Hasan Likh Raha Hu Mai.
Lay
Kar Hasan (as) Ko Goud Mai Bolay Rasool-e-Haq (saw)
Gulzar-e-Fatima (sa) Ki Ye Pehli
Bahar Hai.
15
Rawi Shaban Ko Wo Or 15 Wi Ramdhan Ko Ye.
Mujtaba
(as) Ke Jhasn Me Mahdi (as) Ki Madha Kijiye.
Falak Se Utraa Hai Ek Aaina Mohammed (saw) Ka
Nabi (saw) Ne Khud Ko Bhi Jee Bhar Ke Aaj Dekha Hai
Taskeen
e Dil Ko Isme Imam Zaman Padho,
Gar
Husn Chahate Ho To Naate Hasan Padho.
Agoshe
Mustufa Me Risalat Ali ka Laal,
Allah
Ke Sare Husn Ki Daulat Ali Ka Laal,
Quran
Jaise Utraa Tha Kalbe Rasul Pe,
Waise Hasan (as) Utaara Gaya Hai Batul (sa) Pe.
Nabi
(saw) Ke Saare Sahabi To Hai Razi Allah,
Magar
Hasan (as) Ko Alaihis Salam Kahte Hai ,
Maoviya
(la) Naa Bhi Maney To Koi Farq Nahi
Unhe
Husain (as) Bhi Apna Imam Kahte Hai.
Jis ko sub Sura-E-Kausar ka chaman
kehte hain,
Us ko hum Fatima Zahra (S.A) ka
Hassan (A.S) kehte hain,
Soorat-E-Haider-O-Safdar (A.S) ka
tou Abbas(A.S) hai naam,
Seerat-E-Ahmed-E-Mursal
(SAWW) ko Hassan(A.S) kehte hain
Bachpan
Me Ek Shaikh Se Kahne Lage Hasan,
Aukat
Ki Bisaat Ka Mehwar Talash Kar,
Niche Utar Ye Mimbar e Nafse Rasul
Hai,
Hai Baap Ka To Baap Ka Mimbar Talash
Kar.
Ek Budhe Sahabi Se Ye Sibte Nabi
Bole,
Ay Shaikh Utar Niche Mimbar To
Hamara Hai.
Kyu Chott Si Hai Lagti Bidaat Ke
Kaleje Pe,
Aasun Bhi Hamare Hai Sina Bhi Hamara
Hai.
Ghani
ke naam se Mashoor ho gaye hai Fakir.
Jo
kaam aaka ke the ker diye Ghulaamo ne .
Bata
raha hai ye Hum ko HASAN (a) ka Daster khwan,
Namak ki laaj na rakhi , Namak haraamo ne...
kya poochte ho mujhse ke, kya kya hasan ka hai
jo kuch bhi hai khuda ka, woh sara hasan ka hai.
wajib samaj ke karta hu, mai tab se
laanatein
jab se meri nazar me, janaza hasan ka hai.
Kaha
Gulab Kahan Gul Ki Anjuman Logon,
Kahan
Nujoom Kaha Chaheraye Hasan (as) Logon,
Bachaa
Ke Laate Hai Tufaan Se Deen Ko Kaise,
Bataa Raha Hai Sulha Nama e Hasan
(as) Logon.
Khuda kay hukam say rakha gaya hy naam e hassan a.s,
Wasila E Hasan e Mujtaba Se Milta
Hai ,
Jo Maangta Hu Dare Fatema (sa ) Se
Milta Hai,
Mohammad o Ali O Fatema Husain O
Hasan (as)
Jo Kuch Bhi Milta Hai Ikni Dua Se
Milta Hai.
Mazaa Jo Milta Hai Madh e Hasan (as)
Se Roze Me,
Wo Zaika Kahi Aabo Gizan Se Milta
Hai .
Munafiqat Ki Fiza Me Sukoon e Amn O
Amaan,
Imaam e Amn Ki Madho Sanaa Se Milta
Hai.
Nabi(s.a.w.w)
ka husn e amal,noor e mashraqain bana,
Nabi(s.a.w.w)
ka husn e amal,noor e mashraqain bana,
Wo
Noor E Aainaye Panjatan Mohammad Tha,
Ali
Ka Laal Raeese Adan Mohammad Tha,
Ye
Tafsara Hai Mukammal Hasan Ke Sirat Me ,
Payambari
ke Elaawa Hasan Mohammad Tha.
Youn
to hai Qismat zamane ki khuda ke hath mein
Phir
bhi hai sara Zamana ...mujtaba ke hath mein
MUJTABA
ne sabr ki talwaar rakh kar zulm par
Baqi
baaten saunp deen hai karbala ke hath mein
Naame
Hasan rakhkha hai nabi ne hukme khudaa se bachche ka,
Nana ka andaaz nawaase ne wirseme paaya hai,
Eid se pehle Eid aayi hai khanaye sherey daawar me,
Pehli khushi ka din zehraa ko khaliq ne dikhlaaya hai,
Rozaa khoro se kya matlab Eid hai rozedaaro ki ,
Kudrat
ne iftaar ki khatir jaame wilaa chalkayaa hai .
Zahra
ke ghar me paikar.e anwaar aa gaya
Lo
jaanasheen.e Haider. Karraar aa gaya
Haider
ke ghar me jashn.e vilaadat hai marhaba
Jannat
ke naujawaano ka sardaar aa gaya
Jo unke zikr.e Khair se rahta hai
beniyaaz
Lagta hai oos ko dekh ke beemaar aa
gaya
Sadqa Hasan ka lene dar.e Murtaza
peh aaj
Jisko talab thee ban ke talabgaar aa
gaya
Thi guftagoo karam ki saKhaawat ka
zikr tha
Lub pe hasan ka naam kaii baar aa
gaya
Shabbar ki jung dekhke Hairan hai ahl.e kufr
Yeh
kaun miSl.e Haider.e Karrar aa gaya
Ehbaab
ne bataaya keh jashn.e “Hasan” hai aaj
Jawaid”
leke madh ke ashaar aa gaya.
Manaao jashn Khooshiyon ki ghaRee hai
JahaaN meN aamad.e sibt.e Nabee hai
Nabee haiN shaadmaN “Haider” bhi shaadan
Khuda ne god “Zahra” ki bharee hai
Dar.e Zahra peh rahmat buT rahee hai
Suna hai bheeR nabiyoN ki lagee hai
Yeh meri qabr meN jo raushnee hai
Yeh sub Hubb.e Hasan ki chaandnee hai
Kisee abtar ko itna tou bataa dou
Nabee ki nasl aage barh rahee hai
Imaamat ki fazeelat Allah Allah
Yeh aaGosh.e nabuwwat me palee hai
Mujhe kya hoga Khauf.e zahr.e qaatil
Keh meri maut meree zindagee hai
Yeh rasm.e sulH ik hujjat hai warna
kabhii noori.o.naari me banee hai.
اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن
Mashallah ❤️
ReplyDeleteMashallah
ReplyDeletemdarifakram30@gmail.com
ReplyDeleteAmazing Quotes
ReplyDeletehttps://shiningquotes.com/imam-hussain-quotes-in-urdu-text-poetry/