Other Ashaar e Imam & Masumeen (as)

                      بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم           وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عجاَدْرِكْنَا









Hur Ne Jo Hath Baandh K Sar Ko Jhuka Diya
Hussain (A.S) Ne Apni Shan K Mutabiq Sila
 Diya
Maa Ka Rumaal Baandh K Ibn e Rasool (A.S) Ne
Us Ki Jabeen Se Dagh e Nidamat Mita Diya

Manzile Shaam kahaan ghayrat-e Shabbir (as)kahaan
Haa-e Sajjad(as) ko le aa-i hay taqdeer kahaan
Aaj shayad ke zamaane mein Alamdaar(as) nahi
Warna darbar mein Abbas(as) ki Hamsheer(sa) kahaa 

Is raaz say waqif hain zamany wale
Ab tak zinda hain Muhammad (s.a.w.w) k gharaney wale
kuch mit gaye kuch mit jayenagy

Ya Ali Ya Hussain tera naam mitaney wale


Sab Kitabain Hain Riaya
Badsha Quran Hai
Ek Hidayat Ka Mukamal Silsila Quran Hai
Hain Azal Se ta Abad Quran K Waris  Wohi
Jin K Ghar Ka Bacha Bacha Bolta Quran Hai
Naam Dono Pr Likhain HainWarna Dunya Pouchti
Kon Sa Nehj-ul-Balagha Kon Sa Quran Hai


Khat de ke ye Muslim (A.S) se kaha Sheh (A.S) ne ke jao
Yasrab to chhuta, Makkay se bhi hath uthao
Ummat kaheen gumrah n'ho, kaam banao
Talqueen karo, haal e bad o naik batao
Hai rehm hi lazim jo ho baydad o sitam bhi
Tum suay Bahisht aagay chalo, aatay hain hum bhi


Qatil ne lagai sar-e Muslim (A.S) pe jo shamshir
Sar kut k pukara mein fida-e sar-e-Shabbir (A.S
Kothay se giraya jo tan-e-Muslim-e-dilgeer (A.S
Ya Hyder-e-Karrar (A.S) kaha, aur kahi takbeer
Qatray tau giray khoon ke damaan-e-Nabi (S.A.W.W.A) mein
Sar goad mein Zehra (S.A) ki, tan aaghosh-e-Ali (A.S) mein

  
Jab koofiyon nay Koofay mein Muslim (a.s) say dagha ki
Jo ehd kia tha, ek nay us par na wafa ki
Ki sharm Khuda say, na Muhammad say haya ki
Mazloom pay, bekas pay, musafir pay jafa ki
Pani na damm-e-marg dia tashna-dehn ko

Kis zulm say tukhrhay kiya aawara-watan ko


AISA SHARAF KISI KO JAHAAN MAIN MILA NAHIN 
SUB AURTON MAIN UN SA KOI DOOSRA NAHI 
PARKHU KISI BHI RUKH SAY NATIJA KOI BHI HU 
AZWAAJ AUR BHI HAIN KHATIJA KOI NAHI


Samjo Zara Azmat-o-Ehsan-e-Khadija
Be-Misl hai Quwat-e-Eman-e-Khadija
Zehra(sa) hon ya Hasnain (as) se ta Mehdi-e-Doran
Ta Hashar he Mehke Ga Gulistan-e-Khadija 


Kon Bhulay Bhala Paigham Khadija (as) Tera
Dil Ki Dunya pe Raqam Naam Khadija Tera
Teri Dolat Ne Diya Deen-e-Muhammad (saw)Ko Farogh

Ab Bhi Maqrooz Hai Islam Khadija (as) Tera


Midhat Hai Jo Matlab to Unwan Buhut Hain
Izhar-e-Wafa k Liye Saman Buhut Hain
Taseer Tere Sheer Ki He KarboBala Tak
Ummat Py Khadija (sa) Tery Ehsan Buhut Hen


Zikr-e-Nabi jahaan jahaan hoga jahaan mai
Hoga wahaan wahaan pay taira zikr Khatija
Zehra ki M.aan bata gai aurat ki kya hai shaan

.Islam ki haya ki alamdaar Khatija


Naadaar kabilon pe tere ghar ki ataa hai,
Jis ghar mein diya jalta hai tera hi diya hai.
Bibi teri midhat mein yahi lafz badaa hai,
Mamnoon Muhammad hai to makruuz Khuda hai.
Mehshar mein jo Jannat ki kahin baat chalegi,
Zahra ko bhi Jannat tere qadmon mein milegi.


Farishtay noor ki bahaar barsa rahay hain,
Har sawaali ko roshan raah dikha rahay hai,
Jo maangna hai, maang lo Khuda se,
Aaj duniya mein Muhammad Baqar (AS) aa rahay hain.


HAY AASHIKE SUB’HAAN IMAAM JA’FARE SADIQ, 
HAY DEEN KE SULTAN IMAAM JA’FARE SADIQ

SALAWAAT PARO ZIKR HAY CHHATTE IMAAM KA, 

NOORE KHUDA SHAHANSHAHE AALI MAKAAM KA, 
YA RAB HAME TAWFIK DE MAD’HE IMAAM KA, 
SADKA DE HAME HAZRATE SADIQ KE NAAM KA

SAAQI PILAADE JAAME WILAE SHAHE ZAMAN, 

TASNIMO SALSABILKE TAASIR HO AYAAN, 
DILME HO ROSHNI AUR FASAHAT HO BARZABA, 
AABE TAHUR PIKE ME KUCHH KAR SAKU BAYAA

KYA SWALE ALA SHAAN HAY MAWLA KI HAMAARE, 

ALLAH KE PYARE HAY PAYAMBER KE HAI PYAARE,
GAR WAKTE MUSIBAT ME KOI HAZRAT KO PUKARE, 
BESHAQ WO MADAD KARTE HAI ZEHRA KE DULARE

BAABUL MURAAD AAP HO AY KULKE MUKTADA, 

HAAJAT RAWAI KIJIYE AY REHMATE KHUDA, 
KHALI KOI HUZURKE DARES NAHIN FIRA, 
MAKBULE BAARGAAH HAMAARI HO ILTEJA

MAWLA SAWAAL LAAYE HAY KHALI NA FERNA, 

DAAMAN HAMAARE GAWHARE MAKSUDSE BHARNA, 
NAZRE MANAAI HAMNE JO MAKBULHI KARNA, 
DARBAAR SE MAYOOS KISIKO NA FERNA

HAR SUBHO SHAM MERI DUA HAI MERE MAWLA, 

HAI ISHKE MADINASE MERA DIL TARAP RAHA, 
YA SIBTE MUSTAFA HAME BULWALO KARBALA, 
CHUME ZARIHE PAK SHAHANSHAHE KARBALA


Nayeb-e-Shah-e-Khurasan (a.s) ba-Khuda paida hua,
Khalq ka hadi-nawa, sall-e-a'al, paida hua;
Ummat-e-a'asi ka berha paar karnay kay liyay,
Lo, nawan (9) masnad-nasheen-e-Mustafa (s.a.w.a) paida hua.



Sharaf jabeen ka hai sang-e-darr-e-Imam-e-Naqi (a.s)
Hai taaj-daar say afzal, har ek ghulam-e-Naqi (a.s)
Ali (a.s) hai naam, tau kirdar bhi hai ain-e-Naqi (a.s)
Ali (a.s) ki tarah hain mushkil-kusha Imam-e-Naqi (a.s).



Hai laqab un ka Naqi (as), aur naam hai jin ka Ali (as),
14 Ma'asoomeen (as) mein dar asal hai chautha (4tha) Ali,
Paanchvi Maah-e-Rajab ko ho mubarak, mominon,
Goad mein phir se Muhammad (saw) kay nazar aaye Ali (A.S)



Tanveer e shash Jihaat Imam e Naqi (as) Se Hai
Raushan Ye Qainat Imam e Naqi (as) Se Hai
Sajda Na Ye Karen To Khuda Ki Na Ho Daleel
Dil Me Khuda Ki Zaat Imam e Naqi (as) Se Hai



Khushiyaañ Manaao Aaj Masarrat ka Roz hai.

Aye Momino !! Khuda ki Ibaadat ka Roz hai.

Aao Imam-e-Asr se kuch Bheek Maang Leiñ.

Maula Ali Naqi ki Wiladat ka Roz hai.




Bibi Zainab (S.A) to her sons: Aun o Mohammad..

Jatay thay muhim per jo kabhi Ahmad e Mukhtar (saw),
Aur lashkar e Islam pe charh atay they kuffar,
Kertay they wigha ek taraf Jaafer e Tayyar (A.S),
Larhtaye they Ali (A.S) ek taraf khainch k talwar,
Mushkil nahin kuch foj e dagha baz se larhna,
Sadqe Gayi Tum Bhi Issi Andaz Se Ladnaa !

Janabe Kulsum

Loh per sabr ki tehreer hain misl e Zainab (S.A),
Aur hamsheera e Shabbir (A.S) hain, misl e Zainab (S.A);
Jinka ek naam hai tareekh mein Umm e Kulsoom (S.A),
Fatima Zehra (S.A) ki tasweer hain misl e Zainab (S.A).


Maa bhi masuma hai inki baap  bhi masum hai 
Yak nahi do tarfa hai masumiat kulsum ki
Zikre ABBASE dilawar se wafa karte raho.
Tumko bhi ho jayegi kuch marefat Kulsum Ki.


Zainab-o-Kulsum nikli baad-e-shaah-e-Karbala,
Khaima-e-Isaar se Dee(n) ko bachane ke liye,
Keh rahi thi Shaam me Kulsum ki khamoshiyan,
Ek behen kafi hai zalim ko mitane ke liye.



                  اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

No comments:

Post a Comment