Hum Bataye Aap Ko Kya Kya Abutalib ع Ka Hai
Har Taraf Bat'taa Huwa Sadqa Abutalib ع ka Hai
Khawaja e Ajmer Ne Jinko Kaha Deen Ast Husain ع
Wo Husain Ibne Ali ع Pota Abutalib ع Ka Hai
Mit'tgaya Namo Nishan Nasle Ameer e Shaam Ka
Ghaib Me Zinda Hai Jo Beta Abutalib ع Ka Hai
Abutalib ع Jise Paley Yakinan Mustafa ص Hoga
Nabi ص Ne Jisko Pala Hai Nusairi Ka Khuda Hoga
Hasin Wahdat Ke Parde Me Huwi Qaem عج Ki Tarbiyat
Khuda Ne Jisko Palaa Hai Khuda Jane Wo Kya Hoga
✍🏻 Janab Shaukat Raza Shaukat
Parcham-e-Haq Hashr me Ooncha Abu-Talib ka hai.
Ek Beta Aaj bhi Zinda Abu-Talib ka hai.
Zul'Asheera ke Namak se, Karbala ke Khoon tak.
Jo bhi hai Islam me, Saara Abu-Talib ka hai.
✍🏻 Maulana Romaan Rizvi Sahab
Abusufyan Ke Pille Rawait Hai Hurairah Ki.
Abutalib Ke
Bacche Bolte Quran Hote Hai.
Abutalib Ke
Beto Me Imamat Batgayi Saari,
Baataa Ay
Naam Ke Mufti Tere Hisse Me Kya Aaya.
KUCH IS
TARAH SE AA GAYE IMRAN(AS) ZAMEE PAR..
KUFR KEHNE
LAGA DAM GHUTNE LAGA AAJ YAHI PAR.
Aqeeda Hey
Yeh Paycheeda Na Aqlon Se Hai Baeed
Dar-asal
Hey Fitrat Ka Taqaza-e-Shadeed
Kafir Hi Wo
Samjhein Gey Haider (as) Ke Baap Ko
Jin Logon
Ki Nazron Mein Musalman Hai Yazeed
HAIN MASHF-E-YAZDAN KAY IMRAN ABU
TALIB
IS DEEN KI HIFAZAT KAY HAIN SAMAAN
ABU TALIB
KEHTAY HAIN K WO RASOOL KS KALMA NA
PERH SUKAY
MEIN NE KAHA HAIN PEHLAY MUSALMAN ABU
TALIB
Abu Talib Tumhari Rizq Ki Azmat Ka
Kya Kehna,
Muhammad Aur Ali Jaisay Tmharay Ghar
Main Paltay Hain,
Zamanay K Walli Maula Teri Qismat Ali
Maula,
K Jou Walid Nahi Rakhtay Teray Walid Say Jaltay Hain.
Noor Haq Jis Mein Pala Woh
Ghar Abu Talib A.s Ka Hai
Ek Imam A.s Ek Paigambar S.A.W.W
Abu Talib A.s Ka Hai
Badar Se Lekar Jahad Karbla Tak
Dekhlo
Khoon Jitna Bhi Baha Hai
Haq Par Abu Talib A.s Ka Hai
Jo dawa tumhara hay wo amlan bhi
dikhao,
ao zara sunnat kay taqazay bhi
nibhao,
SARWAR(S.A.W.W) kay NIKAH KHWAN ko
mano tum musalman,
ya tum bhi nikah phir kisi kafir say
parhao.
Imran kay emaan ki tanveer kay sadqay
Tanveer mein Wal-Fajr ki tafseer kay
sadqay
Tafseer mein konain ki taqdeer kay sadqay
Taqdeer mein Yaseen ki tehreer kay
sadqay
Yaseen ki tehreer mein Israr-e-Jali
hain
Goya Abu Talib hi Muhammad hain Ali
hain
Chalo mil ker tareekh ki janib
nikaltay hain
Abu Talib se jo jaltay hain un kay
paas chaltay hain
Abu Talib tumharay rizq ki ismat kay
kiya kehnay
Muhammad aur Ali jesay tumharay ghar
mein paltay hain
Zamanay kay Wali Maula teri kismat
Ali Maula
Kay jo walid nahi rakhtay teray walid
se jaltay hain
Wo haqeeqi mard, wo pekar e azm o
sabaat,
Jisney thokar se ulat di Abu Leheb ki
kainat,
Zaamin e azm e Payambar (S.A.W.W.A)
bun gai jiski hayat,
Jis ke bachon ki thokar se they jahan
mein mo’ajzat;
Jis ne bakhshi thi tujhay toqeer, aye
insan yaad kar,
Aye bani Adam, Abu Talib (A.S) ke ahsaan yaad kar
Muhammad ho Hyder ho Hasan-o-Husain
ya kay Beemar-e-Karbala
Baqir ho Jafar ho Kazim ho kay ho Ali
Raza
Taqi ho Naqi ho Askari ho ya
Akhir-uz-Zaman
Har juzz us ka peykar-e-Khaliq se
milay ga
Har fard ka sharjra Abu Talib se
milay ga
Jisne
Islaam Ki Taareekh Ko Haq Se Dekha
Usne Haider Ko Har Ek Jung Me Ghaalib Likkha
Jo Ali Aur Mohammad Ka Mohaafiz Hai Use
Ahle Imaa'n Ke Qalam Ne Abu Taalib Likkha
Jinhe bugzo taassub ne jakad rakhkha hai sadiyon se,
Unhi logon ka kehna hai Ali ke baap kaafir the.
Isi ka naam hai bugze Ali, oos daur mein warna,
Ali ko chhod ke baaki sabhi ke baap kaafir the.
Aye Musalmaano’n ye maana humne barbariyat ka hai
daur,
Tumko apna bhi zamana yaad aana chahiye.
Wo jo Muslim tha usay kaafir to tum ne keh diya,
Dafn usko kar diya jisko jalana chahiye.
Ehsaan kyon Rasool ke tum ne bhula diye,
Hai Faarsi mein jurm to Hindi mein paap hai,
Maa Fatima ki hai ye Khadija se hai jalan,
Imraan se hai bugz ke Haider ke baap hai.
Mufti yeh kis ke kufr ka ailaan ho gaya?
Shayad ke teri aql ko hizyaan ho gaya.
Jis ne Nabi ko palaa, woh kafir tere liye,
Aur qaatil e Husain musalmaan ho gaya?
Tum ne to kaha tha ke ye Rahman ka ghar hai,
Ye to mere Sultan ke Sultan ka ghar hai,
Aur har beta agar baap ke ghar aata hai saahab,
Phir aaj se Kaaba mere Imran ka ghar hai.
Li Haq ne madad subah shaam Abu Taalib se,
Rizq leta raha Islam Abu Taalib se,
Paalne wala Muhammad ko Khuda hai Shaukat,
Apne hisse ka liya kaam Abu Taalib se.
Teray amal se wo phooti ziya Abu
Talib
Misal ban gai teri wafa Abu Talib
Nabi kay Aqad ka Seegha gawah hey ab
tak
Teri raza hey Raza-e-Khuda Abu Talib
Zaat Wajib Tera Ehsaan Abu Talib hain
Farsh per arsh kay insaan Abu Talib
hain
Hain Nabi aur Ali Natiq-e-Quran agar
Ba-Khuda dono ka juzdan Abu Talib
hain
Haider ki adaawat tumhe kar deti hai andha,
Tum todne lagte ho shariyat ke bharam ko,
Imran ko kaafir to kaha, ye bhi na socha,
Baitullah ne rasta diya kaafir ke haram ko.
Jo bashar sahib e Imaan nahi ho sakta,
Wo Muhammad ka nigehbaan nahi ho sakta,
Qazi e Aqd e Muhammad ko jo kaafir samjhe,
Wo kisi taur musalmaan nahi ho sakta.
Kahtay they Nabi (S.A.W.W.A) mein hoon dunya k liye
rehmat,
Meray liye rehmat ka saaya hai Abu Talib (A.S),
Kis tarah kahey momen, kis tarah kahey kaafir,
Mufti teri gardan ka phanda hai Abu Talib (A.S).
Wo haqeeqi mard, wo pekar e azm o sabaat,
Jisney thokar se ulat di Abu Leheb ki kainat,
Zaamin e azm e Payambar (S.A.W.W.A) bun gai jiski hayat,
Jis ke bachon ki thokar se they jahan mein mo’ajzat,
Jis ne bakhshi thi tujhay toqeer, aye insan yaad kar,
Aye bani Adam, Abu Talib (A.S) ke ahsaan yaad kar.
MUFTI YE
KIS KE KUFR KA AEYLAAN HO GAYA,
SHAYYAD
TUMHARI AQL KO HIZYAN HO GAYA,
JIS NE NABI(S.A.W.A.W)
KO PALA WO KAFIR HAI AAJ TAK,
AUR QATIL-E-HUSSAIN(A.S) MUSALMAN HO GAYA.
ALLAH NE
BAKHSHA ABU TALIB KO WO BETA.
AISA TU
ZAMANY MAIN KOI LAL NAHI HAI.
KAFIR ABU
TALIB KO WOHI KEHTY HAIN JINKA.
NANHIYAL TOU MALOOM HAI, DADIYAL NAI HAI.
Gaizo Gazab
Me Jab Kabhi Aayi Hai Zindagi,
Maut Bankar
Har Simt Chayi Hai Zindagi,
Kafiq
Kahega Bas Wahi Haider Ke Baap Ko,
Jisne
Paraye Baap Se Paai Hai Zindagi
Jise Kahte
Ho Kafir Payamber Ka Wo Chacha Hai,
Ay Farzi
Baap Ke Beto
Wo Sab Kuch
Dekhraha Hai.
Hai Abh Bhi
Ghaib Me Bhaita
Abutalib Ka
Beta.
Quran e
Paak Ki Ayat to Koi Pesh Kar,
Kisi Yakeen
Ya Imkaan Ki Daleel To De,
Ali Ke
Walid Ko Kafir Bataa Raha Hai Tu,
Pahle Apne
Baap Ke Imaan Ki Daleel To Dey.
Abutalib Ko
Kafir Jisne Bhi Kaha Hoga,
Baroz e
Harsh Uska Haal Kafir Se Bura Hoga.
Nabi Ki
Parwarish Ki Hai Ali Parwarish Ki Hai,
Rasuallah
Se Badh Kar Kisi Ka Kya Chacha Hoga.
Jab feham ne badla kabhi tashkeek ka
qalib
Jab lafz se chheeni gai jageer
matalib
Jab fikr ki dunya per jahalat hui
galib
Islam pukara Abu Talib Abu Talib
Khud Haq kay liye Haq hi pareshan
nazar aaya
Baatil kay muqabil mein bhi Imran
nazar aaya
Iske Kalaam se hi Risaalat Kaleem he,
Iska Wajood Husn e Alif Laam Meem he,
Khud Soch Yeh Rasool Par Kitna Kareem
he,
Had he k Yeh na ho to Muhammad (s.a.w.w)
Yateem he.
Chahay Tu iS K LaaaL FaLak Par Jar'ray Rahain
Chahay Tu iS K Naqsh Zameen Pr Garay Rahen
Chahay Tu iS K Dar Pay FaRishTay Pary Rahen
Chahay Tu Ehtaram Me Choda-14 Khary Rahen
Bass MummKinat Main Yeh iS Hee Ka Maqqam Hay
IS Ki BAHOO BATOOL_sa Hay BETA IMAM_as Hay
Mit jayen gey ek roz ye Abu Talib kay
dushman
Hat jaye gi maazi per giraai hui
chilman
Ek roz mehak jaye ga insaaf ka
gulshan
Ban jaye ga uljhi hui tareekh ka madfan
Jo zehan mukhalif hey wo na-kaam
rahay ga
Abu Talib ka paala huwa Islam rahay
ga
Sary NABiYON Ke Madad Ko MURSAL'e
AZAM Bhary
Khud NABi'e DOO-JAHAN Ko Bhiiiiii
Sahara Chaheye
Aay ABU-TALiB Teriiiii Shan'e Fazilat
K Nisar
Aik Bay-Saya NABi Ko TERA Saya Chaheye
Rutba - pehchan musalman ''abu talib ka
karbala inki 'najaf 'inka -madina
'inka
baghe firdos
ki zeenat hai
ilaka inka
hai taaruuf -bahot aasan
abutalib -ka
'rutba -pehchan
''zainabo ' akbaro abbas hain shakhein inki
aur 'husnain '' se bete
hain jo aankhe inki
'dil ''hai-damane'
khurasaan-abutalib ka
rutba
pehchaan''''
jaise ki maine - usi tarah se nusrat karna
''ya ali '' -mere --mohmmed [s.a.w.]
--ki -hifazat karna
martey - martey hai ye farmaan 'abutalib ''ka
''rutba pehchan'''
deeno ima se -unhe -koiyee - sarokaar
nahi''
vo 'musalman bhi kehlaane -ke -haqdar
-nahi
jo -bhula -baithe -hain ''aihsan ''
abutalib * ka
Main Hoon ABU TALiB(A.S), Meri
Pehchan Yehe Hai
Kehtay Ho NABOWAT Jisay, Godi Main PaLi Hai
Paida Howa Ghar Mai Mere, PAYGHAMBAR'e Akhir(SAWW)
Baitay Ki WiLadat Meray, KABBAY Main Ho'e Hai
Ghar Me He NABOWAT Mere, Ghar Me He iMAMAT
Jo MALKA'e Jannat(S.A) Hay, Baho Mujh Ko MiLi Hai
Kiya Hai Mera Eman? Ab Pocho KHUDA Say
Bachpan Me NABOWAT Mere, Seenay Pay PaLi Hai
QURAN Mai Mojod Hai, Mere Naam Ka Surah •
PaLa Hai MUHAMMAD(SAWW) Ko, Sanad Tab Ye MiLe Hai •
Ae Khaliq-e-Qura'an teray Quran ki aayat •
Ayi na thi dunya mein magar Maine perhi Hai •
Talwaar ke saaye main sulaya hai Ali(A.S) ko •
Tab ja k Muhammad(SAWW) ki kahin jaan bachi Hai •
Bete Abu Talib ko diye aise Khuda ne,
Jo Deen ka sar ban gaye Islam ke shaane.
Takhleeq kiya jab humein Zahra ki dua ne,
Qudrat ne kaha farsh e aza jao bichhane.
Paide huwe Sajjad to sajdon ne di sadaa,
Ek aur Ali aa gaya Quraan bachane,
Sajjad se sikhe koi aadaab e ibaadat,
Saf-basta namazein ho khadi jis ke sajaane,
Jab chaahenge Jannat mein chale jayenge hum log,
Majlis ke bahane kabhi maatam ke bahane.
Aansu ki tarah rakh diye aankhon mein ye kis ne,
Aye Fatima Zahra teri tasbeeh ke Daane,
Sajjad ne yun baar-e-Imaamat ko uthhaya,
Naize se kaha Swalle-Alaa sab shohdaa ne,
Sajjad ne baksha hai Sahifa wo Dua ka,
Rukh badla jise dekh ke mandlaati qaza ne.
No comments:
Post a Comment