Ashaar Imam Sajjad (as)

                                            بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم   وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا








Karbala ke baad bhi tum Sayyad e Sajjad (a) ho,
Doosra hota to keh deta Khuda koi nahi.

Allah Tera Sajda Karna Maula Tera Matam Karna,
Ek Hum Ko Sikhaya Abid (as) Ne,Ek Humko Sikhaya  Zainab (sa) Ne.

Nasir Aakhir Adawat Ke Koi Adaab Hote Hai, 
Kisi Beemar Ko Zanjeer Pehnayi Nahi Jaati.


Abid Khade Hai Haidare Karrar Ki Tarah,
Zalim Pada Hai Takht Pe Bimaar Ki Tarah.
Tauq Or Bediyo Me Bhi Qaidi Hai Muttmayin
Hakim Laraz Raha hai Giraftaar Ki Tarah
Parwar Digar Tuhi Bataa Kya Kahe Use,
Jisko Imam Laaye Madadgaar Ki Tarah.

Zanjeer toot jaye gi kehtay hi YA ALI (A.S),
Darbaar dekh ley ga ke “MUKHTAR”  kaun hai,
ABID (A.S) ka wo jalal tha darbaar e Sham men,
Hakim ye poochta raha beemar kaun hai.


Tu raah-e-imtehan men saabit-qadam raha,
Sajjad (a.s), teray azm say haari hain bairhiyaan;
Kafi hai yeh daleel teri jeet kay lyay,
Khud zaalimon nay thak kay utaari hain baerhiyaan.


Sajjad bole ghez m ye foje sham se,
shabbir kya h sare jaha ko bataunga.
Sajjad mera nam h bimar hu to kya,
beyat ka aj zinda janaza uthaunga.
  
Sajjad a.s ki muskan sy lagta hai is tarah
hasnty hue quran ki deed hogayi
dekho toh karam kesa ye hum pe hua hai
abid a.s muskraye toh humari eid hogayi

Bata rahe hai zamane ko sayyed-e-sajjad(a.s.),
diler baap ka beta diler hota hai,
yazid khauf zada kyu hai kuchh bata to sahi?,
ke apne ghar me to kutta bi sher hota hai


Taarikh may gar shaam ka bazaar na hota
shabbir(a.s) ka beta kabhi beemaar na hota
sajjad(a.s) ko bai-mout yeh ghum maar gaya hai
bay parda haram sath hain or shaam chala hai



Daita ho aseeri men jo Paigham-e-Rihai,
Tareekh men aisa koi qaedi bhi kahan hai.
Baazaar men Abid (A.S) ko guzartay huey dekho,
Zanjeer ki jhankaar bhi Akbar (A.S)  ki azaan hai.


Darbar main Yazeed ko hizian hogaya,
Khutba suna to kufur pareshan hogaya;
Sunkar azaan Syed e Sajjad (A.S) ne kaha,
Dekho hamari fatah ka ailaan hogaya.

  
Sajdon se jisne daher ko abaad kar diya,
Khaaliq ne usko Sayyad e Sajjad (a) kardiya,
Ek be-nawa gareeb ka ejaaz dekhiye,
Khud qaid ho ke Deen ko azaad kar diya.


Sitam ko sabr ka kalma parh'hanay aya hai,
Ali (a.s) kay khoon ka jauhar dikhanay aya hai,
Pehan kay hath-karhi, bairhi, Hussain (a.s) ka baita,
Ameer-e-Shaam ko qaidi bananay aya hai.


Kitab-e-azm-o-shuja'at hai Syed-e-Sajjad (a.s),
Khuda-e-sabr ki ayat hai Syed-e-Sajjad (a.s),
Wo jis kay sajdon ko sajda namaz karti hai,
Waqar-e-shan-e-ibadat hai Syed-e-Sajjad (a.s).


SAJJAD(a.s) ki surat hy k quran ki surat,

SAJJAD(a.s) ny dho di hy jihalat ki kadurat.
matti mein mila di abu suffiyan ki murat,
SAJJAD(a.s) hy hr dor mein nabiyo'n ki zarort.
jb zulm ki bochaar mein faryad kry ga,
SAJJAD(a.s) ko islam tera yad kry ga.


Na kar tu mujhe qayd kerne ki koshish,

jaha mai rukaa tujhe rukna padhegaa
Agar mere peyro me daalega bedi
tujhe mere kadmo me jhukna padegha


Aisa koi beemar hay Sajjad say hut kar???

Rakh day jo bina taigh kay darbar ulat kar??
Main naam pay Abid a.s kay pehenta hun jo beydi...
Azadian aa jaati hain qadmon main simat kar.


Tera Sajda, Teri Masjid, Tera Kaaba,Sajjad,

Har Ibadat me hai Roshan Tera Chehra,Sajjad,
Ek taraf Azmat-e Taurait-o Zabour-o Enjeell,
Ek taraf Teri Dua'oun ka Sahifa,Sajjad,
Tere sajdo ke nishaan ab hai zindaano me,
Kyu na wan najm teraa sadqa utaare,Sajjad.



SAJJAD(a.s) Ko Bai-mout Yeh Ghum Maar Gaya Hai

Bay Parda Haram Sath Hain Or Shaam Chala Hai
Ay Shimr Laeen Kis Pe Tu Barsaata Hai Kodey
ABID(a.s) To Bari Dair Say Bey Hosh Para Hai.


Mei soochta hon kay Abid ka haal kya hoga..

Aseer hokay woh jub shaam mei gaya hoga..
Jo gaur keejiyay Abid bashar nahi lagta..
Meray khayal mei dukh dard ka khuda hoga
Suna Hai Sham Mai Jatay Hi Khoon Ronay Laga.

Najanay Shimr Nay Us Waqt Kya Kaha Hoga
Galay Kay Touq Nay ABID 'a.s' Ko Kya Chupana Tha
Wo Apnay Khoye Hue Laal Dhoundta Hoga
Wo Zulm Dhkhe Hain SAJJAD 'a.s' Nay HUSSAIN 'a.s' Kay Baad
Mujhe Yaqeen Hai Kay Ab Tak Bhi Ro Raha Hoga
Wo Yaad Karta To Hoga Watan Ki Shahi Ko
Behan Ko Dafan Jo Pardais Mai Kiya Hoga
Jo Ghor Kejey To ABID 'a.s' Bashar Nahe Lagta
Mere Khayl Ma Dukh Dard Ka Hoga



Nikhray huay kirdar ka Qur'an hai Abid (A.S),
Sar chashma-e-Deen, azmat-e-Iman hai Abid (A.S),
Taqdeer-e-Ali (A.S), qismat-e-Imran (A.S) hai Abid (A.S),
Islam ki tareekh ka unwaan hai Abid (A.S).


Tha Aalam-e-Malakoot mein Abid ka Musalla,
Thehra jahan Sajjad wahan thehra Musalla
Sajjad ka Allah se wo qurb hai wallah,..
Wajib hey Rasoolo p!r Abid ka Tawwala
Ghar ghar mein Musalley kabhi aabad na hote
Dunia mein agar Sayyed-e-Sajjad na hote


Jhuke hain shukr k sajdo me sajde
Woh sajdo ka fidayi aa rha hain
Azaano me tarannum hy khushi ka
Ali Akbar a.s.ka bhai aa rha hain


 Tum ne kamal, Abid e Beemar (A.S), kar dia,
Kitna buland sabr ka maiyar kr dia.
Khushi mili bhi agar koi ba'ad e Karbala,
Honton ne muskarnay se inkar kar dia.


Sogaya Shame Ghariba Se Bhi Pehle Suraj ,
Abb Jo Sajjad Jo Chahenge Sawera Hoga
Ye Imamat Hai Yaha Kaam Nahi Ummat Ka
Mustafa Jisko Chunenge Wahi Maula Hoga


Bun kay sajaway ki zeenat, ae Sajjad-e-Hazeen (A.S),
Choomti hai jink ay qadmon ko ibadat ki jabeen.
Zeenat hai ibadat ki, Wali Ibn-e-Wali hai,
Koi aur nahin, apnay zamanay ka Ali (A.S) hai,
Jab paish-e-Khuda koi bhi faryad karay ga,
Maula (A.S), wo dua'on ko teri yaad karay ga.


Gham e Husain mein Sajjad is qadar roye,
Jigar ka khoon kabhi aankh se judaa na huwa,
Imam baap ke gham mein ye roke kehte the,
Jo haq tha aap ko rone ka wo adaa na huwa.


Kaanton ko teri aabla-paayi nay rulaya,
Sehra ko teri aabla-paayi nay rulaya,
Zindan ko teri zakhm-numayi nay rulaya,
Sajjad (a.s) tujhay sari khudayi nay rulaya,
Tujh pay tau wo saa'at bhi qayamat ki gharhi thi,
Jab Sani-e-Zehra (s.a) sar-e-bazar kharhi thi.


Ek Shaam ka musafir beemaar-o-na-tawan hai,
Chehra lahu, lahu hai, zakhmon say khoon rawan hai;
Iss qaafilay ko guzray sadiyaan guzar chuki hain,
Aankhon say khoon ab tak beemar kay rawan hai.


Ya Rab na mil jaaye koi jaanne wala,
Bazaar mein Sajjad dua maang raha hai,
Tarikh ne ghairat ka Khuda likkha hai jisko,
Har mod pe Zainab ki rida maang raha hai.


Jab ghusl-o-kafan denay lagey Baqar-e-zi-jaah (A.S),
Dekha kay kayi daagh-e-siyaah pusht pay hain, aah,
Ro kar kaha kia cheez pasand aayi hai, ya Shah (A.S),
Iss Shaam kay hadyay ko lyay jatay hain humraah;
Aankhon say jo ta resh lakeerain si ayaan hain,
Chaalees baras ashk bahanay kay nishan hain.







                                                    اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

No comments:

Post a Comment