Ashaar Imam Husain (as)

 


 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم   وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا



Pics Ashaar Janab Shaukat Raza  🙌Shaukat

Hussain (as) Jaise Kisi Ke Bhi Waledain

Nahi,

Bahut Haseen Hai Yusuf Magar Hussain Nahi.

Kya Arsh Pe Bhi Sina Zani Hoti Hai Din Raat,

Ay Chaand Tere Sine Pe Ye Kaisa Nishan Hai.


Aap Ki Lanat Ho Aise Mad'rason Par Yaa Husain (a. s.),

Jis Me Pad Kar Log Matam Ke Mukhalif Ho Gaye

Islaam Ko Bedaar To Holene Do,
Har Qaum Pukaregi  Hamare Hai Hussain (as)

Zikr-e-Husain se jo jalta hai Mohsin,

Insaniyat ki zubaan mein usko Yazeed kehte hain.

Uthtay nahin jo hath hussain .as. Ke matam k liey.
Behtar hai wo haath namaz main bandhay rahen.

Zindagi na-umeed ho jati,

But-parasti jadeed ho jati;

Sar na detay Hussain (a.s) ibn-e-Ali (a.s) agar,

Sari dunia Yazeed ho jati

Chalo salam karain uskay aastanay ko,

Hussain (A.S) jiss ne diya paal ke, zamanay ko

Masjid ke saamne tujhe maatam nahin qubool,

Dete na sar Husain to padhta Namaz kaun.




Zikr-e-Husain aaya to aankheinn chhlak padi,
Pani ko kitna pyar hai ab bhi Husain se.

Ankhon k sahilon pe jo ashkon ka hai hujoom.

Shayed ghum-e-Hussain (A.S) ka mausam qareeb hai.

Tujhko bhi ho jaayega ehsaas-e-Karbala,

Tanha kisi aziz ki mayyat uthha ke dekh

Badla lena hai abhi nasl e Yazeedi se humein,

Har azaadar ko Mukhtaar bana de Maula.

Ek bekafan ke rozay ka mojiza to dekh.
Har shakhs chahta hai kafan karbala ka ho

Tu kya poonchta hai keemate ishqe hussain (a.s)

Daaman neechod doon to fariste wazu kare

"Juhkana chaaha tha jis sar ko Shaam waalon nay,

Shikast daikhye, us sar ko khud utha kay chalay."



"Jab bhi kabhi zameer kay saoday ki baat ho,

Datt jaao tum Hussain (A.S) kay inkaar ki taraah."

Kabhi Wo Mar Nahi Sakta Kasam Shahadat Ki,

Jo Kehraha Hai Shahe Mashraqain Zindabaad,

Ali (a.s) ke laal, payamber (s.a.w) ke chain zindabad,
Janab e fatima (s.a) k noor e ain zindabad,
Hai Kuch Yazid Ke Hami Bhi Iss Zamane Me,

Hare k Kehnahi Sakta Husain Zindabaad

Hazar baar Bhi Jo Marke Hum Huwe Zinda,

Hazaar Baar Kahenge Husain ZindaBaad.

Ishq e maula me gauhar roll diye jate hai,
waha bhi tohfe mujhe anmol diye jate hai,
hath matam ke liye kabr me azaad rahe,
isliye bande kafan khol diye jaate hai.

Na poochh kaise koi Shah e Mashreqain bana,

Bashar ka naaz, Nabuwwat ka noor e ain bana,

Ali ka khoon, luaab e Rasool, sheer e Batool,

Mile hain jab ye anaasir to phir Husain bana.

Mumkin nahi kisi se adaawat Husain ki,

Saanson mein batt rahi hai sakhawat Husain ki,

Bazaar ke hujoom se keh do ke chup rahe,

Quraan kar raha hai tilaawat Husain ki

Chhaye raho zamaane par aise Husainiyon,

Kasrat pe jaise chhayi thi qillat Husain ki,

Kuchh din ki sakhtiyan hain mohabbat mein doston,

Mehshar mein kaam ayegi ulfat Husain ki.

Haan lashkar e yazeed kay boorhon ko dosto,
maazi ki aik shaql dikhayi hussain(a.s) nay,
kar kay buland hath pey us dour ka ali,
sab ko ghadeer yaad karayi hussain(a.s) nay

Hussain bolo to phir kitaabein wahi ko apna bayaan bana de,
hussain soche to apne ghar ki kaniz fizza ko maa bana de,
hussain chahe to assi(80) salaa habib ko bhi jawaan bana de,
hussain dekhe jahaan jahaan bhi jahaan bhi jaaye jahaan ban de

Ishq ki ibtiada hai hussain (a.s),
dard ki intaha hai hussain (a.s);
jo mangnay se pehlay ho jaye qabööl,
wo muhammad (s.a.w.w.a) ki dua hai hussain (a.s)
Baharon muskuraon hussain (a.s) aaye hai
Sitaron tamtamaon hussain (a.s) aaye hai
Bhar do kaynaat aaj rangon ki kehkashaan se
Rangon main rang milao aaj hussain (a.s) aaye hai
Hussain [a.s] dharti pe roshni hai
hussain [a.s] darasal zindagi hai
hussain [a.s] taza hawa ka jhonka
hussain [a.s] pholon ki taazgi hai
hussain [a.s] sooraj mohabbaton ka
Hussain [a.s] raaton ki chandni hai
hussain [a.s] har daur ki haqiqat
hussain [a.s] har daur ka wali hai
hussain [a.s] mazloom ka sahara
hussain [a.s] har zulm ki nafi hai
hussain [a.s] maabood ki gawahi
hussain [a.s] ehsaas~e~ bandagi hai
hussain [a.s] saqi~e~aab~e~ kausar
hussain [a.s] sehra ki tashnagi hai..
Jannat ka chand arsh ka tara husain hai,
dube na jo kabhi wo sitara husain hai,
ye mojiza to dekhiye zahera k lal ka,
har kaum keh rahi hai hamara hussain hai..
Wo noor jisko shah e mashraqain kehty hain,
usi ko noor e khuda, noor e ain kehty hain.
Bikhar gaya to wohi noor kainaat bana,
simat gaya to usi ko hussain (a.s) kehty hain.

Gar dil mein kadurat hai Husain ibn e Ali ki,

Kaanta hai tu gulshan mein na kar baat kali ki,

Dozakh teri manzil hai usi simt safar kar,

Jannat to hai jaagir Husain ibn e Ali ki.

Duniya mein jo mohibb-e-Shah-e-Mashrekain hai,

Be chainiyon ke daur mein bhi usko chayn hai,

Baatil key saamne na jhukaaye jo apna sar,

Samjho ke uske zehan ka maalik Husain hai.

Ghuroor toot gya, koi martaba na mila,

Jafaa kay ba'ad bhi kuchh haasil-e-jafaa na mila;

Sar-e-Hussain (A.S) mila, haan, Yazeed ko, laikin,

Shikast yeh hai kay phir bhi jhuka hua na mila."

Sajde mein mehv-e-raaz the jab be-niyaaz se,

Baithhe Husain pusht-e-Muhammad pe naaz se,

Sajde ko de ke tuul ye bat'la gaye Rasool,

Logon mera Husain hai afzal namaaz se.

Kausar kay Saaqi (S.A.W.W) ka woh naawaasa Hussain (A.S) tha,

Jab Karbala kay dasht mein piyaasa Hussain (A.S) tha;

Baadal Yazeediat kay jo phailay they chaar soo,

Un mein chamakta aik sitaara Hussain (A.S) tha."

Marzi hai teri fikr mein tarmeem kar na kar,

Sultaan e aql o ishq ko tasleem kar na kar,

Bachpan mein dekh le zara dosh e Rasool par,

Phir tu mere Husain ki taazeem kar na kar.

Husain zinda hai dastoore zindagi ki tarah,

Shaheed marta nahi aam admi ki tarah,

Yazeed doob gaya Shaam ki andheron mein,

Husain phaila hai duniya mein raushni ki tarah.

Quraan ne pukaara jise Nafs e Mutmaeen,

Khaaliq ki nazar mein hai ye darja Husain ka,

Sheh naize pe karte hain tilaawat Quraan ki,

Quraan padh raha hai qasida Husain ka.

Kat ke bhi sab sey jo ooncha hai wo sar kis ka hai,

Lutt ke abaad hai ab tak wo jo ghar kis ka hai,

Takht waalon ne muarrikh bhi kharide honge,

Zikr duniya mein magar shaam-o-sahar kis ka hai.

Haq ko qaraar, deen ko bhi chayn aaya hai,

Khush hai zamana, Shah e Mashreqayn aaya hai,

Fitroos chalo apni khataa bakhshwaane ko,

Ke Fatima ki goad mein Husain aaya hai.

Ruhe nabi hai ya ali (a.s) to jaan ya hussain (a.s)
Kulle imaan ya ali (a.s) to shaan ya hussain (a.s)
Haider hai haq ka rasta shabbir rehnuma
Nahjul balagah ya ali(a.s) to quran ya hussain (a.s)

Maazi ki khamiyon ki talaafi hai ya hussain (a.s)
Gar bhool chuk ho to maafi hai ya hussain (a.s)
har darde la elaaj main shaafi hai ya hussain (a.s)
Dushman ki maut ke liye kaafi hai ya hussain (a.s)

Hussain (a.s) doshe risalat ki zayb wa zain hussain (a.s)
Hussain (a.s) fatema zehra(s.a) ke dil ka chain hussain (a.s)
Mujhe najaat mili do jahaan ki uljhan se
Bas ek baar jo ro kar kaha hussain (a.s) hussain (a.s)

Tauheed ki chaahat hai to phir Karbobala chal,

Warna ye kali khul ke khili hai na khilegi,

Masjid ki safon se kabhi maqtal ki taraf dekh,

Tauheed to Shabbir ki Sajde mein milegi.

Phailaa raha hoon is liye kashkol e bandagi,

Saanson ko Karbala ki haraarat ka shauq hai,

Jannat ki ehtiyaaz nahi hai mujhe to bas,

Shehre Husain teri Ziyarat ka shauq hai.

Tum kis ke saath uthhoge Mehshar ki bheed mein,

Dhundo waseela koi to aaram o chayn ka,

Hum log pur-yaqeen hai bakshish ke waaste,

Hoga hame naseeb sahara Husain ka.

Kull Anbiya ki wafa ko HUSSAIN (A.S) kehte hain,

KHUDA ki khas adaa ko HUSSAIN (A.S) kehte hain;

Bacha ke deen-e-KHUDA jo KHUDA ki laaj rakhay,

Zaban-e-ishq main uss ko HUSSAIN (A.S) kehte hain.

Daana, daana meray HUSSAIN (A.S) ka hai,

Sara zamana meray HUSSAIN (A.S) ka hai;

Jo badalta hai sab ki taqdeerain,

Woh gharana meray HUSSAIN (A.S) ka hai.

Mera Husain Bagh-e-Nabuwat Ka Phool Hai,

Haider ki is main jaan hai khoon-e-Batool hai,

Aal e Nabi ka pyaar hai imaan ki zindagi,

In se nahi hai pyaar to sab kuch fuzool hai,

Kushiyaan sabhi nisaar hain oos par jahaan ki,

Jis ko gham-e-Husain mein rona qubool hai,

Tu oon ke dar se maang le jo kuchh bhi jee kare,

Malik sabhi jahaan ke Aale Rasool hai,

Jannat tere wajood ko tarsegi khud ba-khud,

Aa tu mere Husain ka hub-daar banke dekh,

Tujhko bhi ho jaayega ehsaas-e-Karbala,

Tanha kisi aziz ki mayyat uthha ke dekh.

Shaukat wahaan makhlooq e Khuda radd nahi hoti,

Naadaar ki, saayil ki sada radd nahi hoti,

Ejaaz hai darbaar e Husain ibn e Ali ka,

Shabbir ke rauze pe dua radd nahi hoti.

Sang-baari se agar koi Nabi zakhmi ho,

Usko par-haa e Malaaek se dawa milti hai,

Koi maazoor ho majrooh farishta Shaukat,

Usko Shabbir ke jhule se shifa milti hai

Afsos mujhko hai ke adaa kar na paaunga,

Chhoti si meri zindagi mein gam Husain ka,

Meri lahed mein chhodna itni jagah Salim,

Marne ke baad kar sakun maatam Husain ka.

Hurr ko shahadaton ke chaman ki talaash thi,

Jugnu ko surajon ke vatan ki talaash thi,

Ek bekafan ke Rauze ka aijaaz dekhiye,

Duniya ko Karbala ke kafan ki talaash thi.

Apne dukhon mein ayaa jo Shabbir ka khayaal,

Shikwa tadap ke shukr mein tabdeel ho gaya,

Har gham mein Karbala ne sahara diya humein,

Har gham Gham e Husain mein tehleel ho gaya.

Usool e fitri pe ye be-usool rote hain,

Chubhan mein khaaron ki shaakhon pe phool rote hain,

Lagayein ispe bhi fatwa kahaan hai fatwa-farosh,

Husain goad mein hain aur Rasool rote hain.

Guroor tutt gaya koi martaba na mila,

Sitam ke baad bhi kuchh haasil e jafa na mila,

Sar e Husain mila Hai Yazid ko lekin,

Shikast ye hai ke phir bhi jukaa huwa na Mila

Kam-zarf Saqife waalon ki, har chaal ka paikar khul jaaye,

Taarikh ke meezaan mein Shaukat, Maasoom ka mansab tul jaaye,

Quraan padha tha Maula ne is waastey nauk e naize par,

Nana pe jo rakkhi dushman ne, Hizyaan ki tohmat dhul jaaye.

Dushman shikaar e mauj e amal ho ke reh gaya,

Sab taaj o takht rizq e ajal ho ke reh gaya,

Allah re Husain tere sabr ka mizaaj,

Dast e sitam uthha tha ke shal ho ke reh gaya.

Guzra jahaan jahaan se nawasa Rasool ka,

Ab tak wahan Khuda ke karam ka nuzool hai,

Aaisi azeem zaat hai Maula Husain ki,

Jis ke liye Rasool ke sajdon mein tuul hai,

Duniya mein aur kaun hai Shabbir ke baghair,

Aisa sawaar jis ki sawari Rasool hai,

Jis ke liye Yazeed ne itne sitam kiye,

Woh taaj to Husain kai qadmon ki dhool hai,

Mera Husain sidiq-o-wafa ki kitaab hai,

Quraan is kitab ka shaan-e-nuzool hai.

Jis ne Shabbir se wafa ki hai,

Us ki marzi bhi ab Khuda ki hai,

Itni qeemat nahi Furaat teri,

Jitni ABBAS ne adaa ki hai.

Suna hai Ya Rab tu shah rag ke qareeb rehta hai,

Jab Husain par khanjer chala to tujhe pe kya guzari.

Aatank se darr jaaye wo buzdil nahin hai hum,

Jannat ka Sultaan Husain ibn-e Ali hai,

Munh bolta Quraan Husain ibn-e Ali hai,

Maana ke Momin ki pehchaan hai Kalma,

Par Kalme ki pehchaan Husain ibn-e Ali hai.

Lab par hai mere naam Ali ka sajaa huwa,

Aashur-khana dil mein hai mere banaa huwa,

Mujhko fishaar e kabr ho, mumkin nahi Salim,

Mera badan hai khaak e Shifaa se malaa huwa.

Main kya bataaun aap ko kya kya Husain hai,

Sajdey ki rooh, Kaabe ka Qibla Husain hai,

Hukm-e-Khuda hai tuul do Sajde ko Aye Rasool,

Jab tak tumhari pusht pey baitha Husain hai,

Soya huwa hai Karbobala ki zameen par,

Or saari kayenaat mein phaila Husain hai, 

Pani bagair chalti nahi kashti-e-hayaat,

Khushki mein jo chale wo Safeena Husain hai,

Baiyat-talab Yazeed ko shaayad khabar nahi,

Sher-e-Khuda ki goad ka paala Husain hai.

Is raat ka hum-sar kahin raaton main nahin tha,

Angushtari ashaab the Shabbir nagee'n tha,

Bus Kaaba-o-Quraan-o-Khuda sab hi wahin tha,

Khud Jon bhi is raat mein Yusuf se hasee'n tha,

                 

Ahsaan kiya Shah ne kirdaar ki khu par,

Duniya ko jhuka diya Habshi ke lahu par.

Itrat ye keh rahi hai ke Kaunain ka naseeb,

Tehreer hai Husain ki zakhmi jabeen per,

Dekho urooj-e-Khaak-e-Rah-e-Karbala ke aaj,

Jannat yeh chahti hai Main hoti zameen par.

Bibi Zainab ka darbaar-e-Yazeed mein Khutba :

Ismat se bana hai mere Shabbir ka paikar,

Tu naar hai, woh noor ki tanveer ka paikar,

Takhreeb tera azm, woh taameer ka paikar,

Tu rijs saraapa hai ,woh tat-heer ka paikar,

Tu jismon ka haakim hai, woh zehnon ka Wali hai,

Tu Muawiya-zada, woh Hussain ibne Ali hai..

Jo the fanaa ki zad mein baqaa maangne lage,

Jo la-ilaaj the wo dawaa maangne lage,

Khoon e Husain e paak ki taasir dekhiye,

Karbobala se log shifa maangne lage.

Karam Husain ka mujh par mazeed ho jaaye,

Marun jo farsh e aza par to eid ho jaaye,

Ajeeb jazba hai har maa dua ye karti hai,

Khuda kare ke mera bachcha shaheed ho jaaye.

Be-khabar  hoke  zamaane ki sabhi yaadon se,

Deen ke Sultaan teri yaadon mein kho jaate hain,

Dil jo kehta hai chalo khwaab mein Jannat dekhein,

Hum Aza-khane ki dehleez pe so jaate hain.

Aye maa tera mashkoor hoon kya teri ataa hai,

Shabbir pe rona teri godi se milaa hai,

Hathon se mujhe tu ne khilaaya hai tabaruuk,

Ehsaan tera meri rag rag mein basaa hai,

Yeh Naare ye Salwaat ye Sajde ye Namaazein,

Har ek Amal teri hi godi se mila hai.

Phir zakham na khul jaaye kahin Aal e Ali ke,

Jalte  huwe khaimon ki wohi shaam na likhna,

Jo zikr na karte ho Husain ibn e Ali ka,

Oos shehar ke logon mein mera naam na likhna.

Maula Husain teri mawaddat se ahad hai,

Is ahad par hamari anaa ko guroor hai,

Hum tere dushmanon ko na bakshenge Hashr tak,

Aur Hashr mein bhi oon se ulajhna zuroor hai.

Hurr ne jo haath baandh ke sar ko jhuka diya,

Maula ne apni shaan mutaabiq sila diya,

Maa ka rumaal baandh ke Zahra ke laal ne,

Uski jabeen se daagh e nidaamat mita diya.

Takhleeq e Kaenaat ko dekha hai baarha,

Shabbir inteha hai Khuda ke kamaal ki,

Jab tak Khuda rahega rahegi Husainiyat,

Kitni daraaz umr hai Zahra ke laal ki.

Zawwar Sheh ke qehr e Ilaahi se duur hain,

Zahra ke dil ke waastey wajh e suroor hain,

Dekhein na unko hum ye nazar ka qusoor hain,

Shabbir zaaereen se milte zuroor hain.

Qubool is liye naize ki nok ki usne,

Sar e burida mera dushmanon mein pust na ho,

Wo sar uthaaye huwe qaatilon se kehta hai,

Husain hota hi wo hai jise shikast na ho.

Chashma hai jiske faiz ka jaari kidhar gaya,

Pusht e Nabi thi jiski sawaari kidhar gaya,

Nok e sinaa pe jisne sunaya kalaam e Haq,

Quraan dhoondta hai wo qaari kidhar gaya.

Hai zindagi ye khatm, nikalta hai mera dum,

Mujhko gham e Husain ke hai chhuutne ka Ghum,

Maidaan mein Mehshar ke main jaaoonga yun Salim,

Hothhon pe Marsiya ho, mere haath mein Alam.

Jis ne dil o nazar se mawaddat qubool ki,

Usne bas ek ashk mein Jannat wasool ki,

Deedar jis ne kar liya qabr e Husain ka,

Samjho usay huwi hai ziyarat Rasool ki.

Kehte hain ek lagegi adaalat jazaa ke din,

Jo be-Wila hai khauf ke maare aleel hain,

Shaukat hame adaalat e Yazdaan ki fikr kya,

Ahle azaa ke waastey 14 vakeel hain.

Haan Fatima ke laal ne wo kaam kar diya,

Ghadiyaan kategi deen e Muhammad ki chayn se,

Chhappan baras Husain rahe hain Rasool se,

Mehshar talak Rasool rahenge Husain se.

Shaor-e-Subh-e-Azal ko Hussain Kehte Hain,

Amal k Husn-e-Amal ko Hussain Kehte Hain,

Hussain-o-Minni pe ruk Mat Minal Hussain bhi parh,

Rasool Apne he kal ko Hussain Kehte Hain.

Raahib se Poochye kbi Fitras se poochye

Kashti Bhanwar mein ho to Kinara Hussain(as) Hay

Haidar(as) ka Aftab hai Zehra(sa) ka Maahtab

Hurr(as) ke naseeb ka to sitara Hussain(as) Hay

Ye Phool teesra hai Imamat ki Shaakh par

Jis ko Nabi(saww) parhein w...o Sipara Hussain(as) Hay

Taa Hashr ye Khayal mere Dil ka Chain hai...

Mohsin” Meri Najaat ka Zaamin Hussain(as) Hay 

Lillah Bas Karo Na Satao Hussain(as)  Ko                                                     

Tark-e-Namaz Se Na Rulao Hussain(as) Ko

Aashiq Ho Karbala k Namazon Se Door Ho

Jao Parho Namaz Manao Hussain(as) Ko.



Phota Tha Jo Kabhi Kisi Naize Ki Nook Sai!

Har Ehaid Par Maheet Wahi Inqilab Hai!

Har Dour Main Hussain(A.S)Nai Sabit  Ye Kar Dia!

Har Dour K Yazeed (Lanat) Ka Khana Kharab Hai



LAY K DASTOOR-E-AMAL EMAN KA,

CHAND NIKLA TEESRI SHABAN KA,

FATIMA ZEHRA (s.a) TUMHARI GOUD MAIN,

HAY BADAL YE SURA-E-REHMAN KA

Sadaqaton Ki Nishani Hussain a.s Hay ,
Duniya Me Inqilab Ka Bani Hussaina.s Hy... ,
Dushman Ko Jis Nay Apney Lahoo Say Shikast Di ,
Woh Mard E Haq Woh Haider a.s E Sani Hussain Hay

Guzraa hai barchhiyon mein ibaadat guzaar kaun?

Maidaan-e-Karbala mein hua kaarsaaz kaun?

Masjid ki har deewaar se aati hai ye sadaa:

Daitay na sar Hussain (A.S) tau parhhta namaz kaun?"

Suraj abhi na ja tu had e mashrqain se,
jibrael aik pal ko thaher tu bhi chain se,
ae mout saans rook, zamane qayam kar,
masruf e guftugu hai khuda khud hussain se.

Naadeali jo wird zuban karti chali gai,
umarerawan sukoon se guzarti chali gai,
duniya se zikre aalemuhammad na mit saka,
duniya ye aarzu liye marti chali gai,
jisne darehussain a.s pe sar ko jhuka dia,
wo shaksiyat jahan mein nikharti chali gai.


No comments:

Post a Comment