بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم وَصَلَّى ال عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا
Akbar (A.S) Ka Sina De Ke Wilayat Bachayi Hai
Puche Koi Husain Se Keemat Ghadir Ki.
Kitne Majbur Hai Katil Bhi Ali Akbar (as) Ke
Jab Azaan Dete Hai Akbar Ki Sadaa Aati Hai.
Laila (S.A) kay ghar mein, doston, jashn-e-nuzool hai,
Aaghosh mein Hussain (A.S) ki chhota Rasool (saw) hai.
Fursat milay, tau poochh, bashar kay sakoon se,
Islam sur-khroo hua Akbar (A.S) kay khoon se.
Ali Akbar Ke Aate Hi Yu Mansab Ka Juda Hona
Mubarak Umme Laila Aap Ko Aaminaa Hona.
SIRF 2 HI JAHA MAIN AKBER HAIN.
YA HAIN ALLAH. YA ALI AKBER HAIN.
Khuda Ke Deen Ki Shariyat Ki Jaan Hai Akbar (as)
Agar Namaz Hai Sarwar Azaan Hai Akbar (as)
Hai 14 Sadiyo Se Atthara (18) Saal Sind Inka
Zaeef Hogayi Dunya Jawan Hai Akbar (as)
السَّلامُ عَلى الحُسَيْنِ وَعَلى عَلِيِّ بْنِ الحُسَيْنِ وَعَلى أَوْلادِ.🌹 الحُسَيْنِ وَعَلى أَصْحابِ الحُسَيْنِ .🌹
Hai Isliye Naam e Ali (a) Sabhi Beto Ka Hasan
Maula Ali (as) Ke Potey Hai Ye Sab Ko Pataa Hai
Bazaar Me Abid (A.S) ko Guzartay Huey Dekho,
Zanjeer Ki Jhankaar Bhi Akbar (A.S) Ki Azaan Hai.
Beta Husain ka hai bada qeemati ratan,
Soorat hai Mustufa ki mili, Seerat e Hasan,
Daada Ali ka naam hai, daadi ki umr hai,
Akbar mein hum ne dekhi hai tasveer e Panjetan.
Sibtay paigambar ko hasil ye saadat hogayi,
Ghar main hum shakal-e- payambr ki wiladat hogayi,
Mil gai shabeer(a.s) ko ek waqt main dohri khushi,
Betay ka deedar nana (saw) ki ziyarat hogayi.
Hum Shakl e Payambarص Hai Ali Akbarع,
Seerat Mein Dusre Haider e Kararع Hai Ali Akbarع,
Sinn Mein Dadi Zahraص Ke Barabar Hai Ali Akbarع,
Misle Shabbarع Kull Ke Madadgaar Hai Ali Akbarع,
Akbar Dil e Zainabس Ki Aas Hai,
Akbarع Hussainع Ka Ehsaas Hai.
Apne khaali Ghar me Sughra ko Ye Aaya hai Khyaal.
Aaj hi ka Din tha, kya Rounaq thi Ghar me Pichley Saal.
Chand se Maathey pe Lehraatey hue Akbar ke Baal.
Choomte the Bhai ki Peshaani, Shaah-e-khush-Khisaal.
Dil Behen ka Yaad-e-Akbar me ye keh kar kho gaya.
Mera Bhaiyya !! Aaj Atthaara Baras ka ho gaya.
✍🏻 Faseel Kazmi Sahab
Is baat se
zahir hey rutba Ali Akbar ka
Hota hey azaano mein charcha Ali Akbar ka
Aey Hur teri kismat ne kyun aaj yeh kerwat li
Kiya subah ko dekha tha chehra Ali Akbar ka
Hota hey azaano mein charcha Ali Akbar ka
Aey Hur teri kismat ne kyun aaj yeh kerwat li
Kiya subah ko dekha tha chehra Ali Akbar ka
Akbar (A.S) shabab-e-husn-e-Payambar (saw) ka naam hai,
Akbar (A.S) jalaal-e-jazba-e-Haidar (A.S) ka naam hai,
Akbar (A.S) arooj-e-mehr-e-munawwar ka naam hai,
Akbar (A.S) Hussainiyat (A.S) kay muqaddar ka naam hai,
Thehre jispe nazar wo kaamil qamar hai
Tasvir e Nabuwat hai, Imamat ka jigar hai
Ali ki shujaat Abbas ka jalaal hai
Akbar zainab ki parwarish ka samar hai
Ajeeb noor ka payker dikhai deta hey,
Falak kay chand se behtar dikhai deta hey,
Khush naseeb kay Laila tera Ali Akbar,
Imam ko bhi Payamber dikhai deta hey.
Zikre Sarkaare do Aalam ka maza aata hay
Jab bhi hoti hai kahin baat Aliakbar ki
Husn e Yusuf ko nazar may nahi laate jibreel
Inko haasil hai mulaakaat Ali Akbar ki
Mere aangaan may andhera nahi hone waala
Roz padhta hun munaajaat Ali Akbar ki
Martaba maa se ziyada hay phuphi Zainab ka
Parwarish ki hay jo din raat Ali Akbar ki
Jurat e Sher e Khuda, Shaql e Nabi, Umr e Batool
Sab sameta tau bani zaat Ali Akbar ki
Mera Allah use Chand sa beta dega
Dil se maange ga jo khairaat Ali Akbar ki
Ye Mustafa (saw) nay khwaab mein Shabbeer (A.S) se kaha,
Ya'ani Quraan-e-Paak nay Tafseer se kaha,
Rooh nay Badan se, Loh nay Tahreer se kaha,
Deen-e-Khuda nay Deen ki Taqdeer se kehe,
Kyun hain udaasiyaan mairay maz'har ki shakl mein,
Mein aa raha hoon phir, Ali Akbar (A.S) ki shakl mein.
Shabbeer (a.s) ko wirasat-e-Khair-ul-Wara (s.a.w.w.a) mili,
Abbas (a.s) ko shuja'at-e-Sher-e-Khuda (a.s) mili,
Qasim (a.s) ko azmat-e-Hasan-e-Mujtaba (a.s) mili,
Iss ghar mein sab ko shaan, Khuda say, juda mili,
Zainab (s.a) nay paya rutba-e-a'ala Batool (s.a) ka,
Akbar (a.s) ko mil gya hai sarapa Rasool (s.a.w.w.a) ka.
Girtay huay ye keh ke Shah e behr o ber (A.S) chalay,
Daaman dareeda, khak ba sar, noha ger chalay,
Zainab pukari duorhi say Shah (A.S), kidher chalay?
Murh ker kaha uthanay ko lash e pìsar chalay.
Faryad hay Ali (A.S) ki, duhaee Batool (S.A) ki,
Tasweer zalimon nay mita dee Rasool (saw) ki.
Dasht-e-Bala mein gumm Ali Akbar (A.S) ki laash hai,
Farzand-e-Fatima (S.A) ko pisar ki talaash hai,
Zakhm-e-jigar pay naakhun-e-ghum ki kharaash hai,
Sang-e-alam say sheesha-e-dil paash, paash hai,
Bano (S.A) ko ghum hai, Ahl-e-haram dard-mand hain,
Hay, hay pisar, ki ghar mein sadaaen buland hain.
Aye Arz-e-Karbala, mera dilbar kidhar gya,
Aye Dasht-e-Nainawa, mah-e-anwar kidhar gya,
Maqtal mein Hum-Shabeeh-e-Payambar (A.S) kidhar gya,
Aye nehr-e-Alqama, Ali Akbar (A.S) kidhar gya,
Nikla hoon mein jawan pisar ki talaash ko,
Batla mujhay meray dur-e-yakta ki laash ko.
No comments:
Post a Comment