Ashaar Janabe Qasim (as)

 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم     وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا

Lafzo Ko Zulfiqar Si Taaseer Kar Sake,
Batil Ki Qainat Ko Takseer Kar Sake,
Qasim (as) Ke Masiwa Koi Paida Nahi Huwa,
Jo Zindagi Me Maut Ki Tafseer Kar Sake.


Mai Jo Ejaz Dikhau To Ye Nakshaa Badle,
Aaag Paani Me Lage Aag se Paani Barse,
Arsh Pe Fasl Ugey Farsh Se Suraj Nikle,
Jo Kahraha Ye Maan Lo to Bahtar Hai,
Mai Kaun Hu Mujhe Pahechan Lo To Bahtar Hai.
Sharafato Ke Amal Ka Mai Natija Hu,
Yahi Bahut Ke Abbas (as) Ka Bhatija Hu.



Jibreel Tu Khadim Hai Dare Aale Nabi (saw) Ka

Rahjaye Tere Hoto Pe Jo Wird Mubarak

Shabbir (as) Ke Ghar Jaa Ke Zara Meri Taraf Se

Abbas (as) Se Kahna Tujhe Shagird Mubarak. 



Fiza mein aaj kitni dil-kashi, kia jaan-nawazi hai,
Yeh sab Qasim (a.s) ki bazm-e-dehr mein jalwa-tarazi hai;
Yeh gul woh hai kay jiss ki rug, rug mein barq-tabani,
Hasan (a.s) kay khoon mein Shabbeer (a.s) ki kirdar-sazzi hai.


Hasan (a.s) ki goad mein ek aftab utra hai,
Kay maah qadmon ko choomnay zameen pay utra hai;
Liyay huay hain Qasim (a.s) ko Hasan (a.s) hathon par,
Zameen say arsh talak iss ka noor bikhra hai.


Aamad e Qasim hoi hay mujtaba ki gaud me
Khud hassan aye thay jaisey murtaza ki gaud me
Bha gai qasim ki surat jab zameen k chand ko
ye kaha yun saatwin me chaudwin ka chand ny
hay pisar qasim hassan ka fatima ki gaud me
Aisa lag raha k chaand agay hy chaand ki gaud me


Dilon pay naqsh rahay gi azmat-e-Qasim (a.s),
Hisaar-e-noor mein goya hai soorat-e-Qasim (a.s),
Hasan (a.s) ki goad mein aye woh muskuratay huay,
Mubarak aap ko bhi ho wiladat-e-Qasim (a.s).


Khoshi Se Jhoom Uthi Hain KaLiyan Bagh'e ZEHRA Ke
Yahan Amad Hy QASiM Ke, Bhari Hy Goud FARWA Ke
Mubarak Ho Mubarak Ho iMAMe MUJTABA TuM Ko
Yeh He Aati Hain Jannat Se Sadaen BiBi ZEHRA Ke


QASIM (a) Karbala Ka Ajab Intekhab Thay,
Tifli Main Bhi HASSAN (a) Ka Mukamal Shabab Thay,

QASIM (a) Karbala Main wo Johar Dikha Gaye,

Bhaghodo Ki Aulaado Ko ALI (a) Yaad Aa Gaye.




Woh jis ne mehndi ka rang khoon se rachaya, 
Woh jis ne apna sehra jang mein sajaya. 

Woh jis ki laash ke tukdo[n] ko SHAH ne uthaya, 
Aaj us gulbadan ki wiladat ka din hai aya. 

Aaj Wadi e Zehra (a.s) pholo[n] se saji hai, 
Karbala ke shaheedo[n] ki ek aur kali khili hai.





Lashkaron Pay Aik Piyasay Ke Charhai Daikh Lay
Kufar Par iSLAM Ke Zoor Azmai Daikh Lay
Keh Rahe The Logon Se Run Mai QASiM Ke Wo Jang
SuLah Dekhi The HASSAN_a.s Ke Ab Larai Daikh Lay.


Umm-e-Farwa (s.a) k chand zinda bad,
Tery rukh per shikan nahi dekhi,
Aa k dekhy wo Hamla-e-Qasim (a.s),
Jis ne Jang-e-Hassan (a.s) nahi dekhi.


Tohfa Hasee'n Pa K Bohut Khush Hy MUJTABA
Nazuk Badan GuLab Sa Beta Aata Hua 
RAB K Huzur Mangi The SHABBAR Ne Ek Dua 
AuLad Kar Aata K Jo Ho MisL'e Ba-Wafa
Lo Us Dua Ka Aaj Samar Ban K Aa Geya 
QASIM (as) Ka Noor Aaj Zame'n Par Hy Chha Geya.


Ye PHOOL Jo Mehka hy GuListan'e HASAN-as Me
Mehky Ga Ye ta-hasar Ab Ema'n k Chaman Me
2no hen FUN'e jang Me ABBAS-as K Shagird
kuch FarQ Nhi AKBER'o QASiM-as K ChaLan Me
Chehry Se Numaya'n hen Sab Andaz ALi-as k
HYDER-as ki TajjaLLi hy Ye Aaghosh'e HASAN-as Me.


Gulshan-e-Panjtan(AS) pe Bahar agayi,
Ye Haseen ban k Husan-e-Chaman agaya,
Le ke Hathon par Shabbir(AS) khene Lage,
Lo meri karbala ka Hassan (AS) agaya.


Ho Mubarak Aaj Farzand'e HASSAN Paida Howay
Ban K Noor'e PANJATAN Ye GuL Badan Paida Howay
MisLay Zarba'e HAiDERY Pakaray BaTiL Kay Liye
Tegh Ban Kar Jis Ka Har Azo'e Badan Paida Howay
Nusrat'e Dee'n Main Lutanay Ko Mata Jaan-O-Tan
UMM'e FARWA'N Ka Wo GuL Perahan Paida Howay.


Ghar hasan (a.s) ka saja hai bahut ehtemaam se
Anbiya (a.s) mubarak de rahe hai ehteraam se
Masoomiyat ke mehke hue maasoom chaman main
Sabse nazook phool khila hai qasim ke naam se


Dilon pe naqsh rahay gi azmat e qasim (a.s)
hisar e noor mein goya hai surat e qasim (a.s)
hassan (a.s) ki god mein aaye woh muskuratay huway
mubarik aap ko bhi ho wiladat e qasim (a.s)


Jab aamad’e qasim hoi zehra kay chaman main
khushbu gul’e shabbar ki mehakti thi pawwan main
thi roshni is chaand ki haider kay sehan main
firdous utar aayi thi firdous’e hassan main
fizza nay khabar di kay walli aagaey mola
phir shakal main qasim ki ali aagaey mola


Jo Chand saa dikhai de qatil ko bhi apne
Maaki nazar main kya hoga wo, Khuda hi bata sake


Karbobala ki Dharti par Islam ki qismat jaage hai
Ek tera baras ke ladke se do lakh ka lashkar bhaage hai
Qasim jo chale su e maqtal, Abbas chale peeche peeche
Haider ki jawani peeche hai Haider ka ladappan aage hai


7 shaban musarat ki khabar layi hai
ghar mein shabbar (a.s) k mehakti sehar aayi hai
aamad e hazrat e qasim (a.s) ki shab mubarik ho
gulshan e panjatan (a.s) per no bahar aayi hai.


7 Shaban ko puch Tarikh se Ghar me Shabbar(AS) k ek paak zaat agyi,
Farsh pe Ghar Ali(AS) ka kuch aysa saja, Arsh walo ki kul kainaat agyi,
Suna Suna sa Ghar Sona Sona hua, Khud Jabeen Raiz hone Hayat agyi,
Is Haseen shab me Qasim(AS) ki amad hui, Khuld taqseem hone ki raat agyi.


Zamana Laa nahi sakta Jawab Qasim (a) ka, 
Moheet-e-Husan-e-Hasan (a) Hai Shabab Qasim Ka.

Tajali Dekh Ke Sajday Mein Gir Padhe Yousuf, 
Hata Dein Farwa Jo Rukh Se Naqab Qasim (a) Ka.

Kiya Hussain Ke ALLAH Ne Ba Shakal-e-Hasan (a),
Hai Karbala Ke Liye Intehab Qasim (a) Ka.

Chali Hasan (a) Ke Qalam Jaisi Taig Qasim (a) Ki, 
Har Aik Waar Raha Kamyab Qasim (a) Ka.

Gharoob Iss Liye Hota Hai Karbala Ki Taraf, 
Hai Jata Chomney Dar Aaftab Qasim (a) Ka.



Ronay lagey Sheh (A.S) laasha-e-Qasim (A.S) say lipat kar,
Sar peet kar chillaaye kay hay, hay, meray dilbar,
Aa ponhchay wahan itnay mein Abbas-e-Dilaawar (A.S),
Ro ro kay Alamdar (A.S) say kehnay lagey Sarwar (A.S),
Mein lut gya, duniya say safar kar gye Qasim (A.S),
Pani na mila, tishna dehen mar gye Qasim (A.S).


Hazrat ko di sada kay Chacha jaan, aayye,
Khaadim hua huzoor pay qurbaan, aayye,
Duniya mein damm ka hai mehmaan, aayye,
Sar kaatnay ka hota hai saamaan, aayye;
Waqt aa gya kay auj-e-shahaadat husool ho,
Ab aakhri salaam hamaara qubool ho.




                                           اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

5 comments:

  1. Marshallah salam ya janabe qasim

    ReplyDelete
  2. Don't uploaded a be bahra ashaar

    ReplyDelete
  3. Ghar hasan (a.s) ka saja hai bahut ehtemaam se
    Anbiya (a.s) mubarak de rahe hai ehteraam se
    Masoomiyat ke mehke hue maasoom chaman main
    Sabse nazook phool khila hai qasim ke naam se

    ReplyDelete