Moharrum/Matam/Azadari.

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم     وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا



Ashaar On Moharrum Azadari




Mujrayi jab kay ahyan mahe aza hota hai,
Chark*(asmaan)} pay matame shah e shuda hota hai.
Rone Waloon ka bhi kiya rutba hai subhan Allah,
Jin kay ashkhoon ka kharidar Kuda hota hai.

(Mir Anees)



Kya Arsh Pe Bhi Sina Zani Hoti Hai Din Raat,
Ay Chaand Tere Sine Pe Ye Kaisa Nishan Hai.


Aap Ki Lanat Ho Aise Mad'rason Par Yaa Husain (a. s.),
Jis Me Pad Kar Log Matam Ke Mukhalif Ho Gaye

Insaan Ko Bedaar To Holene Do,
Har Qaum Pukaregi  Hamare Hai Hussain (as)


Zikr-e-Husain se jo jalta hai Mohsin,
Insaniyat ki zubaan mein usko Yazeed kehte hain.


Chalo salam karain uskay aastanay ko,

Hussain (A.S) jiss ne diya paal ke, zamanay ko

Masjid ke saamne tujhe maatam nahin qubool,
Dete na sar Husain to padhta Namaz kaun.


Zikr-e-Husain aaya to aankheinn chhlak padi,
Pani ko kitna pyar hai ab bhi Husain se.


Ankhon k sahilon pe jo ashkon ka hai hujoom.
Shayed ghum-e-Hussain (A.S) ka mausam qareeb hai.

Tujhko bhi ho jaayega ehsaas-e-Karbala,
Tanha kisi aziz ki mayyat uthha ke dekh.

Sakhi Husain tere Zikr ka karam hai warna,

Kahaan gareeb ka ghar kahaan Husain ki maa.

Ab kisi ghar mein koi mar jaaye,
Duniya gham baantne ko jaati hai,
Haay kitni gareeb hai Zahra,
Pursa lene bhi chal ke aati hai.


Maalum nahi aap ko kya bante hain aansu,
Daarain ki Malika ki riza bante hain aansu,
Zahra unhe le jaati hai daaman mein bhigo kar,
Shabbir ke zakhmon ki dawa bante hain aansu.


Muntazir Hain Fatima Ashk e Gham e Shabbir Ki
Aur Muqassir Ke Liye Fitno Ka Mausam Aa Gaya 
Bechega Mimbar Se Phir Wo Apne Afkaar o khayal
Lag Gaya Baazaar Fatwon Ka, Muharram Aa Gaya.


*Hasad Se Paak Hai Sina To Aao Majlis Me*
*Halaal Khate Ho Luqma To Aao Majlis Me*

*Karo Gunah Se Tauba To Aao Majlis Me*
*Jo MarKe Zinda Hai Khaliq Se Rizq Paate Hai*

*Nabi (saw) Ke Saath Wo Sab Majliso Me Aate Hai*

*Lahu Me Gar Hai Taharat To Aao Majlis Me*
*Jo Sikh Ni Hai Shariyat To Aao Majlis Me*

*Jo Yaad Maa Ki Wasiyat To Aao Majlis Me*
*Jo Tum Ko Chahiye Jannat To Aao Majlis Me*

*Ye Yad Rakhna Jo Majlis Me Aa Nahi Sakta*
*Jo Chahe Koi Jannat Me Jaa Nahi Sakta*



AAEGI IMAM(A.S) KI AWAZ ZI HASHAM,
KABAY KI SIMT UTHNE LAGEGA HAR EK KADAM,
SEENO PE HATH HONGAY NIGAHON MAIN SB KI NUM,
GARENGAY SEHNAY KABA MAIN ABBAS (A.S) KA ALAM,
FARSH-E-AZA BICHAYGA SHAH-E-MASHRAQUAIN (A.S) KA,

BARPA KERAINGAY... KABAY MAIN MATAM HUSSAIN (A.S) KA.


Zinda rehne ke liye SHAH ki aza kafi hai,
humko bas Fatima Zehra(a.s) ki dua kafi hai,
chahe kitni he mukhalif ho zamane ki hawa,
humko Abbas(a.s) ke parcham ki hawa kafi hai


Taqat Matam-e-Shabir Se La Ilm Hai Tu!
Ye Wo Jado Hai Jo Aag Pr Bhi Chal Jta Ha!
Jis Dum Krte Hain Mawali Aag Par Matam !
Un Ko Kuch Nahi Hota Or Tu Jal Jta Hai


Lab Par Husain, Dil Me Mohabbat Yazid Ki
Kuchh Logon Ka Mezaaj Hi Aisa Ajeeb Hai 
Bolenge Phir Se Rasm e Aza Ke Khilaaf Wo,
Fitno Se Hoshiyaar, Moharram Qareeb Hai



Mat Boliye Khilaaf e Azaadaari e Husain,
Zamin, Dil e Imaam Me Hai Karbala Ka Gham, 
Aaenge Le Ke Parcham e Ghaazi Imaam e Deen,
Himmat Ho Gar To Kahna Bahot Ho Gaye Alam


Mujh Ko Azaa e Shaah Mili Hai Naseeb Se,
Aisi Bahaar Shaikh Tere Ghar Me Hai Kahan, 
Lagta Hai Tujhko Aaj Bahot Ho Gaye Alam,
Tuba Ka Saaya Tere Moqaddar Me Hai Kahan


Mimber Pe Zubaanon Ko Chala Lena Hai Aasaan 
Maidaan Me Talwaar Utha Le To Main Jaanoo'n 
Arkaan e Azaadaari e Shabbir Se Waaez 

Zanjeer Ke Maatam Ko Hata Le To Main Jaanoo'n



Aza e Shaah Me Zanjeer Hum Lagaate Hain,
Na Jaane Kyun Tere Seene Me Dard Hota Hai, 
Yaqee'n Na Aaye To Taareekh Dekh Le Waaez,
Ali Ke Waaste Patthar Bhi Khoon Rota Hai



Khushnudi e Mahboob e Khuda Maang Rahi Hai,
Wo Qaum Jo Maatam Ki Dua Maang Rahi Hai, 
Allah Re Shaoor e Gham e Shabbir, Ki Maa Khud,
Bete Ke Lagaane Ko Qama Maang Rahi Hai



Baroze Hashr Banega Ye 'Zaamin' e Jannat,
Mujhe Nijaat Dilaaega Khoon Ka Maatam, 
Ye Khoon e Dil Hai Jo Ashkon Me Dhal Ke Bahta Hai,
Zamaana Rok Na Paaega Khoon Ka Maatam


Ik din baray guroor se kehnay lagi zameen
aaya meray naseeb mai parcham hussain(a.s) ka
mahtab ne kaha meray seenay k daag dekh
hota hai aasman pai bhi matam hussain(a.s) ka .



Baatil ki saazishon ko kuchalte rahenge hum,
Jab tak rahega haath mein parcham Husain ka,
Qasr e Yazidiyat ki daraaron se pooch lo,
Taarikh e inqilaab hai maatam Husain ka.



PANI Gham-e-HUSSAIN Mai Behne ka hai Sabab,
Karte hain Log AAG pe Matam Basad Adab,
Nohay ki har Sada pe HAWAIEN hain Muztarab,
Farsh-e-Aza bhi KHAK pe Bichta hai Roz-o-Shab,
Chaaron pe Raj hai tu SHAH-E-MASHRQAIN ka,

Dar Asal Zindagi pe hai Qabza HUSSAIN ka.


Jab kabhi zikrehussain {a.s} bayan hota hai
lanti chehro se phir bughaz ayan hota hai
kya ajab raaaz matamehussain {a.s} mein hai
hath padta hai yahan..! Dard wahan hota hai.!!

Maa ki aagosh main wo jaam piya hai
Lab hile tau Ali ka naam liya hai
Mili quwat e jumbishjo jab mere haato ko
God main hee maatam e Shabbir kiya hai


Humko Ali Ke Ishq Ne Aala Banaadiya,
Qatra Tha Hussain Ne Dariya Bana Diya,
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan,
Humko Gham-e-Hussain Ne Kaaba Bana diya.


Ya rab mere haathon me abbas ka parcham ho ,
dum nikle agar mera to mahe moharram ho,
quran padha jaye mayyat pe meri ,
lekin uthe jo janaja to shabbir ka maatam ho.

Farzande Buturab Ke Sadqe Me Aaj Phir,
Kismat To Meri Dekhiye Shahere Azaa Me Hu.
Rizwan Kaise Tujhko Mai Samjhau Baar Baar,
Jannat Na Aasakunga Abhi Karbala Me Hu.

Ye Majlis e Shabbir mein nikle huwe annsu,
Firdous ke baagon mein sajaa deti hai Zahra,
Shehzaadi zameen par unhe girne nahi deti,
Bach jaayein to Kausar mein mila deti hai Zahra.


Dono bulandiyon ka nahin hai koi jawaab,
Pusht e Nabi se nok e sinaa tak gaye Husain.
Qirtaas e shafaat ke siwa aur bhi kuchh maang,
Mehshar mein mawaddat ki jazaa aur bhi kuchh maang,
Jannat mujhe bakhshi to sadaa gayb se aayi,
Shabbir ke maatam ka sila aur bhi kuchh maang.



Mazloom ko hi milta hai darja Shaheed ka,
Kuchh bhi nahi thi Karbala iske siwaa Salim,
Shabbir ka Jihaad tha, aatank Yazeed ka.
Pachhtayega ye kehki Jahannum mein Maulvi,
Sab kuch kiya magar na kiya maatam e Husain.





Darr Jahannum ka ho kyon Shah ke ghamkhwaro ko,
Tamey (lalach) Jannat bhi nahi haq ke parastaaron ko,
Fatima haath uthha kar jo dua deti hai,
Aur kya chahiye Maula ke azadaaron ko.




Thi To Qul La As'alokum Ki Sada
Par Ada Ahmed (s.a.) Ki Ujrat Yun Huyi 
Fatema Zahra (s.a.) Ke Dar Pe Aag Se
Daastaan e Karbala Likkhi Gayi


Kar Diya Taamir Qasre Tashnagi Shabbir Ne
Pheyr Di Baiyat Ki Gardan Pe Churi Shabbir Ne
Taa Qayamat Abb Koi Bhi Hurr Bhatak Sakta Nahi,

Ki Shabe Aashoor Itni Raushni Shabbir Ne.


Hai Qobool Uska Amal Jiski Namaaze Maqbool,
Hon Namaaze Bhi Qobool Iski Zamaanat Kya Hai? 
Zikr e Shabbir Karo Taa Ki Namaaze Hon Qobool,
Warna Socha Hi Karoge Ki Shifa'at Kya Hai.



Tu Mere Paaon Ke Neeche Bichhaega Sholey 
Ali Ke Naam Se Usko Gulaab Kar Dunga 
Khilaaf e Maatam e Shabbir Bolne Waale 
Har Ek Saans Main Tujh Pe Azaab Kar Dunga



Hamaare Saamne Tune Wajood Paya Hai
Wo Aur Honge Jo Tujhko Khuda Samajhte Hain
Jo Nuqtacheen Hai Rasm e Aza e Sarwar Ka
Hum Aise Shakhs Ko Laanat Zada Samajhte Hain


Jo Aza Pe Sawaal Uthata Hai
Hum Use Kab Khaleefa Maante Hain 
Naam e Insaaniyat Pe Mat Bahkaao
Hum Tumhara Iraada Jaante Hain


Dushman e Aal e Nabi Ka Jo Qaseeda Padhta Ho,
Us Pe Laanat , Asl Me Banda Hai Wo Shaitaan Ka, 
Bolta Ho Jo Khilaaf e Maatam e Shaah e Huda,
Haath Shal Kar De Khuda Aise Har Ek Insaan Ka



Utha Ke Maatam e Shabbir Ke Khilaaf Sawaal
Dil e Batool Pe Tune Sitam Kiya Waaez 
Tu Khud Hi Soch (Kabhi To), Siwaaye Fitno Ke
Tere Sawaalon Ne Mazhab Ko Kya Diya Waaez


Khel Ko Maatam e Shabbir Pe Dein Fauqiyat,
Aise Hain Deen Ke Wafaadar Khuda Khair Kare, 
Hubbe Duniya Ke Liye Chhod Diya Farsh e Aza,
Ab Hai Bas Khel Ka Wyaapaar Khuda Khair Kare


Humko Maaloom Hai Ki Bahr e Aza,
Chhoden Kya? Kya Sambhaal Kar Rakkhen,  
Fitna Angez Muftiyon Se Kaho,
Apne Fatwe Wo Apne Ghar Rakkhen.



Falak pe chand Muharram ka ho gaya zahir,
Janab e Fatima Zehra (s.a) ko ye batana hai;
Tumharay Laal ke hum sogwar hen Bibi,
Tumharay zakhm pe marham humen lagana hai



Ye majlis-e-Shabbir (A.S) men niklay huay aansu,
Firdos ke baaghon men saja deti hen Zehra (S.A);
Shehzadi (S.A) zameen par inhen girnay nahin daiteen,
Bach jayen tau Kausar men mila deti hen Zehra (S.A)




Bichh Gaya Farsh e Aza, Matam Kada Ghar Ho Gaya,
Ab Ye Hujra Maskan e Bint e Payambar Ho Gaya, 
Naam Par Sarwar Ke Majlis Ka Hua Kya In'eqaad,
Ghar Mera Ek Pal Me Jannat Ke Baraabar Ho Gaya



Haq Hai, Payaam e Deen  Sunaane Ke Waaste,
Auron Ko Farsh e Shaah Ki Jaanib Bulaya Jaae, 
Lekin Ye Kya? Husain Ki Hurmat Bigaad Ke,
Ghairon Se Ittehaad Ka Naara Lagaya Jaae.



Karta Hai Jaan o Dil Se Wo Marja Ka Ehteraam,
Duniya Me Jo Hai Chahne Wala Husain Ka, 
Ab Bolte Hain Wo Bhi Khilaaf e Aza e Shah,
Jo Log Khaae Baithe Hain Sadqa Husain Ka.



MUJHE DE DY GHAM E SHABEER KI DOULAT YARAB,
TO KISI OR KI QISMAT ME DOULAT LIKHDE,
MERE HONTOO PE MUHAMMAD (saw) MERE SEENE PE HUSSAIN (as)
OR BUS NAD E ALI (as) MERE KAFAN PE LIKHDE,
AB HAI APNA KADI DHOOP PE CHALNA MUSHKILL,
APNI QISMAT ME PURCHAM E ABBAS (as) KA SAYA LIKHDE


Gham-e-Hussain Ki Dilkash Fiza Me Rehta Hun
Is Bahany Me Karbala Me Rehta Hun
Labon Pe Rehti Hy Hr Waqt Mere Nad-e-Ali

Isi K Dam Se Dua Ki Rida Me Rehta Hun



Ye Kis Bashar Ki Wilaayat Ko Maan Baithe Hain,
Baghair Soche Zubaan Apni Kholne Waale, 
Na Jaane Kaise Ye Zahra (sa) Ko Muh Dikhaaenge,
Khilaaf e Maatam e Shabbir Bolne Waale




Sanad Ke Taur Pe Maasoom Ke Aqwaal Hain Kaafi
Bajuz Shabbir Ke  Auron Se Kab Mumkin Hai Aashura 
Shab e Aashur Jo Football Ke Maidaan Me Khoe The
Wahi Kahte Mile Hain Aaj, Har Ek Din Hai Aashura



Khaak Udaao Saron Par Aye Ahle Aza,
Karbala Me Ghareebul Watan Aa Gaya, 
Rukh Se Maah e Moharram Ne Ulti Naqaab,
Maah e Zahra Pe Zamin Gahan Aa Gaya.. 



Main Ne Aza Ka Raaz Jo Likkha Jabeen par,
Posheeda Saanp Baith Gaye Aasteen Par, 
Chhudwa Ke Momino Se Azaadaari e Husain,
Shaitaan Ne Gul Khilaae Hain Kya Kya Zameen Par, 
Football Ho Chuka Shab e Aashoor Doston,
Shatranj Khela Jaaega Ab Arbaeen Par.


Jo Gham Guzre Hain Shah Pe Karbala Me,
Kahan Is Gham Ki Koi Inteha Hai, 
Zaeefi Me Jawaa'n Bete Ka Laasha,
Gham e Shabbir Ki Ye Ibteda Hai..!!



Aye Jhoot Ke Fatwoon Ki Dukan Kholne Wale
Farman-e-Payumber Ko Na Is Tarah Bhula De
Hum Matam-e-Shabbir Se Ruk Jain Gay Aye Dost
Shabbir-o-Shareeyat Main Zara Farq Bata De


Yun Khayaam e Shah Se Utthi Hai Sadaa e Al'Atash
Ye Dil e Khatmur Rosol Ko Para Para Kar Gayi 
Yaad Karte Hain Hum Apne Gham Me Ghum Shabbir Ka
Karbala Ki Yaad Har Gham Ka Madaawa Kar Gayi


Zainab (S.A) Khuda ke deen ki ghumkhuaar ban gai,
Azm o amal mai Haider e Karrar (A.S) ban gai,
Deen e Nabi (S.A.W.W.A) pe anch na anay di, marhaba,
Baad e Hussain (A.S) us ki madadgar ban gai,
Majlis bapaa ki baad e rayhaee Hussain (A.S) ki,
Shah e Huda (A.S) ki pehli azadaar ban gai.




Bhai Ka Chehlum Manaaoon Ghamzada Dukhtar Ke Saath
Aarzu Thi Muddaton Se Ye Dil e Bechain Me
Khush Naseebi Se Jawaar e Zainab e Muztar Me Hoon
Mahw e Maatam Arbaeen e Sayyed e Kaunain Me


Taareekh Ne Kaha Hai Jise Haashmi Qamar,
Dasht e Bala Me Aah, Wo Mahru Hua Shaheed,  
Abbas e Naamdaar Ke Baazu Juda Huye,
Ya Yun Kahoo'n Husain Ka Baazu Hua Shaheed




JAGAH JAGAH PE MAIN KARKE HUSSAIN KA MATAM,
 MUSAFIRAT KO BHI APNA WATAN BANA LUNGA,
 FARISHTE NAUHA PADHENGE KARUNGA MAIN MATAM,
 LAHAD ME JAA KE BHI EK ANJUMAN BANA LUNGA



DIL E BATOOL S.A KI TASKEEN HAI AZADARI,
 YE TUM SE KIS NE KAHA TOHEEN HAI AZADARI?.
 ZAMANY BHAR KO SIKHA GAI ZAINAB S.A.

 HAMARI RASM NAHI DEEN HAI AZADARI..

AAJ BHI SILSALA - E - KARBOBALA JARI HAI.
ISHQ E SHABIR KA IZHAR AZADARI HAI.
 YEHI FESLA HAYE MEEZAN E AZAL KA AZADAR.
 HAR IBADAT PE HUBB E ALI A.S BHARI HAI


14 sadyon se aqeedy ka safar jari ha.
 Zindagi ALAY-E-MOHAMMAD se wafadari hai.
 Humko tasleem NAMAZON ki fazeelat laikin.
 BINT-E-ZAHRA ki tammana yeh AZADARI hai


KEHTIN HAIN ZEHRA SANI MUJHE YUN NA SATAO,
YUN MAJLISAY SHABEER MAIN BUNTHAN K NA AAO,
AURO NAY SATAYA HAY MJHE TUM NA SATAO,
SHABEER K MATAM KO TAMASHA NA BANAO.


MUJH KO BEHLOL SA DEWANA BANA DE YA RAB
 KULL E EMAAN KA MASTANA BANA DE YA RAB
 HAR JAGA MATAM E SHABIR A.S KI GOONJAY AWAZ
 SARI DUNIYA KO AZA KHANA BANA DE YA RAB.






اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن                                      

No comments:

Post a Comment