Maula Abbas Ashaar

    بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم   وَصَلَّى اللهُ عَلَيْكَ يَا وَلِىَّ الْعَصْرِ (عج) اَدْرِكْنَا                                                      








Best 2 Lines Of Maula Abbas (as) :

1)Abbas a.s. Ko Paani Ke Liye Bhej Rahi Ho,
Kya Naher Mangane Ka Irada Hai Sakina.

2) 12 Imam Mazhabe Islam Ke Huwe,
Ye Mazhabe Wafa Ka Akela Imam Hai.

3) Chaand Suraj Ki Madine Ko Zarurat Hi Nathi,
Is Qadar Noor Tha Abbas (as) Ke Peshani.

4)Dunya Ki Nazar Mere Nigaaho Pe Ruki Hai,
Aur Meri Nigaah Maula Abbas (as) Ke Karam Pe Ruki Hai.

5) Kaatne Walo Ne To Do Hath  Kaate The Magar,
Anginit Haato Me Uthtaa Hai Alam Abbas (as) Ka

6) Darya Pe Kabja Karke Ke Bhi Paani Nahi Piya,
Abbas (as) Tu Wafaao.Ka Parvardigar Hai.

7) Sirat Me Ali (as) Hai To Shujaat Me Ali (as) Hai.
Abbas (as) Ko Dekha To Haqiqat Me Ali (as) Hai.

8) Fauze Batil Ko Rula Rula Kar Kehraha Tha Bezaban,
Muskurana Mai Sikha Hai Chacha Abbas (as) Se.

9) Abbas (as) Wo Sakhi Hai Ke Dunya Me Deen Ko,
Haato Samait Bheek Me Baazu Ataa Kiye.

10) Zahra (sa) Ne Kaha Hazrate Abbas (as) Ko Beta,
Ya Yu Kahu Puraa Kiya Mohsin Ki Kami Ko.

11) Ali (as) Ka Hi Pisar Hona Faqat Kafi Nahi Shaukat,
Zaruri Hai Dua E Fatema (sa) Abbas (a) Banne Ko.

12) Roze Mehshar Khogaya Mai Ambiya Ki Bheed Me,
Chahta Chumnaa Mai Bhi Alam Abbas (as) Ka.
Wiladat Mubarak

                                            اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

3 comments: