Meer Anees Marsiya


                       بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم





                      (AIN-E-HUSSAIN (EYES OF HUSSAIN



Aankho ko kahiye ain to ain-e-khata hai ye 
Parde na kyon ho saat ke noor-e-Khuda hai ye 
Sab ko hai chashmdasht ke ain-e-ata hai ye 
Beemaar khud pa sab ke maraz ki dawa hai ye 
Sarkhush bhi jaam in ki jo ulfat mein pee gaya 
Dekha nigaah-e-lutf se jisko wo jee gaya

Ahsaan bhi haya bhi murawwat bhi qeher bhi 
Khud maut bhi hayaat bhi amrit bhi zeher bhi 
Beena bhi nuqtasanj bhi danaa-e-deher bhi 
Tasneem bhi Behisht bhi Kausar ki neher bhi 
Sar sharm se jhukaaye hai nargis riyaaz mein 
Jannat sawaad mein, Yad-e-Baiza bayaaz mein

Aahu Shikaar o teer o kamaadaar o sher geer 
Hushyaar o khush nigaah o sukhansanj o dilpazeer 
Khoo’nrez o jaa’nfareb o dilavez o benazir 
Qabze mein abruo’n ki kamaanein, mizhah ke teer 
Jis saada dil ko inki siyaahi ki yaad ko 
Nakhwaanda bhi gar ho to raushan sawaad ho


Aahufareb o ashwafarosh o karishmasaaz 
Tannaaz o sharmgeen o giraa’n khwaab o sarfaraaz 
Haqbeen o paakbaaz o Khudabeen o Beniyaaz 
Bedaar o daaghdeeda o khoo’nbaar o ghumtaraaz 
Gird iske phir, ye Kaaba-e-eemaa’n ka tauf hai 
Bas ai Anees bas nazar-e-bad ka khauf hai


Jab qataa ki masaafat-e-shab aaftaab ne

1) Chillaya haath maar ke zaanoo pe Ibne Saad 
Ai wa fazeehata, ye hazeemat zafar ke baad 
Zeba dilawaron ko nahi hai khilaaf-e-waad 
Aik pehelwaa ye sunte hi garja misaal-e-raad 
Naara kiya ke karta hoon hamla Imaam par 
Ai Ibne Saad likh de zafar mere naam par

2) Bala qad o qulfat, tan o mand o kheera sar 
Roai'n tan o siyaah, dar o aahni kamar 
Nawaq payaam-e-marg, ke tarkash ajal ka ghar 
Taighein hazaar toot gayin jis pe wo sipar 
Dil mein badi, tabeeyat-e-bad mein bigaad tha 
Ghode pe tha shaqi ke hawa mein pahaad tha

3) Saath uske aik usi qad o qamat ka aik yal 
Aankhen kabood, rang siyaah, abroowo pe bal 
Badkaar o badshiyaar o sitamgaar o pur waghal 
Jung aazma, bhagaaye hue lashkaron ked dal 
Bhaale liye, kasay hue kamrein sataiz par 
Naza ye zarb-e-gurz pe, ye taigh-e-taiz par

4) Khhich jaaye shaql-e-harb wo tatbeer chahiye 
Dushman bhi sab makar ho, wo taqreer chahiye 
Tezi zubaa mein soorat-e-shamsheer chahiye 
Faulaad ka qalam, dam-e-tehreer chahiye 
Naqsha khichega saaf saf-e-kaarzaar ka 
Paani dawaat chahati hai Zulfiqaar ka

5) Lashkar mein iztaraab tha, faujo mein khalbali 
Sawant behawaas, hirasaa'n dhani bali 
Dar tha ke lo Hussain badhe, taigh ab chali 
Ghul tha idher hain Marhab o Antar, udher Ali 
Khaiber) and Imam Hussain(as) was Hazrat Ali(as)
Kaun aaj sar baland ho aur kaun past ho 
Kiski zafar ho dekhiye, kiski shikast ho 

6) Aawaz di ye Haatif-e-Ghaibi ne tab ke haa'n 
Bismillah ai Ameer-e-Arab ke suroor-e-jaa'n 
Utthi Ali ki taigh-e-do dum chaat ke zabaa 
Baithe durust ho ke faras pe Shah-e-Zamaa 
Waa'n se wo shor bakht badha naara maar ke 
Paani bhar aaya moo mein idher Zulfiqaar ke

7)Lashkar ke sab jawaa thay ladaai mein jee ladaaye 
Wo bad nazar tha aankhon mein aankhen idher gadaaye 
Taighein ladi sipaah ki ya abr gadgadaaye 
Ghusse mein aa ke ghode neb hi daant katkataaye 
Maari jo taap dark e hate har laee ke paav 
Maahi pe dagmaga gaye gaav-e-zamee ke paav

8) Zaalim utha ke gurz ko aaya janaab par 
Taari hua ghazab Khalaf-e-Boo Turaab par 
Maara jo haath, paav jamaa kar rakaab par 
Bijli giri shaqi ke sar-e-pur itaab par 
Bad haath mein shikast, zafar naik haath mein 
Haath ud ke jaa gira kai haath, aik haath mein

9)Kuch dast-e-paacha ho ke chala tha wo naabkaar 
Panje se par ajal ke kahaa jaa sake shikaar 
Waa usne baaye haath mein li taigh-e-aabdaar 
Yaa'n san se aayi pusht ke faqro pe Zulfiqaar 
Qurbaan taigh-e-taiz-e-Shah-e-naamdaar ke 
Do tukde thay sawaar ke, do raahwaar ke

10) Phir doosre pe gurz uttha kar pukaare Shaah 
Kyon? Zarb-e-Zulfiqaar pet u neb hi ki nigaah? 
Sarshaar tha sharaab-e-takabbur se roosiyaah 
Jaata kahaa ke maut to roke hue thi raah 
Ghul tha usay ajal ne badhaaya jo gher ke 
Lo, doosra shikaar gaya moo mein sher ke

11) Aaya shaqi ke asp-e-Shah-e-Dee palat pada 
Sabit hua ke sher-e-garisna jhapat pada 
Taigh-e-shaqi ne dhal pe maara to pat pada 
Zarbat padi ke gumbat-e-dauwaar phat pada 
Paiwand sadr-e-zeen, jasad(body) o farq(head) ho gaya 
Ghoda zamee mein seene talak gharq ho gaya


.IMAM HUSAIN (a) - J.SAKINA (sa)

Lo Jaane do Gusse ko, Meri Goad Me Aao
Hum Aankheiñ Maley Chehre se, Muñh Aage To Laao
Mehmaañ hain Tumhare, Hameiñ Bibi Na Rulaao
Aashiq Jo Hamari ho, Toh Aansu Na Bahaao
Hum Honge Kahin, Tum Kahin Jaaogi Sakina
Dhundogi toh Phir Humko Na Paaogi Sakina


Munh Par Kabhi Munh Maltee thi, De-De ke Duayeiñ
Leti thi Kabhi Nanhey se Haathoñ se Balaayeiñ
Kehti thi Kabhi Ghar se Na Hazrat Kahin Jaayeiñ
Roti Nahin Main, Aap Na Ab Ashk Bahaayeiñ
Hota hai Khafa Yuñ koi Naazoñ ke Paley Se 
Haye-Haye Mere Haathoñ ko Chhudhaao Na Galey se

⚫ *!! HAAYE SAKINA !!* ⚫


IMAM HUSAIN (AS) SHABE ASHOOR

Azeezo Aaj Shahadat ki Raat Aayi hai

Haram se Shaah ki Rukhsat ki Raat Aayi hai

Yeh Raat Roz-e-Qayamat ki Raat Aayi hai

Husain Imam ki Rehlat ki Raat Aayi hai

Nahin hai Yeh Shab-e-Qatl-e-Husain Sone ko

Batool Aayengi har Ghar mein Aaj Rone ko

 HAAYE MAZLOOM HUSAIN (a) 




Hussaini ghilaaf se


1) Masroof jung-e-taigh mein the ibne Qillageer 
Nikla pare se ik qadar andaaz-e-benazir 
Bad kesh o kaj nihaar o khata pesha o sharer 
Palle se tod deta tha joshan ko jista teer 
Kya koi iske aage bhala sar uttha sake 
Rustam bhi jis kamaa ka na seesar uttha sake

2) Qabze mein taigh leke pukaare Shah-e-Zamaa'n 
Haa'n, naavaq afghani mujhe dikhla to ai jawaa'n 
Haa'n, nikli mooh se yaa'n, ke khhichi us tafar kamaa'n 
Khhichna kamaa'n ka tha ke chala teer-e-be amaa'n 
Halqa udhar kamaan ka kham ho ke reh gaya 
Yaa'n taigh-e-Sheh se teer qalam ho ke reh gaya

3) Khali isi ravash se hua tarkash-e-shareer 
Toode lagaaye kaat ke Hazrat ne saare teer 
Chaha tha kashmakash mein ke ho jaaye gosha geer 
Chillaye Sheh, ke bhaag na o sarkasho'n ke peer 
Peechhe hatei'n pa paao, mazaa hai ye jung ka 
Tu bhi to tod dekh le mere khudang ka

4) Yaa'n dosh se kamaa ko utara janaab ne 
Qabze mein maah-e-nau ko kiya aaftaab ne 
Bete ke haath choom liye Boo Turab ne 
Taaka khata ko teer-e-nigaah se sawaab ne 
Tarkash bhi azhdaha sa dehen knolne laga 
Nikla uqaab-e-teer to par tolne laga

5) Chille mein rakh ke teer badhe Qibla-e-Umam 
Ik haath raast kar ke kiya doosre ko kham 
Kuch keh ke gosh-e-Sheh mein chala teer-e-tez dum 
Awaaz di kamaa ne zahe shaah-e-baa karam 
Chilla to shusht-e-Shaah-e-Zaman se nikal gaya 
Waa'n teer dil ko tod ke san se nikal gaya

6) Gurz o sinaan o taigh o tabar kaampne lage 
Naize misaal-e-shaakh-e-shjar kaampne lage 
Dar se kamma kashon ke jigar kaampne lage 
Go tarkashon mein teer the, par kaampne lage 
Peechhe hate, khade the jo zaalim badhe hue 
Goshon se khud utar gaye chille chadhe hue



A marsiya of Hazrat Ali Akbar

Hai Waqt-e-Seher, Aakhri Akbar ki Azaañ hai
Khaime Me, Musalley Pe Sisakti hui Maa hai

Aye Maut !! Muazzin ko Chehekne de Zara Deyr
Phir Dil Ali-Akbar ka hai Aur Nok-e-Sinaañ hai

Dil Thaam ke Haathoñ se kuch is tarha se kee Aah
Pehchan Gaye Sab Ali-Akbar ki Yeh Maa hai

Laila Ne Nazar-Bhar ke Naa Dekha Kabhi Isko
Sab Dekh ke Jeete hain Jisey, Yeh Woh Jawaañ hai

Khinchtey hi Sinaañ, Saath Nikal Aayenge Dono
Hai Maa Abhi Khaime Me, Abhi Dil me Sinaañ hai


 

Manind-e-sher jung mein thi chaar su nigaah 
Chhup chhup ke badliyo’n se nikalte thay misl-e-maah 
Lekin ajal se bas nahi chalta kisi ka aah 
Dekha jo phir ke youn nazar aayi adam ki raah 
Chhaait pe lag ke pusht se naiza guzar gayaa 
Ubla lahu to umr ka paimana bhar gaya

Naiza laga ke zor se khaincha laee’n ne jab 
Tukde kai jigar ke nikal aaye hai ghazab 
Harne pe sar jhuka ke jo sambhlaa wo tashnalab 
Tar ho gayi lahu se qabaa Mustafa ki sab 
Ghash aaya, nabzein chhut gayi’n, tevar badal gaye 
Halqe rakaab ke bhi qadam se nikal gaye

Faryaad hai ke toot pada lashkar-e-giraa’n 
Harbe tamaam fauj ke aur aik naujawaa’n 
Girte hue faras se pukaraa wo neem jaa’n 
Leeje khabar ghulam ki ai Qibla-e-Zamaa’n 
Jaldi uthiye mujhay dasht-e-nabard se 
Ab jaan nikli jaati hai chhati ke dard se

Sun’na tha ye ke Sheh pe gira aasmaan-e-ghum 
Itna kaha ke “aah, hue ab tamaam hum” 
Daude, gire, utthe, kai ja Qibla-e-Umam 
Rakhkha kisi jaga to kisi ja pada qadam 
Khaliq pisar ka daagh dikhaaye na baap ko 
Aankho’n se kuchh dikhaai na deta tha aap ko

Chillaate the kidher ko hai tu ai jawaa’n pisar 
Aashiq pisar, shafeeq pisar, meherbaa’n pisar 
Mere saeed lal, mere qadrdaa’n pisar 
Hoto’n pe dum hai baap ka, ai neem jaa’n pisar 
Beta nibaah baap ka ab tere haath hai 
Jaldi na keejiyo ke ye bekas bhi saath hai

Kis jaa sitam ki seene pe kha kar sinaa’n gire 
Aawaaz phir do, ai Ali Akbar kahaa’n gire 
Kis tarh ladkhadaa ke na ye naatawaa’n gire 
Peeri mein jis pe koh-e-ghum-e-naujawaa’n gire 
Aada se is sitam ka Khuda inteqaam le 
Itna nahi koi mere haatho’n ko thaam le

Jangal mein pohche laash pe us waqt Shaah-e-Dee’n 
Jab aidiyaa’n ragad rahe the Akbar-e-Hasee’n 
Chillaaye paas gir ke Shah-e-Bekas o Hazee’n 
Haazir hai baap ai mere farzand-e-mehjabee’n 
Baba ko mutmain to karo mu se bol ke 
Baahein gale mein daal do aankhon ko khol ke

Tum neb bhi mu ko baap se moda, hazaar haif 
Bekas ko is zaeef ko chhoda, hazaar haif 
Pehna na bar mein byaah ka joda, hazaar haif 
Qismat ne taaze phool ko toda, hazaar haif 
Bheegi hui maso’n pe ajab aab o taab thi 
Hai hai abhi to aamad-e-fasl-e-shabaab thi

Kyon tharthara ke karwatein lete ho baar baar 
Kya hai ke khaak par kisi pehlu nahi qaraar 
Hazrat se dum nikalne mein bola wo Gul Azaar 
Barchhi ka zakhm hai meri chhati ke waar paar 
Kya haal-e-dil kahu’n, nahi taqat bayaan ki 
Lo Alwida’a, jism se rukhsat hai jaan ki

Nagaah rang zard hua, haath thartharaaye 
Karwat kabhi karaah ke li, gaah muskuraaye 
Atka jo dum, sawaal mein paani ke lab hilaaye 
Haste hue guzar gaye duniya se haai haai 
Phaila ke haath paav wo maqtool reh gaya 
Khushbu sue behisht gayi phool reh gaya

Bas ai Anees bas na sune the kabhi ye bain 
Barpa hai bazm-e-matam-e-Akbar mein shor o shain 
Mai aik kya, nahi kisi momin ke dil ko chain 
Keeje madad, in apne ghulaamo’n ki YA HUSSAIN 
Asrat ho dur, aish ka samaan kam na ho 
Juz maatam-e-Huzoor koi aur ghum na ho

Salam By Mir Anees  

Shabeeh-e-Imaam-e-Zamaa'n


Shabeeh-e-Imam-e-Zamaa khenchte hain 
Tassavur meintasveer-e-jaa’n khenchte hain
Zameedar seraab hain Karbala ke 
Azeeyat Imam-e-Zamaa’n khenchte hain

Jagaa mol li hai mazaaro’n ki khatir 
Zamee’n pe Shah-e-Dee’n nishaa’n khenchte hain
Idher khushq hai Fatima ki zara’at 
Wo kheto'n me aab-e-rawaa’n khenchte hain

Hawa lagne deti na thi jis ko bulbul 
Wahi gul jafa-e-khizaa’n khenchte hain
Kahaan bediyaan aur kahaan paay-e-Abid 
Ye langar kahin natawaa’n khenchte hain

Ajab haal hai Dukhtar-e-Fatima ka 
Rida sar se eezarawaa’n khenchte hain
Pukaarien Sakina duhaai hai baba 
Sitamgar meri baaliyaa’n khenchte hain

Kati jaatein hain gardanein Bibiyon ki 
Rasan ko jo eezarawaa’n khenchte hain
Ye aalam hai furqat mein kehti thein Zehra 
Ke rag rag se jis tarha jaa’n khenchte hain

Kaha Sheh ne “Hushyaar ai qaum-e-nari” 
Hum ab taigh-e-aatish fishaa’n khenchte hain
Qalam youn hai kagaz pet ham tham ke chalta 
Qadam jis tarha natawaa’n khenchte hain

Bohot baagh duniya ke kaanto se uljhay 
Bas ab rakhs soo-e-jinaa’n khenchte hain
Qadam bediyon mein, hain rassi mein bazoo 
Ye dukh Aabid-e-natawaa’n khenchte hain

Kaha ro ke Akbar ne “Ai dard tham jaa” 
Kaleje se baba sinaa’n khenchte hain
Bohot hum ko peesa hai, ik din tujhay bhi 
Shikanje mein ai aasmaa’n khenchte hain

Mohabbat ka rishta nihayat hai nazuk 
Mujhay kis liye qadrdaa’n khenchte hain
Qaree sar ke hai aaftaab-e-Qayamat 
Lehed par abas saaibaa’n khenchte hain

Dikha doo Zameen-e-Najaf ki bulandi 
Bohot aap ko aasmaa’n khenchte hain
Nas-e-ghum ki shiddat se kehte thay Abid 
Ajab sakhtiyaa istakhwaa’n khenchte hain

Zamee ke tale jin ko jaana hai ik din 
Wok yon sar ko ta aasmaa’n khenchte hain
Faqeeron ne yaa paav phaila diye hain 
Ajab haath ahl-e-jafaa’n khenchte hain

Abas hai adu dar pe ai qatl-e-Asghar 
Ye eezaa kahin bezabaa’n khenchte hain
Wo hain pehelwaa, hum jo qoowat dikhayein 
Falak pe sipar kehkashaa’n khenchte hain

Sukhan hai agar baa’is-e-tulkh kaami 
To hum aap apni zabaa’n khenchte hain
ANEES is zamee'n mein bohot kam hai wus’at 
Kumait-e-qalam ki inaa’n khenchte hain
.

أَعْظَمَ الله اُجُورَنا بِمُصابِنا بِالحُسَيْنِ عَلَيْهِ السَّلامُ وَجَعَلَنا وَإِيَّاكُمْ مِنْ الطَّالِبِينَ بِثارِهِ مَعَ وَلِيِّهِ الإمام المَهْدِيّ مِنْ آلِ مُحَمَّدٍ عَلَيْهِمُ السَّلامُ

فَيالَيْتَنِي كُنْتُ مَعَكُمْ فَأَفُوزَ مَعَكُمْ فَوْزاً عَظِيما

السَّلامُ عَلى الحُسَيْنِ وَعَلى عَلِيِّ بْنِ الحُسَيْنِ وَعَلى أَوْلادِ الحُسَيْنِ وَعَلى أَصْحابِ الحُسَيْنِ 

اللّهُمَّ العَنْ قَتَلَةَ الحُسَيْنِ عَلَيْهِ السَّلام



اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلى مُحَمَّدٍ وَّآلِ مُحَمَّدٍ وَّعَجِّلْ فَرَجَهُمْ وَالْعَنْ أَعْدَائَهُمْ اَجْمَعِيْن

5 comments:

  1. Mashallah Subhanallah Ekh Ekh misra bhi anmol Nagina sae bhi oonchay hai. Ankh bhar ai to kya dam nahi nikla yae shikwa hai mera

    ReplyDelete